Nyamathkhan |
Group: Members Joined: 12th Aug, 2012 Topic: 3 Post: 19 Age:
21
|
|
Posted on:15th Aug 2012, 1:38am |
|
|
Ghalti Maine roze ki haalat mein ghalti se paani pee liya, kya is se roza toot jata hai ? |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6480 Age:
54
|
|
Posted on:15th Aug 2012, 2:22am |
|
|
nymat 1. kia apko yaad thaa k aap rozay say haiN magar ap by mistake pani pee gaye ... agar aisa howa to apka rozah TooT gayaa ...lekin iski sirf aik qaza hogi, kaffarah nahi
2. lekin agar apko yeh bilkul bhi yaad nahi thaa k ap rozay say haiN aur aap bhoolay say pani pee gayee to rozah nahi TooTega. rozah jari rahaiN.
ghalati aur bhoolay say maiN bareek saa faraq hai ... jaisay i know k maiN rozay say houn lekin kulli /gharara kartay howay by mistake yaa ehteyaat nah karne ki wajah say pani halaq say neechay chala gayaa ... pani glass maiN nikalaa kuch aur kaam k liyeh aur by mistake issay pee lia ... to rozah TooT jayega.
lekin agar yeh baat yaad hi nah ho k rozah rakha hai...aur bhoolay say as earlier practice khanaa khaa lia, paani pi lia ... to jetna marzi khaa pee lia, rozah nahi Tootega. bus jaisay hi yaad aa.ay yaa koi yaad delaa de to ossi watq khana peena band karday...rozah sahi hoga as per hadees mobaarak
wallaho aalam bissawab
|
Nyamathkhan |
Group: Members Joined: 12th Aug, 2012 Topic: 3 Post: 19 Age:
21
|
|
Posted on:15th Aug 2012, 3:12am |
|
|
@myrizvi Ji mujhe us waqt yaad hi nahi thaa ke main roza hoon. Aur maine bhool kar paani pee liya tha.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6480 Age:
54
|
|
Posted on:15th Aug 2012, 3:20am |
|
|
ok bhool kar pee gaye to insha Allah rozah nahi TooTega, don't worry n continue the fast.
|
Nyamathkhan |
Group: Members Joined: 12th Aug, 2012 Topic: 3 Post: 19 Age:
21
|
|
Posted on:15th Aug 2012, 3:37am |
|
|
:)Thanks Myrizvi ji |
|