Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (Health)
Recent Reply (Health)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Heart Attack And Heart Burn

Articles   >>  Health Articles
Enhance Libido
Male Libido - Vitamins, Minerals and Herbs to Increase Libido and Sexual Desire
Low Sperm Count
How to Increase Semen Volume Naturally
Increase Testosterone
3 Powerful Herbs to Increase Testosterone Supercharge Your Libido Naturally!
Fitness Trainer
How To Select Your Fitness Trainer
Soft Eyes Group: Members  Joined: 12th Apr, 2008  Topic: 2  Post: 11  Age:  27  
Posted on:19th May 2008, 6:22pm
 

Heart Attack And Heart Burn

 Dil ka Dard Hai Yaa Seeney  (chest) ki Jalan

Seeney (chest) mein bahaz aoqaat dard ki shakayet paida hoti hai. Yaa jalan ka ehsaas bedaar hota hai.Ye alaamteyn jaan lewa Heart attack ki bhi ho sakti hain. Aur seeney ( chest) ki jalan kam khatarnaak surtehaal mein bhi dekhee ja sakti hain. Jab bhi kissi ko apney seeney ( chest) mein is qeesam ka mahmmol se hat ker naya dard mehsoos ho, zaroor Doctor se rujoo kareyn.

Dil ke dorey aur seeney (chest) ki jalan yehni Heart Attack aur Heart burn  ki alaamton mein kuch farq bhi hota hai. lekin aksar_O_beshtar in mein tafreeq kerna zara dushwar hota hai.amoomitor per heart attack mein mareez ko istrah mehsoos hota hai jese is ke seeney ko neechora yaa dabaya ja raha hai. bahaz log is kehfiyat ka izhar is tarah bhi kertey hain jesey in ke seeney per koi haath bhait gaya ho. Ye dard kandey (shoulder) se hota hua kamar (back) , halaq (throat) musoorey (gum) aur bazoon (Arms) tak jata hua mehsoos hota hai. bahaaz mareezon ko sar (head) halka mehsoos hota hai. aur saans (breathe) leyney mein dushoowari hoti hai. bahaz mareezon ko thandey paseeney ( sweat) aaney lagtey  hain.Jis ke saath tabiyat bhi maalish kerney lagti hai..Agar ziyada chala phira jaye, exercise ki jaye yaa aur koi jismaani sargarmi mein maloos hua jaye toa dard ki sheedat bhar jati hai. jabkey seeney ki jalan mein is qeesam ki takleef nahi hoti .Albattaa seeney ki jalan ki surat mein aik jaga bhaithana ziyada dushwaar mehsoos hota hai. Heart attack mein amooman ye nahi hota ke achanak he ye takleef samney aaye. Bohat se afraad jinney heart attack mareez qaraar diya jata hai. unheyn pehley bhi is qeesam ki mahmooli shakayet ho chuki hoti hai. kuch logon ko ye takleef thori dheir ke liye mehsoos hoti hai. Aur phir ghayeb ho jati hai. Agar kissi mareez ko sangeen noiyat ka dil kuchal deney wala dard mehsoos ho aur dard chand minutes se ziyada barqaraar rehe, is ke saath heart attack ki kuch deegar alaamteyn bhi dekhi jayen to phir fori tor per tibbi imdaad talaab kerni chaye is waqt mareez ko tanha nahi chorna chaye. Na he khud gari (Car  waghaira drive) chalate hue Hospital janey ki koshish kerni chaye.

Heart Burn  : Heart burn ya seeney (chest) ki jalan mein darasaldil ka koi krdaar nahi hota. Dil ke saath jalan ka taluq ghalaban isliye jora gaya hai ke is mein jo alaamteyn mehsoos ki jati hain, wo sab seeney (chest) ke aas pass mehsoos hoti hain. heart burn ki asaal wajha ye hoti hai ke maydey (stomach) mein khaza hazam kerney waley tehzaab ki kuch meeqdaar waha se baher neekal ker halaq (throat) ki janeeb harkat kerney lagti hai. is tehzaabi maada se khaza ki nali mein jalan mehsoos hoti hai. deegar alaamton mein ye ehsaas shaameel hota hai ke khaza yaa siyaal ki meekdaar wapis halaq (throat) mein aa rehi hai. Is ke saath muhn (mouth) ka zayeqa karwa yaa tehzaabi mehsoos hota hai. Aksar logon ko seeney (chest) mein jalan ki shakayet amooman us waqt hoti hai. Jab wo had se ziyada murghan khaza khatey hain. Tehz masaaley daar khazayen jis mein mirch ziyadaki jati hai. Wo bhi seeney (chest) mein jalan ki shakayet paida kerti hai. Masaalon ke elaawah aisi khazayen jin mein tehzabi asraat mojood hotey hain, maslaan orange juice , in se bhi heart burn ki shakayet ho sakti hai. Coffee soda ,alcohol, tambakoo se se bani ashiya ka istemaal bhi logon ko seeney (chest) jalan se dochaar ker sakta hai. Is takleef mein mubtala afraad agar laitney ki koshish kareyn to is se un ki takleef bhar jati hai. Beshtar mareezon ko tehzaab kash (Antacid) asraat wali goliyon se yaa sharbat ( syrup)  se araam mehsoos hota hai. Is ke bawajood agar seeney (chest) mein jalan barqraar rehe yaa waqt guzarney ke saath halat beegarti jaye, Vomiting  hone lagey.bhukh khatam ho jaye aur ajaabat siha rang (black colour) ki ho to phit doctor se rojuh kerne mein dheir nahi kerni chaye..Jin logon mein high blood pressure, high blood cholestrol, high blood suger ki shakayat hoti hain..unhein Amraz-e-qalb ka ziyada khatra hota hai. cigarette nosh  afraad dil ki beemariyon mein ziyada mubtla ho sakte hain..is se bachaney ka tareeqa ye hai ke mootawazan khaza istemal ki jaye..motaher zindagi guzari jaye.aur in buri adaaton ko tark ker diya jaye jo sehat ko khatrey se do chaar kerti hain.dil ke dore aur seeney ki jalan ki allamaton mein jo buniyadi farq hai. in mein se chand alaamateyn ye hain.( lekin yaad rakhna chaye ke heart attack key liye siraf in allamaton ka hona zaroori nahi hai..aur zaroori nahi hai ke in mein se har allamat mareez mein dekhi jaye.

Heart Attack:

1: Behshatar heart attack ki suraton mein seeney (chest) ke darmiyani hisey mein be araami ka ehsaas hota hai.aur yeh ehsaas kahi minute se ziayda dheir taak barqarar rehta hai.bahaz aoqaat dard ka ehsaas rafaah honey kay baad phir wapis aa jata hai.

2:dard aur be aarami ka ehsaas jism ke oopri ehzaah mein mehsoos ho sakta hai.mareez apney aik ya dono bazoon (arms) mein , kamar (back) mein, gardan(  neck), pait (belly) mein dard ki shakayet ker sakta hai.

3: Saans leney mein dushwari mehsoos ho sakti hai.ye ehsaas dard key saath bhi ho sakta hai..aur ye bhi moomkin hai key seeney mein (chest) mein be cheni se pehley saans leney mein dushwari ho.

4: Dil key dorey mein deegar allamato mein thandey paseeney aana, matalee mehsoos kerna (vomit) , aur sir halka honey ka ehsaas hota hai.peeth, kandon , gardan, bazoon aur jabrey ki traf jata hua mehsoos nahi hota.

Seeney mein Jalan:

1:Seeney ki haddi (bone) key neechey jalan, sowzish ka ehsaas hona.

2:seeney ki jalan ki surat mein dard

3:Seeney mein jalan ki shakayet amoomman khaney key baad mehsoos hoti hai.

4: Letney ki surat mein Heart Burn ki sheedat bahr jati hai.

5: Antacid aur dawaon ( medicines) key istemaal se dard amoomman door ho jata hai.Is takleef mein saans leney mein dushwari , sir halka mehsoos kerna , chakkar aana, thandey paseeney aaney ki shakayet  shaaz_o_nazar he dekhi jati hai..

1
Abortion Clinics
Abortion Clinics: a Safer and Private Way Towards Positive Health of Women!
Abortion and Behavioral
Abortion and Behavioral Outcomes
Abortion Counseling
Abortion Counseling: Why It Is Important
Acne And Beauty
Get Rid of Acne For Beauty
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us Last Updated: 28th March 2013