Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Love And Hate Are Two Sides Of Coin?

Non Medical Discussion   >>  Romance and Love
 
 
 
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:30th May 2009, 6:34am
 

Love And Hate Are Two Sides Of Coin?

Kia yea such keh mohabat oar nafrat aik he sikkay kay do rokh hain?
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:30th May 2009, 6:36am
 

ji bilkul

ji bilkul sahi hae jab kisi se mohabbat inteha pe chali jaye to koi baeed nahi k choti si baat pe woh nafrat main bhi change hojaye.

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:30th May 2009, 6:42am
 

maryam

 

sunna hai insaan ko sab say zeada nafrat bhee oas say hoti jiss say khabhi oas ko sab say zeada mohabbat hoti hai

 

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:30th May 2009, 6:43am
 

Mohabbat oar nafrat mein moshtarik (common) cheez kia hai?

?

App ka kia khial hai

 

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:30th May 2009, 6:45am
 

answer: taaloq oar nisbat

Mohabbat mein bhee aik nisbat ya taloq hojata hai nafrat mein aik risht nisbat ban jaati hai

 

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:30th May 2009, 7:10am
 

mohabbat aur nafrat

jis se mohabbat ki jaye us ka zikar khushi deta hae jab k jis se nafrat ki jaye insaan us ka naam sunna bhi pasand nahi karta. yeh khushi aur gham ya ghussa ki 2 peaks hain.
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:30th May 2009, 7:26am
 

maryam!

Kia kohee apnay mehboob ki nafrat pa kar bhee bahad khoush hosakta hai ?
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:30th May 2009, 7:29am
 

love bird bhai

:) is ka jawab to aap ko bhi pata hae achi tarah koi mehboob ki nafrat kisi surat bardasht nahi karta agar us ne kabhi mohabbat ki ho to
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:30th May 2009, 7:57am
 

ishq ka badshah majnoo iss baray mein kia kehta hai .

Hazrat Datta Ali Hajveri Kashaf ul majoob mein likhtay keh jab LAILA baimary say sehatmand hogai tou oas nay allah ki rah mein khairat ki oar khoud apnay ghar kay darwazy mein parday kay peechay baith kar khairat taqseem ki ,Ghar kay bahar khairat lainay waloon mein majnoo bhee tha ,jab majnoo nay apna hath agay kia tou LAILA nay majnoo kay hath mein say wo bartan laikar nafrat say ghar kay bahar paink dia .

 

Majnoo Khushi say nachnay laga loqoon nay kaha majnoo tum dewanay ho laila nay tum say nafrat ki oar tum ho keh khushi say naach rahay ho …

 

 

Majnoo nay kaha dewana mein naheen tum ho….wo muj say mohabbat na sahee nafrat tou karti hai ….tum say tou woo bhee naheen karti….array oas nay meray hathoon ko ,meray bartan ko pehchan lia ….woo mujjay sochti tou hai …..mein oas ki sochoon mein kaheen hoon tou sahee...tum mein say oar kohee naheen jo oas ki sochoon mein ho

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:30th May 2009, 8:08am
 

luv & hate

acha waqia bataya aap ne lekin aap majnoon k name se hi us ki halat ka andaza kar saktay hain. majnoon to us hawa se bhi mohabbat karta tha jo laila k shehar se ati thi

mashhoor kahawat hae majnoon ko laila ka kutta pyara.

yani jis se pyar ho us ki koi bhi baat ya ada buri nahi lagti leklin mera nahi khayal k normal luv main aisa bohat arsa tak qaim rahay. insaan ki mohabbat mashroot hoti hae jab in sharait se nikal ao to phir mohabbat bhi us tarah se qaim nahi rehti.

majnoon k mohabbat ko isliye bhi bazurg bayan karte hain k agar aik insaan kisi doosre ki mohabbat main griftar hojaye to usay panay k liye kiya kiya jatan nahi karta us ki nafrat bhi khushi deti hae to jo Allah pak Raheem hae aur mohabbat karta hae hum se us k liye kabhi mohabbat ka time hi nahi mila.

jab insaan kisi se mohabbat karta hae to phir kabhi tanha nahi hota yani tanhai bmain bhi mehboob aur moj melay main bhi usi ki yaad.

Tum meray paas hotay ho goya

jab koi doosra nahi hota

yeh shair sirf Allah ki mohabbat main kaha jasakta k Allah se itni mohabbat karain k har waqt us se taluk main lag jaien. baqi duniya ki mohabbat to bas aik mohabbat aur so afsanay hi hotay hain:)

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:30th May 2009, 8:17am
 

mohabbat tou mohabbat hoti

jab meray jaisay kissi naddan nay app jaisay kissi dana say poch mohabbat kia hai tou oas nay kaha

"Mohabbat aik bartan hai jo pani say laba lab bhara hoa hai oas mein agar aik bhee oar katra gira tou bahar hojahay ga"

Mohabbat jab hojati hai tou insaan ka dill oas bartan ki tarah hojata hai jis mein kissi oar ki mohabbat ka aik bhee katra girta hai tou tipak kar baar nikal jata hai

Yeh ish majazi ho ya haqeeqi yeh sirf aik ki mohabbat mein toob jata

Ishq majazi ishq e haqeeqi ki taraf laijata hai

 

 

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:30th May 2009, 8:18am
 

mohabbat tou mohabbat hoti

jab meray jaisay kissi naddan nay app jaisay kissi dana say poch mohabbat kia hai tou oas nay kaha

"Mohabbat aik bartan hai jo pani say laba lab bhara hoa hai oas mein agar aik bhee oar katra gira tou bahar hojahay ga"

Mohabbat jab hojati hai tou insaan ka dill oas bartan ki tarah hojata hai jis mein kissi oar ki mohabbat ka aik bhee katra girta hai tou tipak kar baar nikal jata hai

Yeh ish majazi ho ya haqeeqi yeh sirf aik ki mohabbat mein toob jata

Ishq majazi ishq e haqeeqi ki taraf laijata hai

 

 

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:30th May 2009, 8:28am
 

luv & hate

aap ki poori statement se main agree karti hon ishqe mijazi ishqe haqeeqi ki taraf le jata hae. lekin sirf Allah ki mohabbat aisi hae k is k baad kisi aur se mohabbat ki talab rehti hi nahi hae. jab k ishqe mijazi main aisa nahi hota dil ki tashnagi kabhi khatam nahi hoti
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:30th May 2009, 8:33am
 

Talab ,tashnagi in ka mohabbat say ki tahaloq

Mohabbat kohee bhee ho ,oas kay baad talab tashnagi kiss cheez ki ?

dear mohabbat oar hawas mein bohat farq hai

Parveen shakir nay kaha

"samjho jahan hawas ka phan lahrahea

waheen mohabbat khattam hohee :

 

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:30th May 2009, 8:46am
 

luv & hate

aap kisi aik insaan ki mohabbat k saharay sari zindagi nahi guzar saktay mohabbat aik optionla cheez hae jahan achi option mili wahin sari mohabbat dhari ki dhari reh jati hae. mohabbat aik lams ki tarah hoti hae jab tak lams ka ehsah rehta hae tab tak is ko feel bhi kiya jasakta hae. har insaan ka mohabbat ka experience different hota hae isliye zaroori nahi k aik asool sab pe lagoo ho lekin its reality k insaan kisi ki mohabbat main nahi marta balkay aik mohabbat ko bhulanay k liye doosri mohabbat bhi kar leta hae. kabhi aisa bhi hota hae k jin mohabbaton k sahare parwan charhata hae wohi kabhi kabhi paon ki zanjeer bhi lagne lag jati hain.
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:30th May 2009, 8:54am
 

Mareez e mohabbat oar mareez hawas

in dono mein bohat farq hai

kuch loaq tou aik zindagi kia agar oan ko 1000 zindagi bhee millay oas kay sath he jeena pasand karain ga

but i agree everyone has different experience

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:1st Jun 2009, 1:20am
 

Love & Hate

love & Hate

is waiting your views

 

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:2nd Jun 2009, 8:40am
 

Dostoo

love oar hate par loaq likh likh kar mar gahai

oar tume apni feeling tak share naheen kar rahay

kamal hai bhai

 

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:12th Jun 2009, 8:22am
 

friends !

Let us again a chance to discuss love & hate
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4214  Age:   
Posted on:12th Jun 2009, 10:04am
 

lovebird

yaar aap ka topic to ek taraf lekin aap ka andaze bayan sab se alag...

very interesting... main yaqeen k saaath keh sakta hoon k aap ne school k zamane main speech compitisions main bohot saarey inamat jeeti hongi, aur ab professional life main b achi presentation kar k logon k dil jeet lie honge... :)

well simple si baat hai... jab kisi cheez ki pyysical shape nahi hoti tab us ko definetely define nahi kia ja sakta... for example aap ka topic lete hain

love and hate

love aur hate ki koi physical shape nahi hoti, in ko mehsoos kia jata hai.. aur har insaan k ehsasaat mukhtalif hoti hai, es lie jis kisi ne b jis kefiat se es ko mehsoos kia wo usi tarha hi es ko define karta hai............

be happy

1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013