Mahwari chakkar ki tareekh ko shaadi ke aik hafta tak tala ja sakta hai. doctor se mashwara karain on se pooch ker hormone ki golia le sakti hai jinhai mahwari ki tareekh se char ya paanch din pehle lena shuru kerna hoga. aik baar shuru ker ke golio ko lagatar os waqt tak leti rahai jab tak aap mahwari ko rokna chahti hai iss tarah kabhi kabhi li gayee golia nuqsan nahi pohnchaye gi. haan mahwari ki tareekh ko saat aath din ya ziado se ziado das din tak rokna theek rahe ga ziadah barha ker aik maheena na hone dain.