9. Hum nay jab bhi iss masley ki wajah maloom ki to aksar iss kay peechey maazi ka koi waqiya mojood tha, jab kisi wajah sey fard ka inzaal jaldi ho gaya. 2 4 bar aisa hua to sur'at e inzal ki adat ban gai.
10. Amooman naujawan khauf aur anxiety ki wajah sey jald inzal hojatey hain. Kuch bar aisa honay kay baad phir jald inzal ki adat ban jaati hai.
11. Iss kay elawa yeh wajoohaat bhi ho sakti hain.
Biwi pasand ki naa ho, jagah ghaer mehfooz ho, mahol naa pasand ho, mubaashirat (intercourse) mein jaldi karna, kisi kay aa janey yeh pakrey janey ka khauf, biwi ka adam ta'awwun, aurat sey beemari lagnay ka khauf. Mubashirat (intercourse) kay doran mein kisi qism ki rukawat ya madakhilat ka khatra.
Jismani Wajoohat (Premature Ejaculation Physiological Causes)
Premature Ejaculation ki jismani wajoohaat bohut kam hoti hain. Iss sorat mein mandarja zael wajoohat ho sakti hain.
-
Ahem jismani wajah prostate gland ki sozish, jalan aur zakham waghaera. Iss ka andaza aap khud bhi laga saktey hain. Iss sorat mein jald inzal kay elawa fard kay naaf kay neechey balon waley (pubic area) raan aur paet kay milnay ki jagah, kidney kay as pas , peeshaab pas kartey waqt tez khafaf, musalsal yeh waqfey waqfey sey dard mehsoos karta hai.
-
Prostate ya masaney ki koi beemari khusoosan prostate kay bhar janay sey bhi yeh masla paida hojata hai.
|