Pregnancy Signs
Pregnancy Signs Yahaan pregnancy se related her possible sign likha hua hai aur in signs ki grouping diagnostic value ki base per 3 catagories me ki gayi hai: positive signs of pregnancy; probable signs of pregnancy; aur possible signs of pregnancy.Remenber aap me ye saray signs ho bhi saktay hen aur tab aap pregnant nahi bhi ho saktien ya phir in me se kuch hi signs aap me hon aur aap pregnant hoon.ye sirf indications k torr per use hotay hen jin ko aap ka your medical practitioner follow kerta hai.ager aap sochti hen that aap pregnant hen tu aap forum ghar me apna pregnancy test kerain.jitni jaldi aap apni pregnancy ko confirm ker lain gi utni hi jaldi aap apni zayada care kerna shoru ker dain gi. Possible signs of pregnancy - Periods ka na hoona ya amenorrhea;es ki doseri causes me fatigue, stress, hormonal problems, illness, extreme weight gain ya loss,pills aur breast feeding ka choorna shamil hai.
- Sirf khud ko pregnant "feel" kerna.
- Nausea aur vomiting;aur ye aften conception k bahd 2 se 8 week tak rah sakti hai aur es ki pregnancy k ilawa food poisoning, stress ya infections waja bhi ho sakti hai.
- Breasts ki enlargement,tenderness aur soreness;aur ye pre-menstruation aur birth control pills k use se bhi ho sakti hai laikin pregnancy me pregnancy hormones se nipples dark aur erect bhi ho jaatay hen,breast extremely sensitive bhi hoti hai aur breast veins bhi kabhi kabhi zayada visible ho jaati hen.
- Frequent urination;e ski aur waja urinary tract infection, stress, ya diabetes bhi ho sakti hai.
- Extreme Fatigue aur feeling tired
- Ptyalism ya excessive saliva ki production.
- Stretch marks
- Spider veins aur varicose veins
- Tez fetal movements;kuch log es se confuse hootay hen aur es ko gas ya bowl contraction sumajhtay hen.
- Chadwick's Sign(vagina aur cervix per bluish tinge ka hoona);aur es ko occasionally menstruation k shoru hoonay se thora pelhay bhi dekhaa ja sakta hai.
- Breast se colostrums ka aana aur colostrums aik thin milky fluid hai jo thick milk ki secretion se pelhay breast se relese hoota hai.
- Heartburn:uterus swollen hooti hai aur jis se upward pushing hooti hai.HCG k level k increase honnay se stomach zayada acidic ho jaata hai aur digestion bhi slow hooti hai.
- Constipation;pregnancy hormones bowl function ko slow down ker daitay hen.
- Headache
- Dizziness ya Feeling faint aur light headedness
- Spotting
- Irritability;ye symptom second trimester me khatum ho jaati hai jab k es se pelhay es ko healthy diet,moderate excersise aur plenty of sleep se kam kiya ja sakta hai.
- Kuch women morning k time sickness(morning sickness) bhi experience kerti hen aur kuch afternoon ya phir evening k waqt.
Probable signs of pregnancy - Abdomen ki enlargement;jo k kisi tumer ya uterine fibroids ki waja se bhi ho sakti hai.
- Pregnancy k test ka positive hoona.
- Uterus ki shape ka change hoona.
- Cervix ka soft hoona(Goodell's Sign)
- Uterus ka enlarge hoona.
- Braxton Hicks contractions ka hoona.
- Baby ki Palpation(aik method examination kernay ka jis me examiner kisi cheez k size,shape,firness aur location ko feel kerta hai)
- Uterus per apply hoonay wala pressure.
- Uterine artery ki Palpation
Implantation Bleeding Implantation bleeding ussay kahtay hen jo k fertilized egg ki uterus ki lining me grafting k time bleeding hooti hai aur ye aap ko confuse ket sakti hai khaas torr per jab aap ko ye na paata ho k aap pregnant haan.ye baatana koi easy kam nahi hai k bleeding kuin ho rahi hai e ski waja implantation bleeding ki spotting bhi ho sakti hai aur periods ki spotting bhi. period aur implantation bleeding me ye difference hai k implantation bleeding tab hooti hai jab embryo(fertilized egg) aap ki endometrium(memberane jo uterus ki lining bunnati hai)me graft hoota hai.However implantation spotting uss waqt hi hooti hai jab aap apnay periods ko expect ker rahi hooti hen aur aap es ko ghalti se periods sumajh laiti hen. Implantation bleeding k aam torr per signs wo blood hoota hai jo k menstrual bleeding se lighter aur pink ya brown color ka hoota hai aur implantation bleeding kitnay time tak rahti hai ye tu different women k liay different hai aur yahaan ye note kernna bahot zuroori hai k early pregnancy me spotting aur implantation bleeding same nahi hootay. Positive signs of pregnancy - Fetal k heart ki tones(jo k 10-20 pregnancy weeks k ander occur nahi hotien)
- Sonography(jis me high frequency sound waves ko use kertay huay fetal ki growth check kernay k liay us ski image construct kertay hen) se detection.
- X-ray se detection.
Ager results positive hoon tu pregnancy k start se hi apnay physician se appointment kerain aur ye yaqeen ker lain k aap sahi eating ker rahi hen kuin kay good nutrition aur achi prenatal care aap k baby ki life ko aik acha start day ga. Warning Signs : What To Look Out For Pregnancy me ager specially ye ap ki first pregnancy hai tu aap bahot zayada surprises hoo sakti hen k aap k aur aap ki body k saath ye kiya hoo raha hai. Ager aap ko koi pershaani ya doubt ho tu kuch warning signs bhi hen jo aap ko mind me rukhnay chahiyain. Pregnancy warning signs · vagina ki bleeding · fingers,face ya breast ki severe swelling · aap ki body se baby ki movements ka khatum ya bahot kam hoona. · High fever jis me temperature 101.6F se zayada hoo. · Dim/blurring vision · Urination me saakht pain · Aisa headache jo khatum hi na hoota ho · Injury ya accident Ager aap pregnancy me ooper di gayi symtoms ya side effects me koi bhi feel kerain tu aap ko zuroor apni health care provider se contact ker k ye sub batana chahiay.aap ko koi bhi question poochnay me shame feel nahi kerni chahiay chahay poochnay wali baat kitni hi small or illogical lugay.aap ki health care provider ye sub details jaanna chahti hai chahay ye sub details kitni hi minute hoon. Ager zuroorat ho tu aap ki doctor aap ko aik specialist bhi refer ker sakti hai aur ager aap k child ki life ki baat kerain tu it is better to be safe than to be without your child.
|