hudood 1. Talaq ke bad aurat ko 4 months and 10 days iddat guzare gi. is ka matlab yeh hai keh agar woh apne husband se pregnant hai tu yeh pregnancy is iddat ke andar zahir ho jai ga. zahir hai keh jab pregnancy zahir ho jai ga tu phir woh baby husband ka ki kahlai ga.
2. jaha tak boy friend ka taluq hai tu phir yeh kam tu husband ki mojood gi mai bhi ho sakti hai. Husband office mai aur boy friend ghar par.
3. Legally yeh baby husband ka hoga. chahe yeh boy friend ka hi kio na ho. boy friend ka sabit karne ke lia court jakar DNA test ki ijazat leni hogi.
4. Isi tarah agar husband is is baby ko apna manne se inkar karta hai tu ose bhi court ja kar DNA tes ki ijazat leni ho gi. warna yeh baby husband ka kahlai ga aur is baby ka kharcha husband ko dena hoga.
5. husband kahi bhi ho chahi kisi aur city mai ya kisi aur country mai. talaq ki soorat mai aurat ko 4 month 10 days iddat guzarni ho gi. aur is iddat ke doran jo bhi pregnancy zahir hogi woh husband ki kahlai gi.
5. Agar sab ko maloom hai keh husband tu kai mahina se nahihai tu phir os aurat ke khilaf hudood ordinance ke tehat moqadma banaya jasakta hai. |