syed ka matlab Walaikum Asalam.......
sawal ka pehla hissa......
Syed means Leader or Sardar. Hazrat Muhammad (S.A.W) ko Syed ul Ambiya bhi kaha jata tha. agar syed k background ko dekha jae to Hazrat Muhammad (S.A.W) k do Baitay thay (ibrahim and Qasim). lekin dono baitay fout(died) hogaye lehaza unki family ko agay forward karnay k leye koi nhi tha, or Quraish family k mutabik Hazrat Muhammad (S.A.W) k dono baiton k baad quraish khandan khatam hogaya tha or koi nasal bardhanay wala nhi tha, Hazrat fatima Hazrat Muhammad (S.A.W) ki beti theen . or Hazrat Muhammad (S.A.W) k ek message k mutabik k meri family ko ab fatima lead karengi, she is also known as syeda fatima zahra( sardar of women of the Paradise). Hazrat fatima ki family ko syed family kaha jata hai. hazrat fatima k do baitay (imaam hassan or imam hussain) thay or unki aulad bhi syed kehlati rahi lekin imam hassan and imam hussain jab shaheed hogaye to ( ahl-e-tashi ek firqa bangaya jismain saray syed thay, it means k is waqt jo syed hain woh aksar o baishtar ahl-e-tashi hain, hum syed family ka bohut ehteram kartay hain lekin ahle tashi or ahle sunnah ka concept thorda different hai jiski wazahat zaroori nhi.
Sawal ka doosra hissa....
fiqa e hanfiya or fiqa e jafriya main ye farq hai,k ahl e sunnah fiqa e hanfiya follow karte hain and fiqa e jafriya ahl e tashi follow kartay hain, fiqa e hanfia and fiqa-e jafriya mean k ye dono alag alag school of thoughts hain. fiqa e hanfiya woh hai jo Imam abu hanifa ki taleemat hain and fiqa e jafriya imam jafar ul sadiq ki taleemat hain, imam jafar ul sadiq imam thay or imam hussain ki aulad main se hain, 12 imams main se imam jafar al sadiq ki imamat ki position 6th hai, or 12 imamo main sirf inke fiqa ko isleye follow kiya jata hai k unki taleemat zyada arsay tak theen or authentic taleemat theen. or ahl e sunnah bhi imamat or 12 imams ko mantay hain lekin ahl e sunnah and ahl e tashi k isbaray main alag alag concepts hain.
hope this is the answer of question. shukriya |