To mam Ap k topic mein diversity nai.yeh eik concentric topic ban
ker reh gaya.jis point pe ap behas o mubahaisa ker rahe hain amomi tor pe Asian
countries (euoropian culture se kata- e-nazar)bilkhasos Pakistan mein aisa sahz
o nazar hi hota ho,
Libas insan ki shakhsiat ka aina dar hotey hain yah bat bila
shak o shuba kahi ja sakti hai.Albatta kuch makhsos (jesa k mian bivi) talukat
mein libas mein kadrey gunjaish peda karnay mein koi haraj nai.khawand aur bivi
eik dosrey k liye mannind e libas hi hain.
Psychological point of view se mard bazriya basarat
stimulate hotey hain yehi waja hai k wo aurat k libas pe aurton se ziada nazar
bhi rakhtey hain jab k khawateen k nazdeek libas ki wo ehmiat nai jo k eik mard
ki soch hai.aurtein libas eik fashion ya apne ap ko munfarid dikhney k liye
pehnti hain(ap isey bher chal bhi keh saktey hain).jab k aurat k libas ka hak
to yah hai k wo isey khwand ki khushnodi k liye pehney k jis tarah mushkat
shareef ki eik hades k mutabik yeh likha ha k behtreen aurat to wo hai k jab
usey us k shohar dekhey to khush ho jaey is mein aurat k libas se ley k ikhlak
tak tamam khobiyon ka ahata kia gaya hai.
Ab point of discussion yeh ha k aurat kis kisam ka libas
pehney to is ka sada sa jawab yeki ha k wo khawand k bed room ki had tak her
kisam ka libas pehan sakti ha basher tekay is mein khawand ki raza o khushi
shamil ho.(Yeh bat zehan nasheen rahe k nude honey se rehmat k farishtey wo
jaga chor detey hain.is liye isey mamol na banaya jaey)
Merey point of view mein libas purkashish jazib e nazar aur
dheela dhala hona chahiye.Is k liye kisi bhi khas kisam k specific brand ki koi
zaroorat nai.Libas ki noiat aisi honi chahiye k jis ko undress karna easy ho
takey mard ki erection barkarar rahe.is maksad k liye nightgowns aur isi se
miltey jultey dresses market mein dastiyab hon gey (I don’t know about the
shops)jo pehneney mein bhi asan aur utarney mein bhi asan hain.meri rai mein
agar ap is point pe behas kartey to ziada broad topic ban jata.Is tarah ap
married members se bohat se views bhi ley saktey they.
Koi bat achi na lagi ho to peshgi mazrat……
ALI BHAI:I am going for few months again………….
|