Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

   
Home | Sex Education in Urdu for Women | Preparation Of First Intercourse - Pehli Mubashrat Ki Tayyari  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4

Total views since 15 October 2009:
162451
 
Preparation Of First Intercourse

 Halka sa makeup karlein, shaam ko khana halka aur jaldi kha lein kaam sey wapsi per mian ka muskuratey huey pur josh istaqbaal karein usey bataein kay aap ney uss kay intezar mein saara din bechaeni mein guzara. Shaam ko ghusl karlein, tooth brush karna na bhoolein apney jism aur libaas ko khawand ki pasand ki khushboo sey mu'atter karein, kamrey kay mahol ko khoobsurat aur purkashish banaein (mubashrat kay aadaab (preparation of intercourse) waley hissey ko ek baar phir parh lein).

    Mubashrat sey kam az kam 20 ta 30 minute pehley mohabbat kay khel (foreplay) sey lutfandoz hun (tafseel kay liye 'mohabbat ka khel' waley hissey ka muta'alla karein) hatta kay aap ki faraj mein chiknaahat (lubrication) paeda ho jaey phir mubashrat kay tariqa number 1 ko istimaal kartey huey mubashrat karein, behter hai kay mian ka zakar bhi chikna ho iss tarah dakhool mein aasaani hogi aap ki taangei'n khuli magar zyada ooper na hun dakhool kay waqt apney jinsi lubo'n ko kholein aur zakar daakhil karney mein khawand ki madad aur rehnumaee karein. Iss kay liye zaroori hai kay aap ko khud bhi ilm ho kay faraj kahan hai, kuch aurtein dakhool kay waqt parda e bakarat (hymen) phatney per kuch dard mehsoos karti hain aur kuch khoon bhi nikalta hai magar uss kay sath bey panaah lutf bhi aata hai agar parda e bakarat pehley hi phata hua hai to takleef kam hoti hai, parda phatney ki surat mein dobara foran mubashrat na karein, zakhm ko ek aadh din kay liye mundamil honay dein amooman pehli mubashrat donon mian biwi kay liye kuch takleef deh hoti hai lekin agar khawand zakar ko chikna karley, tez jhatkey na lagaey aur aap jism khusoosan faraj kay baerooni muscles ko dheela chor dein to amooman mubashrat mein takleef nahin hoti. Pehli mubashrat ko aasaan bananey aur khauf ko khatam karney kay liye chund baar tasawwur mein mubashrat karlein iss sey aap ka khauf khatam ho jaey ga aur mubashrat aasaan hogi.

 

 
 
<< Next       Prev >>
7879808182838485868788
 
Tell a Friend
 
   Home
 
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum
   Daily Questions
   Islam and Sex
  
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012