khoobsurat |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 326 Age:
28
|
|
Posted on:17th Aug 2007, 11:45pm |
|
|
Meri Mohabbat Haar Gai!
Mohabbat jeet hoti hai, Magar yeh haar jati hai, Kabhi dil soz lamhon se, Kabhi majboor kasmon se, Kabhi taqdeer walon se, Kabhi be-kaar rasmon se, Magar yeh haar jati hai, Kabhi yeh phool jesi hai, Kabhi yeh dhool jesi hai, Kabhi yeh chand jesi hai, Kabhi yeh dhoop jesi hai, Kabhi masroor karti hai, Kabhi yeh rog deti hai, Kisi ka chain leti hai, Kisi ko rol deti hai, Kabhi le paar jati hai, kabhi yeh maar jati hai, Mohabbat jeet hoti hai, Magar yeh haar jati hai. Dear friends, i think meri mohabbat bhi haar gai, shayad aap sab ne mujhe etna piyar diya ke mai waqai es forum ko apni family samajhne lagi, but mai bhool gai ke apne to hamari har tarah ki baaten bardasht kar lete hain aur har baat par darguzar bhi kar dete hain but doosrey to mind karte hain, mai un sab logon se sorry karna chahti ho jin ko meri kisi baat se takleef pohchi aur bas ek baat kehna chahogi ke mai ne jis ko jo kuch bhi kaha, sab mazaq mai kaha, mera irada sirf forum par hansi, mazaq ko farogh dena tha taka log es ko apni family samjhen, mera khayal tha ke log mujhe ek ladli behen ki tarah treat karte hain to mai bhi thora sa mazaq kar loon but i was wrong, mere replies par har koi apna apna point of view nikalta raha aur yahan tak ke MR.Bewaqoof aur MR.Josh ne to mere kirdaar tak baat pohcha di, jo mai bardasht nahi kar sakti. aur shayad mai yahan se jaa kar aap sab ko yeh msg dena chahti hoon ke aurat ko sab se zada apna character aziz hota hai, har cheez us ke baad ati hai, so i will not compromise, im going. Thank u all, for all ur love. keep smiling, be khoobsurat, think khoobsurat.
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4300 Age:
38
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 12:06am |
|
|
baat nikle gi tu bahut door tak jai gi. mai kisi khatoon ke kirdar par shak nahi karta. aap ko ghalat fahmi hui hai. mera previous post phir se read kare:
aap ne barish par yeh poem likha
Aaj halki halki barish hai,
Aaj sard hawa ka rakss bhi hai,
Aaj phool bhi nikhrey nikhrey hain,
Aaj un mai tumhara aks bhi hai,
Aaj badal kaaley gehrey hain,
Aaj chand pe lakhon pehrey hain,
Kuch tukrey tumhari yaadon ke,
Bari dair se dil mai tehrey hain,
Aaj yaaden uljhi uljhi hain,
Aaj taar yeh dil ke suljhey hain,
Aaj yaad bohot tum aye ho,
Aaj yaad bohot tum aye ho.
Khoobsoorat: kiya kisi ko yeh poem samjh nahi aai, no replies on the poem???
Bewaqoof: bat yeh hai keh samajh mai tu bahut kuch araha hai. lekin ap ki respect mai koi kuch nahi kah raha. sab ko pata hai keh ap ko kon yad araha hai.
chore purani bato ko. ab sirf aur sirf ose hi yad kare jis ka license ap ke pas hai. beghair license kisi ko yad karna achchi bat nahi.
khoobsoorat: aap kis qisam ki baten kar rahe hain, ek shareef, shadi shuda aurat par ilzam lagate howe aap ko sharam nahi aai. shayad aap ne piyar kisi aur se, aur shadi kisi aur se ki hogi (pata nahi kitni larkiyon ko bewaqoof banaya hoga), but shareef larkiyan, jis se shadi hoti hai, us hi se piyar karti hain aur mere dil mai mere husband ke siwa aur koi nahi. yeh sab mai aap ko explanation dene ke liye nahi keh rahi hoon, sirf es liye keh rahi ho ke aap ki soch saaf ho aur ainda aap kisi shareef larki par ilzam na lagaen.
Bewaqoof: dekhe mohtarma piar kee nahi jati balke ho jati hai. aur piar ka hona guna nahi hai. gunah tab banta hai jab ghair shrai tareeqa se piar ka izhar kia jai. is dunia mai be-shumar log aise hai jin ko zindagi mai kabhi na kabhi kisi se piar hua. lekin onho ne kabhi is ka izhar nahi kia. ab aise soorat mai os ki shadi kisi aur se ho jai tu kia yeh gunah hai. kia ham aise logo par yeh comments de sakte hai keh piar kisi aur se aur shadi kisi aur se. hamare country mai ziadah tar shaadi aise hi hoti hai keh piar ksi aur se aur sahdi kisi aur se. shareef larke aur larkia one-way love par hi zindagi guzar dete hai. woh ghair sharii harkat nahi kar sakte.
ab ap batai keh mai ne kaha par ap ki kirdar kashi ki.
baat nikle gi tu bahut door tak jai gi. |
khoobsurat |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 326 Age:
28
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 12:11am |
|
|
What is This? bat yeh hai keh samajh mai tu bahut kuch araha hai. lekin ap ki respect mai koi kuch nahi kah raha. sab ko pata hai keh ap ko kon yad araha hai. chore purani bato ko. ab sirf aur sirf ose hi yad kare jis ka license ap ke pas hai. beghair license kisi ko yad karna achchi bat nahi.
Kiya yeh aap ke words nahi hain? |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4300 Age:
38
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 12:16am |
|
|
mai ne helmet pehen li hai mera khial hai keh khoobsoorat ko mera funny style mai reply kirdar kashi laga. lehaza ab mere pas wazahat aur safai mai kuch nahi. behtar hai keh helmet pehen kar chup chap baith jai. |
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 12:28am |
|
|
Re: khoobsoorat sister, yeh sirf aap kai liye , is moqay per , bari mushkil sai dhoondhi hai. isay aik bhai ki behan kai liye request samjhna:
muhabbat kai safar main, aksar yun bhi hota hai muhabbat rooth jatee hai taalluq toot jatay hain dil ki kashtee sahil per aa kar doob jatee hai suno tum faisla kar lo tu ham ko bhi bata dena jo rasta tum nai jora tha usay tum khud mita dena woh sari qasmain jo khayee theen kia tum nai taur dali hain woh sari piyar ki batain kia tum nai bhula daleen? tumhain tu saath nibhana tha abhi tu saath chalna tha abhi tu manzil milee nahin abhi tu agaz-e-safar hai abhi sai rasta badal gaye ho dunia ki bheer main kion mujh ko youn akaila kar gaye ho agar is main tumhari khushi hai tumhari khushi main hamari khushi hai magar aik sach batana tha tumharay bin dil nahin lagta tumhee ko yad karta hai tumhara naam laita hai buhut samjhata hon is ko magar bechain rehta hai tumharay saath rehnay ki har waqt khawahish karta hai tum bin zinda rehnay ka soch kar hi darta hai tumharay bin zindagi achi nahin lagtee koi gam ho ya khushi achi nahin lagtee bari be-khawab hain ankhain yeh meri jagti ankhain tumhari rah takti ankhain tumhain wapis bulatee hain zuba khamosh hai laikin dil sadaen deta hai shayed kai tum loat ao is aas main hi dharakta hai tumhain wapis bulata hai yeh dil tum ko bulata hai ab tu loat ao na!! ab tu loat ao na!!
waiting for your wapsi and comments. thanks
|
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 2:48am |
|
|
Re: khoobsoorat sister, still waiting for your come back. tumhari muhabbat kaisay haar gaee, tum nai suna nahin
muhabbat aisa jazba hai kai baarish rooth bhi jaye tu pani kam nahin hota!
ab kitna wait karain gai sab. plz come back!! |
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 2:50am |
|
|
Re: khoobsoorat as always correction :)
muhabbat aisa darya hai kai baarish rooth bhi jaye tu pani kam nahin hota!
|
khoobsurat |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 326 Age:
28
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 3:32am |
|
|
Re: Faisee : My brother Sunti hoon ke mere tazkarey par,
Halki si us aankh mai nami thi,
sab gird the us ke aur ham ne,
bas doooooor se ek nigah ki thi. |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 3:39am |
|
|
Dear Sister Khoobsurat! khoobsurat ap aik sachi shaera(poetess) ho, jatay jatay bi poetry suna kar gaee ho. (mazaaaaaaaak)
KHOOBSURAT: muje yakeen hai k ap ziddi, proud & Selfish, NAHI ho, is liye mai ye samajhta hon k ap forum par aa jao gi, muje pata hai k ap ye bi nai chaho gi k dunia k lakho log ye sochain k khoobsurat nay itnay pyaray dosto ka dil torr dia or itna manaNay k bawajood sab ko chhorr kar chali gaee, or ap ye bi nai chaho gi k log ye sochain k khoobsurat nay sirf apna socha or kisi (family members) ki feelings/mohabbat ka khayal nai kia.
faisee is a chhupa rustam, dekho aj sirf apkay liye usnay kitni mehnat say kitni pyari poetry likhi hai. apny bhai ki poetry parhny hi aa jao.
believe me, mai apsay bohat batain karna chahta hon, khas tor say apka zodiac sign jan-na chahta hon. |
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 3:51am |
|
|
Re: khoobsoorat Meri sister, khoobsoorat kai naam, shaira "humaira maryam" kai ehsasat ki jhalak:
tumhain khat likhtay likhtay, main buhut aansoo bahati hoon jo safha bheeg jata hai tu us ko phaar deti hoon tumhara hijr meri ankhon sai motee girata hai kabhi palloo, kabhi daman, kabhi dil main chupati hoon koi jab pooch lai mujh sai udaasi ka sabab kia hai main hans kar in sawalon ko bhi aksar taal jatee hoon ummeed-e-wasl rakhtee hoon wafa kai band phoolon per phir in per naam ki taray koi titlee bithatee hoon kabhi boondon kai mausam main tumhari yaad kai hamrah khayalon hi khayalon main, buhut main door jatee hoon teri furqat ki gharion main, tujhay likhee hue nazmain main khud hi gunganati hon, tu khud hi ko sunati hoon
aur :
buhut sai log thay mehman meray ghar laikin woh janta tha kai hai ehtamam kis kai liye
dil ko aik tasalli si hue kai aap hamari muhabbaton ko jhutla nahin sakain gi. aap shaid samjhain kai aap ki muhabbat har gaee, laikin hamari muhabbat nahin haray gi.
|
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 3:59am |
|
|
Re: Muhabbat mar nahin saktee!! khoobsoorat jab tak aap apni shokh aur chalchal shararton aur baton kai saath wapis nahin ateen, main apnay jazbat ka izhar karta rahoon ga, may be poet nai yeh nazmain kisi aur siaq o sabaq main likhee ho , but yahan meri sister kai liye, aap ki muhabbat kai jawab main:
hazaron dukh parain sehna, muhabbat mar nahin saktee hai tum sai bas yahi kehna muhabbat mar nahin saktee tera har baar meray khat ko parhna aur ro dena mera har baar likh dena muhabbat mar nahin saktee jahan main jab talak panchee chehaktay, uray phirtay hain hai jab tak phool ka khilna muhabbat mar nahin saktee puranay ehad ko jab zinda karnay ka khayal aye mujhay bas itna likh dena, muhabbat mar nahin saktee puranay rabton ko phir naye waaday ki khawahish hai zara ik baar tu kehna muhabbat mar nahin saktee gaye lamhat fursat kai kahan sai dhoondh kar laon woh pehron haath per likhna, muhabbat mar nahin saktee!! (Poet:dont remember)
|
khoobsurat |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 326 Age:
28
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 4:04am |
|
|
shukriya friends! faisee, josh, kim, safeena, sana, and my best friend bewaqoof, aap sab ka shukriya ke aap ne mujhe itni mohabbat se dobara forum join karne par majboor kar diya magar kiya aap sab mujhe ussi confident style mai bila-jhijak replies dete howe dekhna chahen ge ya phir kuch change chahte hain? tell me, im waiting, agar aap log yeh kahege ke mai apna style chor kar bilkul naik parveen wale style mai jawab dena start kar doon to im sorry, yeh mujh se nahi hoga , b/c meri nature hi aesi hai ke jo acha lage us par jan qurban kar do aur jo acha na lage us ki koi baat achi nahi lagti, i can't change my nature :( |
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 4:09am |
|
|
Re:khoobsoorat thanks alot....dekha it was right: Muhabbat mar nahin saktee!!
acha ab ziada nakhray nahin :)..kidding...we always love to see u in ur original style, we want that old khoobsoorat back in her own way...no change needed in my opinion...I feel very good jab aap mujhay aena dikhatee hain :) |
khoobsurat |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 326 Age:
28
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 4:12am |
|
|
muhabbat mar nahin saktee faisee bhai, aap ko kese pata chala ke yeh meri bohot hi favorite gazal hai aur jab bhi meri best friend mujhse ya mai us se naraz hoti hoon to ham ek doosre ko yahi gazal sunate hain aur foran maan jate hain:) |
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 4:23am |
|
|
Re: khoobsoorat: Istiqbal Ok. theek for next time, i was keep that "teer ba hadaf" nuskha in safe place, takay hamari achi sister naraz na ho sakay.
khoobsoorat ka istiqbal main:
jab sai yeh paigam mila hai "behna" tum anay wali ho mausam nai saray ghar ki tarteeb badal kar rakh di hai chokhat per ik chaand bhi a kar beth gaya hai kaee sitaray lounge main kab sai paray hue hain kehtay hain kai is rastay sai tum guzro gaye nanhay munnay kayee gulabon ka kehna hai jitnay din tum paas raho gai ghar kai har konay main a kar woh mehkain gai phoolon nai mil kar sab konay baant liye hain jugno kab sai chat pai, ghar kai har goshay main chamak rahay hain sooraj aur barish bhi kal sai, saiban per tikay hue hain dheemay dheemay chehak rahay hain shaam tu kab sai kaee tarah kai mausam lai kar is kamray main rukee hue hai jis kamray main tum thehro gaye tum ao gee tu yeh shaam hazaron mausam sundar sundar saji hue ankhon ko dai kar kho jaye gi
phir na kabhi wapis aye gi is sai pehlay kai yeh shaam bhi saray mausam lai kar mujh ko khali kar kai kho jaye tum a jao na !! aa bhi jao!!
(poet: not me) |
khoobsurat |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 326 Age:
28
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 4:27am |
|
|
faisee bhai aap ke naam:
Tal'luqaat-e-musalsal ka sara daar-o-madar
mere sawal se hai, aur tere jawab se hai
bas ek dhun hai ke mai dosron ke kaam aaon
mujhe siley se garz hai naa kuch sawab se hai.
|
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 4:40am |
|
|
Re: jawab arz hai nice. buhut khoob. bar mahal shair. chalain is ka jawab sunain, thora lengty hai.
dil main wafa ki hai talab, lab pai sawal bhi nahin ham hain hisar-e-dard main, us ko khayal bhi nahin woh jo ana parast hai , main bhi wafa parast hoon us ki misal bhi nahin, meri misal bhi nahin tum ko zuban dai chukay, dil ka jahan dai chukay ehad-e-wafa ko taur dain, apni majal bhi nahin us sai kaho kai do ghar, ham sai woh aa milay kabhi mana! yeh hai mahal, per, itna mahal bhi nahin
its not my own poetry, but aap kai shair kai reply main likhna acha laga.
Bewaqoof: sorry , i know here it has been started like chat. but I wanted to tell khoobsoorat kai unhon nai aik pursakoon saagar main talatum ki kaifiat paida kar di hai |
kim84 |
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 786 Age:
29
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 5:03am |
|
|
Re: Khobsoorat! lagta hi aj k din ko my " KHOBSOORAT DAY" bolo to zyada ho ga..her topic my ap ka zikr...hehhhehehe kuch aur khush fehmiyaaa ap ko.....
Faisee ny to poem khi aur sy read kr k likhi hi,,,,,my ny khud banaii hii.... Discussion wali jaga or " FORUM KI DUNIYA" wala post read kry,,,,,,,,sb memebers bi read kry....
Ma Salama |
don |
Group: Members Joined: 01st Aug, 2007 Topic: 13 Post: 248 Age:
25
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 5:04am |
|
|
to khoobsosrat
meri piyari de de mat jana mujhay chor kar agar app chale jain ge toh may baatin kis say karoon ga .plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz zzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz mat jana forum chor kar plzzzzzzzzzzzzzzzzzz ur sweet bro don Moderator Note: Please don't write plz in above way, otherwise your whole post will be deleted.
|
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:18th Aug 2007, 5:24am |
|
|
Welcome Back! Khush Amdaid! ham sab umeed say they, k aap zaroor aao gi, or waisa hi hua. apkay wapis anay mai faisee ki bohat pur-khaloos koshish hai.
khoobsurat jo apsay nahi hoga wo kaRnay k liye ham apko majboor bi nahi kaRein gay, is liye jo apsay ho sakta hai wo ap kaRain or with full confidence karain.. (ye or bat hai k bad mai jo mujsay hoga wo mai kaRon ga (plz serious na le lena is bat ko, waisay mai baz nahi anay wala, mera nick say apko andaza ho jana chahiye))
is laraee jhagray k doran bohat hiiii achi poetry PaRhnay ka moka mila.
|
|