Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Talaq K Masail Aur Un Ka Asan Hal Urdu Main

Religion and Culture
 
 
 
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 45  Post: 2456  Age:  48  
Posted on:8th Apr 2013, 9:34am
 

Talaq K Masail Aur Un Ka Asan Hal Urdu Main

Muaazrat Khuaa hun k cut past kerna pera

kiun K kisi ki mehnat ko apnay naam se pesh kerna bhi sahi nhi hai

Talaq k be shumar sawalat ki wajah se bohat talash k baad ye ek jamea artical mila hai

umeed hai k MODRETOR hazraat muaaf fermain gay

fayeda is k ye hai k her koi khud perah sakta hai aur samjh sakta hai k us ka masla kis level ka hai

 

Request to modretors: Please dont change the location and don't object that this is CUT AND PASTE

Thnaks












   




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6612  Age:  54  
Posted on:8th Apr 2013, 10:47am
 

Jazak Allah

acha mazmoon hai... lekin iss maiN 2 bataiN hanooz debateable haiN

1. aik mahfilki3 talaqouN ko iss mazmoon maiN as per hanfi sect 3 talaaq hi shomaar kia gaya hai...jabkay ahlay hadees k nazdeeq aikmahfil ki 3 talaqaiN aik hi shomaar hoti hai<

2. iss maiN yeh bhi kaha gaya hai k agar shauher talaq nah day aur biwi adalat say talaaq hasil karlay to yeh talaaq valid nahi hogi... wazah rahay k awaam bil.amoom talaq aur khola ko aik hi cheez samajhtay haiN aur nateejah k etbaar say donoun hai bhi aik hi cheez...

donouN maiN faraq sirf yeh hai k talaaq yaktarfah taur par husband hi day sakta hai...illa yeh k aqad nikaah maiN yeh tay kar lia gaya ho ko biwi ko bhi yaktarfah taur par talaaq denay ka haq hasil hoga....... ab agar husband talaaq nahi detaa aur biwi seperation chaahti hai to laazman woh khola k liyeh adaalat/qaazi say rajoo karegi... ab yaa to husband adalat maiN haazir hokar talaaq denay say inkaar karay yaa adaalat maiN haazir hi nah ho...donouN soorat maiN agar biwi ka bayaan sunkar qaazi /adaalat iss nikaah ko mansookh karday /biwi ko kholah dilwaday to yeh 'separation' (jissay naam khola ka daiN, talaaq ka yaa nikaahay fasakh ka) shar.an valid hogi

wallaho aalam bissawab
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 45  Post: 2456  Age:  48  
Posted on:8th Apr 2013, 11:57pm
 

myrizvi

main ne is artical ko is liye nhi slect kia k yeh kisi ek maslak se related hai ya nhi

lekin is main ziyada ter hawalajat Quran aur hadees se hain direct.

talaq aur khula main bohat feraq hai

talaq yakterfa hoti hai lekin us main tamaam haqooq biwi leti hai

jab k khula hotihi is sherat per hai k biwi apnay tamam haqooq chr de gi

adalat se jis case ka hawala diya gaya hai

us main hota ye hai k biwi talaq k liye hi cae kerti hai lekin us main haqooq nhi chory jatay

ye indian family law main yehi hota hai

jahan tak ehal hadees maslak ki bat hai

ehal e hadees main jahan tak mera ilam kehta hai k koi mustanad fiqah nhi hai

balkay ehal hadees fiqah main ya to humbli fiqah se istifada kia jata hai ya shafai fiqah se

imam Abdul wahab jinhain wahabi maslak ka bani kaha jata hai unhon ne imam ibn e temiya se istifada kia hai

main koi fatwa nhi de raha lekin aam kutub main yehi likha hai

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6612  Age:  54  
Posted on:9th Apr 2013, 1:53am
 

khola aur qazi ka faislah

agar khola case maiN qazi nikaah ko faskh kartay howay shauherko hukmday k sabeqah biwi ka falaan falaaN haq bh ada karay tab??? aisi soorat maiN islamic ruling kia hogi???
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013