Can Internet Be Use As A Tool To Bring Revolution In Pakistan?
Pakistan main mojood kuch logoun ka khayal hy k Pakistan main inqilab lane k liay latest technology ko use karna chahiay. un k khayal hy k Internet daur.e.jadeed main aik aham zaria hy jis k zariay inqilab laya ja sakta hy. woh samjhte hyn k Facebook, Twitter, Youtube, internet par mojood siasi forums, emails aur sms k zariay Pakistan main woh inqilab la sakte hyn. in logoun k group main ziada ta'adad youngsters ki hy.
kya Pakistan main kisi inqilab ki zarurat hy?
agar zarurat hy tou kis qism k inqilab ki? kya khooni inqilab ki zarurat hy Pakistan ko?
kya internet ko use kar k Pakistan main inqilab laya ja sakta hy?
kya hamari youth internet ka positive use kar rahi hy?
Can Internet Be Use As A Tool To Bring Revolution In Pakistan?
woh wuqat ghay jub Hojray howa kurty ty log choko chorahoo mah bath kur batin kurty ty , abi log internet pur bathy hoty hen, or apni ray openion ka ezhaar kisi forum, group, blog ya kisi web pur kur ray hoty hen , log Tv talk shows say be tung aa choky hen, ess time Internet ka positve use he yeh hay kay logo ko guide keya jay awarness phalai jay, Mera apna Face book pur Group hay or pages hen, or abi mera Group: editedbot tazzi kay sath burtaa ja ra hay , 3 months meah mery group meah 31,00 members add howy hen,
Next Election pakistan meah unexpected change lay kur aayin gay apny dakha hoga pechly election meah Shaikh Rasheed or dosry leaders ko moun ki khani pur , Media nay logo meah kafi awarness phalai lakin abi media Doghla ho choka hay abi log Internet ki turaf agy hen or Face book or dosry social networks pur khol kur ezhaar kurty hen , Social networking ka positve use yeh he hay kay Logo kay Dil meah apny Wuttun apni Dhurti apny logo say peyar kurna sikhaya jay ezzut ehtaram kurna sikhaya jay, essi tura Fack leaders or Ghudaraan-a-wuttan kay khilaaf social networking ko use keya jay ta ky log onko aain vote na dain,
ess Wuqat Juzba-a-hobul watni ki Nation meah shudeed kumi hay jis ko dakhty howy meah be social networking ko logo meah awarness or on meah woh Juzbah jo ek zinda Qom meah hona chayeh jugaany ki koshish kur ra hon, Apni army apni security forces ko protect kurta hon or Media kay Thakydaro or Fack leadership ka purda chaak kurta hon,
Yeh wuqat Logo meah Lussaniyat , Nufrat, Firqa waraaiyat, Nufrat jo humain Aag meah julaa raa hay Khoon meah Nehlaa ra hy osy khutam kurna hay, Hum log Hurtal , Jelao Gherao, mar tor, Qomi Umlaak ko noqsaan ponchany kay khilaf hen esy nation ka apna noqsan hota hy, so Protest be Mohuzzab undaz meah kurna chayeh, net pur chating videos or films dakhny kay bujay woh he time apny wutan ko dain , much better, taa kay jub koch practical kurny ka time aay tu ek Chang ay
Can Internet Be Use As A Tool To Bring Revolution In Pakistan?
inqelaab barpa karney se pehle inqelaab k ma'ani ko samajhna ho ga , inqelaab ka motabar tareen mafhoom yeh kiya jata hai keh "nizaam tabdeel hona" ... jis qism k inqelaab arab countries meiN barpa ho rahey heiN wo haqiqatan inqelaab nahiN balkeh "inqelaab numa" heiN ... sab jantey heiN keh unn countries meiN just chehrey tabdeel hey haiN nizaam wahi hai
hameiN aise inqelaab ki hargiz zarurat ; inqelaab se muraad nizaam ki tabdeeli hai nah k chehroN ki ... inqelaab barpa karney k liye aik bohot zaroori unsur "maqsad e inqelaab" hai , keh aap ki movement ka maqsad kya hai ? agar roTi, aaTa, cheeni ki qeemteiN kam karwana hai to iss se hargiz inqelaab barpah nahiN ho ga balkeh hameiN inqelaab k liye aik jihat ki zaroorat hai aur woh yeh hai "nizaam ki tabdeeli" nah k chehroN ki .... kyuN keh agar ham zarooryat e zindagi ka wawela kar k hukoomat ka takhta ulaT bhi daiN to uss se just chehrey tabdeel hoNgey nizaam nahiN .... aur new hukoomat aa kar wahi kaam shuru kardegi...
nizaam ki tabdeeli kabi bhi ghar beTh kar aur internet par sawaar hokar nahiN aaye gi , balkeh nizaam ki tabdeeli k liye sakht jiddo jehad karni paRey gi , qurbaaniyaN deni paReiN gi jesa k pakistan ka wajood meiN aana bhi nizaam meiN tabdeeli ki aik misaal thi ....
lehaaza nizaam ki tabdeeli zaruri hai aur nizaam ki tabdeeli / inqelaab ki asal rooh ko samajhney k liye ham inqelaab e islami Iran ki taqleed kar saktey haiN k iran meiN imam khumeni ne nizaam ko tabdeel kia aur inqelaab-e-naab-e-islami nafiz kia.
"Next Election pakistan meah unexpected change lay kur aayin gay apny dakha hoga pechly election meah Shaikh Rasheed or dosry leaders ko moun ki khani pur "
yahan Aap ka kehna hy k next elections pakistan main unexpected change le kar Aaenge aur abhi recently jis thread main hum discussion kar rahe thay wahan Aap ka kehna hy k election se koi change nahi Aane wala aur wahan Aap army takeover ki himayat kar rahe hyn. kya ye khula tazad nahi?
Yeh change Faces ki hay pakistan meah essy change nahi aay gahi , ku kay pher wessi he looli lungi hukomat bunni hay or pher aaj ki hukomat kurny waly kul ko apposition meah bath kur surko pur Dhurny daty nuzur aayngy, Siyasi halat budalty rehty hen , siyasat meah koi hurf a akhur nahi hay , Haaliya Karachi kay waqahaat kay bhad mujy nahi lugta kay jumhooriyat pakistan meah Estehkam la sukti hy,
Yeh post karachi ki khoonrazi say phaly ki hay , jis tura Pakistan ki political parties kur rahi hen essy wazeh lug raa hay pakistan meah Labya or shaam jasy Halaat ki tiyaari ki jaa rahi hay, or Pakistan ko khana jungi ki turaf laya ja raa hay ,
Karachi kay halaat or Siyasat dano ki new province ki mohim kay bahd meri soch budli hay kay enka issue awaam or pakistan nahi enka issue apna Iqtadaar hay or koch nahi , pakistan meah Log Bejli ki aankh muchooli say tung hen, kam karobaar nahi , log Nufsayati mureez bun jay gay , probelms whaa kay waha hen,
Ess leyeh mojooda haalaat ko dakh kur meah abi Jumhoriyat kay huq meah nahi hon ku kay es jumhooriyat nay pakistan ko noqsaan ponchaya hay or khoon razi ki mortakib hoi hy, MQM ANP PPP en teno nay jo Odum muchaya hay karachi meah mujy abi koi political party achi nahi lugti , yeh sub ghudari hen jinko na pakistan say koi lugao na pakistan ki awaam say koi lugao hay,
Pakistan ka issue Energy cirssis hen , pakistan ka issue Entaha pussundi hay, pakistan ka issue water hay, Ek wuqat ta yeh siyasat dan molvi ko zimadar theraaty tay enthaa pussundi kay jub kay khod siyasat daan entaa pussund bun gay hen,
ess leyeh meah chahata hon pakistan meah Estahkaam or awaam ko sokh ka saans dilaany kay leyeh Pak army aay or hur tura ki political activities pur pabundi lugay ku kay political activies say awaam ka koi laana dana nay hay awaam kay problems waha he hen,
es time pakistan ko Estehkaam ki zurorat hay, jumhooriyat say estehkaam nai aay gah, political activities or enki syast ki dokano ko bund kurna hoga
Can Internet Be Use As A Tool To Bring Revolution In Pakistan?
kya Pakistan main kisi inqilab ki zarurat hy?
Pakistan main har kuch a'arse ba'ad fauji inqilab barpa hote rehte hyn jis se hamare masail hal nahi hote bal keh hamesha barhte hee hyn hamare masail main izafa hee hota hy. wase inqilab k na'are ko hamari siasi jama'atoun ne bhi is buri tarah istima'al kia hy k ab shayad hum is word k a'adi hogae hyn aur humain ab is na'are se koi khas josh nahi Aata. meri nazar main jamhooriat ko chalte rehna chahiay inshAllah vote k zariay se kuch saaloun main musbat tabdeelian Aana shuru hojaen gi.
kya internet ko use kar k Pakistan main inqilab laya ja sakta hy?
internet ko use kar k koi inqilab nahi Aasakta. internet ko sirf shehroun main hee log use karte hyn. gaon dehaatoun main jahan bijli nahi, ta'leem nahi hy wahan tou log computer hee use nahi karte. shehroun main bhi jo log use karte hyn woh sab k sab positive use nahi karte aik tabqa tou use apni manfi sargarmion k liay use karta hy.
kya hamari youth internet ka positive use kar rahi hy?
bohat kam log is ka positive use kar rahe hyn. bohat se log tou ise sirf films, drame, songs, chatting aur facebook par larkion k chakar main time waste kar rahe hyn. woh log jo facebook aur deegar siasi forums par baithe hyn un main bhi aksariat nojuwano ki hy jinhain discussion karne hee nahi Aati. wahan bhi majority galian dene main aur tafreeh karne main apna time waste kar rahi hoti hy. bohat kam log aise hyn jo in cheezoun ka sahi ma'anoun main positive use kar rahe hyn.
Siyasat daan kon hen humary haan? woh he jo Saalo say mossulat hen, MQM meah dakh lao, PML N , Q , PPP , ANP JUI meah dakh lo Woh he face woh he log yeh log hur bar apny iqtadar kay leyeh ek hoty hen, ek dosry kay mandate ko Tusleem nahi kurty , MQM kay Mandate ko tusleem keya ghiay tu MQM nay pory pakistan meah apna Tusslot Qyim kurny ki mohim start kur de hona tu yeh chayeh ta kay yeh apny os Iqtadar meah apny hulqa meah he pori tawaja daty, essi tura yeh sub log sub siyasat dan Expose ho choky hen enky real faces sub kay samny hen, MQM ki tu yeh condition hay kay yeh achy hon kay bory hon vote enko he dana hay,
Mojooda halaat dakh kur mujy Siyasat or Siyasat dano say Nufrat ho gahi hay mujy pakistan meah aman or sukoon say aagy koch nahi abi sub say awaaleen cheez yeh hay aman or sukoon nahi tu na hum na humary buchy ya mehfooz hen,khod tu yeh log pakistan say baher chuly jaty hen iqtadar bina pakistan meah reh he nahi sukty or Alfaaf Hussain tu London meah bath kur yaa logo ko lurwaa ra murwaa raa,
I hate pakistani politicians and politics of pakistan, Mujy woh he Leader acha lugy gah jo Pakistan ka sochy gah, pakistan meah Unity lay kur ay gah, urdu , puthan punjanbi sindghi blochi ki bat kurny wala mujy enemy or pakistan lugta hay, Ghudaar, Tuqseem dur tuqseem kur ray , Ochy Hutkundy use kurty ek dosry ko mat dany kay leyeh Punjab meah new province bunana be ek Chaal esi tura Sind meah new province ek dosry ko siyasi shikusst dany kay leyeh hay na kay Nation kay sokh chain kay leyeh, Apny siyasi mofadat hen ,
Yeh he woh wujohaat hen jin ki waja say mujy Pakistan kay siyastat dano nay Nufrat hay yeh sub anti pakistan hen or enko pakistani nation say koi ghurz nahi hay, Yeh Iqtadar pakistan meah kurty hen or Iqtadar kay bhad Uk USA UAE KSA meah ja kur muzy kurty hen,
For More Detail Click On Page No: 1
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.