Pregnancy Calander Part I-1st Trimester
PREGNANCY Calendar Congradulation! Pregnacy aik exciting time aur great opportunity hai ye jannay k liay k aap k child ki kaisay growth aur development ho rahi hai.itni zayada pregnancy information aaj kal books me,magazines aur websites me available hai k aap birth se pelhay es sub ko kaisay cover ker sakti hen? Es ko easy bunnanay k liay mein ye yahaan likh rahi hoon so that u got all information here.es me aap ko ye pata chulay ga k weak-by-weak aap me aur aap k baby me kiya changes ah rahi hen during pregnancy.pregnacy k her weak me aik description hai aap k baby ki development k barey me aur aap ki body me honay wali changes k barey me bhi.aap ko yahaan khud ko aur khud k baby ko healthy rukhnay k liay important medical info bhi milay gi. A Word About Due Dates & Trimesters: Jab aap apni pregnancy ko announce kerti hen tu pelha question ye hi hota hai k aap hi expecting delivery date kiya hai?aap k pelhay prenatal visit per aap ki health provider aap ko expected delivery date jannay me madada kerain gi,aap ki EDD total 40 weeks aur ye aap k last menstrual period(LMP) se start hoti hai,aap ka baby asal me 38 weeks old hai---that's bcoz ap k last menstrual period k start honnay se 2 week pelhay aap k egg ki sperm se fertilization nahi hui thi. Ye yaad rukhna zurori hai k aap ki due date sirf aik undaaza hai.zayada ter babies mom k LMP se lay ker 38 aur 42 weeks k dermayaan paeda hotay hen aur womens k samall percentage hi due date per deliever kerti hai. Aik aur common term jo pregnancy k doraan aap k samnay aye gi wo hai Trimesters.aik pregnancy ko trimesters me divide kiya jaata hai:ist trimester 1 week se 12 week k end tak hota hai,second trimester 13 week se 26 week k end tak hota hai aur third trimester week 27 se pregnancy k end tak hota hai. Getting Started: Apni pregnancy k her week ko check kerain ye dekhnay k liay k aap k baby ki kaisay development ho rahi hai aur ye bhi k aap me kiya changes ah rahi hen! PREGNANCY Calendar WEEK 1 WEEK 1 WEEK 1 WEEK 1 . . . Your Baby's Development: Ye pelha week actually aap ka menstrual period hai.kuin k aap ki expected delivery date(EDD) aap k last period k first day se hi calculate ki jaati hai,ye week bhi aap ki pregnancy k 40 weeks me shamil hai but abhi aap ka baby conceive bhi nahi hua. Your Body: Pregnancy k doraan aap ki healthy habits aur aap k baby ki health sath saath chalti hai.pregnacy se pelhay se hi aap apni body ko motherhood k liay prepare ker k rukhain,pregnancy se pelhay aap ko chahiay: - Alcohol,drugs,aur tobacco ki cheezoon se avoid kerain,ye cheezain birth defects paeda kerti han jaisay k faetal alcohol syndrome,respiratory problems(saans ki prblms),buchay k weight me kaami aur doseri health ki problems.
- Apnay doctors se es baray me baat kerain k kon si medicine(drugs) aap doctor k mashveray se(prescription) lay rahi hen aur kon si mashveray k baghairr(nonprescription OTC).aap ko khaas ahtiyaat kerni ho gi k aap kon si medicine use ker rahi hen ya over-the-counter medicine aap k foetus(baby uder development) ko negatively effect ker sakti hen.lakin doctor ki prescripe ki hui medicines aap health care provider k mashveray k binna mat choorain.
- Aisi diet use kerain jis me vitamins aur khaas torr per folic acid ki adequate amount ho.jo womens pregnant honnay wali hoon wo daily 400 mirograms folic acid per day use kerain,folic acid ka intake baby k brain ki aur spinal cord ki incomplete development k risk ko kam kerta hai jaisa k spinal bifida.apnay health care provider se folic acid proper amount me lainay ki zuror baat kerain jab aap pregnant honnay wali hoon.
PREGNANCY Calendar WEEK 2 WEEK 2 WEEK 2 WEEK 2 . . . Your Baby's Development: Ye shahid aap ko ajeeb lugay,but u r still not pregnant!es week k end me aap k egg ki fertilization sperm se ho gi—fertilization k barey me mazeed ap nichay body section me perhaan gi. Aap k baby ki gender fertilization k time determine ho gi.46 chromosomes jo k genetic material bunnatay hen,sirf 2—aik egg ki teruf se aur aik sperm ki teruf se---baby ki sex determine kertay hen.ye sex chromosomes k name se jannay jatay hen.her egg k pass aik X chromosome hota hai aur her normal sperm k pass aik X ya aik Y chromosome hota hai.ager wo sperm jo aap k egg k saath fertilize ker raha hai X chromosome rukhta hai then u will hv a girl,aur ager sperm k pass Y chromosome hai jo aap k egg k sath fertilize ker raha hai then u'll hv a boy. Your Body: Aap ki uterine lining jo k baby ko nourish kerti hai wo develop ho rahi hai aur aap ki body aik hormone secrets ker rahi hai follicle-stimulating hormone(FSH).jo k aik egg ko mature kernay k liay release hota hai.es week k end me aap apnay mestrual cycle k midpoint per hoon gi(ager aap ka regular 28-day cycle hai),aur ovulation ho gi(aap ki overy egg ko fallopian tube me release ker day gi). Ye wo time hai jab aap pregnant honnay wali hen.ager aap sexual intercourse kerti hen uss time ki protection keray binna jab aap ne ovulate kiya,aap pregnant ho sakti hen,aap ka partner millions of sperms ejaculate kert hai jo k vagina k through travel kertay hen,aur un me se hundred fallopian tube me chalay jatay hen jahaan aap ka egg wait ker raha hota hai.un sub me se sirf aik egg aam torr per egg me penetrate kerta hai,aur fertilization hoti hi.jab ye hota hai aap pregnant ho jati hen—although abhi tak aap me koi body change nahi ho raha hota. PREGNANCY Calendar WEEK 3 WEEK 3 WEEK 3 WEEK 3 . . . Your Baby's Development: Even aap ko abhi tak ye fel nahi ho ga that u r pregnant,lakin aap k ander baby grow bhi ker raha hai aur development bhi!although abhi aap ki pregnancy start hui hai ,lakin qaam ker rah/rahi hai.fertilized egg ki kaheen divisions hoti hen.taqreebun fertilization k 30 hours k bahud,ye 2 cells me divide hota hai,phir 4 cells me,phir 8 me aur phir ye countinues divide hota rahta hai aur fallopian tube se uterus me chala jaata hai.jab ye uterus me hota hai tu ye cells ka group aik tiny ball ki tara nazer aata hai jis ko morula kahtay hen. Ab morula hollow ho jata hai aur es me fluid fill ho jata hai—ab ye blastocyst kahlata hai.es week k end per,blastcysts khud ko endometrium(uterus ki lining) se attach ker laita hai.ye implantation kahlata hai.ye implantation uterus se aik important connection hai—ye uterus ki lining(endometrium) foetus developing embryo ko nutrients provide kerti hai aur wastes ko remove kerti hai.waqt k saath ye plantation site placenta me develop ho jaati hai. Your Body: Pregnant women ka adequate quantity me folic acid,calcium,protein,aur iron lenay baby ko nourish kernay k liay bahot zuroori hai.folic acid jo k aap pregnancy k start honnay se pelhay hi lay rahi hen aik khaas torr per important hai kuin k ye neural tube(wo structure jis se brain aur spinal cord buntay hen,jo k pregnancy k bahot early bunnti hai. Protein ka intake pregnancy k doraan increase ker daina chahiay bcoz ye new tissues bunnanay me use hota hai.es k saath calcium bones aur teeth ki development k liay bahot zuroori hai,so ye yaqeen ker lain k aap dairy products,leafy gren vegetables,aur legumes ki good dose lay rahi hen.iron pregnancy k doraan bajoot zuroori hai bcoz continual baby ka blood volume increase ho raha hai.iron k achay sources red meat,legumes,eggs,aur leafy green vegetables hen. PREGNANCY Calendar WEEK 4 WEEK 4 WEEK 4 WEEK 4 . . . Your Baby's Development: Pregnancy k 4 week,aap ka baby(jis ko embryo kahtay hen) 2 layers per mushtamil hota hai----the epiblast and hypoblast-----jo layers bahud me baby k sub organs aur body parts me develop otai he.2 aur structure jo es doraan buntay hen wo amnion aur yolk sac hen.amnion amnion fluid se fil hoti hai,jo k growing embryo ko surround aur protect kerta hai.jab tak placenta ki complete development nahi hoti aur wo nourishment ka role nahi kerti,yolk sac blood produce kerta hai aur embryo ko nourish kerta hai. Your Body: Es week baby uterus me implant honna jari rukhta hai,endometrium me khud ko deeply bury ker laita hai.implant honnay k bahud,aap ka baby aik hormone human chorionic gonadotropin(HCG)produce kerna shoru kerta hai,jo k uterus ki lining ko maintain rukhnay ka qam kerta ha.ye overy ko her month egg release kernay se roknay ka signal bhi send kerta hai,jo k aap k monthly periods bhi rook daita hai.Kuch womens es week jis me implantation hoti hai k slight free movements aur blood k stains bhi feel experience kerti hen aur wo es ko periods sumajh laiti hen bcoz ye aften uss time hi hota hai jab un k monthly periods ki due date aati hai. hCG wo hormone hai jis ko pregnancy tests me check kiya jata hai.es week pregnancy test ho sakta hai pregnancy ko detect kernay k liay!hCG pregnancy ki symptoms bhi cause kerta hai jo es week zahir hoti hen.fatique,acing breasts,or nausea jo aap ko ye yaqeen bhi dila sakta hai that aap k periods kisi din bhi start ho saktay hen kuin k pelhi pregnancy symptoms premenstrual syndrome(PMS) jaisi hoti hen,lakin aap k expected periods nahi hoon gay.your pregnancy is well on its way! PREGNANCY Calendar WEEK 5 WEEK 5 WEEK 5 WEEK 5 . . . Your Baby's Development: Ab tak embryo aik cells ka mass tha,lakin pregnancy k es point per aik khaas shakal bunni shoru ho jaati hai,neural tube jis ne finally brain aur spinal cord me develop honna hota hai,embryo k top se bottom ki teruf run kerna shoru ker daiti hai.aik bulge(outward swelling) embryo k centre me baby heart me develop hoti hai.es waqt placenta bhi develop hoti hai.embryo mother se placenta aur es ki finger like projection jis ko chorionic villi kahtay hen k zeriay nourishment receive kerta hai. Your Body: Ager abhi aap ko nausea nahi bhi hai tu bhi aap kuch foods se avoid hi kerain bcoz foodborne illnesses,jaisay k listeriosis aur toxoplasmosis birth defects yahaan tak k miscarriage cause ker sakti hen.yahaan kuch foods hen jinhaan aap ne avoid kerna hai. · Soft cheeses · Unpasteurized milk aur juices · Raw aur undercooked meats. · Raw eggs and foods containing raw eggs. · Raw shellfish · Pate(The top of the head) Texoplasmosis soiled cat litter boxes se bhi phelta hai,es liay kisi aur ko pregnancy k doraan ye litter box clean kernay k liay rukhain. PREGNANCY Calendar WEEK 6 WEEK 6 WEEK 6 WEEK 6 . . . Your Baby's Development: 6th week se aap k baby k brain aur nervous system rapid speed se develop kertay hen.optic vesicals,jo k bahud me eyes bunnatay hen,head ki side per develop honna shoru ho jatay hen,eshi tara passageways bhi jo k inner ear bunnatay hen. Aap k baby ka heart es waqt beat kerna start ker daita hai,aur even es ko ulterasound examination se detect bhi kiya ja sakta hai.aur digestive system aur respiratory system ki begainings bhi bunna shoru ho jati hen,es week me small buds bhi appear hotay hen jo k arms aur legs me later grow kertay hen. Babies ki length ko ful measurement kerna bahot difficult hai because un ki legs un k torse (The body excluding the head and neck and limbs)k against curl hoti hen.babies often crown to rump measure kiay jatay hen heat to toe ki bajaye.es week aap ka baby 0.08 inches(2 to 5 milllimeters) crown se rump tak measure kiya jata hai. Your Body: Es week common pregnancy complaints full force per hoti hen.aap extreme fatique feel ker sakti hen jaisay hi aap ka baby pregnancy ki demands per adjust hota hai. aur tender, aching breasts aur nausea aur vomiting (morning sickness) ye sub aap ko extremely feel ho ga.jaisay k es ka name hai morning sickness tu ye kisi hour bhi ho sakta hai aur pora din bhi.aur ager noon tak aap ka sick stomach set nahi hota tu surprised honay ki koi zuroorat nahi hai.sirf nausea hi aap ko toilet tak nahi lay ja sakti balkay hormonal changes aur kaheen doseray factors,kidneys extra hard qaam kertay hen tu ye aap ko frequently urination kerayain gay. PREGNANCY Calendar WEEK 7 WEEK 7 WEEK 7 WEEK 7 . . . Your Baby's Development: Aap ka baby constantly aap ki uterus me life adapt ker raha hai.es week tak umbilical cord bunn jaati hai.ye aap k aur aap k baby k dermayaan throughtout pregnancy aik connection hai,jo baby ko oxygen,nourishment provide kerti hai aur baby k wastes ko dispose kerti hai.es k saath hi aap k baby ka digestive track aur lungs bunna jaari rahtay hen. Kiya aap apnay baby ka face birth day per dekhnay k liay besaberi se intayzaar ker rahi hen?abhi tu kafi time perha hai,lakin eshi doraan aap k baby ka face shape laita hai.mouth,nostrils,ears,eyes jo k kuch facial features hen es week kafi wazaya ho jaatay hen. Kiya aap apnay son ya daughter k saath ball khailnay ki kowaab dekh rahi hen?arm bud jo last week develop hui thi a buss k end per hand bhi ah chukka hai,jo ik tiny paddle ki tara nazar aata hai. Your Body: Pregnancy se aap ki cervix me kaafi changes aati hen.es week se aap me aik mucous plug develop ho ga,jo cervical canal ki opening per bunnta hai aur uterus ko protection k liay seal off ker daita hai(aap ye plug tab lose kerain gi jab aap ki cervix dilate keray gi labor ki prepation k time). PREGNANCY Calendar WEEK 8 WEEK 8 WEEK 8 WEEK 8 . . . Your Baby's Development: Baby ki tiny fingers per hayraan hoti hen aur toes zindagi k pelhay din ki khush hai.wo fingers aur toes es week bunna shoru ho jatay hen,aur arms elbows aur wrists per bend honna shoru ho jatay hen.eyes zayada wazaya ho jati hen.kuin k ye pigment(color) retina(back of the eye) me develop kerna shoru ker daiti hen. Aur intestines bhi longer hoti jaati hen aur baby k abdomen me in ki jaaga kam ho jati hai,es liay ye bahir nikaal aati hai umbilical cord k saath 12 weeks tak rahti hai. Ab tak wo buds appear ho jatay hen jo aap k baby k genitals me develop hotay hen,although ye itnay develop nahi hotay k ye pata lugaya ja sakay k aap ka baby girl hai ya boy. Your Body: Pregnancy symptoms jaisay k missed period, nausea, extreme fatigue, aur tight clothes uterus ki swelling ki waja se aap ko hayraan ker day gi k aap pregnant ho.aik bar ap pelhay home pregnancy test se aur blood aur urine tests se doctor k office me ye confirmation ker choki hen k aap pregnant hen,aap ko first prenatal visit call aur schedule kerna chahiay,aap ki pregnancy ko kaheen health care professionals se monitored honna chahiay,jin me obstetrician, nurse practitioner, midwife, or family doctor.ager aap ki pregnancy ko high risk sumjha jar aha hai (for example,ager aap k multiple miscarriages huay he,ya phir 35 se older hen,ya aap ko es se pelhay pregnancy ki complications hui hen),then aap ki doctor aap k zayada ter check ker sakti hen aur kaheen barr aap k pregnancy course k doraan. Good prenatal care aap k baby ki healthy aur safe delivery k liay bahoot zuroori hai,so ye yaqeen ker lain k es doraan prenatal appointments top priority per rukhain. PREGNANCY Calendar WEEK 9 WEEK 9 WEEK 9 WEEK 9 . . . Your Baby's Development: Aap k baby k bottom per tail samall ho jaati hai aur phir es week disappear ho jaati hai.es k moqablay me aap k baby ka head grow kerta hai---ye baki body se qadray bara hota hai esliay chest per curve ho jaata hai.es week aap ka baby 0.6 se 0.7 inches(16 se 18 millimeters) crown se rump tak aur uss ka weight 0.1 ounce(3 grames) ho jaata hai.nose ki tip bhi develop ho jaati hai aur eyes k ooper skin k flaps eyelids ki shape me ah jatay hen,jo k aglay few weeks me noticeable hotay hen. Digestive system ki development jaari rahti hai.anus bunnti hai aur intestine longer hooti jaati hai,es k saath hi reproductive features jaisay k testes aur overies es week me develop kerna start ho jaatay hen. Es week aap ka baby first movements start kerta hai bcoz ab uss k muscles es week devlope hotay hen.ab ager aap ultersound kerayain,ye movements visible bhi hoon gi,lakin ko aap kuch aur weeks tk feel nahi ker saktien. Your Body: In preparation for your first prenatal visit, take the time to familiarize yourself with your familay health history aur aap k medical records dekhain?kiya aap k uss record me aur family health history me koi chronic illnesses,allergies,or surgeries hen?kiya aap abhi koi doctor ki prescribe ki hui medicine use ker rahi hen?kiya aap koi aisa genetic disorder jaanti hen jo k aap ki family me pelhay se hi ho?kiya aap ka menstrual cycle regular tha aur aap ki koi past pregnancies thien?kiya aap ne alcohol use kit hi ya phir smoke kiya tha?aap ki exercise habits kiya hen?ye wo cheezain hen jo aap ki health care aap se discuss ker sakti hen,so ye zuroori hai k aap health care ko visit kernay se pelhay ye informations ready rukhain. PREGNANCY Calendar WEEK 10 WEEK 10 WEEK 10 WEEK 10 . . . Your Baby's Development: Week 10 tak aap k baby k sub vital organs bunn chokay hen aur aik saath apnay qaam ker rahay hen.external changes jaisay k fingers aur toes ki separation aur tail disapear hoti hai.internal development bhi hoti rahti haimounth k ander tooth buds bunnti hen,aur ager aap ka son hai tu uss k testes male hormone testosterone produce kerna shoru ker daittay hen. Congentital abnormalities 10 week k bahud develop nahi ho saktien.ye embryonic period k end ko bhi mark kerta hai---aam torr per,ab embryo ka wazaya torr per human appearance hai aur aglay week k start take s ko foetus consider kiya jae ga. Your Body: Aap ka prenatal visit es week k end es time per aap ki life me aik significant event ho ga doctor k office me.aap k series me tests aur checks hoon gay jis me ap ka weight aur blood pressure bhi check ho ga.aap ka external abdominal examination bhi ho ga jis me aap k baby ka size aur position heck ki jaye gi aur aap ka urine test bhi ho ga.aap k es first prenatal visit per aap ki health care aap ko thoroughly check keray gi jiss me internal examination aur breast exam bhi ho ga.ap ki health care provider aap se bahot sarey question pochay gi like aap ki medical history aur family health problems etc.ye determine kernay k liay k aap k baby ko koi genetic disease ka risk tu nahi hai,aik aur cheez aap ki health provider check keray gi?aap k baby ki heartbeat!jis me Doppler stethoscope use ho gi,aap es ko first time soonay gi. Jaisay hi aap apni first appointment,ghalbun aap ki health care provider aap ko blood test k liay bhejay gi ye jaannay k liay k aap vericella,measles,mumps,aur rubella(german measles) se immune hen,aur aap ki blood type aur Rh bhi determine kernay k liay. PREGNANCY Calendar week 11 week 11 week 11 week 11 . . . Baby's Development: Es week se lay ker week 20 tak,aap ka baby rapidly grow keray ga—size me 2 inches(5cm) se 8 inches(20cm) tak izaafa ho ga crown se rump tak.es k saath hi baby ko zayada nutrients provide kernay k liay placenta me blood vessels ka size aur numbers bhi increase hota jaye ga. Facial development jaari rahay gi jab k ear apni asal position me head k sides per move ker jain gai.ager aap ab apnay baby ki picture dekhain tu aap sochain gi k aap ka baby bahot genius ho ga—bcoz baby ka head us ski pori body ki half length k beraber ho ga! Although aap k baby k reproductive organs rapidly develop ker rahay hen,external genitals boys k aur girls k 11th week k end tak aik jaisay nazer ayain gay.ye 14th week me clearly differenciate hoon gay. Your Body: Baby ko nourish kernay k liay aaap ko weight gain kernna ho ga—aur pregnancy k course me bahot sarey cases me weight gain 25 to 35 pounds (11.33 to 15.87 kg) recommend kiya jaata hai.ager aap pregnancy se pelhay over weight ya under weight han,tu aap ki health care provider aap ko weight gain ki different recommendations kerain gi. PREGNANCY Calendar week 12 week 12 week 12 week 12 . . . Baby's Development: Aap k baby ka brain develop honna jari rahta hai,aur tiny fingernails aur toenails bunna shoru ho jatay hen,vocal ords es week bunntay hen jo k aap k first trimester k akhir hai. Aap k baby ki kidneys qaam ker rahi hen!amniotic fluid swallow kernay k bahud aap ka baby es qabil hai k wo apni body se urine pass ker sakay.ab intestine bhi abdomen me adjust hoti hai bcoz wahaan a buss k liay itni space hai k wo wahaan apni jaga bunna lay. Your Body: Kisi ne aap ko bataya hai that u have "pregnant glpw"?ye sirf e ski khushi nahi hai that u are going to have a baby—es smoother aur zayada radiant skin ki kuch physiological reason bhi hai.blood volume ka increase honna aur pregnancy hormones ka aik saath qaam kerna ye sub aap ko ye glow daita hai.greater blood volume aur bhi zayada blood vessels me laata hai aur hormones oil gland secretions ko increase kerta hai aur es sub ka result flushed,plumper,smoother skin appearance hai,kabhi kabhi increased oil glands temporary acne bhi cause kerta hai
|