Bushra Maz |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2012 Topic: 6 Post: 25 Age:
20
|
|
Posted on:29th Sep 2012, 9:49pm |
|
|
Can do married again with the same man Salam to all, I want to know that kia ek larki ya larka uski larki/larkay say again nikha shadi kar sakti ya sakta hai ek dafa talak kay bd....? According to islam plz tell me agr shohar gusay mey akar ya galti say apni biwi ko talak dy dey tou kia phr dubara usi say nikha ho sakta hai.... Or agr haan tou uski kia conditions hoti hai kitney time bd phr nikha hosakta hai uski shakhs say or kia larki ko apni idat complete karni hoti hai or kitney time ki idat hoti hai plz kindly tell me i want to know about this... I m single per mein yeh jana chahati hun pata nai q yeh sawal mere mind mey boht time say tha samjh nai ata tha kisay pochun i hope kay aplog mujhe is baraye mey thek bata sako according to Islam & Quran... Thank you
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:30th Sep 2012, 12:22am |
|
|
nikah-talaq-nikah walekum Assalam,
1. Mard ko nikaah k baad teen martabah talaaq denay ka haq quran nay ataa kia hai. talaaq by-default sirf mard day sakta hai ... aurat agar apnay shauhar say alehdah hona chaahay to yaa to woh husband say request karegi k woh ossay talaaq dede. aur agar husband osay talaaq nah day to woh phir qazi /court ki maarfat khola lay sakti hai ... albattah agar nikaah k waqt aurat yeh likhwa lay k ossay bhi talaaq denay ka haq haasil hoga aur mard agree kar jaa.ay to phir biwi bhi apnay husband ko az khood talaaq de sakti hai... magar aisaa karnaa khud aurat k liyeh nuqsaan dah hai... iss liyeh k aurat, mard k moqaablay maiN zeyadah jazbaati aur ghussah wali hoti hai. issi liyeh aurat k khaaliq nay by default talaaq ka haq mard ko dia hai, aurat ko nahi.
2. teen talaaq ka matlab yeh hai k mard agar apni biwi ko pahli martabah aik talaaq de to woh iddat yaani 3 menses periods k ander rajoo karsakta hai. rajoo zobaani bhi karsakta hai yaani kah day k maiN nay talaaq wapis lay li yaa amalan talaq shuday biwi say hambistari karlay (iddat i.e. 3 menses periods k ander) to woh aisa karsakta hai. issi liyeh islam maiN hukm hai k mard aurat ko halatay tohar (paki ki halaat) maiN oss say hambistari kiyeh beghair talaaq de. lekin agar woh menses k dauran talaaq de yaa paki ki halat maiN hambistari karne k baad bhi talaaq de to talaq valid to hojayegi, lekin aisa karne par woh recommended tareeqay say talaaq nah denay par woh gonah.gaar hoga. doosra hukm yeh hai k talaaq k baad iddat period khatam honay tak nah to aurat shauher ka ghar choray nah shauher ossay nikaalay...takay iss dauran rajoo ki gunjaish baqi rahay.
3. ab farz karaiN k aik mard nay apni biwi ko talaaq dedi ... to agar 3 menses periods tak (abt 3 months) osnay rajoo nahi kia to talaaq valid hojayegi. ab woh donouN aik doosray kay liyeh naa.mahram hojayengay aur aik doosray say alag /separate hojayengay. hamaray haaN talaaq detay hi ghar say nikal jaanay /nikaal denay ka jo culture raaij hochuka hai, woh islam k khilaaf hai... iddat k ander ander to husband apni talaq wapis lay sakta hai (rajoo kar sakta hai) ... lekin agar iski naubat nahi aayee aur iddat k baad donoun alag alag hogaye to ... woh dobarah shadi bhi karsaktay hain. with new nikaah plus new mahar.
4. ab faraz kia k donoun nay doosri baar shadi ki...shauher aik talaq pahlay de chuka to ab oskay pass mazeed 2 (out of total 3) talaaq ka haq baaqi hai... ab farz kia k phir talaq hogayee... aur iddat k baad donouN separate bhi hogayee... to jab chahaiN yeh phir new nikaah with new mahar karsakaty haiN yeh inki teesri shadi hogi apas maiN i) sab say pahlay shadi ... phir pahli talaq ii) phir doosri shadi ... phir doosri talaq iii) phir teesri shaadi .... ab agar khoda nah khaastah ...teesri baar bhi talaaq hogayee to mard ka 3 talaaq ka haq khatam hogaya... ab yeh donouN phir chautyhi shadi nahi kar saktay.
PS: quran o sunnat par mabni yeh tareeqah muslim ummat maiN morawwaj hai...jiss par ajmaa.e.ummat hai. yaani 1400 saal say ummat k ulemaa ki aksariyat issi tareeqay ko follow karti hai.... lekin agar apka talluq kissi makhsoos aqliati firqay say hai to iss baray main apnay maslak k mufti /olema say rajoo karain k baaz masaalak main nikah /talaaq k tareeqay joda bhi hai.
for more detail, visit article section and read article on talaaq or visit......http://www.paighamequran.com/pq/articles1_01.html......
|
Bushra Maz |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2012 Topic: 6 Post: 25 Age:
20
|
|
Posted on:30th Sep 2012, 2:57pm |
|
|
Thank you so much myrizvi Thank you so much myrizvi for you detailed ans & for you'r time... :) It means kay dubara nikah ho sakta haina with the same girl & boy after they give her wife divoce..... |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:30th Sep 2012, 11:12pm |
|
|
dobarah g haan dobarah (doosri baar) nikaah hosakta hai.... balkay sah.barah (teesri baar) bhi:) |
New |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 61 Post: 226 Age:
36
|
|
Posted on:2nd Oct 2012, 5:52am |
|
|
myrizvi Bhai 2. teen talaaq ka matlab yeh hai k mard agar apni biwi ko pahli martabah
aik talaaq de to woh iddat yaani 3 menses periods k ander rajoo
karsakta hai. rajoo zobaani bhi karsakta hai yaani kah day k maiN nay
talaaq wapis lay li yaa amalan talaq shuday biwi say hambistari karlay
(iddat i.e. 3 menses periods k ander)
ooper walay paragraph sai meray mind me 2 question uthay hein umeed hai appp clear ker den gai.
mard nai 1 defa talak dai di aur phir iddat mein apni bivi sai rajoo ker lia. ab farz kerain rajoo kai 1 week baad us nay phir talak dai di to kia yeh doosri talak count ho gi. doosra sawal yeh hai keh idaat ki mudat phir sai is talak sai shuru ho jaye gi jo keh 3 months hai. yaan pehli talak wali iddat hi chalay gi. yeh 2 questions hein plz jawab dai di jiye.
|
New |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 61 Post: 226 Age:
36
|
|
Posted on:3rd Oct 2012, 8:05am |
|
|
reply rizvi bhai meri baat ka bhi jawab dai den
|
goodmorals |
Group: Members Joined: 06th Mar, 2012 Topic: 0 Post: 93 Age:
28
|
|
Posted on:26th Oct 2012, 3:35pm |
|
|
Bushra Maz 3 talaq honey k bad baghair "halala" k couple dobara shadi nahi karsakta. is ka matlab hai k ex-wife kisi doosrey mard say shadi karey gi, jo apni marzi say usey talaq day sakta hai. us k bad he dobara ex-husband say shadi ki ja sakti hai.
is ka maqsad sharriat me 3 talaq ko discourage karna oar women ki honour ko protect karna hai.
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2431 Age:
48
|
|
Posted on:26th Oct 2012, 4:22pm |
|
|
Bushra naz
BI BI aap 19 saal ki ho jo sawal aap pooch rahi ho woh Quran main bohat wazahat k sath hai aap quran perho with translation shortcut main na pero in baton k liye kuch cheezain insan ko khud bhi mehnat ker k hasil kerni chahyain her musalman ka feraz hai k deen ak ilam hasil keray |
|