Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

wazu aur digital quran

Religion and Culture   >>   Religious Questions
 
 
 
ghalib1505 Group: Members  Joined: 15th May, 2012  Topic: 8  Post: 143  Age:  22  
Posted on:7th Dec 2013, 8:15pm
 

wazu aur digital quran

Quran ko mobile ya PC per wozu k bina bhi perha ja sakta hai ? rahnumai farmayn


myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 127  Post: 7571  Age:  54  
Posted on:8th Dec 2013, 2:54am
 

wazoo aur telawatay quran

1. aik hadees ka mafhoom hai k nabi kareem saw nay farmayaa: mujhay namaz k elawah kissi aur cheez k liyeh wazoo ka hukm nahi dia gaya hai (nesayee). aik aur hadees maiN hai k tawaafay kaabah bhi namaaz hi hai. lekin faraq sirf yeh hai k tawaaf k dauran zarooratan guftagoo ki jasakti hai, namaaz k dauran nahi

2. taaham baaz olemaa ka kahnaa hai k telawatay quran agar mashaf say dekh kar aur issay choo kar ki jaa.ay to wazoo karna laazmi hai... lekin agar mashaf quran ko haath lagaa.ay beghair yaa zobaani telaawat ki jaa.ay to wazoo laazmi nahi hai aur yeh olemaa ki muttafiqqah roy hai

3. mobile ya PC etc par quran k ilfaaz mostaqil printed nahi hotay. lehaza iss par mashafay quran jaisi shart aayad nahi hoti. aur iskay zariyah telaawat karnay k liyeh wazoo laazim nahi hai

wallaho aalam bissawab
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 262  Post: 4419  Age:  38  
Posted on:8th Dec 2013, 4:03pm
 

Digital Quran and Wazoo

Quran Shareef Allah ka kalam hai, ab woh kaghaz per likha ho, chamra per likha ho ya computer per ose perhne ke liye ehtaram zaroori hai.

sahi jawab Aalim-e-deen hi de saktay hai, mei tu sirf logical baat ker raha hoo keh agar Quran Shareef ko haath lagane se qabal wazoo zaroori hai tu phir woh Quran chahe kaghaz per likha ho, cloth ya chamra pr ya phir kisi computer per ose haath laganay aur perhne se qabal wazoo kerna hoga.

bohot se baatain aur cheezain aaj se 1400 saal qabal nahi tha, iss liye Quran aur Hadees mei os se related batain nah milain gi, lehaza sahi tareeqa yahi hai keh aqal ki roshni mei logically faisla kya jaaye. sirf yeh keh dena keh Hazoor (PBUH) ke zamanay mei computer nahi tha tu phir computer walay Quran ki woh ahmiat nahi jo kaghaz waly Quran ki hai.

mere nazdeek Quran Shareef chahay computer per ho ya kaghaz per os ka ehtaram same andaz se kya jaaye.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 127  Post: 7571  Age:  54  
Posted on:9th Dec 2013, 12:38am
 

quran ka ehteraam

1. agreed with bewaqoof bhai ... quran ka ehteraam har soorat maiN kia jana chaahiyeh, khaah woh kissi bhi medium maiN ho

2. quran ko paRhnay yani telawat karnay aur jiss medium par bhi quran maujood ho, ossay haath laganay k liyeh wazoo ki shart nah to quran maiN maujood hai aur nah hadees maiN ... halaaNkay tab bhi qurani aayaat, pattouN, haDDiyouN, paper etc par likhay howay maujood thay

3. quran ko hath laganay k liyeh wazoo ki shart hamaray baaz foqahaa say mansoob hai... Nabi kareem saw ya sahabah karam RA say nahi... baaz foqahaa kahtay haiN k quran (jiss medium par maujood ho) ko haath laganay k liyeh wazoo zaroori hai aur baaz kahtay haiN k zaroori nahi hai... ap jiss group of foqahaa ko maantay houN, oski baatouN ar amal karlijyeh. iss maiN koi problem nahi

4. lekin jo foqahaa quran ko haath laganay say qabl wazoo ko farz qarar detay haiN, wohi foqahaa yeh kahtay haiN k PC, lap top, tablets, mobiles etc par jo digital quran screen par "nazar" aata hai, woh "mostaqil aks e qurani" nahi hai... jaisay quran k samnay mirror rakh daiN to aarzi taur par mirror maiN quran nazar aayega... lekin iss tarah mirror ki hasiyat mashafay qurani ki nahi hojayegi k yeh 'aarzi aks' hai ... lehaza aisay medium ko touch krnay k liyeh wazoo laazmi nahi

5. aisa koi "fiqahi group" (ikka dukka molvi ki baat nahi) nahi jo in digital medium (iss maiN agar quran ho, aur jo k hota hai) ko hath laganay, saath carry karnay k liyeh wazoo ko laazim qarar deta ho

wallaho aalam bissawab
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 262  Post: 4419  Age:  38  
Posted on:9th Dec 2013, 11:47pm
 

digital Quran and wazu

myrizvi brother ki baatain bhi kafi logical hai.

mei ne iss topic per mazeed ghor kya tu yeh baat samajh aayee keh computer ki haisiat aik book shelf ki jaisi hai. jis tarah agar kisi ke ghar mei sirf aik hi book shelf ho tu woh sub se oopar walay hissa mei Quran Shareef rakhay ga. On ke neechay walay shelf mei Hadees aur degar Islamic Books.

Aur iss shelf ke neechay General books like history, geography ya course ki kitabain. aur aakhir mei entertainment like filmi risala waghaira rakhay ga. yaani aik hi book shelf mei Quran Shareef bhi rakha hai aur sab se neechay walay shlef mei filmi risala bhi. lehaza koi bhi shakhs Quran Shareef ko haath lagane se qabal tu wazu ka ehtamam ker sakta hai lekin bookshelf ko haath lagane se qabal wazu zaroori nahi.

isi tarah PC ki hard disc me na sirf Quran Shareef hota hai balkeh dunya bhar ke topic per har qisim ke material mojood hotay hai. lehaza PC, Tablet aur laptop ki bhi haisiat bookshelf jaisi hai. aur jis tarah bookshelf ko haath laganay se qabal wazu zaroori nahi isi tarah Qaran Shareef jis hard disc mei mojood hai ose bhi haat laganay ke liye wazu zaroori nahi.

Baqi rahi Quran shareef ki talawat wazoo ke beghair read ki jaa sakti hai keh nahi tu mera zaati khayal hai keh kaghaz walay Quran Shareef ke liye jo qanoon hai wahi Computer walay Quran Shareef per bhi hai. yani jo log samajhtay hai ya jin ka aqeeda hai keh kaghaz walay Quran Shareef ko wazu ke beghair tilawat nahi kya jaa sakta tu on ke liye computer walay Quran Shareef ki bhi tilawat wazu ke beghair nahi ho sakta.

Tilawat ke liye wazu zaroori hai keh nahi iss ka sahi jawab deeni aloom rakhnay walay member hi de sakta hai. mei ne apne naqis ilm ke mutabiq sirf logical baat ki hai.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 127  Post: 7571  Age:  54  
Posted on:10th Dec 2013, 1:18am
 

masha Allah

well eaxplained Bewaqoof bhai... 100 % agreed

PS: telawate quran aur wazoo ... yeh aik ikhtelafi maslah hai. mokhtalif maktabah e fikr ki roy mokhtalif hai. aik ki roy maiN nay bhi pesh kardi hai
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 127  Post: 7571  Age:  54  
Posted on:10th Dec 2013, 12:37pm
 

quran aur wazoo

Aik maktabah e fikar iss baat ka qaail hai k wazoo k beghair quran ko touch nahi kia jasakta /nahi karna chaahiyeh (garchay k quran aur hadith maiN aisi koi baat wazah taur par bayaan nahi ki gayee hai ... balkay nesayee ki aik hadees maiN nabi kareem saw saaf saaf kahtay haiN k mujhay sirf namaaz k liyeh wazoo ka hukm dia gaya hai +aik doosri hadees maiN hai k tawafay kaabah bhi namaaz hi hai. faraq yeh hai k tawaaf k dauran zarooratan baat cheet ki jasakti hai ... yaani namaaz aur tawaaf k liyeh hi wazoo laazim hai, kissi aur ebadat k liyeh nahi

taaham jo log yeh kahtay haiN k wazoo k beghair quran ko touch nahi karsktay woh bhi...

1) quran ki printing, binding etc k workers ko wazoo ki ezception detay haiN

2) quran shops k salesmen ko bhi exception detay haiN

3) quran ki taalebaat /techer ko yeh allow kartay haiN k woh during menses bhi quran ka sabaq yaad karsakti hain /sabaq day sakti haiN ... albattah onhaiN quran k pages kapray etc say olaTna chaahiyeh

4) yeh nahi batlaatay k non-muslims ko quran kaisay gift karaiN? indo o pak k olemaa kahtay hain k non-muslims ko arabic wala quran nah do balkay only translation do ... phir woh iss maslah ka solution nahi batlaatay k arabic speaking non-muslims ko kaun sa quran daiN? agar non-muslims ko quran paRhnay daiN hi nahi to quran /islam kaisay phailega ... aur quran shop say to koi bhi non-muslim quran lay sakta hai... kia woh baa.wazoo hokar quran paRhega??? ......

yeh saari oljhanaiN sirf aik khud saakhtah pabandi ki paidawar hai...jiska quran/hadith main koi zikr nahi k quran ki telawat /touch k liyeh wazoo laazim hai
lovedangue Group: Members  Joined: 03rd Aug, 2013  Topic: 4  Post: 258  Age:  21  
Posted on:11th Dec 2013, 11:20pm
 

Wazo farz nhn/ Ulma k mutabiq krna chaye.

Quran parhny k liay. wazo lazmi kro. chahy jasy be parho.

Qurna ko, baaz o qaat, othana par jata ha. (kse ny pukrawa dia to, ly jao, ya otha k kahen sy kahen aor rakh dia. Kse ko dy dia. tb na ho to koi baat nhn ha).

Quran main, surha waiqa, 75-79, (ayat hain k, Looh e mahfooz ko sirf paak loag hath lagaty hain).
Ya quran looh e mahfooz sy copy kia gyia ha.

yah kahen be darj nhn k, Nabi saww ny, ya sahaba ny wazo kr k parha ho. Jahan dil kia prh lia.
 
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Singer In Malaysia  How to find job with no work experience  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013