minahil.bu
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2013 Topic: 1 Post: 1 Age:
23
|
|
Posted on:13th Mar 2013, 6:37am |
|
|
Divorse In Pregnany
A.A ... mje last month divorce o gayi hai or me pregnant hun .. mje 5wa maheena lga hua hai..... kiya mera panchwe maheene me abortion ho skta hai? Plz mje is ka ans zaroor dijye ga...
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7733 Age:
55
|
|
Posted on:13th Mar 2013, 6:59am |
|
|
abortion 1. islamic point of view say apko abortion ki ijazat nahi hai aur medical point of view say bhi 5th month maiN abortion karana sakht khatarnaak hai, apki sehat k liyeh.
2. apko delievery honay dena chahiyeh... aur deleivery tak k tamaam ikhraajat, apkay aur apkay honay waly bachay k saray ikhrajaat bachay k baap ko pay karna hoga. ehteyatan aap abhi say apnay sabeqah husband ko iss kharchay ki wasooli ka qanooni notice de dena chahiyeh. taakay kal kalaaN ko woh koi kharcha bardaasht kiyeh beghair bachay ko apni tahweel maiN lenay ki koshish nah karay... kissi bhi wakeel say tafseelaat pooch laiN.
3. waisay apki iddat period bachay ki delievery hai. iss dauraan husband talaaq denay k bawajood, rajoo karsakta hai. Quran k motabiq yeh iddat period mutliqah ko apnay husband k ghar hi guzaarni chahiyeh... agar husband zabardasti ghar say bahar nah nikaale to... aur husband ko bhi aisaa nahi karna chaahiyeh...lekin amooman hamaray haaN aisaa nahi hota...talaaq detay hi aurat ghar choR kar maikay aa baiThti hai yaa ossay nikaal dia jata hai...jo bhi asia kartaa /karti hai, woh quran k hukm k khelaaf hai
4. deleivery tak wait kijyeh... agar mumkin ho to shauher k ghar rahiyeh yaa wahaaN aati jaati rahiyeh... aur ossay bataa dijyeh k yeh bacha apka hai aur iskay tamaam ikhrajaat + iddat tak apkay tamaam akhrajaat shar.an apkay husband ko oThana hongay
insha Allah iss taah koi mosaalehat nikal sakti hai aur apka ghar phir bas sakta hai...ab ap 3 talaaq / 1 talaaq ki bahas nah cheRiyeh ga...iss par yahaaN pahlay hi kaafi debate hochuki hai... with detail ap apnay kissi bhi qareebi mufti say rajoo kijyeh wassalam
|
lifestyle
|
Group: Members Joined: 24th Jan, 2009 Topic: 3 Post: 626 Age:
40
|
|
Posted on:13th Mar 2013, 4:01pm |
|
|
rizvi i disagree your last point. Talaq talaq hoti hy khel nahi k jub chaha day di or join kr lya. 3 talaq k bad husb ruju nahi krsakta. Or iddet aysay nahi guzarti jati k ati jati rahna. 1 jaga rah ker guzari jati hy. Husb ny ager 3 talaq day di to is ki kia garantee hy k husb us ko touch bhi nahi kary ga jo us k lya haram hogai. |
aanab
|
Group: Members Joined: 14th Dec, 2011 Topic: 12 Post: 461 Age:
24
|
|
Posted on:13th Mar 2013, 4:58pm |
|
|
agree with lifestyle 3 talaq k baad wo aurat haram hojati h us mard k liye
|
hasna
|
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 41 Post: 2016 Age:
27
|
|
Posted on:13th Mar 2013, 5:35pm |
|
|
life style apki bat se agree hu laikin rizvi uncle ne sawal krne wali ki situation k mutabiz sahi jawab dia hai.
pregnancy me tulaq k bad rujo ki muddat tk tk ki hai jb tk bacha paida nhi hojata agur usse pehlay rujo krna chahy to krsakty hein......... aur 3tulaq aik sath keh di jaye tb b aik tulaq hi hoti hai...... aur muddat k ander rujo krlia jaye to dubara nikah bhal hosakta hai.
agree with my rizvi k yeh behas yha bht hochuki hai isliye iska na krna hi behter hai......... |
lifestyle
|
Group: Members Joined: 24th Jan, 2009 Topic: 3 Post: 626 Age:
40
|
|
Posted on:13th Mar 2013, 6:16pm |
|
|
dear hasna ap kia bat kar rahi ho . Bat ya hay k jo ghalat hay wo ghalat hay chahy behas ho chuki ho ya nahi. 3 talaq ka matlub 3 hota hay. 3 talaq k say hoti hain? Hamary han kitnay jory aysy hain jo isi terha gher sharaii zindagi guzar rahy hain , k talaq nahi hoti. 3 talaqain 3 din ma hongi kia. Han 1 ya 2 di hon to ruju kar sakta hay werna nahi. Ap mashallah parhi likhi ho phir aysi bat karti ho |
lifestyle
|
Group: Members Joined: 24th Jan, 2009 Topic: 3 Post: 626 Age:
40
|
|
Posted on:13th Mar 2013, 6:19pm |
|
|
hasnaa is terha app ka nikah bhi nahi hoa ku k 1 hi waqt ma ap nay 3 dafa qbool kaha |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7733 Age:
55
|
|
Posted on:16th Mar 2013, 4:38am |
|
|
divorce and pregnancy Soorat At-Talaaq: Provide to them (the divorced women) residence where you reside according to your means, and do not hurt them to straiten (life) for them. And if they are pregnant, spend on them till they give birth to their child. 5 Then if they suckle the child for you, give them their fees, and consult each other (for determining the fee) with fairness, and if you create a deadlock between you, then another woman will suckle him. (6) A man of vast means should spend according to his vast means. And anyone whose sustenance is limited should spend from whatever Allah has given to him. Allah makes no one liable beyond what He has given to him. Allah will soon bring ease after a difficulty. (7)(Translation: Dr Mohsin Khan) |
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|