conditions Yeh tou aap nay theek kaha kali zuban keh yeh sub kismat ka khail hai rupaya paisa.... laikin maira sawal yeh hai keh islam kin halat main birth control ki ijazat daita hai?
jaisay iss ka mujhay maloom hai (shariahboard.org kay ulema saay confirm kar saktay hain) keh bachoon ki behtar parwarish kay liye aap bachoon ki paidaish kay darmayan wakfa kar saktay hain. Haan iss chez ki islam main ijazat nahi keh koi shaks bachay bilkul hi paida karnay ka irada na rakhta hoo.
Aub yeh chez Dr. Javed sb ki book main bhi hai keh bohat si wajoohat ki bina per shadi kay pehlay saal birth control karna chahiye.(jaisay aksar couple kay darmiyan understanding nahi hoti tou woh alag ho jatay hain aur iss kay asar bachoon ki life per parta hai). Main inn sub points say agree karta hoon.
Laikin sawal yeh hai, keh shadi kay shrooh kay arsay main birth control kay baray main Islam kiya kehta hai?
I hope Dr. sb will also reply, and share his views. |