Naeem14 |
Group: Members Joined: 20th Jul, 2011 Topic: 2 Post: 3 Age:
23
|
|
Posted on:17th Aug 2011, 4:56am |
|
|
Kia Four Years Elder Larki Se Shaadi Ker Saktay Hai?
Dear Dr. Sahib, Aslam-O-Alikum Sir mein 21 unmaried hun aur meri angage ho chuki hai meri fiance mjh se minimum 4 years bari hai mein ne sun rakha hai k bari lrki se intercourse krne se bht si problems ho jati hein jis ki waja se mein bht pareshan hun ap plz mujhe is bare mein guide ki jiye ga k waqae aisa hai mein ap k answer ka wait krn ga... Thanks and God bless you...
|
Naeem14 |
Group: Members Joined: 20th Jul, 2011 Topic: 2 Post: 3 Age:
23
|
|
Posted on:17th Aug 2011, 5:05am |
|
|
help Sir plz reply me asap i'm very worried about it... |
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2429 Age:
48
|
|
Posted on:17th Aug 2011, 6:39am |
|
|
Naeem14 Nabi SAW ki age 25 thi jab k Khudeja RA ki age 40 thi Aap SAW ne Khudeja RA se nikah fermaya
yani 15 year beri thin Khudeja RA ap ki fianci to 4 saal beri hain
aisi stupid information denay walon ko bhool jao |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:17th Aug 2011, 7:02am |
|
|
Marriage with elder girl 1. agar aap ki marzi se yeh mangni nahi huyee tu aap yeh mangni jaari na rakhain, ainda bhi bahut saaray problem hotay rahain ge.
2. aur agar aap ki marzi se yeh mangni huyee hai tu pareshan hone ki zaroorat nahi, 4 years bari larki se shaadi ki jaa sakti hai, koi medical problem nahi hoga.
3. generally aurat 40 years mai menopause mai chali jaati hai. menopause ka matlab hai keh os ka menses band ho jaaye ga aur bachcha paida kerne ki salahiat khatam ho jaaye gi. menopause ke aurat nafsiati tor se apne aap ko jawan nahi samajhti. jabkeh os waqt aap ki age 36 hogi.
4. Jaha tak Nabi (PBUH) ki baat hai, har jagah on ka example dena sahi nahi. ham Nabi (PBUH) ka muqabla nahi ker saktay.
- onho ne 4 se ziadah shaadian ki jabkeh hamain aisa kerne ki ijazat nahi.
- beghair nikah ke apni londi (RA) se mubashrat ki jo keh mojooda daur mai mumkin nahi
- old age mai kamsin Hazrat Ayesha (RA) se shaadi ki jis ki ijazat mojooda muashra nahi deta.
ham yeh sab nahi ker saktay. lehaza har maamla mai Nabi (PBUH) ki misal
dena sahi nahi hai. jo kuch kehna hai mojooda culture aur medical point
of view se kehna hai. aisi baat kehne ka koi faida nahi jis par amal mumkin nahi.
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2429 Age:
48
|
|
Posted on:18th Aug 2011, 1:55am |
|
|
Nabi SAW ager hum musalman hain to humain her qadam per Nabi SAW ki zat e mubarak ko apnay liyay namoona banana hoga
ager KISI ko Nabi SAW k zikar se CHIRR hai to meray pass koi hal nhn
lakin main to har kam main Aap SAW ki zat e mubarak ko samnay rakhta hun aur her musalman ko rakhna chahyay
aap SAW ka her amal humain sikhanay k liyay tha aap ka koi amal sirif ap ki zat e mubarak k liyay nhn tha lakin hum badqismat na seekhna chahain to humara naseeb
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:18th Aug 2011, 9:14am |
|
|
Nabi (PBUH) se muqabla nahi kerna chahiye re: "ager KISI ko Nabi SAW k zikar se CHIRR hai to meray pass koi hal nhn"
Naooz-o-Billah iss qisim ki baatain sochna bhi gunah hai. la-jawab hoker kisi per iss qisim ka ilzam lagana bhi gunah-e-azeem hai.
ham nabi (PBUH) ke na barabar hai aur na on se barabri ka muqabla ker saktay hai. bahut si baatai jo Nabi ke liye allow thi woh hamaray liye allow nahi hai. maslan ham 4 se ziadah shaadia nahi ker saktay. jab keh hamaray nabi (PBUH) ko yeh allow thi.
|
yasir_123 |
Group: Members Joined: 11th Feb, 2011 Topic: 4 Post: 380 Age:
29
|
|
Posted on:18th Aug 2011, 5:05pm |
|
|
Naeem14
G han 4 years elder female say shadi ki ja sakti hay, humari society main albatta iss ko itna kabool nahi kia jata, lakin islamicaly iss ki ijazat hay. humari society main dosri shadi karna bhi takreban jurm hi samjha jata hay jab k humain poori chaar shadia karany ki ijazat hay.
|
Hasnain512 |
Group: Members Joined: 28th Jun, 2011 Topic: 1 Post: 21 Age:
20
|
|
Posted on:19th Aug 2011, 7:13pm |
|
|
Bewakoof bewakoof bahi apka to kam hi har jaga bewakoofi karna nd dosray ki zid karna nd mukhalfat karna apki pata nahi keya soch hay jabkah hamaray nabi(pbuh) nay khud farmaya hay kah marey sunat par aamal karow na kah mashray ki sunat par naeem bahi agar ap is shadi say khush hain to kar lain ko nuqsan bhi nahi hay ap nabi ke sunat ko daikhain na kah mashrjy ke sunat ko |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:19th Aug 2011, 7:29pm |
|
|
re: hasnain512
re: "naeem bahi agar ap is shadi say khush hain to kar lain ko nuqsan bhi nahi hay"
mai ne bhi tu yahi mashwara dia hai jo keh aap ne dia hai. phir mujh per aap kio etraz ker rahe hai. aap oopar sahi se read karain mai ne likha hai keh "4 years bari larki se shaadi ki jaa sakti hai, koi medical problem nahi hoga."
re: "hamaray nabi(pbuh) nay khud farmaya hay kah marey sunat par aamal karow na kah mashray ki sunat par"
rahi baat sunnat ki tu mai ne keh dia hai keh ham har baat mai Nabi (PBUH) ka muqabla nahi ker saktay. aur example bhi oopar de dia keh ham aik saath 4 se ziadah bivia nahi rakh saktay, burhapay mai nabaligh aur kamsin larki se shaadi nahi ker saktay aur londi se beghair nikah mubashrat nahi ker saktay. jabkeh hamaray piaray Nabi (PBUH) ko Allath Taala ne in sab ki ijazat de rakhi thi isi liye on ki ba yak waqt 4 se ziadah bewian thi. jab keh hamai ijazat nahi hai.
|
|