agar kisi ne kisi ko loan diya ho 2011 mein rs. 29,000/-, aur us ne yeh keh ke maanga ho ke business ke liyeh chahiye aur maine apne doston se bhi liya hai, lakin sab se pehley apko wapis karon ga/ ya karon gi 3, 5months.
aur 2012 tak bhi woh wapis na karey yeh kahey ke aik waqat ka khana ka bhi nahi hai tu, loan deny wala dil sochne ke itni sharm kar ke managa tu pata chala ke uske ghar mein khane ko bhi nahi hai. tu dil mein maaf karne ka sochey.
phir 2013 mein loan deney waley ko pata chaley ke uski income rs. 30 to 35,000 hai, aur woh apni family ke sath ghomey phirey matlab pahsey kharach karta nazar aaye.
tu us se loan wapis karne ka takaza kiya tu woh tab bhi bahane karne lagne. aur ulta us se poche ke ahsa kiya ho gaya jo manga rahey ho. jab ke usy pata hai ke wapis maaney wala apni intehai zahroorat mein maang raha hai. maangey behad zahrorat mein they magar sath mein check bhi karna tha ke jhoot bolta hai alghla banda yah nahi.
ab ap please yeh batein ke ghalat information sun ke jo usne maan kiya tha dil mein uski kiya ehmiyat hai islam mein.
aur ab kiya karna chahiyeh???? jis se dil mutmaaein ho jaye.
Agar dil mein socha tha ke maaf kar dia, to wo niyat thee amal nahen tha. Aap wapsi ka taqaza kar sakti hein. (Agar usko, ya kisi aur ko, ya Allah ko gawah bana kar he keh dia hota, to phir wo amal mein tabdeel ho gya, ab us se wapsi nahen ho sakti). Ham loag aisi soorat mein apnay maan ya baap se mashwara letay hein, phir wo keh detay hein to bad debt samajh kar maaf kar detay hein. Is se ye bhi faida hai ke maqrooz ke pas paisa aanay ke baad shaitan dil ko lalchaata hai, ke ab taqaza karlo, to ammi abbu sakhti se mana kar detay hein, ke jab tumne maaf kar dia tha, aur hamein bhi bataya thaa ke maaf kar dya, to ab mangnay ki kya zarurat hai.
Agar usko keh dia ke ham ne tumhari majboori ko dekhtay huay maaf kar dia, to phir taqaza karnay ka haq khatam ho gya. Ab wo 29,000 kia 29,00,000 denay ki position mein aa jay tab bhi aapko mangnay ka haq nahen hai, chahay aapki zarurat ho ya na ho. Agar wo khud deday to alag baat hai. Aur agar manga aap ne apni majburi ke lye qarz, to wo aik alag deal hogi uska is pichlay mamlay se taluq nahen hoga.
Aur agar ab nahen deta taqaza par bhi, to ya to waqai nahen hein, ya phir bahanay kar raha hai. Is soorat mein to Allah ko he behtar malum hai. Dil ko ye soch kar mutmaen kar lein ke Allah karsaaz hai, us shakhs ke dil mein khud he daal dega, nahen to akhirat ke din to dilwa he dega. Jis par qarza charha ho Rasool PBUH ne to uski janaza bhi nahen parhai jab tak ke qarza ka hisab barabar nahen hogya.
Warna 29,000 ka na to stamp paper par hoga na he itni si raqam ke lye koi court janay ka mashwara dia ja sakta hai.
Ehem baat: Forum ki kisi khaas member ko target kar ke mashwara na manga jay. Is se deegar contributors devalue hotay hein. Kuch OP to khud poochtay hein kisi ne reply kyun nahen kia? To loag unhein batatay hein ke aapne kisi specific person ko mukhaatib kia thaa, ab us person ke login honay ka intizaar karein.
Dear Bushra Bushra thanks for reply, maine myrizvi ka naam is liyeh likha tha ke unke post sahi hote hein chahey islamic topic ho ya koi aur topic aur woh Moderator hein is category mein bas yeh reasons they, warna aur koi baat nahi thi. aur jis ka yeh sawal hai usy jawab deney ke liyeh jab mai khud hi mutmaieen nahi hon tu usy kiya maswara don gi.
mujhy accha laga apka is topic ke post karna. maine pehle bhi apse kaha tha ke ap accha guide karti hain. bas yehi baat hai ke post ko 100% koi nahi samjh pata. aur dosron ko ilzam deney ya ghalat maswara deney mein lag jate hein.
kisi ko pata hi nahi hai loan deney ka, maaf bhi dil mein kiya tha. us ke ghar mein koi changes hein woh kuch months mein nahi aa saktin. baat 29,000 ki 2900,000 ki nahi baat hai us shaks ke 3, 5months mai aur bas se pehley wapis karne ki hay, uske jhoot bolne ki hai, aur bahane banane ki hai, aur asal maslah dil ki tasalli ka hai, ke jhooti baat sun ke maaf karne ka socha tha.
aur intehai majboori mein maange zahroor they, magar dukh us jhoot pe hai. aur dil yehi kehta hai us shaks ka choor de bas yeh soch ke dil mutmaiein ho jata hai, par zahoorat ne majboor kiya, warna maangte hovey ahse sharam aai usy ke jahsey road pe khara ho kar pheek maang raha hai.
aur phir jab maange they tab us ne kaha tha ke haan kuch dino tak wapisi ho jayeh gi. par aij usy ne ulta yeh kaha ke tumeh ahsi bhi kiya musqil aa pahri.
tu dene wale ko dukh hova, aur is baar usy sach mein yeh laga ke woh road pe kahra hai, mujhy se maswara maanga. meri information kaam hai islamic point of view se loan pe. isi liyeh waha post kar diya, jaldi mein.
once again thanks.
2 maswareh ho gaye hain, mujhy myrizvi ke post ka wait rahey ga.
agreed with bushra reply 1. dil maiN maaf karnay ka khayaal aayaa to iski koi hasiyat nahi... ap apna qarz maang saktay haiN, agar chahaiN ...
2. lekin agar oskay saamnay oss say kah dia k tumhara qarz maaf kardia (bay shak oskay jhooT ki wajah say) to phir qarz maangnay ka koi jawaaz nahi bantaa
abhi mai bataon apko, mai ne yeh maslah aik deni admi se pocha tha kal, par mujhy lagta tha ke kam se kam 2, 4, logon ka maswara behtar hoga, kisi aur molvi ko janti nahi. isi liye apko attn: kiya tha.
isi bahane mari information zahda ho gai. thanks a lot.
wahsey dukh mein us bande ne keh diye udhaar leney wale ko ke, zahroorat na hoti tu maagta nahi [(kiyn ke usy haqeeqat ka ramzan mein pata chal gaya tha) jab ke takaza abhi kiya] aur isi liye bhi takazar kiya hai ke woh chahta hai ke karazdar na rahey woh shaks aur uski namaaz e jana aada ho aur ALLAH ke yahan pakar na ho. kiyn ke woh shaks sochta hai ke dil mein tu maaf kiya par sehtan suratein badal badal ke na aayeh aur us shaks ki pakar na ho. baat pahson ki tu sirf zahroorat ki waja se hoi warna pahson hi ehmiyat bohat zahda hoti tu kab se le leta kisi tarhan.
@sana.azher It depends. Kuch post mein logon ne mera naam lekar bhi kaha ke bushra reply dein. To mein ne wahan bhi yehi kaha ke bhai/behen naam lekar na kaho.
Qarz ke mutalliq kuch batain:
1. Itna ziada qarza na dein ke khud ko mushkil ho jay. Allah sab ke rizq ka zimmedaar hai aap nahen. Agar kisi ki mushkil ziada hai aur aapki isteta'at kam, to ye bhi Allah ki taraf se aik naimat hai. Warna aadmi khudanakhwasta takabbur mein bhi par sakta hai ke iska masla to mein ne hal kar dia.
2. Jitna qarza maanga hai us se kaafi kam raqam dein. Is tarah aapka potential risk kam ho jayga.
3. Agar kisi se dhoka kha jaen to sharmindagi mehsus na karein. Sharam usko aani chahye jis ne dhoka dya hai. Jis ne dhoka khaya hai us ne to Allah wastay ko kisi ki baat ka aitebaar kia hai. Aur khush-gumaani ki ke Allah ka banda jhoot to nahen bol raha/rahi. Iska sawaab aakhirat mein milnay ki ummeed hai.
4. Qarza wapas mangtay huay koi sharam mehsus na karein. Apna haq manga hai nahen deta to zabardasti bhi lia ja sakta hai. Koi udhaar ya bheek nahen maangi jo sharam ay.
5. Qarza wapas mangtay huay bilkul be-rehem ho jaen. Uske baad in conjunction with point #4 ye dekhein ke narmi se baat jo kar rahay hein wo Allah ki khushi ke lye narmi se maang rahay hein ya apni internal sharam ki wajah se. Agar andar se aawaz ajay ke abhi Allah ki baat par amal karnay ka mamla to us waqt ayga jab apnay andar baat karnay ka hosla hoga. Islye kaha hai ke confidence peda kar lein bilkul be-rehem ho jaen. Phir decision karein ke Allah ki khatir soft ho jaon ya nahen?
6. Maqrooz party taqaza karnay walay se kabhi justification nahen maang sakta ke aapko zarurat hai ya nahen. Us ki bala se, qarz khawah sonay ke paani mein naha raha ho, us ne agar chawanni bhi deni hai to deni hai. Iska kisi ki bhi maali haisiyat se koi talluq nahen. Qiyamat ke din bohot se ameer logon ko bara benefit hoga. Kyun? Kyunke wo is dunya mein intahai mazloom honge. Beshumaar logon ne unsay qarzay lye honge aur isi tarah sharam ke maray un ammer logon ne wapas nahen lye honge. Ya is tarah ki taanay baazi nahen seh saktay honge woh. Ye alag baat hogi ke ameer loag kuch auqat ziada mazhabi nahen hotay. Aur ghareeb loag kafi namaz waghera parhtay hein. Magar us din isi corrupt thinking ki wajah se - ameeron ke gunaah ghareebon ke hissay, aur ghareebon ki naikian ameeron ke hissay - chalay jaenge. Aur in ghareebon ka koi bara qusoor bhi nahen hoga. 100, 200 rupees, ye soch kar wapas nahen liye hongay ke ye to baray ameer loag hein, inko kia zarurat? Un ameeron ki dunyawi zindagi par to koi farq nahen parega, magar qarza lene walon ki akhirat zaroor kharaab hogi.
sana.azhar walaikumAsalaam, ...Agree with myrizvi sir and bushra sis....agr aap ne qarz dene k baad aus qarz ko maf krne ki baat kar li kisi k saamne tu fir aap wo qarz nhi maang skte.....albat-ta ab agr aap ko zarorat hai aur aus sakhs k pas aap ki zarorat puri karne tk ki salahiyat hai jo aap se qarz liya tha and aap aus se again rupeyee lete hai tu wo aap k qarz diye huie raqam me se nhi kate ga balke wo ek naya qarz kahelaye ga...umeed hai neri koshish aapke kaam aaye gi.. Thanks, Allah aapki Mushkilat asaan kare..
For More Detail Click On Page No: 1
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.