Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Lack Of Self Confidence - How To Regain Self Confidence

General Health   >>  General Health Problems
 
 
 
Husnain Ji Group: Members  Joined: 30th Apr, 2009  Topic: 5  Post: 36  Age:  28  
Posted on:30th Jan 2010, 4:28am
 

Lack Of Self Confidence - How To Regain Self Confidence

Assalam alikum,

sab bhai behno ko mera Salam, app sab log bauhat acha kaam karte hain aur yeh website bauhat achi hai jahan sab apni problems share kar sakte hain.

mein app sab ko apni problem batata hoon plz mujhe koi iss ka hal batayen. meri age 24 hai aur mere under confidence ki bauhat hi kami hai, mein kisi se baat bhi nai karta, chahe ghar hoo family mere cozns hoon ya khala mamu chacha xzy koi bhi hoo chahe larka ho ya larki koi bhi cozn, chahe bahar kisi shop pe hoon mujh se koi baat nahi hoti ajeeb sa darr laga rehta hai, kisi se ankh mila kar baat nahi kar sakta apni problem kisi se share bhi nahi kar sakta, aik aur baat mein engaged hoon aur meri fiancee meri cozn hi hai.

mein confectionary supply karne ka kaam shuru karna chahta hoon magar kaise karon mujhe kuch samajh nai ata dukaan daar se baat karte hue darta hoon, mujh se kisi se baat nahi hoti, kabhi koi mehfil hoti hai ya ghar mein dawat hoti hai to mein sab k samne chup chaap betha hota hoon khud se koi baat start nahi karta aur darta rehta hoon, aur agar koi mujh se baat bhi karta hai to bus hoon haan karta rehta hoon mera apna koi mind nahi chalta,

Allah ka bara ehsaan aur karoron shukar hai k mein physical bilkul theek thaak hoon magar mentally tor pe disturb rehta hoon. plz plz plz app sab se mein request karta hoon k mujhe koi mashwara dein k mein kia karon mein iss tarha nahi jeena chahta mein pagal ho jaoga, mere under confidence ki itni kami kiyon hai aur mein iss ko kaise theek kar sakta hoon, plz app log meri help karo mein bauhat pareshan aur upset rehta hhooon. Allah app sab ko iss ka ajar dega.

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3217  Age:  36  
Posted on:30th Jan 2010, 6:03am
 

yeh mumkin hi nhi hey

k aap agar iss forum pr brra frequently baat kr k swal kr saktey hain ...aur apna msla share kr saktey hain ....to phir real life main kisi k roobroo aap aysa q nhi kr sakty....matlb yeh k aap k andar confidence hey laiken uss ko polish krney ki zaroorat hey...

lehaza main apni traf sy app k lack of confidence ki mushkal ka hal btata hoon..iss confidence ki kami k peechey kuch b muharkaat hoon agar koi shahas kisi b media k tawasat sy koi baat puchna chahita hey to uss puchey gaye swal k jawab ko jan'ny waley members ki zimadari banti hey k wo swal puchney waley member ko uss ki mushkil ka hal btaieyn..

aap ko main apni maloomaat k mutabiq kuch hal batata hoon shaid aap ko pasand na ayein laiken yeh azmooda hain
  1. aap ayney k samney kharry hoker 2 minat tak baat krain kuch b baat hoo sakti hey..aur yeh amal har rooz krain jitni had tak b mumkin hoo sakey
  2. apney aap ko jitna mumkin hoo tenhai sy bchaien 
  3. self confidence ko brrhaney k liye ziyada sy ziyda muta'leya krain...q k jub aap k paas ziyada muwad hoo ga to aap ziyada confidence ka muzahira kr sakain gy
  4. apney aap ko khush libas rakhney ki har mumkin koshish krain
  5. zehan ko hamaisha khali rehny dain unn burry khiyalat sy jo aap ki shahsiyat pr asar andaz hoo saktey hain
  6. apni sehat ka khas khiyaal rakhain ...q k achi sehat b self confidence ko brrhati hey
meri maloomat main jis qadar app ki mushkal ka hal tha main ny tehreer kr dya ..baqi tammam members b apni maloomat aur mushahidy ki roshni main insha'allah apni traf sy kuch add krain gy..
Husnain Ji Group: Members  Joined: 30th Apr, 2009  Topic: 5  Post: 36  Age:  28  
Posted on:1st Feb 2010, 1:53am
 

Diplomate bhai

Jazakallah, app ka bauhat bauhat shukriya app ne reply kia aur mere masle k hal k bare mein socha.

bhai masla yeh hai k mein bauhat koshish karta hoon logon se baat karon magar pata nahi himmat hi kiyon nahi hoti, kabhi kabhi to aisa sochta hoon k kahin door bhaag jaon sab se door jahan mujhe koi nahi janta hoo, mera kahin jane ka dil nahi hota bus ghar mein baithne ko dil karta hai, issi wajah se mein apne doston se bhi katt gaya hoon, pata nahi meri soch kaise ho gayi hai.

family mein bhi koi cozn chahe larka ho ya specially larki mujh se baat hi nahi hoti, matlab mein apne jazbat ka izhaar nahi kar sakta ya apne alfaaz ko theek se ada ya express hi nahi kar sakta iss liye chup chup hi rehta hoon, sab mujhe samajhte hain k mein sharmila hoon magar mujhe pata hai k mujhe mein confidence ki bauaht hi kami hai,

meri ammi bhi mujhe bauhat samjhati hai kiyon k jab bhi mein baat karta hoon jaldi jaldi aur toote phote alfaaz mein karta hoon jiss se samne wale ko kuch samajh hi nahi ata, mein app k tips per amal karoga magar plz app sab k pass koi aur hal bhi ho to zaroor batayega mein app sab ka bauhat ehsaan mand rahoga.

Husnain Ji Group: Members  Joined: 30th Apr, 2009  Topic: 5  Post: 36  Age:  28  
Posted on:1st Feb 2010, 2:01am
 

RE

aur aik baat yeh k aksar mein aisa karta hooon k jab bhi mere cell per kisi ka phone ata hai chahe woh koi cozn hoo chahe friend ya koi bhi xyz mein phone apni ammi ya kisi aur ko de deta hoon aur mana karwa deta ho, meri ammi mujhe iss baat per bauhat gussa karti hai aur bauhat baar to woh mujhe se kafi naraz hoti hain aur mujh se baat hi nahi karti k mein aisa kiyon karta hoon aur abb to ziyaada tar mein call hi pick nahi karta sochta hoon mobile hi torr doon,

magar mein kia karon kuch samajh nahi ata plz bhaiyon isse mazak mat samajhna mein bauhat pareshan hoon, har waqt ulta seedha sochta rehta hoon, halanke mein Namaz bhi parhta hoon aur taqreeban daily Tilawat bhi kata hoon aur duaen bhi bauhat karta hon, magar mujhe kuch samajh nahi ata kia karon,

mujhe pata hai app sab ka time bauhat qeemti hai magar plz bhaion app ki wajah se meri life theek ho jayegi mein zindagi bhar app sab ko duaen doon ga. plzz help me.

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:1st Feb 2010, 4:36am
 

Husnain

Husnain aapka problem bra aam sa problem hai, jo bht logon ko hota hai, kisi ko bht ziada, kisi ko thora kam, lekin aap pareshan nahi hon

aap ko diplomat ne bht achi suggestion di hai, ap us baat p amal karain inshAllah bilkul confident ho jain gy, lekin yeh zehen ma rakh kar k aapko koi masla nahi hai aur aap bilkul theek hain, aapki sirf soch hai jis nay aaapko yakeen dilaya hua hai k aap ma confidence nahi hai.

jab aap yahan forum par likh kar achi khasi baat kar saktay hain, tau bol kar bhi kar saktay hain


aapka masla psychological hai, aap pehlay yeh batain k apka bachpan kesa guzra hai? ziada tar jo bachay intehai sensitive hotay hain un k sath yeh masla hota hai, k woh har baat ko bht ziada mehsoos kartay hain, aur agar koi bara kabhi dant de tau bokhala kar aur ziada ghalti kartay hian..

kia aap k sath aesa hua hai k bachpan ma apko bht ziada toka gya ho? baat baat ma apko ehsas dilaya gya ho k aap ghalati kar rahay hain, aur apko koi bhi kaam theek se nahi karna ata? ya apko yeh ehsas dilaya gaya k aap jo baat kartay hian woh ghalat hoti hai, aur apkay dil ma aesa khof betha ho k apko yakeen ho gya k apki sab baatain ghalat hain, apkay sab kaam ghalat hain, aur is khof ma aap se aur ziada ghaltian hoti hun, aur ziada dant parti ho?

ya aesa k aapko sab nay pyar se rakha ho, lekin sirf apki soch aesi ho k aap ko kuch nahi aata, koi baat nahi karni ati?

kia aap k sath school life ka problem hai k aap k teachers nay apko yeh ehsas dilaya ho k aap nalaik hain?


asal ma ma khud aik teacher hun, aur students ko bht qareeb se janta hun isliay mujhay achi khasi psychology ati hai students ki...... ma nay aj tak koi bhi larka nalaik nahi dekha... nalaik sirf woh larkay hotay hian jinki soch ma woh nalaik hotay hian, ya unkay baron nay unhay nalaiki ka ehsas dilaya hota hai, ghalat tarbiyat ki gai hoti hai ya phir unki dilchaspi kisi aur cheez ma hoti hai lekin unhay zabardasti kuch aur parhnay par majboor kia jata hai..... kia aapko apni dilchaspi ka subject nahi parhnay dia gya?

kia aap bht ziada sochtay hain? har wakt bas sochtay hi rehtay hain ya kisi se baat k jawab ma zehen ma hi jawab sochtay rehtay hain ? is tarhan karnay se bhi bolnay ki salahiyat kam ho jati hai..

akhir aap k sath aesa kia problem hai yeh ziada behtar aap jantay hian, woh batain takeh apko koi solution btaya ja sakay.

aur agar yeh sab hai, tau apka sab se bara solution yeh hai k aap "haarna" seekhain, nakami ko face karna seekhain, apka masla khatam ho jaey ga..

aap k dil ma nakami ka khof hai, isiliay aapko baat kartay huway feel hota hai k ghalat hogi insult ho gi , aap yeh nakami ka khof dil se nikal dain, aap k liay sab se behtar hai k aap isi tarhan net par mukhtalif forums par apnay point of view se typing k zariay hi izhar e khiyal karain, jab aapko yahan likh kar baat karni aa jaey gi tau inshAllah aap ko bolna bhi aa jaey ga.

isi tarhan chotay bachon se baat karna seekhain, un se baat karna bht asan hota hai, ahista ahista apna level theek karain, aur is tamam koshish ma kabhi bhi ehsas e kamtari mehsoos na karain, isliay k aik chiz aap ma pehlay se hi mojud hai, jis par sirf zang lga hua hai, aap apni salahiyaton se sirf zang utar rahay hain, is ma koi sharam ki baat nahi hai, aur woh bhi kasoor kisi aur ka hai jis nay aap ma yeh khof peda kia hai.........BE A MAN...GOOD LUCK..

Husnain Ji Group: Members  Joined: 30th Apr, 2009  Topic: 5  Post: 36  Age:  28  
Posted on:1st Feb 2010, 6:06am
 

info

app ka bauhat bauhat bauhat shukriya bhai mein itna khush ho apka reply parh k mein bata nahi sakta, Allah app ki tama pareshani ko door kare,

mere un confident hone k peeche bauhat bari wajah hai, mein app ko explain karta hoon iss baat ka zikar mein ne aaj tak kisi se nahi kiya per abb lagta hai meri problem ko hal karne k liye batana parega,

mein bachpan se hi bauhat ziyada sensitive hoon aur abb bhi , har baat ko diar tak sochta hoon aur uss ke negative pehle ziayda sochta hoon, aur aisa soch soch kar meri thinking hi negative ho gayi hai, koi bhi cheez ho pehle mere zehen mein negative thinking aati hai,

mein bachpan se aik shakhs k hathon bauhat blaik mail hua hoon uss ne mra bahat mis use kia tha mein bata nahi sakta, magar app samajh jao plz, uss ne mere under meri saari salayat khatam kar di thi, halanke jab mein chota tha to bauhat hi sharp mind tha har cheez bauhat jaldi pick kar leta tha sab bolte the k bara hoo kar yeh kuch bane ga ya bara admi banega, magar uss sakhs ne mere under saari salahiyat ko maar diya mera brain wash kar diya aur mere zehen mein yeh bitha diya k uss k bagair mein kuch bhi nahi, uss ne mere sath bauhat galat kaam kiye mujhe batate hue bhi sharam aati hai, har waqt mein dara dara rehta tha. 

mein din raat Allah se dua karta tha k kisi tarha uss se mera peecha chura de aur aaj mein uss jaga khara hoon k mujhe kuch samajh nahi aata,

koi bhi kaam karta hoon to pehle sochta hoon k yeh kia sochega, koi kapre pehenta hoon to faisla nahi kar sakta ka kaisa lagoga log kia sochege mere bare mein, aur mein koi faisla nahi kar sakta, kisi se baat karte hue darta hoon, mera dimaag aaj tak uss khauf ka shikar hai , app plz batayen k mein kis tarha apne app ko theek karon plz plz help me.

Husnain Ji Group: Members  Joined: 30th Apr, 2009  Topic: 5  Post: 36  Age:  28  
Posted on:1st Feb 2010, 6:43am
 

Re

yeh mera topic mujhe front pe nazar kiyon nahi araha, plz iss ko general mein front pe koi laa de, mujhe apni problem ka solution chahye plz app sab ki bari meherbani hogi.
New Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 61  Post: 226  Age:  36  
Posted on:1st Feb 2010, 6:59am
 

same problem

mera bhi yehi problem hai laikin itan nahi hai jitna keh hasnain ji ka hai. mein bhi logon sai baat kertai hoye derta hun. kerta hun laikin dertai dertai kerta hun. cousins waghera sai to frankness hai laikin generally mein derta hun.

info1234 nai bohut acha bian kia hai. merai saath bhi kuch aisai hi thai, keh combine family meh rehtai thai aur ab bhi rehtai hain. ghar mein har wakt rok tok, yeh na karo woh na karo. dadi phoophian, abu sab ka yehi haal tha. sharp mein itna tha keh app soch nahi saktai, her cheez ko foran pick kerna, foran seekh jaana, laikin ab is tarhan hun keh koi baat yaad nahi rehti, istarhan hai  jistarhan zang lag gia hai. her wakt sochon mein gum. sochta rehta hun.oper sai mein kamzoor tha aur ab bhi hun uska bhi ehsaasekamtri rehta hai, her koi mazak kerta hai. ab shaadi bhi ho gai hai aur MashAllah aik beta bhi hai aur mein soochta hun mein nai isko apnai jesa nahi bannai dena. kabhi koi rok tok nahi kerni bila wajha.

 

laikin aik aur cheez hai jab mein abroad jaata hun to merai mein confidence a jaata hai mein gooron sai araam sai baat ker leta hun. us wakt  mein full confidence mein hota hun

mein is lack of confidence sai nikalna chata hun. plz help me.

Husnain Ji Group: Members  Joined: 30th Apr, 2009  Topic: 5  Post: 36  Age:  28  
Posted on:1st Feb 2010, 11:42pm
 

New bhai

app ki bhi same problem sun kar bauhat dukh hua, magar mere sath to bauhat hi ziyada problem hai, har kisi se baat karte hue ghabrata hoon, mere sirf sister aur brother aur ammi k ilawa mera koi cozn bhi ho to bhi baat karte hue ghabra jata hoon, aur kuch samajh hi nahi ata kia karon, har waqt bus ajeeb se khayalon mein rehta hoon, mera self confidence jaise khatam ho kar reh gaya hai,

app sab plz mujhe batayen k men kia karon.

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Feb 2010, 7:10am
 

Husnain Ji

aap diplomat ki ooper wali post ko ghore se parhain, unhun nay bht achi baat likhi hain...  aap unki baaton par amal karain r aap tanhai se bachain..

aap k sath jo kuch bhi hua, sun kar bht dukh hua, lekin aap yeh sochain k yeh sab mazi ka hissa ban chuka hai.... aap khud ko akela rakhtay hain, isiliay aap ko yeh khiyalaat sab se ziada tang kartay hain..

ji aapki bat bilkul samajh aa gai k aap k sath kia hua, lekin yeh forum hai, yahan aap ko koi nahi dekh sakta aap bilkul secure hain, aap khul kar sab kuch batain..... pehlay iski poori tafseel batain, k woh admi kon tha, aapko kesay mila, apki us wakt kia age thi, us nay kitna arsa aap k sath aesa kia, aap nay ghar p kisi ko q nahi btaya, us nay aap se pesay bhi liay, jo kuch bhi hai sab kuch tafseel se batain, phir kuch decide ho sakay ga k apko kia karna chaihey..

baki aap neechay wali post parhain, jo ma nay "new" ko mukhatib kar k likhi hai, lekin asal ma aap bhi mukhatib hain..

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Feb 2010, 7:12am
 

New

meray students ki ages 17 se 23 saal k darmian hain, is age ma bht flexibility hoti hai, agar aap itni age k hotay tau apka tau bht hi asan solution tha k aap aik aesi game regularly khelna shuru kar dain jo technical ho aur aapko bilkul bhi nahi khelni ati, us k game k khelnay ma shuru ma aap bilkul nakam hongay, us say ap ma nakami ko face karnay ka hosla peda ho ga, ahista ahista aap seekhtay chalay jain gy aur jab aap expert hongay tau khud bakhud aap ma confidence peda ho ga aur aap apnay team members ko command karain gy, unhay mashwaray dain gy aur aap ka confidence barhta jaey ga, aur isi cheez ko apni baki zindgi ma bhi apply karain, aapki life bhi aik bht bari game hai jo aap khel rahay hain, lack of confidence asal ma sirf nakami ka khof hai.

magar aap tau mashAllah mujh se bhi baray hain, father bhi hain, admi ko uski wife bht ziada confidence deti hai, ab tau ap us flexible age ma hain hi nahi, ab tau mashAllah aap khud sab kuch samajhtay hain. aap yeh baat sochain k goron se baat karnay main, aur baki family se baat karnay main aap ko kia farq nazar ata hai? woh ap khud find karain aur khud par qabu pain.

is ma koi shak nahi hai k bachpan aur larakpan ma admi k sath jo kuch hota hai woh uski shakhsiat par gehray asrat chorta hai, lekin admi age k aik hissay main pohanch kar pori tarhan ghalib hota hai, us wakt woh thori si koshish se apni tamam khamion par qabu pa sakta hai... admi ki senses k 2 hissay hotay hain, shauri aur lashauri hissa.. yeh khof aur confidence ka taluk lashauri hissay se hai... aur shauri hissay ka taluk knowledge, analysis and decisions se hai....  1 saal k bachay ko dekhay, woh poori tarhan lashauri hissay ma hota hai, lekin ahista ahista uska shauri hissa tarakki karta hai, aur aap 4 saal k bachay ma, 10 saal k bachay main, 16 saal k bachay main aur 25 saal k admi main dekhain "hosh o hawas" ka asal fark hai, takriban 22 saal normal admi ki age hai jab uska shauri hissa poori tarhan us par ghalib hota hai.... yeh woh wakt hai k agar koi shakhs chahay tau apni tamam khamion par qabu pa sakta hai. admi ki strength uska analysis and decision power hai, aur admi ki weakness uski desires     (khwahishat), in dono extremities main balance hona chahiey, aur woh balance depend karta hai admi k KNOWLEDGE par..... aap apni usi lashauri hissay k khof ka jaiza lain, aur ussay knowledge k zariay khatam karain.... aur apnay un bazurgon se nafrat mat peda karain jinki wja se aap aesay huway, un k sath acha salook karain, aur apnay se choton ko yeh baat samjhain k bachon ko samjhanay ka tarika kia hai...

isi tarhan insan ki shakhsiat k 2 hissay hotay hian, aik woh hissa hai jis ma insan ki kamzorian aur khoobian shamil hain, maslan knowledge, koi hunar, koi kamzori waghera, sada lafzon main uski koi kaam karnay ki salahiyat (blessings)..... aur aik woh hissa hai jo asal ma insaniyat hai, yani emotions, feelings, control n coordination, confidence, sada lafzon ma insan ki hukamrani.....jo shakhs apni zaat par hukamrani kar sakay, woh poori dunia par hukamrani kar sakta hai....agar aap hakikat par ghore karain, tau sab log apnay bachon ki "karigari" ko tau polish kartay hain, lekin "hukamrani" ko polish nahi kartay, k larka aik independent existence mehsoos ho, jo halaat ka mohtaj na ho, hamain tau sab log hi aesay nazar atay hian jinhay 10 bandon k samnay apni baat pesh karni par jaey tau unki tangain kanpnay lagti hain, aap anokhay tau nahi hain.....aap kisi graduate ko public gathering par bula kar koi sawal poochain tau aapko lagay ga jesay isnay kabhi kuch parha hi nahi hia...

agar koi insan, apni shakhsiat ko pehchan le, tau ussay bari asani se samajh a sakti hai k uski shakhsiyat barbad karnay wala sirf uska apna khof hai, jo aik lehaz se uski apni khami bhi hai..
agar aap k zehen ma bachpan se yeh khof ghalib raha tau ab aap ko is se bahir nikalna chahiaey aur is ka sab se behtar tarika khud aap ko hi maloom ho ga, sirf aap ko kuch takleef karni paray gi pehla step uthanay k liay.

lekin kuch bht asan si baatain bhi hain jinsay aik admi ka confidence bht ziada hota hai..
jitna ho sakay sadqa r kherat karain
ziada se ziada logon par ehsan karain
bazurgon ki khidmat karain
aur apni wife se apni yeh problem share karain, apki wife apka yeh prb solve krnay main sab se ziada apki help karain gi

is k ilava surah "alam nashrah" ki tafseer parh kar, ussay achi tarhan samajh kar, uskay ilfaz par ghore kartay huway ussay parhtay raha karain
aur quran ko samajh kar parhna apna mamol bana lain, chahay roz k 5 minute quran parhain, ya 2 din bad, ya 3 din bad, lekin regularly quran ko samajh kar parhna shuru kar dain, apki tamam problems aesay ghaib hongi k aap khud heran hongay... aap kisi bhi authentic scholar ki classes bhi shuru kar saktay hain, cd pe quran ki tafseer sun saktay hain..agar aap quran parhain gy tau apko mehsoos hoga k Allah ko insano se kitni mohabbat hai, aur kesi mohabbat bhari kitab us nay hamain tohfa dia hai, yeh parh kar aap ko Allah se mohabbat honay lagay gi, agay aap khud bakhud ahadis bhi parh rahay hongay aur apko mehsoos hoga k hamaray peghambar SAW ko ham se kitni mohabbat hai, aap ko khud bakhud Hazoor SAW se mohabbat honay lagay gi, aap ko khud bakhud tamam sahaba, tabaeen, taba tabaeen se mohabbat honay lagay gi jo Allah aur Rasol SAW se mohabbat rakhnay walay, aur unki perwi karnay walay hian.

asal ma quran woh kitab hai jo insan k "insaniyat" ko polish karta hai, aur insan apnay hakook aur faraiz pehchannay wala aik confident admi banta hai..isay chakh kar dekhain yeh apkay dil par kia asar karta hai...afsos yeh hai k hmaray hi bht se ulma hamain quran se roktay huway nazar atay hain, un k khiyal ma quran parhnay se aam admi gumraah ho jata hai....aap aesay logon ki akalon aur unkay kirdar ko khud analyse karain aur khud decide karain k kia sahi hai kia ghalat.


 

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Feb 2010, 7:49am
 

New......

rahi baat apkay betay ki, tau aesa reactive step mat lain.. agar aap sari zindgi hosla afzai se mehroom rahay tau apnay betay ko usta ulat mat banain k woh sirf apni baat manwanay wala ziddi insan ban jaey.... aap unki balanced andaz ma parwarish karain... uski hosla afzai bhi karain lekin sath sath ussay tankid bardasht karna bhi sikhain.. ussay sikhain k agar uski buri baat par tankid ki jaey tau ussay apni baat chor deni chaiey, aur agar uski achi baat par tankid ki jaey tau ussay uska koi asar nahi lena chaiey.. ussay sikhain k ghalti kar k insan ko apni self respect aur apna moraal down nahi karna chaiey.... ussay hargiz "girnay" se mat darain, agar ussay zehen ma girnay ka khof beth gia tau woh chalna bhi chore de ga, ussay yeh sikhain k gir kar uthna kesay hai aur takleef kesay bardasht karni hai, jissay girnay ka khof na ho woh bhagta hua nazar aey ga.


 

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3217  Age:  36  
Posted on:2nd Feb 2010, 10:24am
 

confidence / self confidence

INFO

you are really knowledgeable person and you have excellent points to teach a student ..you really seems a good teacher...God Bless You

aap ki tammam batain haqiqat pr mabni mehsoos hoo rehi hain...laiken aik aur baat jo main ahaz kr reha hoon especiely app ki second post sy jo k aap ny New ko address ki hey

wo yeh hey k aap ka ishara ziyada tar self respect ki janib hey laiken asal main baat self confidence ko groom krney ki hoo rehi hey....iss k sath sath main ye b samjhta hoon k self recpect hi asal main self confidence ki pehli seerrihi (stair step) hey...tahum ba'az auqaat yeh b daikha geya hey k kisi insaan main self recpect iss qadar barrh jati hey k wo self confidence ki bajaye proud (gharoor,takab'bar) main badal jati hey...behar'haal  

INFO brother aap ny jo quran pak k hawaley sy baat ki hey wo b apni misaal aap hey..iss sy barrh kar aur koi baat hoo hi nahi sakti..aur aik muslim k liye to behtreen baat hey 

New & Husnain JI...aap info brother ki baton ko dhihaan sy read krain insha'allah aap main self confidence barrh jaye ga

asal main kisi b insan main aitmaad ka fuqdaan nhi hoota bulky yeh insan main awal sy majood hoota hey sirf halaat aur waqiyaat iss pr aik qisam ki dhool(matti,gard) dhaal daitey hain jaisa k INFO brother ny keha sirf uss dhool ko saaaf krney ki zaroorat hooti hey aur agr aap apny andr confidence pr laga zang utarney main kamyaab hoo jatey hain to yehi confidence self confidence main badal jata hey yani apney andar majood confidence ko self confidence main tabdeel krny ki zaroorat hooti hey ...aap ko shaid meri  yeh baat barri ajeeb lagey k ...agr insan k andar jab confidence majood hey to phir self confidence ki q kami hey...magar yeh haqeeqt hey k confidence yani aitmaad aur self confidence yani khud aitmaadi do alag alag cheezain hain....

confidence yeh hey k yeh kaam ho sakta hey...aur self confidence yeh hey k yeh kaam main kr sakta hoon...taham self confidene aur proud (takab'bar) main b mamooli sa farq hey..yani self confidence yeh hey k main yeh kaam kar sakta hoon.....aur takab'bar yeh hey k yeh kaam bus main hi kar sakta hoon

misaal k toor per aap iss forum per apna aik masla ley kr aye hain k app k andar self confidence ki kami hey....iss ka matlab hey k aap k la'sha'oor main yeh confidence / aitmaaad majood tha k aap k masley ka hal iss forum pr hoo jaye ga...matlab yeh k aap ka inn members pr aitmaad ban geya k yeh aap ki mushkal ko hal kr saktey hain....agr aap members ki baat ko maan lety hain aur iss par amal b krtey hain to nateeja'tan aap ka yeh aitmaad aap ki khud aitmadi main badal jaye ga..

aur aap issi khud aitmaadi k paish-e-nazar kal ko kisi aur sayel (questioner) ki rah'numa'ee krny k qabil b hoo saktey hain.....yani aaj tak members sy rah'numa'ee lainey k barey main members pr aap ka aitmaad hey...aap ka yeh aitmaad polish honey ki soorat main kal aap ki khud aitmaadi main badal sakta hey ..............bus aap k andar jo aitmaad majood hey ussi aitmaad pr lagey zang ko utarna hey..nateeja'tan aap main khud aitmaadi ajaye gi...simple 



Husnain Ji Group: Members  Joined: 30th Apr, 2009  Topic: 5  Post: 36  Age:  28  
Posted on:3rd Feb 2010, 7:00am
 

Info and Diplomate bhai

Assalam o Alikum,

mein app dono ka beehad mashkoor hoon k app dono ne apne qemti waqt mein se mere liye time nikala aur meri mushkil ko samjha, yaqeen janiye mujhe app k advices aur mashwaroon se bauhat hosla mila hai, Allah app ki tamam pareshaniyan door kare.

bhai baat yun hai k mein bachpan mein bauhat hi shararti to tha magar sharmila aur sensitive bhi bauhat tha, meri umer 11 saal thi jab meri walida ki death ho gayi aur uss ka mujh per bauhat bura asar hua, hamare walid sahab ko shuru se hi hamari koi parwa nahi thi matlab apne app mein rehte the, mera sab kuch meri ammi thi phir unki death k baad mein jaise mein kahtam ho gaya, saari raat rota rehta tha aur so bhi jaon to darr kar uth jata tha. phir mere walid sahab ne dosri shadi kar li aur Allah k fazal se meri dosri ammi bauhat hi achi hain hame kabhi maa ki kami mehsoos hi nahi hone di.

magar iss doran mein apni studies k liye aik teacher k pass gaya aur uss ke passs parhna shuru kia, woh shuru mien mujh se bauhat pyaar se mohabbat se paish ata tha mujhe lagta tha yeh mere baap ya bhai ki tarha hai mera kitna khayal karta hai, magar phir uss ne mera mind aisa bana diya k mujhe iss k ilawa kuch nahi dikhta tha, woh kehta din hai to din hai woh kehta raat ha to raat, uss ne mere zehen mein yeh bitha diya tha k uss k bagair mein kuch nahi hoon, woh jab bulata tha mein jata tha aur ghar mein sab ko lagta tha k mein parhne ja raha hoon , phir uss ne mere sath galat harkatein shuru kar din mean (sex), mein ne mana kara to bolta tha mein agar hoon to tu kamyaab hai warna kuch nai iss liye jo kehta hoon karo aur phir blackmail karna shuru kar diya k agar kisi ko bataya to mein sab ko bologa k tum paise lekar sex karte hoo (GAY) hoo aur mein ne tumhari video bhi bana li hai yeh sab ko dikhaoga aur tumko jail bhej doga wahan log roz tumhara rape karege aur koi tumko nahi bachayega. mein bauhat darr gaya aur woh jo kehta tha woh karta tha, mein yeh baat kisi ko bata bhi nahi sakta tha aur chota bhi tha kuch kar bhi nahi sakta tha, 

mein ro ro kar Allah se dua karta tha k mera uss se peecha chura de, 4 saal tak roz uss ne mere sath galat kia aur mein roz jeeta roz marta tha, mein sochta tha mein marr jaon ya khudkushi kar loon, mein jaise uss ka gulaam ban gaya tha. aaj iss baat ko 8 saal guzar chuke hain magar mere under abhi bhi wohi khauf betha hua hai, mein ne jis pe itna bharosa kia uss ne mere sath aisa kia, mera abb kisi k uper bhi aitbaar nahi raha, har kisi pe shak karta hoon, kisi se baat tak nahi kar sakta,

chahe koi cozn hoo ya dost ya koi bhi banda baat karte hue ghabrata hooon aur sab se door bhagne ki koshish karta hoon, mera apna koi mind nahi chalta koi soch nai bus har waqt ulta seddha negative hi sochta rehta hoon, meri parhai mera confidence meri khud aitmaadi sab kahatam ho gayi hain, app se plz request hai k plz meri madad karo mein kia karon mujhe kuch samajh nahi ata, app logon ka mujh per ehsaan rahega.
Husnain Ji Group: Members  Joined: 30th Apr, 2009  Topic: 5  Post: 36  Age:  28  
Posted on:4th Feb 2010, 5:14am
 

PLZ BHAI

info and diplomate aur app sab plz mujhe reply karen mein bauhat parehsan hooon,
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:4th Feb 2010, 10:51am
 

well said diplomat ji ...

Agreed to diplomat, self respect is darjay nahi honi chaiey k arrogance ya gharoor takabbar tak pohanch jaey, balance rehna chaiey, Hazrat Ali (Raziallah anha) ka aik quote meray zehen se nikal gya hai lekin us k mutabik hasad, lalach aur takabbar jahalat ki nishani hai…. Yani koi shakhs jitna marzi parha likha ho agar us ma yeh teeno cheezain ya in ma se koi aik bhi  jitni  mojud hai  wo shakhs utna hi jahil hai.


 

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:4th Feb 2010, 10:54am
 

Hasnain...... this is for you

Hasnain apki story sun kar really bht dukh hua hai…. Aap ki story se un sab logon ko sabak seekhna chaiey jo zimedarion se jan churatay hain, aur apnay hissay k kaam dusron k sar daltay hian..


Jab parents apnay bachon ki tuition k liay tutor appoint kartay hian tau nigrani karna q bhool jatay hain? Wo koi aesi jgah q nahi chuntay jahan par tutor tawajja se parha bhi sakay aur asani se chaltay phirtay nazar bhi aa jaey k parhai ho rhi hai ya kuch aur..  kisi ko parhanay k liay room  lock karna hargiz requirement nahhi hai, school college university kisi bhi jgah classroom ko lock kar k lecture nahi dia jata.

Hasnain aapka last reply dekh kar kamazkam yeh andaza ho gya hai k aap mashAllah bilkul theek hain. Aap ne jis tarikay se baat ko samajh kar aik bharpoor jawab dia hai usi se andaza ho gya hai k aap ma “life” mojud hai, aur aap ma struggle bilkul intact hai….. kisi bhi admi ki tehreer uski soch ko zahir karti hai, aur uski taqreer uskay confidence ko….. apki tehreer bht achi tarhan zahir kar rahi hai k aapki soch, thinking aur apki senses bilkul theek hain…aur yehi asal cheez hai..

Aap k sath itna bara hadsa hua aur us k sath hi aik aur hadsa, yani 4 saal apnay itni takleef ma guzaray, aur us k bad pichlay 8 saal se aap aesi zehni kefiat ma hain jo sirf aap samajh saktay hain, koi bhi ussay words ma bian nahi kar sakta….. yeh sab kisi  bhi normal insan k sath ho  tau uski halat kharab ho jaey gi… yahan tak k bht se log tau pagal ho jatay hain… aapka tau mashAllah bht hosla hai k aap 13 saal se sab kuch bardasht kartay rahay, kisi ko btaya tak nahi, aur sab se bari baat k aap ki senses aur thhinkings sab kuch theek hain……. Sirf “zakhmi” halat ma hain…….. koi hatta katta takatwar admi bhi agar 3 din bhooka jail ma rahay aur mar bhi khaey, tau uski halat intehai kharab ho gi k wo uthnay k kabil bhi nahi ho ga, yeh normal si baat hai k har insan zakhmi halat ma normal insanon ki tarhan behave nahi karta…..lekin sirf uskay zakhmon par marhum rakhnay ki dair hai k wo bilkul theek ho jata hai, aur uski takleef bardasht karnay ki salahiyat pehlay se bhi ziada barh jati hai………. Bilkul aesa hi kuch mamla aap k sath hai… aap nay pehlay bht bara zehni sadmay ka samna kia, phir usi halat ma aik wehshi darinday k hath lag gaey aur bht arsa zehni takleef bardasht kartay rahay, aur us k bad usi tarhan zakhmi halat ma paray huway hain…….. zahir hai us lehaz se abhi ap jis tarhan ka response de rahay hain wo koi abnormal baat nahi hai, bilkul normal si baat hai, har insan ma feelings aur emotions hotay hain, yeh na hon tau admi robot hi reh jaey sirf……

Lekin aap yeh sochain, k jab aap itna bara hadsa,  apnay senses loose kiay beghair bardasht kar saktay hain tau aap tau aik bht strong insaan hain… apki jgah koi aur hota tau uska kia hasher hota? Aap nay tau mashAllah graduation bhi kar lia, apki tau engagement bhi ho gai aik larki se,  tau kia kami reh gai aap ma? Koi bhi nahi.. sirf aik zakham hai kafi gehra  jo aapko tang karta hai, aap thori si takleef aur bardasht kar lain aur us zakham ka ilaaj kar lain, inshAllah aap aik intehai confident aur mazboot dil walay insaan ban jain gy, aur aap k liay choti moti taleefain aur pareshanian koi hesiat nahi rakhain gi
Aap apni society par ghore karain,  apko bht say business tycoons, highly qualified, aur oonchi oonchi posts par aesay admi milain gy jinhun nay bari bari takleefain aur dukh bardasht kiay hain, lekin jab aik bar wo log apni takllef k sath sanbhal gaey tau un logon ma aesa stamina develop ho gya k un k liay mushkilaat ki koi hesiat nahi rahi aur wo bari asani se tarakki kartay huway kahan k kahan pohanch gaey….. inshAllah aap k sath bhi yehi ho ga.. aap aik bar khud ko sanbhal lain, tau bas ap ma aesa hosla aur aitmad a jaey ga k apki dunia badal jaey gi..

Aap ki mother ki death hona taqdeer ka fasla tha, wo bht log mehsoos kartay hain aur jo log yeh gham mehsoos kartay hain wo log qadar jantay hain k mother kia hoti hai, aap nay yeh gham mehsoos kia hai, ab dil se dusray bachon ki mothers ki zindgion k liay dua karain, aur jo log apko apni mother se gustakhi kartay nazar ain unhay naseehat karain k wo kis neymat ki naqadri kar rahay hian….. lekin aap mashAllah bht khush qismat hain k apko dubara apni mother mil gai, jab wo ap se itna pyar kar rahi hain tau apko bhi unhay usi tarhan haqiqi mother ki tarhan response dena chaiey…. Baki us puranay gham ko apni zaat ka hissa mat banain, aap mashAllah musalman hain aur apko yeh itmenan hona chaiey k yeh dunia apki sirf test life hai, haqiqi dunia akhirat hai jahan apko hamesha k liay apni mother mil jain gi…. Un k liay ziada se ziada dua karain k Allah unkay darjaat buland farmaey, aur hanstay muskuratay rahain takeh Allah bhi aap par rehmat karay uski raza ko qabol karnay par.


Apkay father bhi aesay laparwah hain tau aap yeh sochain k apko apnay bachon k liay aesa nahi banna… aap yeh tehqeeq karain k apkay father ko kis cheez nay aesa bnanya.. ab aap apnay father ki poray dil se khidmat karain aur unhay yeh ahsas mat honay dain k unki ghaltion ki wja se aap aesay zehni bimar ho gaey hain, kia pata wo bhi is baat ka dukh mehsoos kartay hon aur khud ko apka mujrim samajhtay hon… ap apni reality khud jantay hain k aap bilkul theek hain, isiliay ap ab apnay father ko aesi mohabbat dain k un k dil ki gehraiyon se aap k liay dua niklay, aur aap ko aik raaz ki baat btata hun, k har insaan ki bari se bari uljhanon aur pareshanion ki dawa..”dusray insanon k dil se nikli hui duain” hai….  Azma kar dekh lain….. ap insanon  par ahsan karnay walay banain, wo dil se apko duain dain gy, aur aap khud mehsoos karain k dusron ki duain kis tarhan apki zindgi par asar karti hain..

Rahi baat apkay “tutor” ki…. Aap ko achi tarhan tjrba ho gya k kalay dil aur ghattia zehniat k log khud ko knowledge ya hamdardi k khol ma chupa kar samnay atay hain, aur kisi ki majboori ma apni asliat zahir kartay hian…… lekin is baat ka matlab yeh nahi hai k dunia k sab insaan aesay hain, aur sab tutor aesay hain….. har jga har tarhan k log hain, aapki soch agar negative ho  gai hai tau yeh shetan hai jo apko har admi hi corrupt bna kar pesh kar raha hai.. shetan insaan par poori takat se hamla karta hai jab insaan apni senses loose kar dy, yani koi admi itna ghussay ma a jaey k ussay hosh na rahay, itna jazbati ho jaey k samajh chor de, ya itna ghamzda ho jaey k apnay ap ko bhool jaey..  .. ap is kefiat se niklain, aur khulay zehan se sab kuch dekhna aur observe karna shuru karain, aap ko andaza ho jaey ga k abhi achay logon se dunia khali nahi hui……..


Ap k dil ma sab se ziada gham us tutor ki harkat ka hai jo us nay ap k sath ki……  aap khud par ghore karain aur sochain k us gham k baray main apki kia feeling hai…. Kia aap us harkat ma khud ko bhi mujrim aur gunahgar samajhtay hain?.. agar aesa hai tau is baat nay apko ziada pareshan kar rakha ho ga….  Agr aesa hai tau yeh apki ghalat soch hai, apka is sab ma koi kasoor nahi hai, jo halat ap nay apni btai hai, us halat ma aur wo bhi itni choti umer ma apko kia samajh aey k yeh sab kia ho rha hai.. tau kia aap Allah ko aesa samajhtay hain k wo apko is baat ki saza de ga? Wo tay baray baray gunahgaron ko aik maafi par maaf kar deta hai, tau aapko us baat ki sza q de ga jis ma apka koi kasoor nahi?....  phir bhi tasalli k liay Allah se dil ki gehrai se maafi mang lain apko sakoon mil jaey ga… aur is pareshani ko ab zehen se nikal dain.. apnay present par mehnat karain, aur thora time lgay ga lekin time k sath sath aap inshAllah hansnay khelnay walay bilkul normal admi ban jain gy, aur aaj jo log apka mazak uratay hain, inki parwah chore dain, sirf apnay aap ko zehni uljhan se nikalain, aur apni life ma wapas ain, jab ap khush honay lagain gy tau log khud bakhud aap se dosti karnay lagain gy.


Aap nmaz bhi parhtay hain, sab se bari cheez hi yehi hai, nmaz har bimari ka ilaj hai agar issay dil ki gehrai se parha jaey…..  aur quran tau har rohani zakham ki dawa hai…. Aap quran ki baqaida taleem hasil karna shuru kar dain,  ajkal yeh bht hi asan kaam hai, yahan tak k internet pe apko dunia jahan k scholars ki tafseer mil jain gi..


Is k sath aap kuch activities shuru karain……  jo kaam aap kar saktay hain unhay ziada achay tarikay se karain, aap nor clinic forum par aey, yahan atay rahain, yahan logon ki discussion dekhtay rahain, aur ahista ahista khud bhi logon ki posts ma reply karna shuru karain….. 


Aap suba utha karain, aur kuch aesa kia karain k aap thak jain aur sanse charh jaey.. yani bhagain, ya koi exercise karain, jab apki routine ma thakna, lambay sanse lena shamil ho ga tau apkay heart ki performance improve ho gi aur aap relax feel karain gy…


Aap parks ma jana shuru karain aur wahan beshak akelay jain ya kisi k sath, wahan apko life nazar aey gi aur aap khud bakhud normal aur relax hona shuru ho jain gy, lekin apnay zehan ko saaf rakhain aur fazool sochna chor dain….


Is k ilava aap un baton ka knowledge hasil karain jo confidence ma izafa karti hain….  Maslan aap leadership ka knowledge hasil karain.. bht asan hai.. zaroori nahi k aap university se mba karain…. Aap bazaar jain, achi kitabain khareedain, social sciences ki kitabain khareed lain, aur yeh ilm hasil karain k society kesay kaam karti hai, har mehekmay ka society ma kia role hai, engineering, medical sciences, politics, economics yeh sab fields kis tarhan network bna kar society develop karti hain, jab apko in baton ka ilm ho ga, tau aap ma khud bakhud aitmad ana shuru ho jaey ga .. is k sath aap tareekh yani history parhain, history ki achi kitabain khareed kar parhain, internet par achi cheezain search karain, aur ahista ahista apni routine ma “zindgi” le kar ain…..  ahista ahista logon se milna shuru karain, chahy kuch na bolain lekin un se milain zaroor,  log khud hi aap say baat karain gy, inshAllah khud hi apka hosla khul jaey ga……… Aap nor clinic par hi dekh lain, aesay aesay log bhi hain jin k sath aap se bhi ziada bura hua hai, lekin phir bhi wo khud ko set karnay ki struggle ma hain……..un logon ko jaan kar bhi apni halat par shuker ada karain k aap ka koi major nuksan nahi hua, aap har lehaz se bilkul theek hain….

Ma apni samajh k mutabik jo behtar samajhta tha keh chukka…. Har insan ma khami hoti hai, meri baton ma bhi bht si khamian reh gai hongi……..   lekin agay sab apka kaam hai k aap apnay aap ko khud sambhalain, samjhain ma nay aap ko dariya ka rasta btaya hai, lekin wahan chal kar khud aap nay jana hai…………Allah bless you..

Husnain Ji Group: Members  Joined: 30th Apr, 2009  Topic: 5  Post: 36  Age:  28  
Posted on:6th Feb 2010, 4:03am
 

info bhai

Thank you very much, Allah app ko hamesha khush rakhe, mein ne app ki tamam batein bauhat gaur se parhi aur inshallah iss per amal bhi karoga.

actually woh teacher mujhe roz itna marta tha k jo bhi cheez uss k hath mein hoti thi mujhe maar deta tha woh maar maar k thak jata tha per mein maar kha kha kar bhi nahi thakta tha, mein uss k samne itna rota tha itni maafiyan mangta tha magar pata nhai kiyon usse mujh pe rehem nai ata tha, mere sath itni galat harkat karta tha k mujhe apne app se nafrat ho gayi aur aaj bhi kabhi woh mere khuwaab mein ajata hai to darr kar uth jata hoon,

app yaqeen karen app ki baton se mujhe bauhat hosla mila hai, magar mujh se koi bhi baat nahi hoti hai yahan likh raha hoon to mujhe khud hairat ho rahi hai k itna sab kuch mein ne kaise likh lia, mein itni koshish karta hon k bahar jaon sab se milon magar kahin jaane ka dil hi nahi hota, kabhi family mein koi function ya program hota hai to puri koshish karta hoon k naa jaon aur mujhe ajeeb kahaylat ate hain k mein wahan jaoga to kis se baat karoga kia baat karoga, aur koi baat bhi karta hai to bus hoon haan karta rehta hoon, koi agar kuch pooch le to sochta hi rehta hoon k kia jwab doon ghabrata rehta hoon, app ne kaha k koi aur hota to pagal ho jata aur waqai mujhe aisa lagta hai k meri jaga koi aur hota to shayad pagal hi ho jata ya khudkushi kar leta, mujh per Allah ka bara ehsaan aur caroron shukar hai k mein bilkul theek hoon, magar meri hiss mar chuki hai koi khaayaal ya koi mind nahi hai, ya yun samajh lein k be painde ka loota ho gaya hoon jo kabhi idhar girta hai kabhi udhar, koi apni soch nahi hai, bus be hiss para rehta hoon.

mujhe meri fiance k bare mein bhi ulte seedhe khayalat ate hain k woh kisi aur k sath attached hui hogi aur mujhe chor degi ya koi aur uss k sath galat kar dega, ya shadi k baad woh mujhe pyaar nahi karegi, halanke mein bauhat koshish karta hoon k yeh khayalat na ayen magar pata nahi kion mujhe aisi sochen aati hain aur mein bauhat depress ho jata hoon hamesha tension mein hi rehta hoon phir bus leta rehta hoon. mein app ki tama baton per amal karoga Inshallah.

FAIZIIII Group: Members  Joined: 03rd Oct, 2009  Topic: 4  Post: 26  Age:  24  
Posted on:6th Feb 2010, 3:45pm
 

@info 123

ap ka reply parh ker boht acha laga asal mai meri problem bhi almost yehi hai jo husnain bhai ne batai hai magar itna extreme per nahi hai mai bhi telephone calls wagera attend kerne se boht zyada avoid kerta hon
university mai ane k bad jab mujhe exposure zyada mila hai tu mai ne feel kya hai k mera confidence thora increase hua hai mai husnain bhai ko bhi yehi kahon ga k zyada time logon mai pass karein kyon k akele rehne se ulte seedhay khayalat zehn mai ate hain

mai apni class k top students mai count hota hon magar boht sensitive hon aur kisi bhi baat per ghanton sochta rehta hon.......mere parents mujhe bachpan mai her kam mai tokte the jis ki waja se mera confidence boht kam ho gaya hai.........females se tu mai bilkul bhi baat nahi ker sakta na hi mujh se public k samne khare ho ker presentations di jati hain

asal mai mere dil mai harne ka dar boht hai mai har ko dil per le jata hon ...is baat  ka bhi boht darr rehta hai k koi meri insult na ker day ....isi darr ki waja se kuch nahi ker pata

mai ne info ki sari posts boht ghor se parhain hain and ye samajh mai aya hai k ager mai apne ander se har aur insult ka darr khatam ker lon tu boht kuch ker sakta hon
.
husnain bhai ap orkut facebook aur dosre forums per ja ker chat kya karein is se ap k bat kerne ka hosla paida ho ga mai ne bi yehi kya tha aur ker raha hon kyon jis qadr ap public discussions mai participate karein gay utna hi ap k under baat kerne ka confidence barhe ga kyon k wahan ap ko insult ka darr nahi hota ...............
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:8th Feb 2010, 9:48am
 

husnain aap achi khasi baat kar rhay hain.. :)

 

ap itni achi tarhan baat kar tau rahay hain, isi tarhan baki threads ma bhi reply kartay rahain jo apko behtar lagay......

husnain apki sensations dead nahi hui hain......  aap ki baaton se saaf andaza ho raha hai k aap theek aur fit hona chahtay hain, yehi tau nishani hai k admi mentally disturb nahi hai bilkul normal hai.........

aap khud sochain aik jaagay huway insan main, aik soyay huway insan main aur aik maray huway insan ma kia fark hai.... soya hua insan dekhnay main mara hua lagta hai lekin asal main zinda hota hai sirf jaganay ki zarurat hai.....  isi tarhan apki sensations soyi hui hain lekin zinda hain, sirf jaganay ki zarurat hai...

aap koshish shuru karain.... aik dam sab kuch nahi ho ga.. ahista ahista INSHALLAH aap bilkul theek aur normal ho jain gy lekin thora time lagay ga.... aap achanak aik dam khud ma change expect nahi karain...  aap sirf koshish shuru karain, aur sirf is baat ka notice lain k jesay aap aik week pehlay thay aaj aap us se kuch behtar hain, isi tarhan apnay aap ko relatively note kartay rahain, khud ma har mahinay bad mehsoos karain kia change ayi, pehlay jis kaam ma apko dar lagta tha uska dar kam ho jana chahiey ya jo kaam ap nahi kartay thay ab kar rahay hain, isi tarhan ahista ahista bilkul normal ho jain gy, khud bakhud apka dil har kaam ma lagay ga....

ap k dil ma asal baat "gham" hai jo aap apnay baray main mehsoos kartay hain k aap k sath bht bura hua....... lekin human life itni kam qeemat nahi hai k ap k sath kuch bura hua aur aap himmat haar k beth jain....  woh bura wakt guzer chuka hai aap bilkul theek hain aur aap khud apnay samnay us shkhs ka hashar dekhain gy.....  kuch log hotay hain jo kisi masoom insan ka dil dukhatay hain, woh log aesi bimarion main mubtila hotay hain k mot ki khwahish kartay hain lekin unhay usi bimari ma zinda rehna parta hai...... lekin farz karain woh teacher dunia ma bach bhi gya tau qayamat k din kis mun se Allah ka samna karay ga?...... wahan aapko uski ziadti ka poora badla dia jaey ga....

ap is baat ko ab sochna chor dain.....  letay rehnay se bachain, kam az kam kuch na kuch kartay raha karain....... kuch na ho tau kam az kam internet par hi beth kar koi achi cheez dekh lia karain, ya koi video game hi khel lia karain, lekin apnay zehen ko tanhai se bachain....

aur apni fiance k baray main buray khiyalat ka koi notice na lia karain, khud bakhud hi khatam ho jain gy....  aap apni fiance k baray main jo kuch sochtay hain, uska bht asan jawab hai.....  aap nay apni fiance ko kabhi koi ghalat kaam kartay nahi dekha....... agar wo kisi se baat kary tau is baat ka koi saboot nahi hai k unki niyat kharab hai...  aur aik musalman ko dusray musalman se hamesha naik guman rakhna chhaiey........  aur aap nay future nahi dekha, isliay future k baray ma pareshan hona chore dain k apki wife apsay pyar karain gi k nahi.......  aap Allah par bharosa rakhain, Allah k ikhtyar ma insano k dil hotay hain, aap Allah se dua akrain, woh apkay dil ko mazboot aur satisfied kar de ga aur apki wife k dil ma aap k liay pyar peda akr de ga k aap apni wife k liay dunia k sab se achay insan hongay INSHALLAH..

aur aap apnay ghar walon se apnay relation ko strong karain, aap apni mother ko, ya apnay brother ko, jis se bhi ziada attached hain ussay yeh kahain k aap bhi life ko enjoy karna chahtay hain  tau apki help ki jaey,..... apkay ghar walay bht achi tarhan apki help karain gy, woh sab se ziada chahain gy k aap bhi hansnay lagain.. .....

1 2  >>
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012