Re:what is molar pregnancy myrizvi aur Dr Qasim maiN to ye thread aaj daikh rahe huN halanke ye latest thread ha magar forum pe aaj kal latest thread 4th ya 5th page say pehley miltey nahe aur year 2007 kay first page pe hotey haiN iss ki wajah samaj say baher ha . issi waja say aik new user ney apney thread maiN likha huwa ha "yahaN doctor to reply kartey nahe " lolwaisey to kafi kuch ooper explained ha . magar ye bhi aik kafil detail topic ha . simple baat yeh ha ka hum jaantey haiN kay humans maiN 46 chromosome hotey haiN magar important yeh ha keh iss maiN say 23 father (sperm) say hasil houN aur 23 mother (ovum/egg) say jub conception ho yani sperm aur ovum meet karaiN . complete molar pregnancy (mole) maiN ovum "defective" ya khaali hota ha sperm iss say meet karta ha aur sperm aapney 23chromosome ismeh enter karta ha (egg main) aur ye 23 multiply ho kar 46 ho jaatey haiN ubb chromosome number to fertilized egg (product of conception) ka poora ha magar woh human embryo nahe kunke 46 (mostly 46XX can be XY) father (sperm) kay chromosome haiN so baby(embryo ) nahe bunta magar ye bhi uterus mai jaa kay chapak jata ha (implant) aur lagta ha pregnancy ho gae doosra qudrat ka nizam ye ha kay normally jub aik sperm egg say aa kar milta ha to egg ki wall bahoot thick ho jati ha aur koi doosra sperm iss egg maiN daakhil nahe ho sakta . so sperm kay 23 chromosome aur egg kay 23 chromosome mil kay normal 46 chromosome bun gae aur normal human baby. magar Imcomplete molar pregnancy (mole) maiN egg ki wall sperm say milney kay baad thick nahe hoti aur aik aur ya doo aur sperm bhi issi egg mai mil jatey hain aur 69XXY ya aur chromosome wala ovum bun jaata ha jo kay phir human embryo nahe hota ubb ye to pata lag gaya kay complete ho ya incomplete maslah egg maiN hee ha ya to woh khaali ha ya ooski wall thick nahe hoti so isska matlab ha "maternal" ya female problem hoti ha molar pregnancy maiN. main reasons 1) genetic problem eggs maiN 2)40yrs say above age 3)family ya previous history molar pregnancy ki haiN. mostly choounkeh ye normal pregnancy say milti ha iss leye pregnancy hee lagti ha magar ismeh pregnancy kay symptom zaydah aggrevated hotey haiN zaydah aur bar nar vomiting , zaydah vaginal bleed , uterus ka size bara houna aur beta HCG level bahoot zaydah houna iss ka main name hydatiform mole ha yani hydatid cyst say milta julta structure kunke hydatid cyst pani ki baRi theeli hoti ha jismeh chooti chooti theeliyan hoti haiN(yeh aik parasite ki infection maiN bunti ha) ismeh(molar pregnancy maiN) bhe aisey hi look hoti ha ultrasound peh uterus kay aandar jisey ooper "bunch of grapes" kaha gaya ha , isse "snow storm" appearance bhi kehtey haiN aik dafa molar pregnancy kay baad normal pregnancy bhi ho sakti ha kafi chance kay saath. albatah next pregnancy maiN molar ka bhi chance hota ha. US mai 1:1000 ratio hai magar asia kay few countries mai zaydah percentage ha molar pregnancy ki even kuch statistic asia mai 1:200,1:100 ki ratio batatey haiN kuch areas maiN main early diagnosis extremely high beta HCG level haiN (beta HCG normal pregnancy maiN bhe baRhta ha magar molar maiN bahoot zaydah baRhta ha) aur uterus size jo pregnancy kay week kay mutabiq zaydah baRa hoota ha magar "gold standard" diagnosis ultrasound hee ha. |