Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Articles
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

mera husband non practising hai aur yeh baat mujhay buhat tang karti hai - main kya karun

Married Women Problem
Natural Aphrodisiac
Natural Aphrodisiac for Enhancing Sexual Desire
Increase Sperm Count
10 Easy Ways to Increase Sperm
Low Sexual Desire
Causes of Low Libido in Men
Food For Sperm Count
Foods to Increase Sperm Count - Which Food is Right for You
Sajjal H. Group: Members  Joined: 19th Apr, 2012  Topic: 12  Post: 26  Age:  22  
Posted on:17th Mar 2013, 12:06pm
 

mera husband non practising hai aur yeh baat mujhay buhat tang karti hai - main kya karun

Assalaam o Alaikum Wa Rahmatullahi Wa BArahkatuh ... 
KAisay ho sab users. I hope aap mujhay koi achi advise de saktay ghay  - Pehle main thori details mein batati hun ke baat kya hai : Meri Shaadi 2 saal pehle huwi hai aur main shaadi se pehle apne husband ko pasand karti thi aur woh kisi aur ko like karta tha ....  
mere husband ko maloom tha ke main usko like karti thi maghar woh hamesha mujhay ignore kartha tha .... maghar jiss larki ko woh like kartha uski shaadi hoghi kisi aur ke saath ... uske baad kuch arsa ghuzara .... aur 2 years pehle usne mere ghar rishta bheja ... he is my cousin ( khala ka beta hai) aur by the way main uk mein rehti hun .... so  meri nani amma chahti thi ke mere husband mujhse shaadi karlain isstarah woh uk ajaeghay .... aur mera husband meri nani amma ki ( uski bi nani amma hai) buhat respect kartha hai aur har baat maanta hai ... so unho ne rishta bheja aur hum ne haan kardi .... uss time main non practising muslim thi aur husband bi non practising muslim tha .... itni deen ki taraf nahi thay hum.. maine han ki thi uss waqt kyun main like karthi thi .... maghar hum ek dusron ko bilkul jaantay nahi thay ... 
so maine shaadi ki hai usse kyun ke main like karti thi aur ussne pata nahi kyun mujhse shaadi ki hai .... shayad hamari nani amma ke liye ... 
jab hamari shaadi hoghi to pehle din woh aaya aur mujhay kehta hai ke '' mujhay koi lalach nahi , maine kisi lalach ke liye shaadi nahi ki aur aghar mere andar koi lalach hota to main uss larki se shaadi karleta joy italy mein rehti hai aur uski family poocha bi tha rishtay ke liye ... '' 

and i was like: nahi nahi main aisay nahi soochti :p ....
phir shaadi ke baad  like every couple hum buhat khush thay ... he is very nice .... maine usko kabhi jaana nahi tha shaadi se pehle aur ab jitna bi jana acha hi lagha hai :p .. he is mash'Allah very good .... perfect husband .... very caring .. mash'Allah mash'Allah .... 
ab yeh hua hai ke main deen ki taraf aghi hun ek saal se ... aur main buhat serious islam ko lay rahi hun  .... i ve changed my whole life ....  aur islam ko buhat seriously le rahi hun main ....
mere husband buhat islamic nahi hai mghar unho mein koi buri adat bi nahi hai jaisay aaj kal ke larkon mein hoti hai : jaisay woh smoking/drinking/drugs nahi kartay ... movies/ songs mein interst nahi hai unko ..... awaien loafers ki tarah phirtay nahi rehtay ....  woh family ko time detay hai aur apni job kartay hai ... batemeezi nahi kartay kisi ke saath ... and he is very young .... he is 26 years old mash 'Allah ... he is very good ... kyun ke mere bhai bi hai aur woh itnay sudray nahi hai :p  .... 

 by the way he is still in pakistan ... kyun ke mein jahan study kar rahi hun .. in sha Allah yeh meri studies ka last year hai aur iskke baad mein unko uk bhulaoghi ..... thats what we have planned but Allah knows the best .. and i trust ALlah undoubtedly ... ke yeh Allah yoh bi karegha acha hi karegha ...
to .... ab main islamic hoghi hun ... to maine unko kaha hai ke namaz parna shuru karo  ... pehle pehle job ke bahanaay kartay thay ke main buhat busy hota hun .isliyeh namaz ada nahi kar sakta ... customers aatay hai .. etc .etc 
maghar Alhamdulillah woh ab namaz parthay hai ... fajr aur isha kabhi miss ho jati hai waisay parthay hai ... 
ab maine unko kaha hai ke beard ko grow karo ... to unho ne kaha hai theek hai ab kuch din pehle maine poocha ke beard grow ki hai 
he said : islam main yeh hai ke jitni insaaan samhaal sakay utni hi daari rakhni chahiyeh ... aur phir hamari itni arguments huwi ... aur hamesha hum naraaz ho kar call disconnect kartay hai ...
ab maine kaha hai ke aap tajweed ki classes lain ... kyun ke main chahti hun ke woh rozana atleast  1 surah parhain ... unho ne quran paak sikha tha jab woh chotay thay maghar ab woh bhool chukay hai kyun ke kaafi arsa hoghiyah hai unko quran paak parthay huway so i said take the tajweed classes again ... 
he agreed but ab jab bi woh mujhay call kartha hai usko ppochti hun : kya huwa class ka .. aur woh kehtay hai abhi tak pata nahi kiya maghar jaoghi ... 

to baat yehi hai ke woh islam mein interest nahi letay jitna main chahti hun woh lain .... woh shayad namaz ada kar rahay hai / beard rakh rahay hai kyun ke main keh rahi hun karne ke liye unko.... jab woh uk ajaeghay ek baar to phir aap apni normal life main chalain jaeghay ...  am scaredd ..... i dont wanna take the risk ... 
jab woh call kartay hai toh hamari conversation kuch istarah hoti hai : 
me :  namaz parhi ?
him:   han sab ada ki hai  or he will say : nahi raat ko dair se soya tha isliyeh fajr aur isha nahi par saka ... aghar yeh jawaab degha to phir hum argue kartay hai .... phir mein lecture dena shuru kar deti hun ... 
me : beard grow ki hai ..
Him : jitna saamhaal sakay utni rakhni chahiyeh thn me giving lecture again ... ke sunnat hai aur why r u ashamed :p
me : tajweed classes ka kiya huwa : him : main busy tha isliyeh nahi ghaya poochnay ke liyeh ...

phir yeh hota hai woh mujhay kehtay hai ke main aapne aapko buhat naik samajhti hun aur buhat gharoor karti hai .. but really main nahi karti ... 
aur main jab bi call band karti hun to soochti ho ke ainda ke baad main usko kuch nahi kahungi phir main soochti hun woh mera husband hai ... mujh per farz hai ke unko achay raastay per lekar aoo ... 
mujhay pura  yakeen hai ke unko nahi pasand jab main lecture deti hun ... maghar main karun .. main aadat se majboor hun ...  main hamesha koshish karti hun ke main pyaar se samjhao maghar phir main shuru ho jati hun ... : like : tum kyun nahi parthay namaz ... tumhain pata bi hai ke namaz ki ehmiyaat kia hai ... ka tumhhain Allah per yaqeen nahi hai .... kya isliyeh Muhammed (S.A.W) qurbani di thi .... etc etc etc 
acha by the way he is shop owner and he works there from 12 till 12 in the night aur isha ki namaz isliyeh nahi parhtain kyun ke isha ke time buhat customers aatay hai ... aur yeh baat mujhay buhat ajeeb laghti hai ... aur hamari buhat arguments hotay ... :(  like kaisay koi Allah ko shor degha kuch customers ke liye .... ALLAH ka ek name hai Ar razzaq ... ek baar trust kar ke to dekho but then woh mujhay kehtay hai ke tum free ho na isliyeh yeh baatain karti hon ... jab busy ho jaeghi na tab poochugha .... 
acha by the way woh ek buhat valid point detay hai ke jab main islamic nahi thi to main bi itna interest nahi leti thi ... he says ke ALLAH hidayat denay walay hai .. jab ALLAH hidayat degha tab hi unko feel hogha ke islamic comes above everything tab tak unka koi kasoor nahi hai .... 

and i think he is right actually .... mmmmmm ..... kyun ke ALLAh hi hidayat deta hai ... main sirf dawah deh sakti hun ... 
to main poochna chahti hun ke main kya karun ... ke main ab unko lecture na do aur unko tang na karun .. aur joh woh karna chahtay hai woh unko karnay dun ... 

I am really stressed .... mujhay dar hai ke woh kabhi shayad change nahi hoghay .... aur ab mein pakistan bi nahi jaana chahti apne husband ke paas ,,,, shayad mera dil bar ghayah hai ..... I never think about my husband ... i am always thinking about Allah .. 
abhi mere bachay nahi hai maghar jab hoghay to unka future kya hogha ???? 
aur aghar woh change nahi huway to kya main unhain chor dun :( :(  kyun ke main uske sath zindaghi ghuzarna chahti hun yoh mujhay Allah ke aur nazdeek lay ayain .... but i am scared ... coz my husband is perfect in every matter .... bass thora islamic nahi hai ...  meri family sab mujhse naraaz ho jaeghi aur mujhay pata mujhay ko samajh nahi paegha .. aur sab mujhay paghal kaheghay :p .... meri family itna interest nahi leti islam mein ... 
aghar time do to kitna time do unko ???? main apni puri zindaghi waste nahi kar sakti .... 
meri husband ki itni ghalti bi nahi hai ... hamari families itni islamic nahi .. hum logon ki upbringing namaz ke saath nahi huwi :( :( unfortunately :( :( 

sorry for the long post ... please please aaghar koi reply kar sakta hai to please karain ... 

aanab Group: Members  Joined: 14th Dec, 2011  Topic: 12  Post: 212  Age:  23  
Posted on:17th Mar 2013, 12:33pm
 

sis,

aayyeee itnnii barri post himat kr k parh he li :P

achhi baat hai k deen ko smjh rahe hain ,
mein itna kahoon ge k apnay husband k liye Duaa kia karein k ALLAH PAAK unhain hidayat daay , aap unhain kehti hai ye achii baat hai apne to apna farz pora kia na , baqi ALLAH usy amal karnay ki tofiq day aameen.

meray husband b shuru mein Namaz parhny mein kuchh susti krtay thy Alhamduliilah mein 5 times ki Namaz parhti thee abi ek adh chhot jti hai . to mein inko kehti thee to ye meri baat nahe mantay thy kehtay thy k mein ki c k kehany say nahe parhon ga jb mera dil kare ga tb parh longa lekin mein phr b kehti rahe , lekin ahista ahista Allah ne tofiq di darhi (beard) b barha li r NAMAAZ b parhtay hain n MASHA ALLAH ...

aap unky liye Duaa kia karein sachay dil se IN SHAA ALLAH sb sahe hojaye ga.
lifestyle Group: Members  Joined: 24th Jan, 2009  Topic: 1  Post: 296  Age:  39  
Posted on:17th Mar 2013, 12:36pm
 

rep

islam ma zaberdasti nahi hay. Ap sirf samjha sakti hain point bata sakti hain . Ap jo ker rahi hain bohat kum bv karti hain. Amal karna un ka kam hay . Aahista aahista jub un ko samjh aany lagy ga wo khud amal karain gay. Bachay ko ager maar ker parhaya jata hay to wo parhai say utna door hota jata hay. Or ager khel khel ma parhaya jay to bacha bhi dilchaspi leta hay. Jub unko acha lagnay lagy ga wo khud amal karain gay. Un say kahin k 1 din meri khatir isha k time shop chor ker namaz ko jain ager acha lagy to continue karna werna marzi hay. Phir dekhain kia feedback milta hay
lifestyle Group: Members  Joined: 24th Jan, 2009  Topic: 1  Post: 296  Age:  39  
Posted on:17th Mar 2013, 12:40pm
 

anab

waqi bari lambi post hay. Ma or app sath hi read ker rahy thy hahahaa
aanab Group: Members  Joined: 14th Dec, 2011  Topic: 12  Post: 212  Age:  23  
Posted on:17th Mar 2013, 12:44pm
 

jiii

itni barri post dekha pehly mein 2 3 mins socha parhon k nahe :P
Sajjal H. Group: Members  Joined: 19th Apr, 2012  Topic: 12  Post: 26  Age:  22  
Posted on:17th Mar 2013, 1:36pm
 

@ aanab & lifestyle

Jazak'Allah reply karne ke liye ...


soorrrrryyy itne loooooong post ke liye :p maine socha tha ke sab kuch likh daalti ho yun dil mein hai ... atleast dil to halka ho jaegha hehe :p

mmmmmm i know zabardasti kaam nahi chalagha maghar baat yeh hai ke pyaar se main bi samajhana chahti hun ... maghar jab ulthay seedhay jawaab detay hai to phir main bi lecture dena shuru ker deti hun .... dusri baaat yeh hai main main tang arahi hun roz roz kehnay se .. .. kab woh din aegha jab woh mujhay kahengay ke namaz parhi ? :p

beshaq Allah hi hidayat denay wala hai ....


once again buhat shukerya Reply karne ke liye ... May Allah Azzawajal Blees you Both - Ameen
Sajjal H. Group: Members  Joined: 19th Apr, 2012  Topic: 12  Post: 26  Age:  22  
Posted on:17th Mar 2013, 1:37pm
 

:p

* Bless
Aini wish Group: Members  Joined: 30th Jul, 2012  Topic: 13  Post: 89  Age:  27  
Posted on:17th Mar 2013, 3:08pm
 

UUuuuuffhhh

Really mere ankon se pani a gea yeh post parh k and yeh anso nhe Screen ko dekhty dekhty pani bar gea eyes me Allah pak Apko himat dy Ap apna Farz Ada kar rahy hu or karty rahu Insha Allah sab behter hu jaye ga,.....May Allah Blessed u

Black_bird Group: Members  Joined: 07th Mar, 2013  Topic: 0  Post: 9  Age:  23  
Posted on:17th Mar 2013, 11:54pm
 

. . . .xyz

Hahahaahahaha,,
Perfc Group: Members  Joined: 09th Feb, 2013  Topic: 0  Post: 35  Age:  33  
Posted on:19th Mar 2013, 11:17pm
 

sajjal H

i can give you very good answers in detail about all this but i want to make sure that are you still coming than i will answer you because you have posted very long and i also want to answer you and hope so i can satisfy you because in few thing you are making some big mistakes too. so i can clear you all. let me know i you still come on this page and read.
1
Ovulation Info
10 things you need to know about ovulation
Chances Of Pregnancy
Tips to Enhance Your Fertility and Chances of Becoming Pregnant
Get Rid of Dermoid Cyst
Dermoid Cyst - Prevention Tips and Treatment Methods
Dermoid Cysts Facts
Dermoid Cysts - the Facts
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012