Yani jitna big bazer (Clitoris) utni hi zyada jinsi khwahish. Doosri taraf woh aurtein jinka bazer (Clitoris) chota hota hai unki jinsi khwahish kam (low libido) hoti hai. Iss liye big bazer (Clitoris) wali aurton kay bazer (Clitoris) kay ooper wala kuch hissa cut kar diya jata hai takay zyada jinsi khwahish aur jazbat ki wajah sey woh sexually zyada active ho kar beyrahrawi ikhtiyar kar kay family ki badnaami ka sabab na banein. Aaj bhi Egypt aur doosri African countries aur America kay baaz hisson mein bazer (Clitoris) ka circumcision hota hai. Jab ka es nazariya ki koi haqeeqat nahi. Dekha gaya hai kay aisi aurtein jin kay bazer (Clitoris) ka size big hai woh sexually zyada active nahi hotiin. Doosri taraf woh aurtein jinka bazer (Clitoris) chota hai woh zyada active hoti hain.
Parda e Bakarat (Hymen):
Pakistan kay baaz elaqon mein suhag raat mein bed per white bedsheet bichai jati hai takay aurat ki virginity check ki ja sakey. Agar pehli raat bed per khoon laga hai to aurat ko virgin samjha jata hai warna iss ko foran divorce dey di jati hai. Yani agar khoon na nikley to isko badkirdar samjha jata hai. Hymen ki majoodgi ya adum-mojoodgi aurat ki virginity ka sign nahi. Merey ek naujawan client ney meri ek workshop "Shadi ki bharpoor khushi---Masail aur hal" mein shirkat kari aur phir iss ki shadi ho gaee. Shaadi kay next day us ka phone aya. Woh bohut hi pareshan tha aur biwi ko divorce deney ka soch raha tha. Pareshan iss liye tha kay iss ney successful mubashrat (Intercourse) kii magar iss raat uski biwi ko khoon nahi aya.
|