insan |
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:9th Aug 2009, 2:50pm |
|
|
Kia Jodey Asmaan Per Bantey Hain?
AoA All maira swal yeh hai k kia jorrey asman pr bantey hain agar aisa hai to un ki talaq zameen pr kion hoti hey?????? qus..If the mareges satteled on haven than why divorces on earth?????
|
Ahmad Lati |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2009 Topic: 13 Post: 73 Age:
22
|
|
Posted on:9th Aug 2009, 3:00pm |
|
|
insan mera khiyal main ye baat theek hai k jooray aasman par buntay hai or rahi baat divorce wali to yar it,s naturalley fact |
insan |
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:9th Aug 2009, 3:09pm |
|
|
no my dear asman pr bani cheez ghalt nahi hoo sakti
daikho na adam aour hawa ka jorra b asman pr hi bana tha to phir uss jorrey ko zameen pr kion milayea asman pr hi kion nahi milaya
iss sy sabit hoota hey k jorrey zameen pr bi bantey hain laiken kuch khas jorrey aisy b hain jo sirf asman pr hi baney they.................... laiken sirf wohi chund jorrey .........baqi sab zameen pr hi bantey hain |
Ahmad Lati |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2009 Topic: 13 Post: 73 Age:
22
|
|
Posted on:9th Aug 2009, 3:56pm |
|
|
insan yar aisa to nahen suna aur bhai wo aap ney reply nahen kia 3 month wait karo waley procedure ka mujhay kaisay pata chaley ga |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:9th Aug 2009, 5:42pm |
|
|
jode asman pe bante hain..is bat ka taluk kismat se hai. kismat me jahan likha hota hai wahi shadi bhi hoti hai..
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:9th Aug 2009, 11:35pm |
|
|
Ghalat bilkul ghalat islamically yeh concept ghalat hai k ... joRay aasman par bantay hain.... yeh shayad hamaray yahaaN hinduism say aayaa hai.
quran, hadees, seerata sahabaa RA say kabhi bhi yeh baat saabit nahi hoti k joray aasmaanouN par bantay hain.... kuch logouN nay qissay kahaaniyaaN ghaR li haiN... aisay qissay (stories) main nay bhi bahoot paRhi hain but inka islamic aqaaid say koi talluq nahi.
shadi main koshishouN ka bara amal dakhal hai... yeh iniciative male bhi lay sakta hai aur females bhi (jaisaa k hazrat khadeejah RA nay lia tha aur onhouN nay hazoor saw say nikaah k silsilay maiN pesh raft ki thee)........
lekin chouNkay mashriq main amooman yeh "bora" samjha jata hai k iniciative laRki /laRki walouN ki taraf say li jaa.ay... lehazaa woh "intezaar" maiN rahtay haiN k koi rishtah aaye to baat cheet karaiN.... lehaza iss intezaar ki kafiyat /koft par qaboo panay k liyeh onhoun nay yeh "waahima" ghaRh lia k rishtay to aasmnaamoun par bantay haiN... iss tarah onhaiN aik tarah ki taskeen see mil jati hai, intezaar k lamhaat asaan hojatay hain k jo naseeb main hogaa woh mil hi jaa.ay gaa..... islam shadi samait har maamlay main haath par haath dharay rahnay ka qaail nahi.
positive /islamic approach yeh hai k pahlay apni see har mumkin koshish ki ja.ay.... har maamlay main... khaah rishtah ho yaa naukri, taaleem ho yaa koi aur goal........ apni poori koshish karkay NATEEJAH ALLAH par chor dia jaye aur jo result milay ossay NASEEB samajh kar khushdili say qabool kia jaa.ay
jab rishtah naseeb say milta hai to job bhi to "naseeb" say hi miltaa hai. phir hum job k liyeh try kiyouN kartay haiN... ghar baiThay rahaiN k jo job naseeb maiN hogaa khud hi mil jayegaa... alal hazaa ul qayaas.... |
mna1978 |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2009 Topic: 15 Post: 383 Age:
35
|
|
Posted on:10th Aug 2009, 2:23am |
|
|
Joroon Ka to Pata nhi.... Bhai Insnan Jo'rooon Ka to pata nhi par ya zaroor pata hai kay Taqdeer Asmaanoo Par Banty Hai...
Aur agar kisi ki taqdeer main Divorce hai to us ko mil jayee gee...
Aur Taqdeer ko sirf Dua Badal Sakty hai... |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:10th Aug 2009, 4:39am |
|
|
MNA1978 IS RIGHT taqdeer yaqeenan aasmanouN par banti haiN...... lekin taqdeer maiN to insaan ki har cheez shamil hai... phir sirf "joRouN' ka tazkerah karnay k ... joray aasmaanouN par bantay haiN... koi maani nahi rakhtaa.... log yeh kiyouN nahi kahtay k ... job milnay kaa ... exam maiN pass honay ka... fasal k pak kar tayyar honay ka waghairah wahairah ... faisla aasmouN par hota hai... kia yeh sab amoor insaan ki taqdeer maiN shaamil nahi.
islami taaleem yeh hai k aap ko dunyaa maiN zindagi guzaarnay k liyeh jo hedaayaat dee gayee haiN quran o hadees maiN ... on par amal kartay howay matloobah jaiz target /goal ko haasil karnay ki apni see poori KOSHISH zaroor ki jaye... yeh kah kar k iska faislaah to aasmanouNmaiN / naseeb maiN hochukaa hai, hum koshish kiyouN karaiN, baiTh janaa aur koshish nah karna ghair islami hai..... shadi bhi aisay hi amoor hain jinkayliyeh hamaiN koshish karni chahiyeh... achay say achaa rishtah k hasool maiN aur jo mil jaa.ay oss par aik had tak sabar kia jaa.ay to ajar zaroor milegaa lekin agar bilkul hi naa.pasand ho to aisay rishtay ko tora jasakta hai see below hadees (bukhari)
aik (common) khatoon ki shadi aik Ghulaam say hogayee... khatoon ko woh shauher pasand nah aayaa to oss say laa.talluqi ikhteyaar karli (yaani talaaq say qabal ka process).... woh sahab iss khatoon k ishq maiN pagal thay aur oskay faraaq maiN rotay thay... jab hazoor saw ko yeh baat maloom howi to aap saw nay oss khatoon say kahaa k tum apnay shauher ko qabool karlo... dekho woh tumharay faraaq maiN kiss qadar tarap raha hai... khatoon nay poocha yaa Rasool Allah...saw kia yeh aap ka hukm hai... aap saw nay farmayaa nahi... balkay maiN to oski shafarish kar raha houN... yeh sun kar khatoon yeh kahti howi chal di k phir mujhya aisay shakhs (husband) ki koi zaroorat nahi........ khatoon nay rasool saw ki safarish nahi maani to nah Rasool saw nay iss baat ka boraa manaa nah kissi sahabaa RA nay (agar aisaa hotaa to iska zikar zaroor milta) nah hi kissi nay kahaa k tumhara joRa to aasman par bana thaa... yeh shauher to tumharay naseeb main thaa... issay qabool kiyeh raho.... |
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6476 Age:
35
|
|
Posted on:10th Aug 2009, 5:25am |
|
|
salam hur chez ki turteeeb Allah ny kur rkhi hy jory asmano py he bunty hen baki or Allah ny dono rasty insaan ko btaa deya ek achaaai ka ek boraai ka jis ka ji chaye ekhtiyaar kury mugar Allah ko pusand achaii ka rasta he hy
baki kismat mokadar tukdeer insaan ki sumaj sy balatur hen so en meh na oljeyn |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:10th Aug 2009, 5:50am |
|
|
yes ye sub Allah ki taraf se mukarar hota hai
joray asmaon per hi bun jatay hain |
insan |
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:10th Aug 2009, 7:52am |
|
|
myrizvi i totaly agreed with myrizvi bhai
maira man'na b yahi hey k jorrey asmanoo pr nahi bantey bulkey zameen pr hi koshish karney sey bantey hain........... laiken main yahan aik aour baat add karna chahoon ga k jub Hazrat Ali (a.s) ka aqad Khatoon-e-janat sy hooa to kia unn ki sattelment asmanoo pr tay nahi hoowi thi ........? yahan aik waqiya naqal karta hoon jo is aqad key sath mansoob hy Nabi (saw) dojahan ki tarf sy elan hoowa k asman sey aik sitara named "ZUHRA"jis ghar ki zeenat baney ga yani jis ghar main utrey ga wohi sahib mairi baiti k qabal hoo ga aour main ussi k sath apni baiti ka aqad parrhaoon ga.............. aour phir sub sahaba karam aour kull alam ney daikha k sitara Hazrat Ali(a.s) k ghar main hi utra aur yoon un ka aqad "bibi" sy hoowa ..........halankey tareekh gawa hey k kafi loog bashmool sahaba karam iss ummeed main baithey hooye they .............!
kia iss sy zahir nahi hoota k aik joorra aisa zarroor hey jo k asmanoo pr hi tay hoowa tha...........................? what u say my dear???????? |
insan |
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:10th Aug 2009, 7:52am |
|
|
myrizvi i totaly agreed with myrizvi bhai
maira man'na b yahi hey k jorrey asmanoo pr nahi bantey bulkey zameen pr hi koshish karney sey bantey hain........... laiken main yahan aik aour baat add karna chahoon ga k jub Hazrat Ali (a.s) ka aqad Khatoon-e-janat sy hooa to kia unn ki sattelment asmanoo pr tay nahi hoowi thi ........? yahan aik waqiya naqal karta hoon jo is aqad key sath mansoob hy Nabi (saw) dojahan ki tarf sy elan hoowa k asman sey aik sitara named "ZUHRA"jis ghar ki zeenat baney ga yani jis ghar main utrey ga wohi sahib mairi baiti k qabal hoo ga aour main ussi k sath apni baiti ka aqad parrhaoon ga.............. aour phir sub sahaba karam aour kull alam ney daikha k sitara Hazrat Ali(a.s) k ghar main hi utra aur yoon un ka aqad "bibi" sy hoowa ..........halankey tareekh gawa hey k kafi loog bashmool sahaba karam iss ummeed main baithey hooye they .............!
kia iss sy zahir nahi hoota k aik joorra aisa zarroor hey jo k asmanoo pr hi tay hoowa tha...........................? what u say my dear???????? |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:10th Aug 2009, 11:16pm |
|
|
takdeer takdeer bahut waseeh hai ess ,mein uljheengee tu bahut comlicated ho skata hai
roze ho ya moot shadi ho ya aulad bemaare ho ya sehet sab ALLAH k ekhteyaar mein hai
hum asbab per nazar rakhne chahe baki Tawaqaal Allah per karna chahe...
aur joore phele se tee shuda hote hai... jaha lekha hogaa wahee hoga uss k elawa nahi ho sakta |
insan |
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:10th Aug 2009, 12:17pm |
|
|
takdeer kiou ji aisa kioun nahi hoo sakta agar takdeer pehely sy ta shuda hoo to phir iss ko padlana nahi chahiye apni bat ko aik masal key zreye wazey karta hoon
aik banda pakistan sy parr likh kr usa chala jata hey aour wahan pr mulazmat karta hey iss ka matlab hey yeh uss ki taqdeer main likha tha abb wo pakistan ata hey to berozgar hoo jata hey kehtey hain uss ki taqdeer main aisa hi likha tha .............mujey yeh bataye k aya yeh taqdeer ka khail hey ya phir in do mulkoon ki policies k aik mulk main bnada barozgar aour wohi banda dosrey mulik main byrozgar ........yahan pr mulk badleney sy taqdeer kaisy badal gayee???
dosri bat yeh hey k khuda aik hey USA main aour PAKISTAN main b abb uss WAHID ZAT ney aik hi bandey ki do taqdeerain mulkoon k hisab sy too nahi likhi k bnada USA main ho to taqdeer aour tarah ki ......banda PAKISTAN main hoo to taqdeer aour tarah ki.....what is is this matter???????????// |
System |
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2267 Age:
32
|
|
Posted on:10th Aug 2009, 1:08pm |
|
|
takdeer hahahaha.... yeah bhut bari uljhan hai.... its not easy to understand bhut sari baton main myrizvi se agree karon ga... myrizvi ki baten sense karti hain bhut sare dunyavi amore main... but main bhi confuse hon ... jahan tak mera khyal hai .. ke allah pak ne insan ko bhut sare Muamlat main ikhtyar dya hay aur kuch zaroori amor main akhtyar allah pak ke pass hai... insan koshish karta hai shadi kerne ke lea .. jesa ke meri shadi ke lea koshish howi.. almost 4 ya 5 jaga rishte ki baat chali but kissi bhi waja se baat khatam hojati..
kabhi larki ke rishtadar jelious hogaye ke larki usa chali jai ge to hum neche ho jain ge to larki ke mamo ne apne larke se rishta mang lya..
kabhi larki ke ghar wale meri mom ko pasand nahee even ke rishte ki baat bhi hogai thi....
jo meri pasand thi allah se dua bhi ki avail bhi hogai laikin main ne khud kissi waja se reject ker dya... aur allah aur waldeen ki marzi per chor dya.... aur kitne likhon yar mushkil hai...
To result yeah nikla ke.. koshish karen ..muqadar main ho tab bhi koshish ke begair nahee milta ... aur phir dekhen kitni jaga mera rishta dla laikin Baat phir bhi nahee bani.. aur phir woh mila jo allah pak ne mere lea behtar samjha... waldeen ki dua shamil thi.... mujhe bhi lagta hai ke muqqader main likha hota hai... but muqqadar bhi koshish se milta hai... rizvi bhai shaid app yeah explain kerna bhool gaye..
ab jo meri pasand thi.. mujhe avail bhi howi but us waqt mera apna hi zehan badal gya ur allah aur waldeen per chor dya ... allah pak ko sab maloom hota hai ke age kya hoga ... aur kisi waja se mera banda inkar ya iqrar kar de ga... aur aj main alhamdulilh allah ke dye aur raza se bhut khush hon... tu koshish kerte howe allah se dua karen ke ya allah mere haq main behtar farma.. |
insan |
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:10th Aug 2009, 1:25pm |
|
|
system bhai accha suney agar app ki tarah sy aik marad ko koshish karney k bad apni psand ya waldain ki pasand mil jati hey aour woo yeh sooch kr sabar bi kar ley ky merey muqadar ka sathi jo k khuda ney asman pr mere liye jorra tha mil gya hey ...............iss k bad zara 1 lamhey k liye soochain k us jorrey main talaq hoo jati hy.....wo la'shreek zat k jis ney sirf insanoo ka bhalah hi chaha hey woo kis tarah aik jorrey ko miladey k kal koo woo allag allag hoon jaien is tarah to "NAOUZOBILLAH" pehely khuda ney muqadar main milna likha aour baad main bhichrrna yani achai aour burai doonoo muqadar main likh di.........?
thats impossible ya phir samaj sy bala tar hy....................! |
System |
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2267 Age:
32
|
|
Posted on:10th Aug 2009, 4:07pm |
|
|
insan yar main ne app ko apna expereince aur samjh btai hai... is masle per main argu nahee karsakta .. yeah masla hi kuch is qisam ka hai... |
Ahmad Lati |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2009 Topic: 13 Post: 73 Age:
22
|
|
Posted on:10th Aug 2009, 4:39pm |
|
|
kia nikla .....edit....
Moderator Note:- Behave yourself... |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:10th Aug 2009, 11:00pm |
|
|
insan aik aur misaal: nabi kareem saw nay hazrat Aisha RA say farmayaa k mujhay khaab maiN tumhaiN dekhayaa gayaa thaa k yeh tumhari biwi hai... goya rasool Allah saw aur hazrat Aisha RA ka joRaa a aasmaanoun maiN banaa thaa"
bhai iss qism k exceptions to har baat main hoti hai.... hum baat generally kar rahay hain... aik hota hai general rule jo sab k liyeh hota hai... aur 'general qaaidah' yehi hai k "joRay koshishoun say zameen par bantay haiN". ap k naseeb main yehi likha hai k jaisee ap koshish karengay (amooman) waisaa hi ap ko milegaa.... kabhi kabhi kabhi (shadi beyaah aur deger goal /targets) say motalliq aisaa nahi bhi hota hai ... yehi exceptions hai aur baqaulay hazratay Ali RA... maiN nay apni koshishouN ki nakaami say khodaa ko pahchanaa.... yaani khoda jab chaahtaa hai apnay hi banay howay 'normal routine' maiN modaakhelat karkay yeh batlaataa rahat hai k ... mujhay nah bhoolo.... routine ki kawishouN ka result bhi maiN hi detaa houn... issay tum mahaz apni koshishoun ka phul nah samjho... agar sirf aisaa hi hotaa to tum apni bharpoor koshishouN k bawajood kabhi kabhi goal tak kiyouN nahi pahonchtay...
Allah nay dunaa /universe ko xhalanay ka aik 'automatic system' banaa diaa hai k jo koi bhi monasib seed bokar iski requirement poori karegaa... ossay iska phul, fasal ki soorat maiN zaroor milegaa... iss maiN kaafir, muslim ki koi tafreeq nahi... kafir achi tarah zaraa.at karegaa to achi fasal payegaa... muslim aisaa karegaa to muslim paayegaa... it's a routine rule to run universe for all routine matter.......... LEKIN kaheeN inssan yeh hi nah samajh lay k jo kuch woh hasil kartaa hai sab apni mehnat k bal bootay par haasil kartaa hai aur (nauzo billah) ismaiN mera (Allah) ka koi amal dakhal nahi, kabhi kabhi ... jab woh chahay apni nishaaniyaaN dikhlaatay howay insaan ki omdah as usual koshishoun ka bhi mantaqi result nahi nikaltaa.
jaisay nikaah k liyeh larka / laRki aur dounouN k parents agar agree houn to 100% aisaa hona chahiyeh k dounouN ki shadi hojaye... dounoun shadi k maraahal tay kar rahay hotay hain aur apnay khayaal main aik doosray ko paa lenay hi walay hotay hain k .... kabhi kabhi achanak aisa kuch hojata hai k aik teesra bandah achanak namoodar hota hai aur oss larki say shadi kar leta hai aur sab hakka bakka hojatay hain k wot is this.... youN iss qism k exceptional events ki bunyaad par ka uTh.tay hain k joray (saray k saray hi) aasmaan par bantay hain... halaanaky aisaa nahi hai..... normally ap jiss say shadi karna chahatya haiN agar woh bhi razi ho to ap dounouN koshish karkay shadi bhi karsaktay hain aur separate bhi hoskatay hain... yeh sab kuch ap k haath main hai ... aur issi "ikhtiyaar" par to ap ko "jawaab" dah honaa hai. agar koi "ikhteyaar" hi hasil nah ho to phir "jawaabdahi"kaisee...........
(say) main nikaah hi nah karouN aur yeh "ilzaam" doun k meray naseeb hi maiN koi nah thee to main Islami hukm ... nikaah karo.. par amal karkay kaisay apnay nisf imaan mokammal karta... yaa koi bila wajah apni biwi ko talaaq day day aur kahay k iss main mera koi qasoor nahi woh to meray naseeb main thee hi nahi yaa yahaan tak hi tyhee.... aisaa kuch nahi hai... yeh aik shaitaani waswasa hai takay logoun ko amal say rokaa jaa sakay.. aur qayamat k jazaa /sazaa k tasawwer say doooooor lay jaa kar dunyaa main gumraah kia jasakay |
insan |
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:11th Aug 2009, 7:27am |
|
|
myrizvi my dear u thinks like me very nice reply here ummeed karta hoon k ainda b app mairi hosla afzai kartey howey muawnat farmaien gy thanx |
|