naaz malik |
Group: Members Joined: 26th Oct, 2012 Topic: 1 Post: 12 Age:
29
|
|
Posted on:29th Oct 2012, 6:58am |
|
|
rubella igg kya hai mera rubella igg 400iu/ml aur cmv 52iu/ml positive hai.meri shhadi ko 4 saal ho chuke hai.2 saal se hum baby ke liye try kar rahe hai .allah ke shukr se maine 3 baar conceive kiya hai per har baar baby 6 week ke baad grow nahi kara isliye ise teeno baar abort karana para .2 abortion main test karwaya to pata chala baby grow nahi hui hai unhone ise blighted ovum bola.torch test aur apla test karwaya isme rubella igg positive aaya.3 time again baby nahi badha aur abort karana para .please kiya aap mujhe bata sakta hai ya rubell igg positive kiya hai iske kiya harmful effects hai .blighted ovum kiya hota hai aur hume babay chahiye iske liye hum kiya kare because hamare aaga peeache koi nahi sirf hum dono hi hai aur hum iss 3 ke baar ke abortion se toot chuke hai please hame sahi rai dijiye |
naaz malik |
Group: Members Joined: 26th Oct, 2012 Topic: 1 Post: 12 Age:
29
|
|
Posted on:29th Oct 2012, 7:37am |
|
|
rubella igg kya hai
plz reply me as soon as possible
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:29th Oct 2012, 9:37pm |
|
|
Rubella IgG, CMV and Blighted Ovum:
Rubella ( German Measles) aik viral infection hota hai, jo agar pregnancy ka doraan ho jae to baby ka liya harmful hota hai. Magar generally, childhood immunizations, (bachpan ka hifazati teeka) jin mein MMR vaccine hoti hai, uss ki wajah say Rubella infection ka khilaf body mein resistance paida ho jaati hai. Aap ko jo Rubella IgG positive aaya hai, yeh iss baat ki taraf point out kar raha hai keh aap ko bachpan mein MMR vaccine lagee hai, jiski wajah say aap ki body mein Rubella infection hona ka chance bohot kam hai.
Aap ki main abnormality CMV positive aana hai. CMV ( Cytomegalovirus infection) bhee aik viral infection hota hai jo agar pregnancy mein ho jae to baby ka liya harmful ho sakta hai. Aap na CMV ki full report mention nahin ki, kia IgG positive hai yaa IgM?
Aap ka APLA test ( Antiphospholipid Antibody ) ka result positive thaa yaa negative?
Blighted ovum ka matlab hai aise pregnancy jo start to hoti hai magar uss mein embryo ( baby) develop nahin hota. Aisa generally chromosomal abnormalities ki wajah say hota hai.
By the way, kia aap aur aap ka husband blood relatives hain ( cousins)?
|
naaz malik |
Group: Members Joined: 26th Oct, 2012 Topic: 1 Post: 12 Age:
29
|
|
Posted on:30th Oct 2012, 5:41am |
|
|
rubella igg kya hai ji mera cmv igg 52au/ml positive hai.Mera APLA test igg aur igm dono hi negative hai.Main aur mere husband relative nahi hai.Mere saare igm test negative hai.meri pregnancy start se hi hamesh 1 week delay chalti hai and 6 week hote he growth ruk jaati hai.mera hcg level bhi kum aaya hai.Uterus aur overies ka size thik hai.Doctor ne sample genetic test ke liye bheja hai.please ab aap mujhe bataye kahan kiya problem hai aur ye genetic test main kon-kon si problem aa sakti hai aur inke upay kiya hai.aap ka bahut-bahut shukriya jaankari dene ke liye.please is baar bhi meri problem solve kar dijiye. |
naaz malik |
Group: Members Joined: 26th Oct, 2012 Topic: 1 Post: 12 Age:
29
|
|
Posted on:30th Oct 2012, 11:47pm |
|
|
dear psychdoc please reply me as soon as possible |
naaz malik |
Group: Members Joined: 26th Oct, 2012 Topic: 1 Post: 12 Age:
29
|
|
Posted on:31st Oct 2012, 7:50am |
|
|
dear psychdoc i m waiting for reply.please as soon as possible |
naaz malik |
Group: Members Joined: 26th Oct, 2012 Topic: 1 Post: 12 Age:
29
|
|
Posted on:31st Oct 2012, 11:30pm |
|
|
dear psychdoc please reply me |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:31st Oct 2012, 12:53pm |
|
|
Naaz malik:
CMV IgG positive ka matlab hai keh aap ko pehla kabhee CMV infection ho chuka hai, aur jaisa keh mein nay pehla bataya, agar yeh infection pregnancy ka doraan ho jae to complications cause kar saktaa hai. Yeh acchhee baat hai keh aap ka APLA test negative aaya hai. Agar recurrent ( baar baar) miscarriages ho rahee hain to aisa aksar genetic factors ki wajah say bhee ho sakta hai. Genetic tests mein aap aur aap ka husband ka chromosomes analysis kia jaata hai aur yeh daikha jaata hai keh kaheen koi abnormality to nahin jiski wajah say recurrent abortions ho rahay hain. Jab aap ka genetic test ka result aa jaye to phir yeh batana easy ho jae gaa keh problem kis level par hai, aap ka, yaa aap ka husband kaa, yaa phir sab kuch sahih hai. |
naaz malik |
Group: Members Joined: 26th Oct, 2012 Topic: 1 Post: 12 Age:
29
|
|
Posted on:1st Nov 2012, 8:16am |
|
|
dear psychdoc thanks dear psychdoc. im really thankful for u.allah apko dher saari khusiyon se nawaze.please ek aur masla hal kar de cmv igg positive hai to iska baad ki pregnancy main to nahi parega.aur genetic test ka treatment ho sakta hai ya nahi.please mujhe guide kare. |
naaz malik |
Group: Members Joined: 26th Oct, 2012 Topic: 1 Post: 12 Age:
29
|
|
Posted on:3rd Nov 2012, 9:44am |
|
|
dear psychdoc please reply me |
naaz malik |
Group: Members Joined: 26th Oct, 2012 Topic: 1 Post: 12 Age:
29
|
|
Posted on:3rd Nov 2012, 9:44am |
|
|
dear psychdoc please reply me |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:3rd Nov 2012, 2:04pm |
|
|
Naaz Malik:
You are very welcome, and thanks for your prayers and kind words.
CMV IgG positive ka matlab hai keh aap ko pehla kabhee CMV infection hoa hai, aur ab aap ki body mein iss infection ka develop hona ka khilaf protection hai.
Generally, generally genetic disorders ka treatment nahin hota, magar yeh risk zaroor calculate kia jaata hai keh future mein baby mein iss disorder ka develop hona ka kia risk ho gaa.
All the best. |
naaz malik |
Group: Members Joined: 26th Oct, 2012 Topic: 1 Post: 12 Age:
29
|
|
Posted on:9th Nov 2012, 10:12am |
|
|
dear psychdoc thanks for the reply sir
|
|