Urdu Poetry: Dedicate To My Father
hello members main apni kuch poetry apne father ko dedicate karna chahta hoon, ye koi khas poetry nahi hai, na hi muje poetry main dilchaspi hai aur na hi muje es k qaide qanoon maloom hai, es lie es main bohot se ghaltian aur be rabatgi ho sakti hai, lekin os k bawajood main ne ye koshish ki hai. mulahiza kejie Muje rote hoie chorh gaie aur chale gaie Lihaf-e-kafan ko tum ourh gaie aur chale gaie Kamzor tha mian, bad-e-mukhalif k muqable main Onhi hawaoun k rukh mourh gaie aur chale gaie Jo bhi haath pohonchta tha meri garden tak Onhi haathon ko marourh gaie aur chale gaie Zalim hai ye zamana ham kia karenge? Hamari zindagi jachour gaie aur chale gaie Tum ne jis paude ko jo laho se hai seencha Tanaawar darakht bana kar chourh gaie aur chale gaie Jise sahara dia sahara banne ki umeed main Usi saharae ko bhi chourh gaie aur chale gaie?
|