Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Phone Sex As Zina In Islam - Phone Sex As Adultery In Islam

Religion and Sex   >>  Dirty Chat Phone Sms
Male Semen Production
Increase Sperm Count, Mobility, and Motility
Male Fertility
Increasing Male Fertility
Male Sexual Health
Benefits of Exercise on Male Sexual Health
Handsome Men
Facial Exercise Keeps Men Handsome
Shararti Group: Members  Joined: 14th May, 2008  Topic: 9  Post: 145  Age:  29  
Posted on:7th Jun 2008, 7:00pm
 

Phone Sex As Zina In Islam - Phone Sex As Adultery In Islam

hello members main sirf yeh poochna chahta hoon k ager larki k saath phone pe sex kiya jai or (mani) b kharij kardi jai to yeh zana hoga yaan kuch or

plz tell me




Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:7th Jun 2008, 7:10pm
 

Phone Sex In Islam - Between Unmarried Persons Is Zina

nahin is ko Zina nahin kaha jaye ga.. Yeh bohat bari ibadat ho gi...Sharti bhai, aap sharartoon se baaz nahin aatay.... Aap khamkha aisay sawal kartay hien.

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  39  
Posted on:7th Jun 2008, 11:03pm
 

Phone Sex Between Unmarried Persons: Phone Sex As Zina (Adultery)

aaj kal ki young genration ko isi tarah ki peroblems hain , is main shararti ka kya qasoor hae.
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:8th Jun 2008, 1:25am
 

Phone Sex In Islam - It Is Not Zina Between Unmarried Persons

mere khayal sya to ye zana nahi hai...par gunah zaroor hai..

Phone Sex In Islam - Zina (Adultery) In Islam

zina sirf wo hai jab koi ghair shadi shuda log apas mai sexual intercourse karain. aur wo jitni martaba penis insert karaingay aur karvaingay , utni bar un logo nay zina kia...

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:8th Jun 2008, 1:55am
 

Phone Sex As Zina In Islam - Phone Sex As Adultery In Islam

zina na sirf nafs se hota hai balke zuban se aankhon se kanon se hathon se dil se dimagh se or qadmon se bhi hota hai. ham logon ka problem ye hai k ham gunnah ko gunnah samajhte hi nahi hain is liye kabhi usse chorne ki zaroorat bhi mehsoos nahi karte.

Phone Sex In Islam - Phone Sex Is Zina (Adultery)

baat phone se start hoti hai or phir insaan amli tor par bhi aisa kar guzarta hai or zinna ka maqsad kisi ko pregnent karna nahi hota
dearbhai Group: Members  Joined: 16th Dec, 2007  Topic: 2  Post: 5  Age:  30  
Posted on:8th Jun 2008, 2:51am
 

Phone Sex Between Unmarried Is Sin (Gunnah) - Phone Sex In Islam Is Not Zina (Adultery)

Phone sex Gunnah (sin) hai Zina nahi hai is say ijteenab karna chahiyee..

Difference Between Zina (Adultery) And Phone Sex:

Zina kisee kay sath practical sex karnay ka naam hai jo phone par nahi hota sirf zaban say kaha day nay say koyee pragnent nahi ho sakta iss leya yee gunnah hai zina nahi hai.

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:8th Jun 2008, 8:14am
 

Phone Sex As Zina In Islam - Phone Sex As Adultery In Islam

appki sharaartain din ba din barhti jarahi hain, aray bhai kuch Allah ka khouf bhi hai ya nahi, Sex aur sex say related jitni bhi karne wali batain hain wo sab shaadi kay baad kartay rehna, us say pehley har sexual activity gunah hai...

Agar insaan apni tawajju mazahb main lagaye tou wo in cheezon ki taraf dehiyaan bhi nahi deega magar afsoos is hi baat hai k hum azhab say doori hotay jarahay hian........kya khayaal hai sharati ???
Shararti Group: Members  Joined: 14th May, 2008  Topic: 9  Post: 145  Age:  29  
Posted on:8th Jun 2008, 8:52am
 

Why Phone Sex In Islam Is Zina (Adultery)?

Most Members Think Phone Sex Is Sin Not Adultery (Zina):

thanx to every one  who guide me lakin main ne notice kiya hai k zyada ter members nay yeh kaha hai k yeh zana nahin hoga lakin gunah to zaroor hoga to members hum log kahan gunah nahin karte yeh jo hum log aapas main sab kuch share karte hain like;

We Do Many Sins- Why Not Phone Sex Then?

main ne falan larki k saath sex kiya, main ne mistrbution kiya, mujhe mensess theek nahin aarahay, mera pinis tera hai, wagera wagera gunah to yeh b hai

Why We Share Gunnah, Sins, Zina (Adultery) With Others:

lakin phir b hum log yeh gunah karte hain becz Allah Tallah farmate hain k jab tum koi gunah karo to aese karo k ager tum apne right hand se gunah karo to left hand ko pata na chale or ager tum left hand se koi gunnah karo to right hand ko pata na chalay lakin hum log apna gunah sab ko bata k apne ander khushi mehsoos karte hain. lakin gunah karna hamari habit ban chuki hai main akela nahin hoon hazaron larkiyan larke phone pe sex karte hain . 

baki thanx to all members, main shararti bhare sawal karta hoon lakin hote different hain k nahin

plz reply

 

shoaibali Group: Members  Joined: 13th May, 2008  Topic: 15  Post: 90  Age:  29  
Posted on:8th Jun 2008, 9:37am
 

Phone Sex Is Zina In Islam - Phone Sex Is Adultery In Islam

kal raat main (doctor zakir naik)ki speech sun raha thaa to is main unhon ne is k baare main bhi baat ki to mujhe yeh topic bhi yaad ah geya to socha k main bhi kuch likhon ga,

Zakir Naik - Phone Sex Is Adultery And Zina

to doctor zakir naik yeh keh rahe the agar koi lardki ya orat kisi baazar ya street se guzar rahi hai to koi mard (male) uski taraf dekh kar koi bhi ganda kheyal apne zehan main laata hai to woh bhi zana k barabar hai garz k koi aisa sochta bhi hai to usne zana kiya,

or shararati bhai aap ne kaha k aaj kal lardke larkdiyan phone par sex karte hain to woh bhi zana hi hai or lardka or lardki dono gunhagaar hain,

duwaa hai k ALLHA sab ko hidayat de

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:8th Jun 2008, 10:04am
 

Zina (Adultery) In Islam - Phone Sex In Islam

What Is Zina (Adultery, Fornication) In Islam - What Is Phone Sex In Islam:

"The word zina in the legal Islamic terminology stands for the relationship between a man a woman where intimacy or sexual intercourse is practiced. Other things such as kissing, hugging, etc. are overtures to zina and must be avoided as well. However, they do not take legal judgment as zina. "

"there are degrees in sin: someone who is involved in "lesser indiscretions" will not be regarded as one who has committed fornication, even though both have committed a moral offence."

reference http://www.islamonline.net/livefatwa/english/Browse.asp?hGuestID=Uug6T1
is site par SISTER k naam say kisi nay question kia hua hai, agar zaroorat mehsoos ho to parh lena.

Zina (Adultery, Fornication) By Phone Sex Is Not Possible

Doctor zakir nay jo kaha hoga wo apko sahi samajh nahi lagi... 
is tara phone say zana honay lag jain to phir to kaee extremist aur jazbati log to ye bi kehtay hain kay tv dekhna bi zana hai... in other words wo puri dunia ko zaani sabit karna chahtay hain...

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:8th Jun 2008, 10:16am
 

Phone Sex Is Zina - Phone Sex Is Adultery In Islam

App ne bilkul durust farmaya, par is ka matlab ye nahi hai k ajkal jo kuch ho raha hai hum bhi usmain shamil hojaye, sirf is baat ki bina par k sab kartay hain tou humaray karne say koi gjalat thori hojaye ga, 

bhai jee sab ko apna apna hisaab khud dena hai kayamat k din. koi appkay gunah apne upper nahi lega aur na app kisay k gunah lain gay, asal main baat wohi hai k jab Allah talah ka khouf dil say khatam hojaye tou phir har gunah acha lagta hai......

app khush kismat hain k koi gunah karne say pehle kam az kam khayaal tou ajata hai k ye gunah hai ya nahi, warna tou loag aesa sochay baghair ghalat kaamon main lag jataay hain.......tou shukar kijiyai abhi kuch bigra nahi hai, gunah gunah hai chahay bara ho ya chouta.

yahan jo loag problems share kartay hain wo solution lenay k liyain kartay hain na kay tafreeh main, ab agar wo apni sexual problems ka hal yahan say nahi pochain gay tou phir kahan say pochain, is liyain ye gunah nahi kehlaye ga......but Allah Knows Better
Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:8th Jun 2008, 11:15pm
 

Sex, Zina, Adultery Or Fornication On Phone With Unmarried Is Unlawful

namahrum k saath sex kerooo chahay phone per,net per,oral,vaginal ya anal gunnah sub ka hai irrespective k maani nikli hai ya nahi.aisay ghaanday qaamoo se insaan dourr hi rahay tu acha hai.shaatain ne aaj kal insaan ko gumraah kernay k kitnay teriqay talaash ker liay hen aur aik insaan uss ko apnay sub se baray dushman ki hi pahchaan nahi hai.

khuda se apni hidayat k liay her waqt dua kiya kerain kuin k uss ki madaad na ho tu insaan sahi rah per nahi rah sakta.

shoaibali Group: Members  Joined: 13th May, 2008  Topic: 15  Post: 90  Age:  29  
Posted on:8th Jun 2008, 11:59pm
 

Phone Sex As Zina In Islam - Phone Sex As Adultery In Islam

josh g aap kuch zeyada hi josh main baatien kar rahe hain, chalo maan lete hain k mujhe sahi samjh nahin aai ho gi lekin aap yeh batao k TV dekhna ko sa sawaab ka kaam hai or yeh bhi sach hai k aaj k is dor main har ghar main TV hai to ab aap kaho ge k is ka matlab yeh howa k sab zina kar rahe hain to main kahon ga k zaroori nahin k har chenal hi dhekne k qabil nahin kuch chenal hain jo k dekhe ja sakte hian jaise ( peace Tv_Qtv_news chanals_net geo_etc) kyun ki yeh sab chenal hamare maloomat main izaafa karte hain is tarah to ap yeh bhi kaho ge k x movies dekhna bhi ghalat nahin is se kon sa zana hota hai please zara ap apni soch ko badlo main apko ek or baat batata hoon jo k shayad shayad aap ko pata ho woh yeh k,

hum muslims mard( male) ko yeh hukam diya geya hai k jab tum kisi ghair orat ko dekhte ho to foran nazar nichi kar lo matlab yeh k aise main pehli nazar maaf hai dusree nahin,

yeh sab is liye kaha geya hai k agar hum nazar nichi kar lete hain to harame zehan main koi ganda kheyal nahin aaye ga to agar hum ghoorte rahein ge to zahir hai k zehan apne aap kharab ho ga,dekho k jo ALLHA kehta hai( ALLHA MUJHE MAAF KARE) woh ghalat nahin hai. or aap ki baaton se lagta hai k aap sab yeh karte rehte hain jo aisi baat kar rahe ho(sorry agar aap ko meri koi baat buri lagi ho to)

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:8th Jun 2008, 1:35pm
 

Phone Sex Is The First Step Towards Real Zina Or Adultery

i,m agree wid shobi. he is right.aap ka kiya khayal hai k zina aise hi ho jata hai......nahi ye bhi poori planing se hota hai .aankh ne ganda kam dekha aankh ne zina kiya kan ne suna kan ka zina dimagh ne ghalat socha us ne zina kiya dil mai khayal aya dil ka zina. zina par amal karne k liye qadam barhae qadam ka zina .kiya khayal hai koi bhi larka baghairsoche samjhe kissi larki k paas jaega or aikdam hi zina kare ga or wo larki usse karne de gi .its a boobyish.
Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:8th Jun 2008, 1:50pm
 

Phone Sex - Root Cause Of Real Zina (Adultery)

sub burayiyoon ki root hi ye nighaa hai jis ki nighaa nichay nahi hoo gi uss k ander waqt k saath saath haya khatum ho jaati hai aur jis insaan me haya khatum ho jaye uss k baray me Nabi(PBUH) ne fermay "jab tujhe me haya khatum ho jaye tu phir tu jo kuch marzi hai ker."

kabhi koi auraT kisi namahrum mard ko nighaa bhaar ker na dekhay aur koi mard kisi aurat ko bhi na aisay dekhay aur aik doseray se parda kerain.

ye baat insaan ko mind me rukhni chahiay k jab Allah insaan ko kisi baat se rooktay hen tu wo insaan ko kisi noqsaan se bachaana chahtay hen like zinna mat keroo,sharaab mat drink keroo,eshi tara jab Allah pak kisi bat ka hukam kertay hen tu es me insaan ka faida hi hoota hai like namaz perhoo,zakaat do etc laikin ye insaan hai k koi baat sumajhta hi nahi hai.

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:8th Jun 2008, 2:36pm
 

Phone Sex In Islam - Zina (Adultery) In Urdu

شراتی بھائی، آپ نے کہاں کی بات کہاں ملا دی۔ اسلام میں یہ تو کہا گیا ہے کہ نیکی اس طرح کرو کہ دوسرے ہاتھ کو خبر نہ ہو لیکن اللہ نے خود کبھی اپنے بندے کو گناہ کی ترغیب نہیں دی۔ اگر آپ کے پاس قراآن یا حدیث کا کوئی مضبوط حوالہ ہے تو آپ یہاں پیش کریں۔ ایسے خوامخواہ کوئی بات اللہ تعالی سے منسوب نہ کریں۔ دوسری بات آپ نے کی کہ لوگ یہاں اپنے مسائل بیان کرتے ہیں تو یہ بھی گناہ ہے۔اپنے ڈاکٹر اور اپنے وکیل سے کوئی بات نہیں چھپانی چاہیے ورنہ بہت نقصان ہوتا ہے۔ یہاں لوگ اپنے طبی مسائل کا حل تلاش کرے ہیں اور ڈاکٹر کو اگر اصل بات نہ بتائیں تو ان کا علاج کیسے ممکن ہو گا۔  اگر کوئی شخص صرف لطف حاصل کرنے کے لیے سوال کرتا ہے تو یہ بری بات ہے۔ گناہ و ثواب دینا کسی بندے کا کام نہیں، یہ صرف اسی ذات کا حق ہے۔ اور وہ کس کو کیا دے یہ اس کی مرضی ہے۔ اس لیے گناہ و ثواب کے چکر میں پڑنے کی بجائے باس یہ دیکھنا چاہیے کہ اسلام کن باتوں سے منع کرتا ہے، کس کا حکم دیتا ہے، کس بات سے اللہ خوش ہوتا ہے اور کس بات سے اللہ کی ناراضگی کا خطرہ ہے۔ 

شعیب علی بھائی! آپ بھی خاصے جذباتی معلوم ہوتے ہیں۔ اسلام کی تبلیغ قابلِ تعریف فعل ہے لیکن ایسی تبلیغ جس سے لوگ گمراہ ہوں، اس سے پرہیز کرنا چاہیے۔ پیارے نبی صلی اللہ علیہ وسلم کی ایک حدیث ہے جس کا مفہوم کچھ ہوں ہے کہ، اللہ کے نزدیک ثواب اور گناہ دینے کا طریقہ مختلف ہے۔ جب ایک آدمی نیک کام کرنے کا ارادہ کرتا ہے تو اس کو ارادہ کرنے کا ثواب ملتا ہے۔ جب وہ اس کام کو کرنے کے لیے عملی قدم اٹھاتا ہے، اسے اس کا ثواب ملتا ہے اور جب وہ کام کر رہا ہوتا ہے اور پھر اس کام کو ختم کر لیتا ہے تب بھی اس کو ثواب ملتا رہتا ہے۔ لیکن کسی برے کام کا سوچنے پر کوئی گناہ نہیں جب تک وہ کام سر انجام نہ دے دیا جائے۔ بری نیت پر کوئی گناہ نہیں جب تک اس کو انجام نہ دے دیا جائے۔


اس حدیث کا مقصد یہ بیان کرنا تھا کہ اللہ بہت غفور و رحیم ہے اور اپنی مخلوق سے کس قدر محبت کرتا ہے۔ اور اللہ کو اپنے بندوں کو جہنم کا ایندھن بنانے کا کوئی شوق نہیں ہے۔ لیکن اس کا یہ مطلب بھی ہرگز نہیں ہے کہ سارا دن برے کام کے بارے میں ہی سوچتے رہیں۔ شیطان انسان کا کھلا دشمن ہے اور وہ کسی بھی وقت اس برے خیال کو عملی شکل دلوانے میں اپنا کردار ادا کر سکتا ہے۔ انسان کے دل و دماغ میں برے خیالات آتے رہتے ہیں اور ایک مسلمان کا کام ان خیالات پر عمل کرنے کی بجائے ان کو شکست دینا ہے۔


حیا اسلام کا بنیادی جزو ہے۔ اور اس حفاظت کا حکم دیا گیا ہے۔ اس لیے حکم دیا گیا کہ اپنی نگاہیں نیچی رکھو۔ اپنی شرم گاہوں کی حفاظت کرو۔لیکن اگر بری نظر سے دیکھنے سے ہی زنا ہوتا تو مدینے میں ہی ہر دوسرے دن کوئی نہ کوئی سنگسار ہو رہا ہوتا۔کیونکہ مدینے کو خواتین کھیتوں اور باغوں میں کام کیا کرتی تھی اور  اس وقت کے مسلمان اتنے سچے تھے کہ خود نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس جا کر کہہ دیا کرتے تھے کی یا نبی صلی اللہ علیہ وسلم ہم سے یہ گناہ ہوا ہے، ہمیں سزا دیجیے۔ فحش گوئی سے منع فرمایا گیا ہے، چاہے وہ سامنے بیٹھ کر کی جائے، فون کر کے کی جائے یا چیٹنگ کے دوران کی جائے۔ جو ایسا کرے گا وہ بہت گناہ گار ہو گا لیکن اس کو واجب القتل ہرگز قرار نہیں دیا جا سکتا۔


ڈاکٹر ذاکر نائیک بہت بڑے سکالر ہیں۔ ان کی باتوں کو غور سے سمجھنے کی ضرورت ہے۔ ان کی کسی بات کا اپنی طرف سے کوئی مطلب نکال لینا غلط ہو گا۔ ہو سکتا ہے کہ آپ کی اس طرح کی بات پڑھ کر کوئی جہاد شروع کر دے اور لوگوں کے فون کی تاریں کاٹنا شروع کر دے کہ نہ فون ہو گا اور نہ فون پر فحش گفتگو ہو سکے گی۔




cute bird Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 1  Post: 12  Age:  27  
Posted on:8th Jun 2008, 3:54pm
 

Phone Sex Is Not Zina (Adultery) In Islam

dear members, to share sexual feelings on fone or elsewhere or to talk on sex with a opposite is gunnah but NOT zana,

islam mein jo is tarah se kaha gaya hai ke ankhon ka, zaban ka qadmon ka etc. ka zana yeh sirf shaid is liye kaha gaya hai ke yeh chezein bhi bohat bara gunah hai aur yehe ankhein zaban aur doosri chezein zana ki taraf mayal kerti hain. aik common sense ki bat hai is forum pe saray mature and young people hain woh yeh chez samjhtay hongay ke sexual feelings uncontrolable hoti hain, agar kiss ki hai to next step will be hug agar hug hoga to ap log khud batain ke only a real commited person can resist otherwise insan zana ki had tak chala jata hai.

2nd thing is zana is not a ordinary gunnah its Gunah e Kabira, aur is ke affects sirf larka larki pe nahe bulke uski nasal tak jatay hai. i mean to say that a famous scholor wrote a book on zana he mentioned according to teaching of islam that after zana between a couple their families can never make blood relation within themselves specially if pregnancy occurs and birth take place. some other time i'll give u name of that famous buk, i'm forgetting it now.

agar yeh itna bara gunah na hota to kabhi bhi is ke liye 4 gawah ki na shart hoti, islam wants to save person from zana at every cost just coz it is a big sin. i hope u people wud get my point.

thanx

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:9th Jun 2008, 5:12am
 

Phone Sex In Islam - Zina (Adultery) In Islam - More Explanation

baki members nay kafi detail mai explain kar dia hai.. par mai bi thori aur wazahat karonga. mainay ye nai kaha tha k TV dekhna sawab ka kaam hai, par tv dekhnay ki base par ham ye nahi keh saktay k TV dekhnay wala Zaani hai kyonkay ye TV dekhta/dekhti hai...
chori karna gunah hai , par ham ye nahi keh saktay k chor zaani hai. khavateen say ya mangetar say phone par ghalat batain karna gunah hai par ye zana nahi hai. aur na hi aisay banday ko wo saza milay gi jo islam mai zaani k liye rakhi gaee hai...

ap keh rahay ho k "har ghar main TV hai to ab aap kaho ge k is ka matlab yeh howa k sab zina kar rahe hain "
mai ye zaroor samjhonga k tv par naach gana aur na-mehram orto ko makup aur khoobsurat libas mai dekhna ghalat hai aur gunah hai.. par mai ye kabi nahi kahonga k tv dekhnay wlay zana kar rahay hain...

Allah tala nay jurm ki saza mai thora difference rakha hai.. zana ki saza aur hai jabkay chor (thief) ki saza aur tara ki hai, Qaatil (killer) ki saza aur tara ki hai... phir in mai mazeed maslay masael aa jatay hain aur baaz okaat saza mai thori narmi bi aa sakti hai.

Q-tv aur geo tv, mai nahi samajhta k in channels par anay walay TAMAM programs ko dekhna koi bara sawab ka kaam hai. Qtv par qawalian bi lagti hain, music bi chalta hai, ortain make-up kar k baithi hui dikhaee jati hain.. ab Qtv aur geotv dekhnay wala apnay apko haji sahab samajhnay lag jaey to mai ye nahi manta...

shoaibali Group: Members  Joined: 13th May, 2008  Topic: 15  Post: 90  Age:  29  
Posted on:9th Jun 2008, 7:00am
 

Phone Sex In Islam - Zina (Adultery) In Islam

pehli baat to yeh hai josh g k main doctor zakir naik ka naam badnaam nahin kar raha or na hi main aisa soch sakta hoon,

to phir main shararti bhai se hi kahon ga k aap kuch himat karien or doctor zakir naik ki urdu speech wali CD'S le aao or unko dheyaan se sunoo or jo bhi woh kahein yahan ah kar sab ko batana k sab ko pata chal sake kyun k ho sakta hai k mujhe samjh nahin aai ho,

ab sab mujhe ek baat ka jawab dena?

kuch saal pehle parvez ilaahi k shahib zaade ne ek baat ki thi k sharaab peena haraam hai lekin is k liye koi saza tajweez nahin ki gai to phir kya howa k jo log sharab peete the unhon ne uski baat ko mind main bitha liya phir or zehayda drinking karne lage k is ki to koi saza nahin hai aisa sirf un logo ne socha jo k drinking karte the or jo log acche hain saari baaton ko samjhte hain unhon ne is baat ko ghalat kaha or safaai di

to yahan bhi kuch aisa hi ho raha,jasia k maryam sis or seemi sis ne kaha hai k agar qurani ayaat ya koi hadees hai to beyaan karo agar aap ko lagta hai k yeh sab theek hai to,

warna please logon ka mind open mat karo,

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:9th Jun 2008, 10:35am
 

Phone Sex Not Come In Zina (Adultery) In Islam

Don't Say Phone Sex Is Equal To Adultery Or Forniaction
bahi agar ap sach ko chhupa kar aur islam ki ghalat tableegh karna chahtay ho to karo, apki marzi, lekin ye achi bat nahi hai... 

Don't Declare Phone Sex As Zina (Adultery) Wrongly:
ap agar phone par ghalat batain karnay ko zana karar dogay , to ho sakta hai jo insan pehlay hi phone par apni dost ya mangetar say phone par ghalat batain karta ho, wo ye sochay k chalo zina to already ho chuka hai kyonkay mai to rozana mangetar (fiancee) say phone par ghalat batain karta hon,, to lagay hatho sexual intercourse bi kar lia jaey.......... phone par ghalat bat karna bi zina aur sexual intercourse karna bi zina....

ab ap kia kahogay ??

Moderator:

1 2  >>
Teenage Abortion Dangers
Teenage Abortion Dangers - Warning For Teens And Parents
Tragedy of Abortion
Abortion - the Untold Tragedy of Abortion
Myths About Abortion
Mysterious Myths About Abortion
Abortion And Reletionship
How Abortion Can Affect A Relationship
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us Last Updated: 28th March 2013