Salam, i hav some problem, mujhy meri 1 kzn bachpun m bhut achi lgti thi, wo jub mery samney ati to meri dhrkan ruk jati , m us k samney janey se shirmata tha. Phr pata chala us ki bat tai ho gai hai, to phr m ne us k barey m sochna chor diya. Phr meri b kisi lrki se mry man bap ne bat tai kr di. Us waqt m 10th m tha, jb mujhy pta chla keh meri 1 mangatr hai. Mujhy pata chala keh meray brey bhai jo mujh se 1 sal bra hai us ki mangatr us lrki ki choti behn hai , jo mujhy achi lgti thi. Phr to m ne blkul sochna chor dya, aor na hi usay kuch impresion dya keh m usay psnd krta hn. Ab m apni mngatr se bat b krta hn. Wo kehti hai wo mujhy bchpun se chati hai, m bi us k jawab m i lov u too bol deta hn, . Aor wo meri czn apny mngatr ko psnd nhi krti, wo khubsrt hai, aor us ki education b us k mngtr se zyada hai. Aor us ka mngtr khubsrt nhi hai. Pr wo ab man bap k kehney pe us se shadi krne ja rhi hai. Lkn jb ab us ki shadi hony ja rhi hai to pta nhi kun meri rato ki niendien urr gi hain, m raat ko kabi kabi us ki khtr rota hn. Pta nhi ye lov hai? , pta nhi mujhy kun lgta hai wo mujhy miley gi. Pr meri us se shadi hony ka dor dor tk koi imkan nhi.Kabi kabi m apni mngtr se khwmkha lrai kr leta hn. Wo b mujhy kehti hai keh pta nhi kun mujhy tmhari ankho m koi aor nzr ata hn. Agr meri us csn ki us se shadi nhi hoti, to bi mry ghr walon ne socha tha phele keh mry bry bhai ka rishta us ki choti behn ki bjay us se kia jay.Yani koi imkan hi nhi.Aor idhr m preshan sa rheta hn. Plz mujhy koi hal btaien, kya mujhy usey bhol jana chye. ??
dekho mere bhai sochna, sochna sirf takleef k ilawa kuch nai dete, ap ka jo case he us me do alag raste hain, aik p ap and ap k fiance, 2nd p czn and us ka mangetar, ye dono raste past me kahin mil sakte the but futur m milne ka dor dor tak koi nam o nishan nai, and yahan yehi socha jata he k agar piyar sacha ho to koi juda nai kar sakta jo sirf filmi dialouge hain, ap apni fiance k bare m sochein jo ap k he,and ap k bv banegi, usi m apna piyar dekhen to ap k zindagi khobusart guzeregi, czn k bare m sochna chor de, us ka mangetar khubsurt nai,educated nai, dil se ache insan sirf khubsurt and educted person nai hote...
Think about it...
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.