What Is The Relation Of Heart And Brain? dil ka dimagh sy taluq sirf jismani zarooriyaat k teht hey ...q k jism main pass hony waly har signal ka taluq dimagh sy hota hey dil sy nhi..
jism k kisi hissy main b pain ho to pehly dimagh mehsoos karta hey aur wahan sy insan k khwass tak haram maghaz k zriye signal transfer karny ka kam b dimagh hi karta hey ...inn signals ki raftar ko words main biyaan karna intehaiee mushkil hey laiken na mumkin nahi aur iss mumkin ko mumkin bnany walil jo cheez hey uss ka name shaoor hey aur shaoor ka taluq insani aqal sy hey aur aqal ka maskan b yehi dimagh hey
iss sab khsoosiyat ki waja sy insani dimagh insani jism ka afzal tareen hissa hey aur iss ka insani jism k kisi aur hissy sy taluq sirf aur sirf jismani zarooriyaat k teht hey .....aur dil k sath b dimagh ka taluq inhi manoo main hey
hum aam toor par aik baat karty hain k " dimagh sy socho dil sy na socho" dar asal yehbaat siry sy hi ghalat hey q k soch ka taluq direct dimagh sy hey dil sy nahi... |