faaria |
Group: Members Joined: 19th Aug, 2010 Topic: 2 Post: 13 Age:
23
|
|
Posted on:11th Sep 2011, 2:47pm |
|
|
Mere Shohar Job Kerna Nahi Chahtay: Kia Karoo
hi i'm faaria.problem yeh hy k mery hubby bht sust hain hr waqt bed per lait kr tv dkhty rhty hain.hr chote se chote kaam k liay bhi mujhay bulatay hain.lete rehne se unka weight bhi bht barh gaya hy. abhi hmary kids nahi hain jb bachay ho jayn gay phir bht mushkil ho gi.
koi job bhi nahi krty. hmara khrcha mery inlows hi krty hn. inko koi parwa nahi. wo log bhi sirf khana peena k paisy bhaij dete hn. in ki taraf se aaj tk mujhy kuchnahi mila yahan tk k kapre waghera bhi ammi hi deti hn. mere cosn hn yeh
SHAADI KE WAQT STUDENT THY. MAIN NE BHT SAMJHAYA PER IN K KAAN P JOON TK NAHI RAINGTI.pyaar se bhi samjhaya gusse se bhi.aap btao main kia karoon.
|
Guide |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 3 Post: 432 Age:
38
|
|
Posted on:11th Sep 2011, 6:11pm |
|
|
shohar kam nahi kerta ji haa aap ke saath bahut problem hai.
1. bivi ka naan nofqa shohar ki zimmadari hai, lehaza agar koi majboori nahi tu phir aap ke shohar per lazim hai keh woh nokri karay. woh nokri nahi kertay, yeh bilkul ghalat harkat hai.
2. baqi rahi baat susti ki tu woh kya karain ge, jab nokri nahi karain ge, sara din ghar per rahe ge tu palang per let ker tv hi dekhen ge. lehaza on ka sara din bed per letna asal masla nahi balkeh nokri ka na karna asal masla hai.
3. aap onhai har haal mai kisi na ksi nokri mai lagane ki koshish karay, kam achcha na ho, tankhah kam ho tab bhi onhai kahe keh woh nokri karain.
4. jab aap ke shohar nokri karain ge tu aap ke bahut saaray maslay hal ho jaaye ge.
|
syedaa |
Group: Members Joined: 22nd Nov, 2009 Topic: 1 Post: 95 Age:
27
|
|
Posted on:12th Sep 2011, 7:52am |
|
|
@faaria apne husband ko pyar se samjhaye k unka job kerna zaruri hai.seedha seedha kahiye k aap job ker rhe kahin to mai dhoond leti hun. ksi na ksi ko to job kerni hi hai na. so ap unse ye keh k dekho wo kya kehte hian. zra c samajh hogi to apko baher nikalne nahin deingey n khud kahin na kahin job dekhege/ ya phir apne inlaws se kahiye k wo samajhaein apke husband ko k kahin na kahin to job kerni hi hai na. aj inlaws kharcha dete hian to sari zindagi to wo kharcha ny deige na. aj bachey ny hian kal bachey honge to ap dono k saath sath kya apke bachon ka kharcha b apke inlaws dein gey? ny na? so behter hai aap pyr se unhien samjhaye.
ye 1 khaas masla hai aurat to ghr pe b sari zindagi baithe to buri ny lagti lekin mard ghr pe baitha to bura lagta hai. unhein to job kerni hi hoti hai kahin na kahi. |
faaria |
Group: Members Joined: 19th Aug, 2010 Topic: 2 Post: 13 Age:
23
|
|
Posted on:12th Sep 2011, 9:25am |
|
|
........ syeda yahi sari baat hay k unko parwa nahi yeh aklote bete hn.or wo log bhi khas intrest nahi lete in k future k baray main.
|
faaria |
Group: Members Joined: 19th Aug, 2010 Topic: 2 Post: 13 Age:
23
|
|
Posted on:12th Sep 2011, 9:28am |
|
|
...... main ne unko bht samjhaya hy per meri suntay hi nahi.mere in lows bhi bht ajeeb log hn.
|
WellKnOwN |
Group: Members Joined: 06th Aug, 2011 Topic: 20 Post: 620 Age:
23
|
|
Posted on:12th Sep 2011, 12:04pm |
|
|
Ho Sakta Hai. Ke ap ke in laws nahe chahte ke wo kam kare kiyo ke wo osska ek lota beta hai. Aesa bhi hosakta hai. Thank you..................................... |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1587 Age:
24
|
|
Posted on:13th Sep 2011, 5:27am |
|
|
faaria ap kistrah brdashat krit he hur waqat husband ka ghur per rehna............:P
kio k ghur k kaif kaam hoty he kabhi koi friend hi ajati hai aur shohar ka ghur baithy rehna............:)
agur wo ghur se bahar kaam krne nahi jaty to unko kho k apkay sath kitchen me help krwaya kre sabzi bna di akre lsan cheel dia kre salad aur bhi bht se kaaam he ap unse krwaya kre.daily jo bnana khane me woh hud lay k aya kre,
istrah apkay husband ko ehsaas hoga k ghur k kitne kaam he aur yeh sab kamo k liye paisay zarori he aur paisay job krne se ate he.
2nd bat unko is baat k abi ehsaas hoga k aurty kitna kaam krti he aur ow sirf baithy rehty he.
unko kaam krwane ki adat ghur se hi shuru kre..........sirf kehne se kabhi koi kaam nahi krta. |
nice heart |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2011 Topic: 3 Post: 18 Age:
24
|
|
Posted on:13th Sep 2011, 6:09am |
|
|
kia wo salam 2 all.kia ap k shohar male halat sa teek hay.us k pass pasay zyada hongay s liye kam nahi karta hoga.hasna g na bahut acha tareeqa bataya hay.ap un sa thora kam liya karein,,,,inshallah teek ho gayega... |
syedaa |
Group: Members Joined: 22nd Nov, 2009 Topic: 1 Post: 95 Age:
27
|
|
Posted on:13th Sep 2011, 6:44am |
|
|
@faaria hmmmm,iklaute hain to kya hua?maan/baap apni aulad pyari hi hoti hai chahey iklauti ho ya 1 se zyada b ho to.iska matlab ye b ny hota hai k kam hi na kerne dein.balke unko to aur samjhana chaiye k job zaruri hai.apke husband shuri se hi job ny kerte hain ya shadi k bad se job ny kerhe hain?
kahin aisa to ny k wo apse door ny jana chahtey 1 pal k lye b islye kahin job ny ker rhe hain?;-)just kidding
khair ap apne inlaws k bat karein k aap ko acha ny lagta k aplog kharcha uthaye.akhir kbtak kharcha detey rahege? aj hai to de rhe hain kal ny hua to kaha se deingey?halaat 1 jaise to ny rehte haina?kabhi ache kbhi bure. kal ko aisa wsa wqt aya to wo apke inlaws to ye b keh sakte haina k hota tha to dete thay ab ny hai to kaha se dein. so aisa mauqa aye kehne ka to behter yahi hoga na k wo khud hi kahin job krein. |
syedaa |
Group: Members Joined: 22nd Nov, 2009 Topic: 1 Post: 95 Age:
27
|
|
Posted on:13th Sep 2011, 6:53am |
|
|
@faaria aur 1 bat k apke husband ager abhi bache ki khuahish karei to saf mana kerdena k abhi ny chahiye.bura ny manna kehne ka matlb ye ny hai k kro hi na.sab ki hi bachon ki khuhish hoti hai. apne husband ko yahi kehna k pehle kahin job karein.bache ki zimmedari uthane wale baney phir bache k bare mei sochege. bcoz insan apni hazaron khuahishey chor b de lekin jahan bat bachon ki ati hai to har maan/bap ki yahi koshish hoti hai k wo apne bachey ki har khuahish ko pur karein. n apko pata hi hoga k bachon ki hazaron zarurtein hoti hain. agey apko abhi chahiye b to tb b apne husband ko yahi kaho k apko chahiye per sath sth aap ye bhi chahti ho k bache ki zimmedari wo khud uthaye na k apke inlaws. jaise aj apke inlaws apne bete ki zarurtein puri kerhe hain isi tarha apke husband ko b apne bachey ki her zarurt ko pura kerna hai.
its a life cycle.jo chalti hi ari hai n chalti rhegi.apke husband k ruk jane se rukegi to ny na.chalti hi rahegi. |
faaria |
Group: Members Joined: 19th Aug, 2010 Topic: 2 Post: 13 Age:
23
|
|
Posted on:13th Sep 2011, 8:37am |
|
|
hasna kuch husband krte hon gay ghar k kaam lekin mere hubby kehty hain k ghar k kaam aurat ki responsibility hy wo to uth k paani bhi nahi peete wo haath kia btayn gy ghr k kamon mn.or doosry baat friends k ghr aany ki to mery inlaws sb reletives se alag doosry city mn rhty hn.matlb meri saas sussr or unk bachy baqi unhon ne kisi reletive se wasta nahi rakha sb relativ karachi main hn or hm lhr main.mujhay bhr daikhne ke permission bhi nahi to friends kia bnaon gi yahan neighbors se kabhi kabhi anti ati hn unki bhi bahu hn wo kehti hn k hmare ghar aya karo wo kafi dafa hmare ghar i hn but yeh nahi jane dete.main kia karoon mujhay to lgta hy ammi ne meri shadi kr k mujhay yahan phansa diya hy.or agr inse yeh batain share kro k mujhay thori si azadi chahye akhir main ab married hn to kehte hn zmana thk nahi hy ghr mn rho or jb kehti hn k thk hy main kahin nahi jaati aap hi mujhay kahin le jaya karo to wo bhi nahi main to yahan qaid hn. |
faaria |
Group: Members Joined: 19th Aug, 2010 Topic: 2 Post: 13 Age:
23
|
|
Posted on:13th Sep 2011, 8:40am |
|
|
syeda shadi ko 5 years ho gay hn main bilkul akeli hn yahan main bachay chahti hn taa k mera dhyaan unki taraf ho jay.main chahti hn k kids ho jayn phir chahe mujhay hi job q na krni pare un ko khilane k liay.mery hubby main problem hy wo ilaaj ki taraf ziada tawajah bhi nahi dete.
|
faaria |
Group: Members Joined: 19th Aug, 2010 Topic: 2 Post: 13 Age:
23
|
|
Posted on:13th Sep 2011, 8:47am |
|
|
or yeh baat k iklote hone se koi farq nahi parta parents apne kids ka hamesha acha hi chahte hn yahan bilkul opposit hy unko koi parwa nahi apne bete ki wo kehte hain k dolat aurat ki kismat ki hoti hy tum allah se dua nahi krti namaz nahi parti.main yeh to nahi kehti k 5 waqt ki namazi hn lekin phir bhi main namaz parti hoon.aap btao kia mujhay fikr nahi ho gi apne hubby ki main un k liay dua nahi krti hn gi kia yeh sb meri wajha se hy.meri saas to apne bete k samne yahhi saabit krti hn k unko bht fiqr hy apne bete ki tumhari wife ko zara bhi fikr nahi.or main apni saas k samne kuch bol bhi nahi sakti phir meri or hubby ki larai ho jaati hy. bht mushkil life hy.haan bs computer use krnr ki ijazat hy.tabhi to yeh web site mili or apni dil ki batain share kr rhi hoon.
|
ESHA BUTT |
Group: Members Joined: 16th Apr, 2011 Topic: 4 Post: 23 Age:
24
|
|
Posted on:13th Sep 2011, 1:45pm |
|
|
well parents aysa rishta kaisy kr skty beti ka jb tk lrka settle hi nahi hai...aur jin logon (males)ko farig rehny ki adat par jaye wo saari omer kuch nahi kr skty.siwaye araam krny k.ap aysa kro apny ghar ka T.V khraab kr do kisi trah shayed koi farq parr jaye |
Mr.Confuse |
Group: Members Joined: 31st Jan, 2011 Topic: 1 Post: 146 Age:
30
|
|
Posted on:14th Sep 2011, 4:08am |
|
|
assalam o alaikum Mujhay Esha sis kay mashwaray per bohot hansi aa rahi hai. Laikin mashwara chaka chak hai. Ghar mai iss terhaan kay massalay peda kero keh jis mai khas khercha na lagay laikin husband ko khora bhag doar kerni paray.
Kabhi bemaar ho jao keh husband ko khana banana ya bahir say ja ker lana peray. Kaho keh gayna.doctor na 3 din ka bed rest dia hai etc. |
WellKnOwN |
Group: Members Joined: 06th Aug, 2011 Topic: 20 Post: 620 Age:
23
|
|
Posted on:14th Sep 2011, 6:40am |
|
|
Or Muje Apki Mashware Par:Mr. Confuse Ye koi advice hai kiya apne ap ko khud bemar karo. Agar oss bemari se moth hojai to pir wo tho sucide hai. Log ache mashware dete hai or ap kisi ko sucide ka mashwara dete hai. Kisi ko marwaoge. Koi acha sa mashwara dekhlo pir btaw. Thank you.................................... |
syedaa |
Group: Members Joined: 22nd Nov, 2009 Topic: 1 Post: 95 Age:
27
|
|
Posted on:14th Sep 2011, 7:51am |
|
|
@faaria oh!mai to samjhi thi k apki nyi nyi shadi hui hogi well 5saal to bht hi hain.aap dono mein age difference kitna hai?
ye bt to hoti hai k paisa bv k naseeb se milta hai n bachey shohar k naseeb se miltey hian. lekin iska matlab ye ny hota k husband ghr pe hi baith jaye k bv k naseeb se milna hoga to mil jayga. apke inlaws ager aisa kehte hain to aap q sunti hain aisi batein. khana bhi samne hota hai to insan ko khud se utha ker moun mein dalna hota hai. aise ghar mein baithe rehne se to paisa ayega ny bina mehnat k.
kya apke inlaws ko pata hai k apke husband mein pro hai??
ager ny pata hai to ap unhein bataye aur unse kahiye k apne bete ko ilaj k lye kahiye.5saal kam ny hote ap kehdo k apko bache chahiye. apki sas ne jahan itna kehdia k apki wajhe se hora hai sab. to kal to wo ye b keh sakti hain k aap mein prob hai islye bache ny hore. aap kuch bolti ny ho to kabtak chup rahogin?? aise to apke lye zindagi guzarni aur mushkil hojaygi. apke husband na khud kahin leke jatey hain na akele jane detey hain. ye to ghr mein qair kerne wali bt hogyi.
aap apne ghr walon se bt q ny kerti?apni ammi se bt karo wo kya kehtin hian is barein mein. shyed koi hal nikal jaye. ye achi bat hai k com use ker sakti ho. n tension lene ki zrurt ny hain apki wajhe se kuch ny horha hai. kabhi kabhi halaat b aise hotey hain. apne husband ko pyar se samjhane ki koshish karein. ny mante to unse kahin k apko job kerne dein. jb aap job start karogi to wo khud hi sai hojayge aur khud b kahin job try krege. aur apko b roke ge job kerne sey. |
faaria |
Group: Members Joined: 19th Aug, 2010 Topic: 2 Post: 13 Age:
23
|
|
Posted on:14th Sep 2011, 10:24am |
|
|
syeda friend,main pehle ammi se yeh sb khti thi per wo kia krn unky behn k bete hn.meri saas meri ammi ki bri sis hn.ammi kuch nai khti bl-k mujhy khty hn sabr kro.mery inlows ko inki problem ka pta hy k kids inki wajah se nai ho rhy.or yeh baat k main job kroon main kafi dafa keh chuki hoon job ka or yeh bhi kh chuki hn k main apni studies continue kr leti hn taa k jb tk koi kid nahi hota main mazeed taaleem hasil kr loon khair studies ki permission to inlows ki trf se hi nahi.job(teaching) ki permission yeh nahi dete main ne kahan ghr main kids ko tution hi parha leti hn wus per bhi inkar.age difference itna nahi hy .lgta hy meri problem ka koi solution nahi hy
|
syedaa |
Group: Members Joined: 22nd Nov, 2009 Topic: 1 Post: 95 Age:
27
|
|
Posted on:15th Sep 2011, 6:07am |
|
|
@faaria hmmm,ye to achi bat hai k apki sas apki khala b hain.tab to apko aur khul k bt kerni chahiye .ap sirf ye q sochti hain k wo apki sas hain.sas hone se pehle apki khala b to hain hi na. achi bt hai ap agey parhna chahti hain to ap private coursse kerlein na jo ghar baithey b hojata hai asani se. bas paper hi to baher jake dene hote hain. ny to apni sas se kahiye k ksi cheez ki to ijazt de k na parna hai na kahin jana hai na ghar mein koi ata hai na bache hain to aise to banda pagal hi hojayga akele akele reh ker.
yr mai personally apko kuch bata deti kerne ko per yaha ye system ny hai. koi id ya no share ny kia jasata. is web k ilawa aur koi rasta ny hai. chalo 1 kam bata deti hun. aj jumeraat hai .wazu krk sura yaseen aur nade Ali parhni hai.7martaba. aur parhni aise hai k pehle yaseen phir nade Ali phir yaseen phir nade Ali. aise 7 martaba parhni hai. age pechey durood parna hai 11times. ye parh k cheeni (sugar)pe dum kerdein jo cheeni normal use hoti hai khane mien.aur ye cheeni khatm na hone paye matlab jb khatm hone lage to usi mein aur add kerti jayein. dekhiye phir apke husband kuch sai hote hain ya ny.
wse darne wali koi bt ny hain ye koi jaadu ny bataya hai maine;-) Quran se related hi hai. so her koi ye ker sakta hai.isse pyar hi barhta hai. matlab apke husband cheeni ki tarha methey hojayge. means 2 say ager apki suntey ny hain to thori thori sunne lagege.
aise aur b tareeeqe hain but yaha bataon to sab ne mazak hi urhana hai in cheezon ka. n iske ilawa aur koi rasta ny jahan mai apse rabta ker sakun. so try this one first. |
faaria |
Group: Members Joined: 19th Aug, 2010 Topic: 2 Post: 13 Age:
23
|
|
Posted on:15th Sep 2011, 8:02am |
|
|
syeda theek hy aaj to nai per next Thursday main zaroor parhoon gi inshaAllah.thank for this mujhay hi himmat krni pare gi :)ok thanks friends.
|
|