deeni madaaras 1. indo pak k beshtar madaaras muft deeni taaleem detay haiN... yeh madaaras apnay students ko rehaish aur khana peena tak muft dety haiN... in madaaras maiN students sya koi fee nahi li jaati magar teacher ko pay kia jata hai ... madaaras ka kharcha awaam k chanday, zakaat aur sadqaat say chalta hai
2. kuch madaaras maiN student say fee bhi li jati hai aur rahnay aur khanay peena ki fee bhi li jati hai... teachers ko pay bhi kia jata hai. lekin chouNkay fee say sara kharcha poora nahi hota isliyeh chandah, zakaat aur sadqaat bhi wasool kiyeh jatay haiN
3. daarul aloom /regular madarsouN say haT kar masaajid maiN yaa baaz gharouN maiN bachay bachiyou ko quran naazra paRhanay ka bhi indo pak maiN aam rewaaj hai. yahaaN nah student koi fee pay kartay haiN aur nah hi paRhanay walay ko koi salary di jati hai
student say fee lenay wala aisa shaid hi koi madarsah ho, jahaaN fee nah denay walay ghareeb bachouN ko madarsah say nikal dia jata ho... agar kaheeN aisa hota hai to woh galat hai
wallaho aalam bissawab |