Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

QURAN Tafsir book in Urdu

Urdu
 
 
 
imgirl Group: Members  Joined: 18th Dec, 2010  Topic: 15  Post: 71  Age:  26  
Posted on:6th Sep 2012, 10:36am
 

QURAN Tafsir book in Urdu

Which is the best Quran tafsir book in Urdu, and how much it will cost me.

I do not know much about firqay we have made in Islam so please please tell me the best tafseer.

Don't ask me if i am sunni or whatever i am just muslim and want to be a true muslimah, that's it.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:7th Sep 2012, 12:11am
 

Masha Allah

Allah ham sab ko firqouN ki laanat say mahfooz rakhay aur true muslim banaa.ay aameen. Sab mil kar Allah ki rassi (Quran) ko mazbooti say thaam lo aur tafarqah maiN nah paRo (Aale Imran-103). iss ayat maiN Allah nay saaf saaf ilfaaz maiN firqah banaanay say mana kia hai

sister, aap urdu maiN kisi tafseer ki talaash main haiN, goya apko arabic nahi aati. Quran arabic maiN naazil howa hai aur quran ko sahi tareeqay say arabic zoban hi maiN samjha jaa sakta hai, kissi aur zobaan maiN nahi

lekin chouNkay dunya bhar k saray muslims ki zoban arabic nahi hai aur ham maiN say beshtar log bawajooh arabic seekhnay say qaasir hain, lehaza hamaiN kam az kam with translation hi quran k mafhoom ko samajhnay ki koshihs karni chaahiyeh. dunya k taqreeban har lanhuage maiN quran ka tarjuma published hai. sirf urdu zobaan maiN 92 say zayad tarjuma shaya hochuka hai.

tarjuma aur tafseer maiN faraq: quran ka tarjumay maiN iss baat ka imkaan kam say kam hota hai k translator apnay maslak /firqay k khayaalaat ko tarjumah maiN samosakay. jabkay tafseer, bilkhul urdu tafaaseer to har maslak aur firqay ki alag alag hai. lehaza har firqay say talluq rakhnay wala apko apnay firqay k molvi ki tafseer ki safarish karega.

meri roy yeh hai k ap tafseer say pahlay quran ka lafzi /baa.mohawrah tarjumah paRhnay ki koshish kariN aik say zayad martabah ap pahlay pooray quran ko Alhamd say wannas tak tarjomay k saath paRhaiN. Quran ko Allah nay asaan nazil kia hai... issay aik dehati aur kam paRha likha bhi samajh sakta hai aur aik aalaa taaleem yaaftah bhi. daure resaalat maiN saray mosalmaan aalaa taaleemyaftah nahi thya. beshtar to naa.khandah thay...magar iskay bawajood woh quran ko bil.amoom samajh letay thay.

ap koi koi saa tarjumah bhi paRh sakti haiN aur monaasib janaiN to paighamequran dot com ko visit karaiN. iss maiN quran ka baa.mohaawrah tarjumah (bila tabsera o tashreeh), ayaat ki mauzooaati darjah bandi (topic wise classifications of ayaat) k saath maujood hai. jissay paRhna, samajhna aur yaad rakhna nisbatan asaan hai. apko yeh kutub karachi main ghar baiThay bhi mil sakta hai aur urdu bazar say bhi. kitab ki qeemat sirf 400 rs hai... issi web maiN paighame quran hi ki tarz par paighame hadees bhi maujood hai...donouN kutub online read bhi ki jasakti haiN, aur pdf /unicode maiN down load bhi ki jasakti haiN... unicode maiN yeh donouN kutub .... http://kitaben.urdulibrary.org/Writers.html.... yahaaN say download ki jasakti haiN. yeh donouN kutub ka combined edition bhi market maiN dastyaab hai. web par contacts say rajoo kijyeh. omeed hai k ap kam say kam waqt aur paisay main in donouN kutub say quran o hadees ko achi tarah samajh kar true muslim ban sakti hain... har qism ki firqah waranah milawaT say paak, khaalis quran o hadees (with all references) par mabni aisi kutub market maiN kam kam hi haiN

Allah apko aur ham sab ko true muslim banaa.aameen

PS: myrizvi ka talluq kissi bhi firqay ya firqah e jafarya say nahi hai...it is just a nick :)










WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2429  Age:  48  
Posted on:8th Sep 2012, 3:14am
 

imgirl

masha Allah beri achi bat hai k ap ko Quran ki samajh hasil kernay ka shoq hai

ager aap chahain to yeh ap ko free of cost bhi mil sakta hai

ap apnay browser ki adress bar main BAYAN UL QURAN likhian aur kilk ker den

sab se ooper ap ko bayan ul quran in urdu by Dr. israr ahmed milay ga jab aap usay open kerain gi to audio download options hongay.......:http://www.quranurdu.com/bayanulquran/.......

Dr. israr ahmed ne na intehaai rah apnaai hai na aakhri dermiyana rasta rakha hai jis main quran aur hadees buniyad ahin aur istifada sab se kiya hai ap ko yeh tarjuma, tafseer aur tafheem sab ka hi kaam de gi

woh tamam log jo firqon ki tafreeq se door reh ker quran ko samjhna chahtay hain un k liyay behtreen tohfa hai

Allah merhoom Dr. israr ahmed ko kerwat kerwat janat ata keray aur un k derjaat bulad keray

Aameen

MODERATOR NOTE: Link is not allowed. However non-commercial URL can be shared without a hyperlink.





myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:8th Sep 2012, 5:56am
 

Jazak Allah wehshi bhai

bahoot zabardast rahnomayee ki hai apnay. Allah jaza e khair day aameen
imgirl Group: Members  Joined: 18th Dec, 2010  Topic: 15  Post: 71  Age:  26  
Posted on:8th Sep 2012, 1:29pm
 

tafseer ibn kaseer

Jazak Allah khair to All of you guys, Quran Pak ko tarjmay k sath parhna is good think and it should 1st step for sure. Sir My Rizvi, I will follow this advice.

Why urdu is because i can read/write/speak English but my english level is not as good as it should so i prefer Urdu.

But what i wanna know is Someone recommend me "tafseer ibn kaseer" What do you think about it.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:9th Sep 2012, 1:21am
 

tafseer ibn kaseer

aik bahoot achi tafseer hai. ap issay paRh sakti haiN. aur mera khayaal hai k iss tafseer ki 'talkhees' bhi published hochuki hai. tafaaseer amooman bahoot taweel hoti haiN aur ham jaisay dunya daar log jo quran o hadees k regular student nahi hotay aur roazanah do chaar ghantay bhi bila nagha quran fahmi ko nahi day saktay, woh agar kissi tafseer ko start kar bhi laiN to end tak illah masha Allah hi pahonchtay haiN... so i once again recommend k pahlay tarjumah awwal taa aakhir paRh laiN...phir sahih ahaadees ki all books (chapters) paRh laiN... phir agar Allah taufeeq day to kissi bhi tafseer ko paRhaiN. insha Allah faida hoga.
imgirl Group: Members  Joined: 18th Dec, 2010  Topic: 15  Post: 71  Age:  26  
Posted on:9th Sep 2012, 4:09pm
 

sir

Thanks, first i will read with tarjama.
sahih ahaadees ki all books (chapters) paRh laiN, say aap ki kia murad hay i did not get you.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:9th Sep 2012, 10:39pm
 

ahaadees

1. ahaadees k bahoot say majmoo.ay haiN. 2 mash'hoor tareen and on top are sahih bukhari aur sahih muslim. yeh donouN majmoo.ay quran k baad mostanad tareen islami books haiN. har majmoo.a kai volume par mushtamil hai. sahaa.e.sattah (6 authentic ahaadees collections) maiN bukhari aur muslim k elawah 4 aur ahaadees k majmoo.ay haiN. in 6 k elawah bhi bahoot say majmooay haiN aur shia maslak maiN insay hat kar osoolay kafi etc ki collections haiN

2. aik aam mosalmaan k liyeh quran k elawah bukhari aur muslim ko paRh lena hi kaafi hai. bukhari shareef ki 9 volume haiN...etna baRa zakheera paRhna common logouN k liyeh mushkil hota hai. issi liyeh scholars nay bukhari aur muslim samait tamaam collections ki summaries bhi tayyar ki haiN.

3. har maj.moo.ay ki division /classifications iss tarah hai ... (for e.g) Bukhari shareef ki 9 jildaiN... har jild kutub /books maiN divide haiN... phir har books abwaab /chapters maiN divide haiN aur phir har baab /chapters maiN ahaadees number k hisaab say hain hadees no-1, 2,3 ... etc

4. aam books maiN subject k hisaab say chapters maiN divide hotay haiN... jabkay hadees k majmoo.ay kutub (books) maiN divide hotay haiN aur further sub-division chapters /abwaab maiN hoti hai.

5. paighamehadees.com maiN sab say pahlay bukhari shareef k all books ki directly summary digayee hai (sub chapters yani abwaab ki division ko khatam kardia gaya hai) aur phir tarteeb waar har hadees ko aaj ki zobaan maiN aam faham andaaz main mokhtasaran likha gaya hai... net par aap bukhari with urdu translation ki koi original /mokammal site dekh lain... iski urdu bhi mushkil hai aur paRhnay /samajhnay maiN asaani nahi hoti for a common people. paighame hadees main yeh bahoot simple hai

6. paighame hadees maiN bukhari ki all kutub k elawah 4 zameemay bhi haiN jismaiN bukhari ki ahaadees k elawah (insay haT kar) deger 11 collection (including sahaa.e.sattah) say bhi kai hundreds ahaadees ko shaml kia gaya hai. goya about 450 pages ki book maiN apko ahaadees ka acha khasa collection sirf aik jagah with index, dos n donts ki highlights aur ahaadees ki indivisual topics bhi mil jatay haiN...visit karkay dekhiyeh. pasand aa.ay to down load bhi kar lijyeh aur pasand aa.ay to market say khareed lijyeh.

1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012