Bhimji |
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1837 Age:
30
|
|
Posted on:9th May 2009, 2:03am |
|
|
How Do You Want To Celebrate Mother Day
Hi friends, Mothers day ki aamad aamad hai. Main b jab mothers day par flowers, cake aur Cards le kar Maan ko deta hoon aur hum sab ghar walay clapping kar ke Ammi se cake katwatay hain tou uss waqt jo khushi, fakhar aur Maamta ka rang unke chehre par hota hai woh mujhe majboor krta hai ke han yar aik din aisa zaroor hona chaahiey jab hum Apni Maan ko realize krwayen ke Maan hum aaj jo kuchh b hain teri duaaun aur Qurbaaniyun ki badolat hain. Iske sath sath jin logoon ki maayen iss duniya se chali gai hain Rab se unki maghfirat ki dua karain k Rab unhain Jannat ul Fardous main aala maqaam ata farmaey. Mera Question yeh hai ke aap yeh din kese manana pasand karain ge aur apni Maan ke baray main koi poetry ya emotions share krna chaahain ya koi pyara sa msg dena chaahain tou yeh thread hazir hai. Maan ki azmat ko ujaagar krne ke liay main b Islamic history se aik waqeya share krta hoon. Hazrat Moosa (A.S) ne aik dafa Allah Ta-aala se poocha???? "Aey mere Rab Qyamat ke roz Jannat main mere sath kon ho ga" Irshad hua ke Jannat main falaan Qasaab tere sath ho ga. Aap kuch heraan huay aur kuchh taraddud ke baud uss qasaab ki talaash main chal diay. Bazar ja kar daikha tou woh Qasaab gosht baichne main masroof tha. Apna kaam khatam kar ke uss ne gosht ka tukra kapray main lapeta aur ghar ki taraf chal dia. Hazrat Moosa (A.S) ne uske baray main mazeed jaan-ne ke liay uske sath bator-e-mehmaan jaane ki ijazat chahi aur ijazat milne par sath ho liay. Ghar pohanch kar Qasab ne gosht saaf kr ke pakaya aur roti ke tukray saalan main naram kar ke sath walay kamray main chala gya jahan aik nahayet kamzor burrhiya leti hui thi. Uss ne bamushkil sahaara de kar burrhiya ko uthaya aur aik aik luqma uss ke moonh main deta raha. Jab burrhiya ne khana khatam kia tou uss ne burrhiya ka moonh kapray se saaf kia. Burrhiya ne uss aadmi ke kaan main kuch kaha jise sunn kar woh muskura dia aur burrhiya ko lita kar wapis aa gya. Hazrat Moosa (A.S), jo yeh maajra daikh rahe thay, bht heraan huay aur qasaab se poocha keh yeh burrhiya kon thi aur uss ne tere kaan main aisa kya kaha jise sunn kar tu muskura dia?? Qasaab bola, Aey ajnabi yeh aurat meri Maan hai. Ghar par aanay ke baud sab se pehle main iss ke kaam krta hoon aur yeh roz khush ho kar mujhe dua deti hai ke Allah tujhe Qyamat ke roz Jannat main Moosa (A.S) ke sath jagah de. Yeh sunn kar main muskura deta hoon ke kahan main aur kahan Moosa Kaleem Ullah.
|
maahhii |
Group: Members Joined: 12th Apr, 2009 Topic: 6 Post: 1441 Age:
29
|
|
Posted on:9th May 2009, 4:35am |
|
|
very nice maan ki shan main jitna b likha jaye jitna b kaha or suna jaye kam h..............
hum larkion k liye to duniya main maan se payara or maan se bara sahara koi nai hota.............hum bachpan se he sub se zyada wkt maan k sath he guzarti hain or phir aik din ata h k hamesha k liye us se paraee ho jati hain.......bht c batain us se chupani parti h soch samaj batain batani prti hain............................
is wkt main apnay aansoo nai rok pa rahi.......abi raat ko he apni ami se phone pe baat ki h.................or bari ami yani dadi ko khwab main dekha h.......subha se un donon ko bht yaad kr rahi hun or ab ye post parh k to my emotions are out of control...............................
pichlay saal mothers day pr main ne apni ami k liye kuch likha tha ap logon k sath share krun g....................
|
Bhimji |
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1837 Age:
30
|
|
Posted on:9th May 2009, 5:06am |
|
|
ji ji Maahi, aap zaroor apne emotions share kijiay ga.
I will wait. |
maahhii |
Group: Members Joined: 12th Apr, 2009 Topic: 6 Post: 1441 Age:
29
|
|
Posted on:9th May 2009, 8:23am |
|
|
meri maan last year mothers day pr main ne ye apni maan k liye likha tha...........
Mera bachpan meri jawani mera burhapa Tamam umer ki bunyad teri zat aye maan
Tere bina to raaigan tha ye wajood mera Hazar baton se sachi ye aik baat ay maan
Jis main dard k andheray cha jayain hr soo Tere hi seenay pe kat skti h wo raat ay maan Ha apnay ap main anmol RAB ki her naimat Per tuj se barh k nahi ha koi sogat ay maan
Tere he naam ha ahsas ka her ik mosam Tere he naam ye alfaz ye jazbat ay maan
Meri dua ha apne RAB se ta qayamat dalay Mere kashkol main teri mamta ki khairat ay maan
i miss her..............
|
Bhimji |
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1837 Age:
30
|
|
Posted on:11th May 2009, 6:00am |
|
|
Maan Mirza Adeeb - late (Famous Pakistani writer) apni tasneef Matti ka Dia main apni maan ko khiraj-e-tehseen pesh krte huay likhhte hain;
"Abba ji mujhe maarte tou ammi bacha leti theen. Aik din socha ke agar Ammi patai karain gi tou Abba ji bhala kya karain gay. Aur yeh daikhne k liay ke kya hota hai, main ne Ammi ka kaha na mana. unhun ne kaha bazar se dahi la do, main na laeya. Unhun ne Salan kam dia, main ne zeyada par israar kia. Unhun ne kaha peerrhi par baith kar roti khao, main ne zameen par dari bichaai aur iss par baith gya. Kapray b mailay kar diay, lehja b gustakhana bana lia. Mujhe poori tawaqqo thi ke Ammi zaroor marain gi Magar unhun ne yeh kia ke mujhe seenay se laga lia aur kaha; Kyun Dilore (Dilawar) Puttar......Main sadqay jaun tu bemaar tou nahin ho gya kahin??? Uss waqat mere aansu thay ke rukte hi nahin thay. Iss ke baud likhhun tou kia likhhun ke Maan aik dua hai jo sada sar par saeya fagan rehti hai. " |
koyal |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2008 Topic: 0 Post: 500 Age:
26
|
|
Posted on:11th May 2009, 2:30pm |
|
|
mother unfortunately main apni mama se buhut door hoon buhut si sarhadain hain hamare beech lekin phir bhi unko hamesha apne kareeb mehsoos kya hay
maan ki mohabbat ke barey main izhar karney keliye mujhe kabhi bhi alfaz nahi miley unki azmat aur qurabanio keliye lafz chotey lagney lagtay hain duniya main agar koi inaam hay tu wo maan hay jinki duaon ki chaon main hum hamesha mehfooz hain. maine tu apni mama se dher sarey batain keen aur unko aik chota sa present dia |
Bhimji |
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1837 Age:
30
|
|
Posted on:8th May 2011, 11:46pm |
|
|
Tere Damm se ghar hae Chand ka Tukra Maan Aik rawayet main hae ke HAZRAT MOOSA A.S apni "MAAN" ki Wafat k baud "ALLAH Pak" Sy Hamklaam Hone KOH-e-Toor par ja Rahe Thay, Raste Mein Thokar Lagi Or Girne Lage
Tau Ghaib Se Awaaz Aai
"Ay MOOSA Sanbhal k aa, ab Tere Peeche "DUA" Karne Wali MAAN Nahi Hai"
Happy Mother's Day to all the members of the forum... |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:8th May 2011, 1:56pm |
|
|
Happy Mother's Day hum se related har rishta humaiN utna hi samajhta hae jitna hum sab k samnay boltay haiN, pose kartay haiN ya sab k samnay hotay haiN. lekin humari mayeN woh bhi samajhti haiN jo hum sirf sochtay haiN kabhi kehtay ya kartay nahi.
hum ghalat kartay haiN tou sari duniya hum se moun moR leti hae lekin maaN humari ghaltiyoN pe bhi humaiN muaf kar deti hae aur humaray liye shelter ban jati hae.
Allah pak hum sab ki maoN ko humaray sar pe salamat rakhay (ameen) |
♥..s4u..♥ |
Group: Members Joined: 14th Aug, 2010 Topic: 2 Post: 185 Age:
24
|
|
Posted on:9th May 2011, 10:42am |
|
|
my everyday is mothers day Beeji pehli bar koi acha thread lgaya,warna to bas:-P
main samjhti hon k sirf aik din hi nahi hona chahiye,humara hr din apni Maa k lie ho.mojhe to ye samjh nahi aa rahi k main Maa jesi hasti k lie kia likhon.Maa ki tareef k lie alfaz km pr jaein shayad
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:9th May 2011, 10:50am |
|
|
maa piyaari maa ...maama maa allah ki shafqat ka dosra name hay ...:) |
saim1 |
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 43 Post: 2155 Age:
35
|
|
Posted on:9th May 2011, 12:45pm |
|
|
Mothers Day
Happy mothers day to all the hard working moms out there. wasey to maa ko har din hi appreciate karna chyea.I think All the moms deserve it.Khud orat jab maa banti hey to ahsas hota hey key maa kiya hoti hey:) meri beti kal school say marey liya mothers day key liya aik card bana kar laii jab may ney read kiya card ko to mujhey rona a gaya. She wrote Mom this is something to remind you. When I have grown so tall. That once I was quite little And my hands were very small:) |
Un-leashed |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 1 Post: 123 Age:
|
|
Posted on:9th May 2011, 5:42pm |
|
|
1 din ki mother is ek din kay baad sabne bhol jana hai mother ko :)) :)) :)) lanat ho aese motherday par.ehed to ye karo kay hum apni mother ka har roz khayal karaingay.
|
|