Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Ik Shaks Ko Dekha Tha: Urdu Ghazal

Urdu   >>  Urdu Poetry
 
 
 
Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  24  
Posted on:1st Jun 2009, 11:52pm
 

Ik Shaks Ko Dekha Tha: Urdu Ghazal

 

IK taaza hikaayat hai
Sun lo tau inaayat hai

Ik shakhs ko dekha tha
Taaron ki tarah hum NE
Ik Shakhs ko chaha tha
Apno ki tarah hum NE
I shakhs ko samjha tha
Phoolon ki tarah hum NE

.
Who shakhs qayamat tha
Kiya uski karain baatein
Din us k liye paida
Aur uski hi theen raatein
Kam milna kissi se tha
Hum se theen mulaqatein
.

Rang uska shahaabi tha
Zulfon mein theen mekaarein
Aankhain theen k jaadu tha
Palkain theen k talwaarein
Dushman bhi agar dekhain
So jaan se dil haarein

Kuch tum se who milta tha
Baaton mein shabaahat mein
Haam tum as hi lagta tha
Shokhi mein sharaarat mein
Lagta bhi tum hi as tha
Dastoor-E-Muhabbat mein

.
Who shakhs humain I din
Apno ki tarah bhoola
Taaron ki tarah dooba
Phoolon ki tarah toota
Phir haath na aaya who
Hum NE tau buhat dhoonda

Tum kiss liye chonkay ho?
Kab zikr tumhara hai?
Kab tum se taqaaza hai?
Kab tum se shikaayat hai?

 

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  24  
Posted on:1st Jun 2009, 11:54pm
 

kamal-e-zabt

Kamaal-E-Zabt Ko Khud Bhi To Aazmaungi,
Main Apne Haath Se Uski Dulhan Sajaungi,

Supard Karke Use Chandni Ke Haathon Mein,
Main Apne Ghar Ke Andheron Mein Laut Aaungi,

Badan Ke Qarb Ko Wo Bhi Samajh Na Payega
Main Dil Mein Rahungi, Aankhon Mein Muskuraungi,

Wo Kya Gaya Ke Rifaaqat Ke Sare Lutf Gaye,
Main Kisse Rooth Sakungi Kise Manaungi,

Wo Jhuth Bolega Aur Lajawab Kar Dega,
Main Sach Kahungi Phir Bhi Haar Jaungi,

Jawaaz Dhund Raha Tha Nayi Mohabbaton Ka,
Wo Keh Raha Tha Ke Main Usko Bhool Jaungi

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  24  
Posted on:1st Jun 2009, 11:59pm
 

Ham Yousef -e- Zameen Thay, Abhi Kal Ki Baat Hay

Ham Yousef -e- Zameen Thay, Abhi Kal Ki Baat Hay
Tum Ham Pay MeharBaa Thay, Abhi Kal Ki Baat Hay


Wo Din Bhi Thay Keh Ham Hi Tumhari Zabaan Pay Thay
Mouzoo -e- Daastan Thay, Abhi Kal Ki Baat Hay


Aye Kaarwan -e- Inqalaab -o- Gul Tum Ko Yaad Ho
Ham Meer -e- Kaarwan Thay, Abhi Kal Ki Baat Hay


Jin Doston Ki Kami Hay, Aaj Hayaat Mian
Wo Apnay Darmiyaan Thay, Abhi Kal Ki Baat Hay


Kuch Haadson Say Gir Giya MOHSIN Zameen Per
Ham RashK -e- Aasmaa Thay, Abhi Kal Ki Baat Hay

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  24  
Posted on:1st Jun 2009, 12:00pm
 

Woh jo sapnoon jasa hay

Woh jo sapnoon jasa hay
Aankhon main kaheen rahta hay
Aur hansta hay jo
Jane kon hay woh
Dil bas yehi kahta hay
In pholoon ki rut ne bataya
Hay dhuop main us ka saya
Main titli banon aur dhundon usse
Rangoon ne yeh samjhaya
Har ahat us k liye yeh dharkan jis k liye
Woh jhonka bane aur sath rahe
Jo phir se yaad aya

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  24  
Posted on:1st Jun 2009, 12:02pm
 

Jise shafaf rakhna ho

Jise shafaf rakhna ho
usay mela nahiin krte

Safar jis ka muqadar ho
Usay roka nahiin krte

Yeh unche pair kaise hain
kahiin saaya nahiin krte

Buhat ujre hue ghar per
Buhat socha nahiin krte

Chalo tum raaza ho apna
Tumhen aafsha nahiin krte

Sehar se poochlo mohsin
K hum soya nahiin krte

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  24  
Posted on:1st Jun 2009, 12:03pm
 

Jab khabhi khubi kismat se tujhe dekhte hain

Jab khabhi khubi kismat se tujhe dekhte hain
Aina khane ki si hairat se tujhe dekhte hain

Jo pamal zamana hain mere takht-e-nasheen
Dekh tu kitni mohabbat se tujhe dekhte hain

Tere jaane ka khayal aata hai ghar se jis dam
Dar-o-deewar ki si hasrat se tujhe dekhte hain

Keh gayi baad-e-saba aaj tere kaan mein kya
Phool kis darja shararat se tujhe dekhte hain

Tujhko kia ilim tujhe harne wale kuch log
Kis qadar sakht nadamat se tujhe dekhte hain

Tere koche mein chale jaate hain qasid ban kar
Aur aksar usi surat se tujhe dekhte hain..!!!

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  24  
Posted on:1st Jun 2009, 12:09pm
 

!!!MUJHE WO PYAR KARTA THA!!!

meri ankhon pe marta tha
    meri baaton pe hansta tha
    najane shakhs tha kaisa?
    mujhe khone se darta tha
       mujhe jab b wo milta tha
    yehi har bar kehta tha
    SUNO!
    agar main bhool jaon to?
    agar main rooth jaon to?
    kabhi wapis na aaon to?
    bhula pao gi ye sab kuch
    yun hi hansti raho ki kya?
    yun hi sajti raho gi kya?
    yehi baatein hain bas uski
    yehi yaadein hain bas uski
    mujhe itna pata hai bas
    mujhe wo pyar karta tha

Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4968  Age:   
Posted on:1st Jun 2009, 12:14pm
 

Waaah

Waah kia copy paste hai
Waaah waahwaah  kia copy paste hai
waah jee waaah kia copy paste hai

oh ho bhale bhale kia copy paste hai

ik wary fair se waaah waaah ..................


Khu$h! Group: Members  Joined: 31st May, 2009  Topic: 12  Post: 132  Age:  23  
Posted on:1st Jun 2009, 12:20pm
 

ki gal hai

achi poetry ne...

red chili ji, o tussi potry likh sakday ho tay post kero na?

red chili

ma apna introduction kera don..i'm new member here...un tussi manu welcome keroo :-D

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:1st Jun 2009, 1:23pm
 

wasi shah

is leahay meri anghoon say lali naheen jati

kohi raat jo teri yaad say khali naheen jati

tou jan bhee mangay tou hans kar tujjay day dain

teri tou kohee baat bhee talli naheen jati

Hum jaan say jahain gay tabhee kohee baat banay gi

Tuj say tou kohee rah nikali naheen jati

made4u Group: Members  Joined: 12th Aug, 2008  Topic: 11  Post: 439  Age:   
Posted on:1st Jun 2009, 2:15pm
 

Sonal

very nice choice.

 Kamaal-E-Zabt Ko Khud Bhi To Aazmaungi,

 šUmdaš

 



Moderator Note For Sonal: Post your all poetry in your previously started poetry threads, Dont start new thread for same purpose.




Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4968  Age:   
Posted on:1st Jun 2009, 5:12pm
 

Khu$h! (dollar)

Main sirf waaah waaah waaah
ker sakti hoon abhi poetry kaise likhun :(


Khu$h! Group: Members  Joined: 31st May, 2009  Topic: 12  Post: 132  Age:  23  
Posted on:1st Jun 2009, 5:39pm
 

,......................

hahahaha
Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4968  Age:   
Posted on:1st Jun 2009, 5:51pm
 

Khu$h!

Main ne aap ko dusre topic mein welcome ker diya hai...aap wahan ja ke mujhe thanx bol deyn...lol
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:1st Jun 2009, 10:01pm
 

very nice

nice collection  by sonal & luv bird bhai
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:2nd Jun 2009, 5:08am
 

Maryam!

Thanks
Khu$h! Group: Members  Joined: 31st May, 2009  Topic: 12  Post: 132  Age:  23  
Posted on:2nd Jun 2009, 7:05am
 

............................

hehehehe
DoN2009 Group: Members  Joined: 17th Mar, 2009  Topic: 3  Post: 331  Age:   
Posted on:11th Jun 2009, 1:12pm
 

Sonal & sooth

Nice poetry & nice copy paste
chaman0078 Group: Members  Joined: 26th Jan, 2009  Topic: 31  Post: 192  Age:  28  
Posted on:11th Jun 2009, 1:34pm
 

Please complete it

Any one of you, can compelete this:

 

Ager Taqaz-a-Ishiq Hussen Hota To Kia Hota

---------------------------------------------------------

1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013