Aulad e Nareena Ka Husool (Having A Son)
Insan naa sirf aulad chahta hai bul kay beta (son) chahta hai. Science ki taraqqi ki wajah sey ab betey ka husool mumkin ho gaya hai aulad nareena kay husool kay liye duniya mein kaee tariqey raej hain. Iss waqt jo tariqa sab sey kamiyab hai woh "Micro Sort" kehlata hai. Iss mein betey waley sperm alaehda kar kay inn ko ovum kay sath mila diya jata hai iss soorat mein nateeja 100% hota hai. Yeh ek expensive tariqa hai. Pakistani Rs mein iss ki qeemat taqreeban 30 lakh banti hai. Ek aur useful tariqa "Shelter's Method" hai jisey American Dr.Shettles Landrum B ney dariyaft kya. Iss ki kamiyabi ki sharah 90% hai.
Bachey ki takhleeq father kay sperm aur mother kay ovum kay milap sey hoti hai. Father kay sperm mein Y aur X chromosomes hotey hain. Jab kay mother kay ovum mein sirf XX chromosomes hotey hain. Y chromosomes chotey aur nazuk magar tez raftar hotey hain. Jab kay X chromosomes nisbatan mazboot magar sust hotey hain. Sperms ki majmoee tadaad jitni zyada hogi inn mein Y ki tadaad bhi zyada hogi aur betey (son) kay imkanat zyada hongey. Agar sperms ki majmoee tadaad kam hogi to Y ki tadaad bhi kam hogi aur beti kay imkanat zyada hongey.
Jab father ki taraf sey Y chromosomes mother kay X chromosomes kay sath milap karta hai to larka paeda hota hai aur jab father ki taraf sey X chromosomes mother kay X chromosomes kay sath milap karta hai to larki paeda hoti hai.
|