Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

punjab mai angrezi tareeqa taleem

Non Medical Discussion
 
 
 
simplelife Group: Members  Joined: 14th Feb, 2012  Topic: 9  Post: 140  Age:  26  
Posted on:31st Jul 2012, 11:21pm
 

punjab mai angrezi tareeqa taleem

insan jo kuch apni madri zuban mai seekhta ha wo kabhi bhi kisi gher zuban mia nahi seekh sakta ........yah bat ab samjh mai aati ha meray aik teacher thay wo pathan thay ........wo aksar kahty thy insan ko kam az kam bunyadi taleem apni madri zubna mia deni chahya .............un ky baqol ham pathano ky lia urdu mai parhna itna muskil ha shayad is lia ky pashto aur urdu mai bht difference ha

jab urdu aur pashtoi mai itni mushkil lagti ha her cheez to ab to hmaaray wazeeri aala punjab ny sara nisab angrezi mai kar dia ha is ka nateeja kia niklay gA?

hmaaray han govt schools mai teachers ko angrezi nai aati to wo bachon ko kia parhain gy?

aur wesay bhi hamaray han kon sa her shahri aalaa taleem hasil karta ha?kon sa bahir ky mulk jaata ha?jo hamen her haal mai angrezi hi parhni zarori ha?

kia ham Pakistani apni urdu zuban mia parh ky America ki laboratories mia kam nahi kar rhy ?............kia hamary han Dr nahi ban rhy ?
phr angrezi kun muslaat ki ja rhi ha hm py???????
simplelife Group: Members  Joined: 14th Feb, 2012  Topic: 9  Post: 140  Age:  26  
Posted on:31st Jul 2012, 11:25pm
 

angrezi

agr in ko equality ka itna hi shoq ha to her school mia sections bna den taky jo bachay urdu mai prhna chahty hen wo urdu mai parhen jo bachy kamzor hen un ko mazeed parhai say door na kren ........jo bachy achy zehan ky parhny mai dil lagaty hen un ko angrezi mai parha len

lakin her bachy py angrezi musalt na kren
ωειικпοωи Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 48  Post: 3374  Age:  25  
Posted on:31st Jul 2012, 3:10pm
 

Simple life

Baat angrezi or urdu ki nahe balke seekne or parhne ka hai. Challo mai ne english nahe seekha hai or sirf apni pashto seek liya hai. To kal agar mai ek Islamic website banana chahta hoo take Islam ki deen roshin karlo to mujhe bataw konsa programming language hamare madari zubaan mai hai??

Pir mai hai hai karta rahonga. Ye sab karna tab mumkin hai jab technology hamare madari zuban mai hoo mslan computer.

Ab sab kuch english hai. Agar hame british se age nikalna hai to hame khamkha english seekni hogi. Ye sab tab mumkin tha jab 3rd generation ka science or technology nahe thi. Ham agar english. French etc na seekh le to hamare madri zubaan apne hi mulk mai kaam ayegi not in other country. Omeed hai ke app samaj gaye honge.

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2429  Age:  48  
Posted on:9th Aug 2012, 6:12am
 

TALEEm

pakistan main taleem aik business hai

aur business main ikhlaqiyat nhn hotin isi liyay mehkama taleem se le ker taleemi idaron main bhi koi ikhlaqiyat nhn hain

hum kesay urdu main taleem hasil kerain aur kiun??

jab hum urdu main koi bhi kitab kholtay hain to sari TERMS english main hoti hain jinhain sirif urdu lehja main likh ke rhum samjhtay hain k shayed hum ne koi TEER mar diya

isi liyay urdu medium s ebohat kam bachay achay grade letay hain scince subjects main kiun k yehi cheez unhain confused rakhty hai

ab ap khud sochain k DIBATIC kehna asan hai ya ZIYABEETAS

NUCLIUS kehan saan hai ya MERKAZA

ELECTRON ka koi terjuam nhn PROTON ka koi terjuma nhn

zo zaruret kya hai urdu main taleem lenay ya denay ki

aik bar khud ko mazboot ker k fesla kerlen k kya kerna hai

asal problem yeh hai k humaray mausheray k ASHRAFIYA hi nhn chahtay k taleem aam ho aur aik jesy ho kiun k is terah ghareeb bhi un k muqablay per aajain gay jo unhain qabool nhn

jo taleem hasil ker le ga woh kiun kisi WADERAY, PEER, JAGEER DAR , GADI NASHEEn se meroob ho ga

phir yeh log hakoomat main bhi nhn aasakain gay isi liyay taleem k 2 stander hain aik ghareebon k liyay k ghareeb hi rahain aur aik ameeron k ameer hi rahain

jab QAZI HUSAIN AHMED k bachay AMERICA main perhtay hain to baqiyon se kya gilla

JAPAN main sari taleem JAMENES main hai puray japan main aik english university thi 2000 tak SOFIYA university

ab unhon ne bhi taleem k business main hath dal diya hai aur 80% universities english main bhi taleem offer kerti hain international students k liyay aur kama rahi hain

pakistan main musharaf saheb ne jahan aur bohat karnamay kiyay un main aik yeh bhi tha k international students ko hi ban ker diya pakistan main

is k sath sath america jahan her greduatek liyay army main lazmi service hai k kehnay per humaray yougsters ki NCC bhi band kerwadi k is se gun chalana seekh jatay hain bachay

hai na mazaq khud k sath aur apni nasal k sath

simplelife Group: Members  Joined: 14th Feb, 2012  Topic: 9  Post: 140  Age:  26  
Posted on:24th Aug 2012, 11:02pm
 

taleem

hamaray mulk mai kitnay % log science perhty hen ? shayad 30% bhi nahi aur kitnay % log abroad jaty hen shayad 1% ...........aur kitnay % log net use karty hen? jab chienes apni zuban mia taraqi kar sakty hen ? to ham kun nahi kar sakty? aur dosri bat is trha agr ham urdu ko her jaga say khtam kar den gy to yah thoray hi arsayt mai dunya say hi khtam ho jai gi ............ham apni zubna mai tarai kun nahi kr sakty?...........jab Quraan Paak uatra gya to wo bhi arabon ki apni zubna mai utara gya kunkay unk o samjhna asan tha ............phr ham kun urud ko aik ghatya zuban samjh ky chor rhy hen?
bjay is ky ky compute pr aur her jaga apni zuban ko taraqi den jesay china kr rha ha ham apni zuban apni pehchan say kun monh mor rhy hen?

kisi bhi qom ki pehchan us ki zuban hoti ha ...........phr ham kun apni pehchna khudi chory ja rhy hen?
simplelife Group: Members  Joined: 14th Feb, 2012  Topic: 9  Post: 140  Age:  26  
Posted on:24th Aug 2012, 11:09pm
 

eng

bacha ab ghr mai maa baap say punjab mia bat krta ha ........school mai doston aur ustaad say urdu mai bat kry aur phr parhai eng mai ........wo bechara kia khak cheezon ko samjhy ga ?
agr eng itni hi zaroori lag rhi ha to is ko aik lazmi subject bna den jesay pehly tha ....(han govt schools mai nahi tha ) ab govt schools mai bih bna den lakin yah zulm ha bachy per ky us ko her cheez ki eng mai perhai jai .........

phr ham sirf follwers ki bnaen gy inventer ya leader nahi .........kunkay poda apni matti say hi grow karta ha karay ky farsh per nahi


kia ham mai kia itna potential nahi kay hm dunya ko leads kr saken?ham mai ha lakin ham log ghulam ha zzehni tor pr

angrez chlaa gya lakin hamaray zehan rehan rakh gya

china kun angrezi nai seekh rha?

us ko bhi phr angrezi seeekhni chahya .........kal ko china super power ban gya to phr kia dunya mai agay barhny ky lia ham chiense seekhen gy?


simplelife Group: Members  Joined: 14th Feb, 2012  Topic: 9  Post: 140  Age:  26  
Posted on:24th Aug 2012, 11:10pm
 

punjabi*


simplelife Group: Members  Joined: 14th Feb, 2012  Topic: 9  Post: 140  Age:  26  
Posted on:24th Aug 2012, 11:14pm
 

maroob

yhan itna perh ky bhi jobsd nahi miltin ...........master to kia ab Mohill PhDs bih rul rhy hen is Paak watan mai aur koi pochta tak nahi ........han agr ap ky pas achi si sifarish ho to ap bhi agy ja sakty hen

phr jab parhny ka faida hi nahi to eng ka azab to na dalen khalo degrian denay ky lia itna zulm tio na kren job to day nahi sakty
simplelife Group: Members  Joined: 14th Feb, 2012  Topic: 9  Post: 140  Age:  26  
Posted on:24th Aug 2012, 11:14pm
 

khali*


WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2429  Age:  48  
Posted on:25th Aug 2012, 7:41am
 

simplelife

ap ki batain berabat hain kiun?

ap ko sirif PUNJAB main ENGLISH taleem per etraz hai baqi soobon main bhi to is se ziyadah hai english ka rujhan is k ilawa punjab wahid sooba hai jis ne aaj tak ilaqaai zuban ko kisi bhi board k cource main shamil nhn kiya

jab k sindh main SINDHI lazmi hai isi terah KPK main PUKHTO aur Blochistan main BLOCHI

is k bawajood her aik punjab ko gali deta hai jab k her soobay k log saray funds kha rahay hain lekin naam punjab ka lagta hai k punjab kha gaya

hai k PAKISTAN sirif PUNJAB hi hai baqi sab ne EHSAN kiya huwa hai PAKISTAN per

Karachi Hydrabad, Sakhkhar main koi bhi baldiyati theka koi nhn le sakta jab tak MQM ko 25% BHATA na de

Baqi soobon main kisi party ko bhata nhn jata balkay us ilaqay ka MPA aur MNA leta hai 10% aur 15% NOKER SHAHI kha jati hai

is k bawajood punjab badnaam hai

sindh k waderay saray funds kha jatay hain aam sindhi ko kuch nhn milta aur GALI punjab ko detay hain

isi terah Blochistan k Serdar Islamabad se majmooi tor per 80crore rupay monthly letay hain gass aur baqi sab k liyay aur soobai funds is k ilawa khatay hain aur awam ko kuch nhn detay lekin gali punjab ko

1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012