janumanu
|
Group: Members Joined: 23rd Sep, 2008 Topic: 7 Post: 41 Age:
36
|
|
Posted on:23rd Sep 2008, 5:49am |
|
|
Status VS Status: Why We Prefer It? Asslamualikum
sab ko ramazan mubarak . main nay ajj hee join keya hay noorclinic ka forum .. Post to kafi harsay say read ker raha hoon achee web site hay informative hay .
main nay jo topic choose keya hooo saktaa hay kay already discuss hoo geya hooo ga . lakin main nay kaheen nain read keya .
ajj kal humaray masharay main Status ( pesa , bara makan, gari etc etc ) ko prefer keya jata hay character hoo ya na hoo, pesa hala ka hoo ya na hoo, sakoon hoo ya na hoo . un families ko prefer nain keya jaata jin kay pass ye sab khuch ( pesa, barak makan gari etc etc ) nain hota main app sab kee rahay janana chataa hoo . keun ? |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
34
|
|
Posted on:23rd Sep 2008, 8:01pm |
|
|
janumanmuuu buhat kamaal ka sawaal kiyaa hai aap nay.. thats y no body replying... members are already fed up about all these chats.. ho haaa... may be some one realy... wait for pls...
and my opinion is very clear , kay u must try to be reasonable and well settle in lief..apni try zaroor kuroooo , and thats it..ofcourse , we all love luxuray life , no , may be , I am rong...food , small shalter / house / reasonable level of earing , is compulsory , rest is all luxury.. bye byee seee ya..
anyway welcome to the family.... |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:24th Sep 2008, 4:03am |
|
|
janumanu im agreed to nikama
hoooo haaaa haaaaaaaaaaa |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:24th Sep 2008, 9:49pm |
|
|
rE: Janu german Manu ya na manu ajj kal humaray masharay main Status ( pesa , bara makan, gari etc etc ) ko prefer keya jata hay
apki ye baat durust hai, status concious hona chahiyai, sab ka dil chahta hai k wo car main beth k tata karain, baray makaan main kisi rooh ki tarha ghomain, aur paisay ka tou zamana hai......akhir insaan hain sab
character hoo ya na hoo, pesa hala ka hoo ya na hoo, sakoon hoo ya na hoo
appki is baat say ittefaak nahi karta.....abhi insaniyat baaki hai hamaray middle clas aur ghareeb tabkay main
un families ko prefer nain keya jaata jin kay pass ye sab khuch ( pesa, barak makan gari etc etc ) nain hota
larkay walay tou prefer karlain gay, magar larki walay nahi karain gay ,zahir hai sab ko apni beti k liyain achay rishtay chahiyai hotay hain......
|
janumanu
|
Group: Members Joined: 23rd Sep, 2008 Topic: 7 Post: 41 Age:
36
|
|
Posted on:25th Sep 2008, 7:11am |
|
|
janumanu larkay walay tou prefer karlain gay, magar larki walay nahi karain gay ,zahir hai sab ko apni beti k liyain achay rishtay chahiyai hotay hain......
chayeee betiii booti hoo jay . ya zabardasti keee shaadi ? |
janumanu
|
Group: Members Joined: 23rd Sep, 2008 Topic: 7 Post: 41 Age:
36
|
|
Posted on:25th Sep 2008, 7:12am |
|
|
janumanu Sorry
chayeee betiii boori hoo jay . ya zabardasti keee shaadi ? |
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4212 Age:
|
|
Posted on:25th Sep 2008, 7:33am |
|
|
my answer mere khyal main zindagi guzarne k lie thori bohot wealth to zaroor honi chahie, jo k roti, kapra, makan asani se provide kar sake,
rahi baat status ki, to Allah ne mukhtalif qism ki casts banaye hain ta k logon ko ek doosre ka pehchanna asan ho jaye, saath saath in casts ko Allah ne mukhtalif khasoosiaat se nawaza hai, jis main logon ko ziada wo casts pasand hain jo k creative minded hoon, e.g Quraish, jis main Allah ne Hazrat Muhammad (SAW) ko nabi chun kar bheja gaya, es ka maqsad ye tha, k log Aap (SAW) k built in khasoosiaat k elawa os ki casts ki waja se ezzat kare.
|
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:25th Sep 2008, 8:21am |
|
|
rE: JAnu German chayeee betiii booti hoo jay . ya zabardasti keee shaadi ?
Borhi honay ki ek wajah bhi yehi hoti hai k achay say achay rishtay ki talash main rishtay khotay chalay jatay hain, is liyain is ka hal yehi hai k zyada ki hawas nahi karni chahiyai agar ek rishta acha agaya hai aur medium hai na zyada na kam....us ko accept karlena chahiayi......baaki shadi k baad beti apni kismat say apna risk khud hi laati hai.....
|
janumanu
|
Group: Members Joined: 23rd Sep, 2008 Topic: 7 Post: 41 Age:
36
|
|
Posted on:25th Sep 2008, 11:40pm |
|
|
Re HitMan jee hitman main app kee baat say agree hoon lakin logoo ko ye baat keun samaj nain atee . ya wo samajna nain chatay . |
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4212 Age:
|
|
Posted on:26th Sep 2008, 3:22am |
|
|
janumanu dear
mere khyal se wo samajna nahi chahte |
janumanu
|
Group: Members Joined: 23rd Sep, 2008 Topic: 7 Post: 41 Age:
36
|
|
Posted on:26th Sep 2008, 5:54am |
|
|
Re All Is koi haal hay is taraha kay logoo ko kis taraha samjaya jay? |
janumanu
|
Group: Members Joined: 23rd Sep, 2008 Topic: 7 Post: 41 Age:
36
|
|
Posted on:26th Sep 2008, 5:56am |
|
|
Re All Is koi haal hay is taraha kay logoo ko kis taraha samjaya jay? |
Dr. Adeel
|
Group: Members Joined: 27th Jul, 2008 Topic: 0 Post: 346 Age:
31
|
|
Posted on:26th Sep 2008, 7:27am |
|
|
Janumanu Jin Insanon ko Allah ney Ilam ki doulat sey nawaza hota hey, woh dunya ki doulat keh peechey nhi bhagtey, woh insan ka Ashraf_ul_Makhlokat honey ka matlab jantey hein. aur Jannat ki talab ley ker dunya mein guzara kertey hein.
But jin keh pass Ilam nhi hota woh apni weeknes ko Paison & Status sey pora kerney ki koshish mein lagey rehtey hein, aur kamyab bhi hotey hein bcz.
Paisa aur Status kamana ziada asan hey banisbat Ilam Hasil kerney keh. kion keh Ilam 'Nafs' ko control kerney sey ata hey, aur 'Nafs' ko control kerna her ksi keh bus mein nhi hota.
For example :
Ager aap aik Pahar key Slope per ja ker khrey hojaein ko aap khod ba khod nechey ki taraf aaen gey, ager ap body ko halka sa loose choren gey tu nechey aney ki speed aur fast hojae ge.
Per ager aap apney aap ko rokna chahen tu aap ko apni Taqat use kerney parey ge tabhi aap ruk saktey hein.
aur ager wapis oper ki taraf jana chahen tu aap ko aur Taqat use kerna parey ge tabhi aap wapis oper 'Choti' per pohanch saktey hein.
Bilkul isi tarah Insan ka 'Nafs' bhi apney aap Paison, Status, aur khobsorat aurat ki taraf automatic jata hey, aap halka sa is ko push karen tu aur teez hojae ga. yeah asan kaam hey isileye tu Majority aisa kerti hey.
aur ager 'Nafs' ko rookna chahhen tu aap ko taqat chaheyeah, tabhi aap ruk saktey hein, yeah mushkil hey isleye bohat kam log aisa ker patey hein.
Ab ager aap 'Nafs' key bilkul against jana chahen tu aap ko aur Taqat use kerna parey gi, Jaisa keh Nabion ney kia, Sahaba ikram ney kia, aur Alim hazrat kertey hein tabhi tu woh itney buland muqam per pohanchey nazar atey hein.
Ab aap khod faisla karlen, aap PowerFull banna chahtey hein ya Weak insanon ki tarha Paison aur Status ka sahara lekar apni Weekness chupana chahtey hein.
Allah ney Insan ko isi baat ka Ikhtyar dya hey, woh jo chaheh faisla kare, aur isi Ikhtyar ki bazpurs rooz Qyamat hogi.
"Allah hum sab ko Ilam ki doulat sey nawazey (Ameen)"
|
|