Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
  Ask A Doctor
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Qaza Namaz Parhne Ka Tareeqa Kia Hai?

Religion and Culture
 
 
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 75  Post: 2058  Age:   
Posted on:22nd Jul 2012, 3:09am
 

Qaza Namaz Parhne Ka Tareeqa Kia Hai?

  • namaz kis saal main farz hoti hai?
  • agar koi namaz muqarara waqt par nahi parhi yani qaza hogae tou us qaza namaz ko kis tarah ada kia jae?
  • kisi fard k zimme kuch maheenoun ya saaloun ki qaza namazain hain tou inhain parhne ka tareeqa kia hai?

 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 132  Post: 8382  Age:  58  
Posted on:22nd Jul 2012, 8:07am
 

ibadat ki farziyat

1. namaaz har aaqil, baaligh par farz hoti hai... goya balooghiyat k baad namaaz farz hojati hai... laRkiyouN maiN balooghat ki nishani menses start hona aur laRkouN maiN iski nishani first night fall /ehtelaam hai ... iski age har region /family maiN alag alag hosakti hai

2. qaza namaaz sirf farz aur wajib ki hoti hai... yani fajir ki namaaz agar chooT jaa.ay to zohar say pahlay pahlay paRhnay ki soorat maiN to 2 sunnat + 2 farz adaa karna hoga lekin zohar k baad kabhi bhi qaza paRhni ho to sirf 2 farz hi paRhni hogi

3. zohar, asar, magrib ki namaazaiN qaza ho jayaiN to zohar, asar ki 4 farz, maghrib ki 3 farz adaa karni hogi... isha ki namaaz qaza hojaa.ay to 4 farz aur 3 witer qaza paRhni hogi .... jumay ki namaaz ki qaza nahi hoti... agar jummah ki namaaz chooT jaa.ay to iskay badlay zohar ki 4 rekaat qazaa paRhni hogi... eidaiN ki namaazaiN wajib haiN...magar yeh namaaz chooT jaa.ay to iski qaza nahi hai

4. qazaa namaaz adaa karne ka tareeqah yeh hai: maiN falaan din k falaaN waqt ki farz namaaz ki qaza ki niyyat karta houN...baqi namaaz mamool k motaabiq paRh laiN.... agar (maslan) zohar ki bahoot si namaazaiN qaza houN to yeh niyyat karay k zohar ki jo namaaz sab say pahlay qaza howi, oski qaza namaaz ki niyyat karta houN

5. qazaa e omri: agar kissi ki bahoot se namazaiN...yani kai saalouN ki namaaz qaza hogayee ho to .... iskay baray maiN 2 roy haiN...aik group k olemaa ka kahna hai k Allah say sachay dil say taubah karli jaa.ay  aur ayandah say punj waqtah namaaz start karli jaa.ay to saabeqah namaazaiN maaf hojati haiN... doosra group kahta hai k nahi namaazaiN maaf nahi hoti ...ap nay chooti howi har namaaz ki qaza adaa karni hogi, khaah jetnay saal ki bhi chooTi ho

6. qazaa e omri adaa karne ka asaan taraaeqah yehi hai k har namaaz ... say fajir ki namaaz paRhtay howay qazaa e omri maiN say sab say pahlay din ki chooTi howi farz namaaz ki qaza bhi paRh li jaa.ay...iss tarah har namaaz say pahlay yaa baad... ossi waqt ki aik qazaa e omri paRh li jaa.ay

7. agar kissi nay qazaa e omri start kar rakhi ho aur haaliyaah namaazouN k dauran koi aik aadh namaaz qaza hojaa.ay to pahlay yeh haalia qazaa paRhay phir qazaa e omri ko jari rakhay

wallaho aalam bissawab




WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 56  Post: 3518  Age:  25  
Posted on:22nd Jul 2012, 9:30am
 

myrizvi

well explained,,, Mashallah
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 75  Post: 2058  Age:   
Posted on:23rd Jul 2012, 1:23am
 

myrizvi bhai

jazakAllah!

======================================

agar jaan boojh kar koi namaz ko jamat se ada na kare aur ghar main hee parh le jab keh woh masjid ja sakta ho tou kia aise insan ki namaz ada hojati hai ya namaz ko jamat se hee ada karna chahiay?

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 132  Post: 8382  Age:  58  
Posted on:23rd Jul 2012, 7:10am
 

namaaz baa jamaa't

mardouN k liyeh jamaat say namaaz paRhnay ki hedayat hai...bila ozray sharayee ghar par namaaz paRhnay walouN k liyeh waeedaiN haiN... lekin ghar par bhi namaaz adaa hojati hai ... sawaab kam milta hai, baa.jamaat k moqaablay main...lekin farziyat to adaa ho hi jati hai

wallaho aalam bissawab
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 75  Post: 2058  Age:   
Posted on:24th Jul 2012, 4:58am
 

myrizvi bhai

jazakAllah! Allah Aap ko khush rakhain.
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Singer In UK  How To Get Visa For China  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto
  Prof Arshad Javed Hypnotist and Clinical Psychologist  

 


Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us