ramzan1234
maan bap aolad ko peda kertay hain paltay hain aur aik muqam per aa ker aisa lagta hai k jesay baap JALAAD hai jab k ais anhn hai koi bhi baap ya maan apni aolaad se nafrat nhn kertay lekin 90% cases main ais ahota hai k maan baap specially baap ko apnay piyar k izhar ka tareeqa nhn aata humaray han to mostly merd apni biwi se piyar ka izhar nhn kertpatay isi liyay her teeseri aurat husband k salook aur atitude se SHAAKI hai is k ilawa aik bat aur bhi yaad rakhain k aolaad ka rawaiya bhi bohat beri wajah hai baap ko aolaad se door kernay ka ap ne khud kaha k ap ko ghussa bohat jaldi aata hai aur ap cheezain tortay hain kya ap ka yeh atitude ais ahai k ap is k baray sochain kahin aap hi to kisi muqam per ghalat nhn ???? problem yahan start hoti hai k jab aolad kuch chahty hai aur baap afford nhn ker sakta , aolaad samjhty hai k baap support nhn kerta ya kerna chahta koi baap apni aolaad se yeh nhn kehta k meray pass pesay nhn hain denay k liya is liyay aap khud apnay behav main chang lain aur phir dekhain |