Is Personality Is The Mirror Of Our Inner Feelings.? sab sy pehly to hitman sy guzarish hay k apni shak ki soi ki nok torr dain aur khaa makhaa main har bat main ya baat kehny waly main shak na kiya karain ...:) main ny koi tanz nahi ki thi ...aik aur baat k main yahan reply title daikh kar kar raha hon thread starter ko daikh kar nahi...:))
iss sawal ka answer karny k liye main insan ki khilqat k 3 aham unsar ka sahara loon ga ..jo k darj zail hain ..
- teenat
- adat
- fitrat
teenat ...insan ki paidaysh k marhaly main hi allah ta'ala ki zat insan k khameer main yani teenat main mukhtalaf cheezain rakh daiti hay ...jaisy ..hiras , lalich , tama , bughaz ,gharoor , takabbar , *makari , ayari , chal chalan , jazbaat (muhabbat , gham , nafrat , gussa), aqal , shaoor waghaira
adat .... iss ka taluq insan k duniya main any k baad zindagi guzarny k mu'aamlaat sy hota hay jaisy , cigerett peeny ki adat , sharab peeny ki adat , chaye peeny ki adat , jhot bolny ki adat , dhokha dainay ki adat , khud numaiee ki adat , waghaira waghaira
fitrat ...yeh insani khilqat kawo unsar hay jo kisi b insani adat k pukhta hojany k baad shuro hota hay ..maslan..aik insan ko jhot bolny ki iss qadar adat ho jaye k wo chotti si chotti bat sy lay kar barri sy barri baat main amoman jhot boly to goya jhot bolna uss insan ki adat sy nikal kar uss ki fitrat ban jata hay ...lehaza aysy shakhas ko jab yaad kiya jaye ga to yahi keha jaye ga k fulan jhoty shakhas ki fulan baat waghaira...issi trah insan ki deegar adaat k bary main hay
*makari ...yahan main ny star iss liye lagaya tha k main iss word ki tashree karna chata hon ...baat yeh hay k hamary mu'ashry main amoman makari ka jo meaning liya jata hay ya jo meaning rayj hay wo hay ayari , dhokha dahi , gheebat karny wala , bad'diyanat , apni baat sy mukar jany wala , wada wafa na karny wala ...waghaira waghaira...laiken iss word ka asal tarjama hay "*tadbeer" karny wala jo k hamary mu'ashry main rayj nahi hay aur hum iss meaning ko man'ny k liye tayaar b nahi hain
Quran pak ki aik aya majeeda hay " Wallah Ho Khair-ul-Maaky'reen" yani allah sab sy behtar "TADBEER" karny wala hay ...agar hum "makar ka matlab apny mu'ashry main rayj shuda yani "ayari" etc nikalain to goya iss aya majeeda ka yeh mafhoom bany ga k "allah sab sy barra makkar hay" naouz-o-billah ...laiken ays nahi hay ...iss aya majeeda ka tarjma behtreen tadbeer karny wala hi bany ga
*tadbeer ..tadbeer sy muraad insan ki tarf sy ki jany wali mkhtalif mu'aamlat main planing nahi hay bulky tadbeer ka yahan mafhoom hay "shaoor , aqal , marfat"
lehza insan ki teenat main shamil yehi aik unsar yani mak'kari (tadbeer) insani nafs ko *nafs-e-mut'may'ayna tak puhanchati hay aur yahi unsar insani nafs ko *nafs-s-am'mara tak puhancha daiti hay ..
*nafs-e-mut'may'ayna sy muraad hay k insan apni teenat main chupy tammam naik juzviyaat (ikhlaqiyaat waghaira ) ko apni "tadbeer" k zariya ujagar kary aur ala o arfa muqaam ko paa ly
*nafs-e-am'mara wo muqaam hay jahan insan apni tadbeer k zariye apni teenat main chupy bury juzviyaat ko ujagar karta hay unhain apni adat ka hisssa banata hay aur bad main fitrat ka hissa bana kar puhanch jata hay..
abb insan apni isi makari (tadbeer) ko broye kaar laa kar apni zindagi k mukhtlif mu'aamlaat ko tey karta hay inn mu'aamlaat main insan baaz oqaat acha rawwaya apnata hay , baaz oqaat bura rawwaya apnata hay , baaz oqaat masawaat ka rawwaya apnata hay goya makari ka yeh insani unsar insan ki teenat sy parwaan charrta howa insan ki adaat main dakhal ho jata hay ...baad azaan adat k pukhta ho jany k baad fitrat ka hissa banta hay
lehaza inn adaat ka mukhtilif muwaqqy par azhaar insan ki mukhilif ashkaal (images) ka bayes banta jata hay ...kisi ki nazar main ba ikhlaaq image , kisi ki nazar main parhaiz gaar image , kisi ki nazar main jhotta hona , kisi ki nazar main marfat wala hona , kisi ki nazar main lofar hona ..gharz yeh k al hazal qiyaas insan k mukhtlif images iss duniya main banty jaty hain ..
abb inn sab adaat main sy insan jis adat ko apny andar pukhta kar laita hay wo adat uss insan ki fitrat ban jati hay jo sari zindagi change nahi ho sakti ..amoman keha b jata hay k "nature can not b change"
lehaza above quoted question ka answer yahi banta hay k insan ki tarf sy paish karda mukhtlif muwaqqy par mukhtlif ashkaal ya images insan ki uss "makkari" (tadbeer) ki nishan dahi karta hay jo k insan ki teenat main shamil hay aur iss k baad teenat sy nikal kar adat banta hay aur baad azaan jumla adaat main sy koi aik adat pukhta ho jany k bad insan ki fitrat ban jati hay ...
yahi insan k mukhtlaf muwaqqy par mukhtalif images ki kahani hay..:)) |