Nadia222
|
Group: Members Joined: 24th Nov, 2009 Topic: 16 Post: 34 Age:
22
|
|
Posted on:9th Aug 2011, 3:08am |
|
|
During pregnancy which month mother can feel fetul movements?
AOA, Mera sawal yah hi. k main 6 month aur 10 days ki pregnant ho. aur kuch dino sy moje as tara mahsoos ho raha hi,k mere belly main kuch harkat sy hote hi. main yah pocnhna cahte ho k kon sy month sy baby main saans a jate hi. aur wo harkat start kar deta hi. Plz reply. thank you.....
|
humanclay1
|
Group: Members Joined: 16th Nov, 2009 Topic: 5 Post: 34 Age:
39
|
|
Posted on:9th Aug 2011, 3:47am |
|
|
Reply babay main jaan after 4 week ajati hai or woh saans laynay lagta hai as per medical science |
WEHSHI
|
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 45 Post: 2456 Age:
48
|
|
Posted on:9th Aug 2011, 4:54am |
|
|
nadia222 medicaly n islamicaly bachay main 5th month main rooh ajati hai aur woh harkat start ker deta hai |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6478 Age:
35
|
|
Posted on:9th Aug 2011, 10:01am |
|
|
First Fetal Movement during pregnancy
First time jo women pregnant hoti hen onko baby movements ka Sahi putta ya Ehssaas 5th month kay bhad hota hay, lakin movements 13 say 18 weeks meah bhe koch feel kur lati hen, yeh ek ajeeb turaah ka ehsaas hota hy jub baby movements kurta hy, lakin last 3 months meah bot wazeh movements hoti hen mothers khod assani say feel bhe kur sukti hy 7th to 9 months meah tu baby jub movements kurta hy mothers os movement say jagh bhe jati hay agur osi ho, or agur movements na ho rahi hon tu woh purashan be ho jati hy, lakin apky answer ka juwaab yeh he hay kay hur pregnancy dosri say alag hoti hay , lakin first time mother bunny wali women 5th month kay bahd he sahi tura say movement ko feel kurti hen,
Masha Allah say ap 6 month or ten days ki pregnant women hen tu apko abi bot clear feelings honghi baby ki movements ki, abi aap apni diet ka araam ka khayal rukhin , agur ap meah weakness hogi tu apky baby ki movements be kum hongi essi tura jub ap achi khati peti apni diet ka khiyal rukhin ghi tu apka baby active hoga or oski movements be ziyada honghi, abi rumazan hay ap dates khaya kurin, palik, liver, apple, or pani ziyada say ziyada peya kurin.
|
Waterr
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:9th Aug 2011, 4:51pm |
|
|
Re : Fetal movements during pregnancy Nadia222 first of all congratulations on being pregnant and having healthy pregnancy as many repliers have told above its normal to feel fetal movements during pregnancy . Mostly in first pregnancy movements are felt late in pregnancy as mother is not much aware also if you are obese you will fell it late. In subsequent pregnancies you will feel early in pregnancy . Mostly between 12th-26th week these are first felt and then continue in rest of pregnancy . Even as early as 12th week may be felt also at times movement of amniotic fluid with posture change is felt so late in pregnancy fetal movements decrease as baby grows in uterus and now has less space to move around |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4304 Age:
38
|
|
Posted on:9th Aug 2011, 9:27pm |
|
|
fetal movement during pregnancy
re: "babay main jaan after 4 week ajati hai or woh saans laynay lagta hai as per medical science"
medical ki kis kitab mai likha hai keh baby 4 weeks mai saans lene lagta hai. baby ka pehla saans os ke paida hone ke baad (7-9 month of pregnancy) per pehli cry se start hota hai.
re: "medicaly n islamicaly bachay main 5th month main rooh ajati hai"
1. islamically per comments nahi ker raha hoo. iss per forum ke doosre molvi hazrat comments karai ge.
2. lekin medically wali baat samajh nahi aayee. Medical mai rooh ka kaha zikir hai. bachcha ki paidaish mai father ka sperm aur mother ka ova hissa leta hai. yeh dono cell hotay hai aur dono zinda hotay hai. agar zindagi ka matlab rooh hai tu baby mai first day of fertilization se hi rooh hoti hai.
meri zati raye yeh hai keh yeh aik medical website hai lehaza medical sawalo ke jawabat kisi doctor ko hi dene dia jaaye tu sahi hai. aur agar koi non-doctor hazrat jawab de rahe ho tu phir kam az kam kisi reference se jawab de.
re: "I dont know the answer or how to reply your question, but inshallah soon the doctors will arrive"
yeh sahi jawab hai. har sawal ka jawab har kisi per lazim nahi. sawal poochne wale ko bhi 10-15 answer nahi chahiye balkeh sirf 1-2 hi answer lekin relevant logo se chahiye. iss sawal ke jawab ke liye relevant log doctor hi ho saktay hai. lehaza iss sawal ko doctor ke liye chor dia jaaye tu iss forum per ehsaan hoga.
forum per jetna ghalat aur irrelevant reply hoga, forum ki popularity otni hi kam hogi. lehaza non-doctor hazrat se guzarish balkeh Apeal ki jaati hai keh baraye meharbani medical sawalo ke jawabat na de ker iss forum per Ehsan farmain.
|
Nadia222
|
Group: Members Joined: 24th Nov, 2009 Topic: 16 Post: 34 Age:
22
|
|
Posted on:10th Aug 2011, 7:08am |
|
|
Thx for reply.Lekin ek aur sawal... Thank you for your reply.Lekin mara ek aur sawal hi.main bahot kamzor ho.aur asi waja sy moje delivery sy bahot dar lagta hi.aur abi to Ramazan hi.bare muskil sy roza rak rahe ho.bilkul behal hote ho.abi main rozay k saat kiya karo.bilkul kuch hota hi moje.nahi rak sakte.12 baje k bad moj main bilkul taqat nahi hote hi...
|
Waterr
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:10th Aug 2011, 7:25am |
|
|
Pregnancy And Fasting agar aap pregnancy maiN roza rakh sakti haiN to iss say achi to koi baat nahe magar aap ko apni aur baby ki sehat ki assessment houna bahoot lazmi ha. agar rozay say mother ya baby ya donou ki sehat ko pregnancy mai farq parna ho to islam mai ye gunjaeesh ha k aap roza choR daiN aur pregnancy say farig houney kay baad jub health behtar ho choorey huwe rozey complete karaiN agar aap bahoot kamzoor haiN ya Hb wagaira kum ha to ap rozey chor sakti haiN albatah aapki doctor aur aap khud iss ka faisla behtar kar sakti haiN kay mazeed kamzori say ap par ya baby par bura effect na ho ya pregnancy pe asar na parey |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4304 Age:
38
|
|
Posted on:10th Aug 2011, 7:25am |
|
|
Pregnant Aurat Ka Roza pregnant aurat ko samajhna chahiye ke woh aik jaan nahi balkeh do(two) jaan hai. aur dono ko gheza ki zaroorat hoti hai. jabtak baby maa ke pait mai hota hai os baby ki nutrition maa ke zaria hi hoti hai. isi liye maa ke khorak per khasoosi tawajo di jaati hai.
jaha tak roza ka taluq hai woh maa ke pait mai mojood baby per farz nahi. lehaza maa ko roza rakhtay waqt yeh zaroor sochna chahiye keh woh apne saath pait mai mojood baby ko bhi zabardasti roza rakhwa rahi hai jo keh ghalat hai.
haqeeqat yeh hai keh pregnancy ke doran agar maa apni sehat aur gheza ka khyal na rakhe tu os se maa aur bachcha dono ki sehat aur zindagi khatra mai rehti hai.
mai ne jo baat ki general point se ki. medical point se koi doctor hi jawab de sakta/sakti hai. aur deeni lehaz se iss forum ke molvi hazraat.
mai sirf aur sirf apni opinion deta hoo keh aap roza na rakhai kio keh iss se na sirf aap balkeh aap ke pait mai mojood baby ki sehat per bhi manfi asar pare ga, agar roza chootne ka bahut afsos ho tu delivery ke baad jab aap ki sehat ijazat de os waqt Qaza Roza rakh lijiye ga.
|
|