Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Friendship: My Best Friend Ignoring Me

Social Problem   >>  Self Problem
 
 
 
meera Group: Members  Joined: 16th Sep, 2007  Topic: 4  Post: 58  Age:  29  
Posted on:30th Oct 2009, 5:29pm
 

Friendship: My Best Friend Ignoring Me

hi..
muje ap sab se mashwara chahye.. 
meri ek kareebi friend hai (H),meri aur uski bohat close friendship thi,usne jab kahin jana hota,mujhe ek fone karti thi,aur hum ikathe nikal jate the,us waqt meri ek beti thi,aur uske bhi bache the..bache joke school hote the islye hum wo time aksar kahin na kahin spend kar lete the..
 
uske ilawa humari group me do ladkiyan aur shamil thin (S ) ( B),hum sab aksar ek sath ikathe hote the,kabhi kahin bahir khana khane,coffe peene...lekin in me se meri sab se close friendship (H ) se thi...
ahista ahista kuch waqt ke bad maine mehsoos kiya ke (H) aur (B) aksar kahin jane ka program banane lagin aur mujhe bad me pata chalta tha..is se mujhe takleef hoti thi lekin maine kuch nahi kahaa...

jab maine ek bar (H) aur (B) ko isharatan kaha,ke tum dono ache ho,mujhe bataya hi nahi aur program bana lete ho kahin jane ka..to unhon ye keh kar taal diya ke nahi humara program achanak ban gaya..ya koi na koi bahana kar dete the..islye maine unhe kehna chod diya, lekin mai dil hi dil me kurthi rehti hun..

is ki sab se badi wajah ye hai ke meri best friend (H) ne mujhe ignore karna shuru kar diya,shahid islye ke uski ab (B) se ziyada close friendship ho gayi hai. ab bhi hum ek sath 4 friends milti hain,lekin ab meri (H) se pehle jaisi dosti nahi rahi...
aur ye bat mere lye sab se ziadya takleef de hai..
ap khud sochain ke apki ek person ke sath 8 sal itni close taluk ho aur wo 8sal bad apko ignore karna shuru karde.aur apki group ki friend se ziyada close ho jaye to takleef to hoti hai...aj 5 sal ho gaye hain wo mujhe issi tarah ignore karti hain,maine ye Haqeeqat exept karli hai ke ab wo dono best friend ban chuki hain,aur meri unke lye wo ehmiyat nahi rahi jo pehle thi... 
lekin mujhe phir bhi takleef hoti hai..maine in baton ka zikar apni dusri friend (s) se bhi kiya tha,wo mujhe yehi mashwara deti hai ke mai unse bat karun..
jo ke mai islye nahi karna chahti 
kyoonke mujhe rona ata hai,aur mai emotionel ho jati hun,mai unhe apni kamzori nahi show karna chahti ,..dusri wajah ye hai ke mai nahi chahti ke wo ye samjhain ke mai jelous ho rahi hun unki dosti se (i know wo aisa sochte hain lekin mai unka ye yaqeen paka sabit nahi hone dena chahti)+
teesri aur eham wajah ye hia ke mai ye bhi nahi chahti ke bat karne ke bad wo mujhe zabardasrti ya majbooran bulaen..

mai bohat confiused hun...mujhe kuch samajh nahi ati mai ky akarun...meri sister mujhe kehti hai ke mujhe un friends se kahin door shift hojana chahye( ye possible nahi hai ,i mean kisi aur city me shift hona asaan nahi hai)

mai inke kareeb rehti hun to kahin na kahin se mujhe pata chalta rehta hai ke wo dono aj falan dost se milne gayi.jab mujhe malum hota hai mujhe waise h itakleef hoti hai,
plz mujhe mashwara dain ke mai khud ko kaise strong karunnnn meri (H) ke ilawah koi itni close friend nahi hai ,na hi mera dil karta hai kissi se dosti karne ko...


madman Group: Members  Joined: 08th Oct, 2009  Topic: 9  Post: 137  Age:   
Posted on:2nd Nov 2009, 4:50am
 

Re: Miss Meera

Asalam o alikum.
Female problem main muje bolna to nahee chaheye lekin bat friendship ki i hai to main kuch zaror kehna chaho ga. apki frienship ki situation ko analysis kerny ke bad ye result aya hai ke apki frienship just mujbori ki base per hai ap ke liay is liay ke app unhain dil se dost manti hain aur apnay dil ka hal aur apni feeling un ke sath share krna chahti hain lekin unki frienship apse ki waja sirf zarorat ke tehat lagti hai. jub un ki zaroratain poori ho gye tabi ap ki zaroorat unhain nahee rahi.....

is ke ilawa, suchi dosti aj k time main milnay mushkil hai. for example: Koi ap se kahey ke main ap ka sucha dost ho to ye man lo ke wo jhoot bol raha / rahi hai, kyo ke suchi dosti kehnay se nahee hoti, such dosti ko appko khud judge kerna hoga us dost ki gair mojodgi main...

Mazeed ye ke app un se is bat ka zikar bhi kerain to koi faida nahee hoga balka us din se wo apko khud pe bojh samajna shur ker dain gi.

Mera ap se mashwara ye hai ke app un se kuch na kahain aur khud he kuch peechay ho jain..agar un main kuch sharam hogi to app ki kami ko mehsoos ker ke wapas aa jain gi...
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4323  Age:  38  
Posted on:19th Dec 2009, 3:25am
 

zehni ham aahangi and friendship

dosti zehni ha-ahangi ka name hai, log onhai dost banate hai jin se zehni ham ahangi hoti hai. jis se ziadah zehni ham aahangi hogi os se ziadah dosti ho gi aur jis se kam ho gi os se kam dosti hogi. zehni hamahangi ka taluq qomiat, religion, hobby, habit, political thinking aur bahut kuch hota hai.

aap ne dekha ho ga keh jab college mai 1st year mai student dakhla lete hai tu koi bhi kisi ka janne wala nahi hota, sab log randomly aik doosre se mil rahe hote hai, aur phir kuch dino ke baad 2-3 student ka group wajood mai aane lagta hai, 6 month ke baad aap mahsoos kare ge keh kuch se pakki dosti ho chuki hai, kuch se zara kam, aur kuch ke baare mai aap ka faisla hota hai keh os se aap dosti kerna nahi chahte.

farz kare keh aap aik Muslim sunni pakistani married female with 2 kidz hai. aap USA mai aik office mai kaam kerti hai. waha per 25 log kaam kerte hai, jis mai 10 female aur 15 male hai, 12 married aur 13 unmarried hai, 6 married ke kids hai jab ke 6 ke kids nahi hai, 8 muslim aur 17 non muslim hai, 6 sunni aur 2 shia hai, 4 pakistani aur 21 non pakistani hai.

agar aap iss daftar ko join kare gi tu kuch dino ke baad aap mahsoos kare gi keh aap ki dosti non muslim ke muqable mai muslim se ziadah achchi hai, unmarried ke muqable mai married se aur without kids walo ke muqable mai kids walo se. isi tarah non pakistani ke muqable mai pakistani se aur shia ke muqable mai sunni se.

aap ka masla: aap ki zehni ham ahangi H se thi iss liye aap ki os se dosti ho gayee, lekin jab H ko B mili tu os ne mahsoos kia keh os ki zehni ham ahangi aap ke muqable mai os se ziadah hai, lehaza os ne os ke saath waqt guzarna shuru ker dia. matlab yeh keh H ki aap se zehni ham ahagi 70% thi, lekin H ki B se zehni ham ahangi 90% hai tu H ka jhukaoo aap ke muqable mai B ki taraf 20% ziadah hoga.

jaisa ke mai ne kaha keh zehni ham ahangi mukhtalif factor se wajood mai aate hai, lehaza aap ko sabar kerna chahiye, zabardasti os ko apni taraf raghib kerne ki bajaye aap tasleem ker le keh aap ke muqable mai os ki zehni ham ahangi B se ziadah hai. yeh aik normal baat hai, aap ko bhi ise normal lena chahiye. aap iss haqeeqat ko tasleem kare aur relax rahe. os ki dosti abhi bhi aap se qaim hai, lekin B ke muqable mai kam. agar kisi wajah se os ka taluq B se khatam ho ga tu aap mahsoos kare gi keh woh aaap ki best friend hai.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6479  Age:  35  
Posted on:19th Dec 2009, 3:27am
 

hmmmmmmm

etni lubi story kesy puroo hmmmmmm wish you good luck

expectations kum rukhin

 naa hoon pory tu koi dokh bee na hoo

dil meh urmaan kum sy kum rukheeye

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4655  Age:  37  
Posted on:19th Dec 2009, 6:30pm
 

simple

your friend is using you..

jab ap se behtar mil gai to apko chorr dia..this is not friendship..




Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4323  Age:  38  
Posted on:20th Dec 2009, 5:12am
 

sunehri ka purana zakham

re: " jab ap se behtar mil gai to apko chorr dia..this is not friendship.."

lagta hai keh sunehri ko kuch yaad aa gaya aur os ka purana zakham taaza ho gaya




sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4655  Age:  37  
Posted on:20th Dec 2009, 6:48am
 

bewakoof

 maine is se inkaar nahi kiya kabhi,ke maine friendship & Pyar me dhoke khayen hain. balke maine to ek jaga se bar bar bhi dhoke khaye hain.

aur zakham hamesha zakham hi rehta hai..naya ho ya purana...aur kuch zakham har dam taza rehte hain...

madman Group: Members  Joined: 08th Oct, 2009  Topic: 9  Post: 137  Age:   
Posted on:20th Dec 2009, 10:33am
 

it happones.

Not to worry about...

Zindagi main to naseb-o-faraz atay he rehtay hain
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013