Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Girl Refused My Love: She Said You Are Younger Than Me.

Social Problem   >>  Self Problem
 
 
 
mrsaloo Group: Members  Joined: 03rd Nov, 2007  Topic: 7  Post: 15  Age:  37  
Posted on:31st May 2008, 3:03am
 

Girl Refused My Love: She Said You Are Younger Than Me.

Assalamo alikum, ajj main app logoon sai aik baat share karna chahta hoon main nai pehlay bhi kaie post kie shady kai baray main laikin ye masla un sai bohot alag hai vo ye hai kai...

itnay years sai maray parents muj sai shady kai baray main keh rahay thay kai beta shady karlo laikin main mana kar diata tha magar before 1 week mujay aik larki pasand aie to main nai ghar waloon ko uss kai ghar rishta karwanay kai liye bhaij diya.....

uss kai ghar walay sa razi thay laikin vo razi nahin thy she says kai main apnay chotay sai shady nahin karoongy main us sai 2 saaal chota hoon laikin mujay pasand hai then uss nai saaf mana kar diya....

ab friends yakeen karo kai i feel my heart crying pata nahin kion kuch acha bhi nahin lag raha hai kion kai kaie saaloon baad aik larki pasand aie uss nai hi mana kar diya ab main nai soch liya kai main ab kahi shady nahin karoonga...

agar app loogoon ko lagta hai kai main nai sahi faisla kia hai then mujay reply karien ( aur khass toor par main girls sai ye puchna chahta hoon kai app logoon kai dil main kisi aur kai liye feelings nahin hoty kia sabhi girls ka aik jaisa dill hota hai....)

plz reply me  

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:31st May 2008, 11:17pm
 

mrsaloo

bhai itni si baat dil par kiyon le kar beth gae ho as a girl aap ne poocha hai to us larki ne theek kiya hai dekho mere bhai aurat mard ki nisbat jald meture ho jati hai or jaldi boorhi bhi lagne lagti hai abhi to wo larki hai jab wo maa bane gi to aap se waise hi boht bari lagne lag jae gi phir aap or aap k ghar wale usse har waqt barri hone k taane denge mard ki mohbt aurat ki zahiri khubsurti pe khatam hoti hai 4,5 & may b 10 years later u,ll still young but not the same case wid that girl phir aap ko kam umer girls achi lagen gi to bv bechari ka kiya bane ga is liye ye aap k bhi haq mai behtar hai or us larki k bhi .larki yaani bv se mohbt k liye ye hi kaafi hota hai k wo aap k jism ka hissa hai yani aap ki pasli se bani hai is liye aap jis se bhi shaadi karo ge aap ko us se mohbt ho jae gi
plz dil chota na karen
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:31st May 2008, 11:24pm
 

mr.saloo

agar tumhari koi behan hai to usay kaho k larki say ja kar milay aur usay convince karnay ki koshish karay,, hamaray pyaray nabi Muhammad (SAW) ki example day kar usay samjhanay ki koshish karay.... shaed wo maan jaey,, agar na maanay to phir usay bhool jana aur shadi apnay maa baap ki pasand say kahin aur kar lena...
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:4th Jun 2008, 4:43am
 

mrsalloo

im agreed to josh

ap koshish keryen aur us larki ko samjhanay ki koshish keryen

apne parents aur us k parents ko samjhayen k ap us se pyar kerney lagey hain

smat66 Group: Members  Joined: 09th May, 2008  Topic: 1  Post: 8  Age:  37  
Posted on:4th Jun 2008, 10:42am
 

jore to aasman par bante hain

mrsaloo , im agree with u , aap ne bohat achi baat bati hai agar us insan main thora sa bi akal ho ga to wo dil se nahi demag se soche ga wase murd ko aurat se hir lahaz se zadia hona chiye yeh murd bi chata hai aur aurat bi chati hai ke us ka husband hir lahaz se us se behtar ho abi aap jis nazar se us larki ko dakh rahe ho shaadi ke baad aap us ko us nazar se nahi dekh sako ge kio ke wo aap ki bv ban chuki ho gi yeh baat abi aap ki samag main nahi aiye ge lakin baad main agar aap ko samag ai to kya faiyda is liye mere bhai aap aapne demag se kaam lain  aur aram se  is bare main sochain , aur Allah ke hir kaam main bahtari hoti hai yeh baat bi baad main samag aati hai aur wese bi yeh to humara emaan hai ke jore aasman par bante hain jo koi bi aap ki takdeer main likh di gi ho gi wo aap ko mile gi aap kion preshan hote hain.
ferryahmed Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 5  Post: 17  Age:  32  
Posted on:22nd Jun 2008, 9:50am
 

my reply

hi there....mein bhi ap hee ki tarha ki situation mein hon bcz mein jis larki ko pasand kerta hon woh mujshe 4 sal baree hay.....lekin hum dono ek dosre se buhut zada pyar kerte hain...

yeh bat bilkul sahi hay ke larki jaldi mature hojatee hay aur jaldi borhee hojate hay.....lekin mard bhi hamesha jawan nahi rehta.....plus i have never belived in the thing ke aurat koi istemal ki cheez hay ke jab tak jawan jawan hay jab tak full use kerlo...aur bad mein phenk do....i strongly disagree to this....

what i have noticed....larka apni biwi mein childishness....innocence...sadgi....pyar dekhna chahta hay....aur chhata hay ke uski biwi usko apna sab kuch tasleem kerle aor hamesha uski bat maney aur wo jesa kehta hay wesa karey.....usually baree larkiyan zada dominant hotee hain thats why mard zada ter choti larkiyan pasand kerte hain....

larkiyan aesa husband chahti hain jo mature ho....mentally strong ho.....financially sound ho....hanesha uski care kersake....usko support karey....usko protection dey...plus ussey hamesha sincere or committed rahey....agar yeh sare qualities usko younger larkey mein mil jatee hian to larki bhi man jatee hay....basically sawal age ka nahi.....inhee sarey factors ka hota hay jo larki aur larka apne partners mein dekhna chahte hain...

so if u think u have all those factors....then try once again...and ensure her that u'll provide her every happiness in life....and ur strong enough to support her...and u'll never leave her even if she looses her beauty....tab shayad apka kaam hosakta hay...

anywyazz...alll the best..!!

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4323  Age:  38  
Posted on:28th Aug 2009, 9:05am
 

love with elder girl

re: "before 1 week mujay aik larki pasand aie"

aap ki muhabbat sirf 1 week purani hai? isi tu bhulaya jaa sakta hai.

re: "main us sai 2 saaal chota hoon"

aap ki aur os ki age kia hai?

re: "i feel my heart crying "

bari hairani ki baat hai keh sirf 1 week ki muhabbat mai yeh haal ho gaya.

king99sonu Group: Members  Joined: 20th Jul, 2010  Topic: 0  Post: 2  Age:  21  
Posted on:28th Jul 2010, 6:24pm
 

Love

muhabbat may bary bary Logon Ka Yeh Haal Ho Jata Hai Tu Hum Kia cheez hain our Piyar  May I don't Think K Age Ko Dikhna Chahy
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 98  Post: 5378  Age:   
Posted on:28th Jul 2010, 9:13pm
 

rE:king99sonu

ab tak to in logon ki shdi bhi ho chuki honi h.aap kafi late ho gae:-P
rajmallik Group: Members  Joined: 04th Jun, 2008  Topic: 23  Post: 750  Age:  27  
Posted on:29th Jul 2010, 7:49am
 

agreed

agreed wid maryam anty & how r u saba ? 
liba Group: Members  Joined: 20th Aug, 2008  Topic: 6  Post: 88  Age:  25  
Posted on:29th Jul 2010, 6:03pm
 

naseem

sirf 1 week ki muhabbat mai yeh hal ho gaya..

hum to 4 saal k pyar ko bhulanye ki koshish karhye hain....
ap bhi aise koshish karo warna kuch kar k deekhao aise bethe rehene se kuch nahi ho ga  kuch na kuch to karo mere bhai or ye kabhi mat suchna k wo na mili to main nahi karon ga...
ho sakta hai is se bhi achi larki aap k naseeb main likhi ho ALLAH TALA NE...

bilalzia91 Group: Members  Joined: 14th Jul, 2010  Topic: 5  Post: 49  Age:  22  
Posted on:31st Jul 2010, 3:27pm
 

liba tmy dokha huwa kia

bhai payar ma dokha unhy hota ha jo serious na ho mind it

1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013