Iqra_alone
|
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2011 Topic: 15 Post: 153 Age:
23
|
|
Posted on:19th Jul 2011, 9:42pm |
|
|
If.Men.Can.Have.Plural.Wives.So.Can.wives.haveplural.husbands?
Salam, Yaha par kuch confusion sa hai sawal ye ke har mard/male kai shadiyan karta hai mathlab unki 2 ya 3 bevya hoti hai lekin ek aurat ziada husbands Q nahi karti why???? Plz answer and iss sawal ka koi ghalat mathlab nahi sirf ye janna chahti ho ke why any reason.
|
glamour
|
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:20th Jul 2011, 1:05am |
|
|
orat 2 ya us se ziada mardoneh hi wakq main shadi ku nahi kar sakti
as salam oalikum sister aap kay sawal ka jawab ye hai kay islam is baat ki ijazat nahi daita kay orat 1 hi waq main 2 ya 3 mardon kay niqah main rahay .islam main jo b baat kahi gahi hai us main hamari hi bhalahi posheeda hai agar orat 1 hi waqt main itnay mardon kay nikah main rahay gi to us ki honay wali olad ki identity ka kaisay pata chalay ga kay ye olad kis mard se hai kis ki hai is kay naam kay aagay kis ka naam lagay ga yaad rahay kay islam main baap ka name hi lagana jahiz hai or nisbat change karnay ka sakhti se mana kia gaya hai ..................
dosri baat agar islam kay hawalay se hat kar p daikha jahay masharti hawalay se to b ye baat qati na munasib hai agar mard ko 1 orad ki talab hai or usi waqt us kay dosray husband ko b talab hai to kia hoga ??????????
i think aap ko aap kay sawal ka jawab mil gaya hoga thanks
|
Iqra_alone
|
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2011 Topic: 15 Post: 153 Age:
23
|
|
Posted on:20th Jul 2011, 2:23am |
|
|
Re glamour Salam,
my sis jo answer par mei shak krti thi wo sahi nikla thank you for ur good answer glamour |
glamour
|
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:20th Jul 2011, 3:25am |
|
|
iqra welcome dear;- )
|
Iqra_alone
|
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2011 Topic: 15 Post: 153 Age:
23
|
|
Posted on:20th Jul 2011, 12:54pm |
|
|
Re ali rajput thankyou for ur answer ali bhai |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6478 Age:
35
|
|
Posted on:20th Jul 2011, 5:07pm |
|
|
re agur orat ko ek say zaid murdo say shadiyoon ka huq hota tu bot murdur hoty , or social problem be bot hoty or esky sath sath Weraasat kay problem or bucho ki idenity ky problem alag hoty, Murd ek say zaid beviyaan rukh sukta hay lakin orat ni ku kay orat kay zimaa Qodraat nay Buchy ki purwarish lugai hay jo osky payt meah pultaa hay, osky leyeh zuroori hay kay orat ka realtion ek he murd say ho, esky sath sath agur ek orat bot sary murdo say sexual relation rukhti tu Health kay bhe bot sary problems saaamny aaty, ess leyeh es meah Shuri , Qanooni khamiyaan hen ess leyeh esaa nahi ho sukta,
|
yasir_123
|
Group: Members Joined: 11th Feb, 2011 Topic: 4 Post: 380 Age:
29
|
|
Posted on:20th Jul 2011, 5:51pm |
|
|
Re
Ek hi mard zulm bardasht kar lay ek aurat ka yehi kafi hay, bilawaja aap dosray or teesray mard ko bhi mazloom bunana chah rahi hain. kyu aap karna chati hain ? ek hi waqt main do or teen mardo say shadi ? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6612 Age:
54
|
|
Posted on:21st Jul 2011, 12:04am |
|
|
nice replies from all jazak Allah
1. auratouN maiN sexual desire mardouN say kam hoti hai.
2. aurtaiN menses days maiN aur hamal days maiN apnay husband ki khahish poori nahi karsakteeN ... issi liyeh in days main mard k liyeh doosri biwi ki zaroorat hai... aik say zayad husband ki soorat maiN in days maiN aurat kia karegi???
3. medically it's proven k aurat agar bayak waqt aik say zayad mardouN say sexual relation rakhti hai to woh mukhtalif amraaz ka shikaar hojati hai...tawaifaiN /call girls ki history dekh laiN woh AIDS samait degar beemaariyouN maiN issi liyeh muntala hoti haiN
4. mard agar bayak waqt aik say zayad aisee aurtouN say sex relation rakhay, jo sirf ossi k saath sex karti houN to nah mard jinsi amraaz ka shikaar hota hai, nah aurtaiN
5. aik aurat aur kai husband ki soorat maiN baby k hasab nasab ko detect karna ab koi maslah nahi rahaa. DNA test say actual baap ka pata chal sakta hai...lekin yeh DNA test ki sahoolat dunya ki 100% aurtouN ko haasil nahi hai nah hosakti hai...issliyeh yeh bhi aik maslah hai k baap ki shanaakht easily mumkin nahi
6. socially maslah bhi paida hoga... husband-wife maiN mard physically zeyadah taqatwer hota hai. iskay elawah oskay pass daulat aur iqtedaar ki power bhi hoti hai aur woh easily aik say zayad biwiyouN ko apnay "control" maiN rakh kar bari bari har biwi k liyeh dastyaab hosakta hai....... aik biwi-4 husband ki soorat maiN aisaa kissi aurat k liyeh mumkin nahi k woh 4 husbands ko by power apni marzi say baari baari apnay pass aanay day... physically aur jinsi taur par more powerful mard sab k sab oss par TooT paRengay aur woh apnay shauharouN ko rok nahi payegi... youN ghar ghar maiN jinsi-jang hojayegi jo khoon kharabay say bhi aagy nikal jayegi |
hot_sajid
|
Group: Members Joined: 28th Feb, 2011 Topic: 10 Post: 503 Age:
|
|
Posted on:21st Jul 2011, 12:32am |
|
|
Ali bhai Asslam O Alaykum,
Ali Bhai Says : Aur haan sis, koi mard offer de shaadi ki, aur wooh apko ya kisi bhi sister ko dusri ya 3eesri wife banana cha raha hoon toon inkaar na kijiye ga.. dekli jiye ga ke, Imaandaar hein. Paiso walaa hein.. Ghar baraah hein. Apka ghar alaq hein. Ilklaaqi taur pe acha hein sab ke saath. Uska deen mazboot hein.. etc.
App shadi karne ke liye haa kyo kah rahe hai... kya app ne rizvi bhai ka reply nahi para hai.
Rizvi Bhai Says : 6. socially maslah bhi paida hoga... husband-wife maiN mard physically zeyadah taqatwer hota hai. iskay elawah oskay pass daulat aur iqtedaar ki power bhi hoti hai aur woh easily aik say zayad biwiyouN ko apnay "control" maiN rakh kar bari bari har biwi k liyeh dastyaab hosakta hai....... aik biwi-4 husband ki soorat maiN aisaa kissi aurat k liyeh mumkin nahi k woh 4 husbands ko by power apni marzi say baari baari apnay pass aanay day... physically aur jinsi taur par more powerful mard sab k sab oss par TooT paRengay aur woh apnay shauharouN ko rok nahi payegi... youN ghar ghar maiN jinsi-jang hojayegi jo khoon kharabay say bhi aagy nikal jayegi
ali bhai app mujhe is baat ka jawab dijiye ki app ne kaha hai aurat bhi ek husband se jayada rakh sakti hai kyo?
|
hot_sajid
|
Group: Members Joined: 28th Feb, 2011 Topic: 10 Post: 503 Age:
|
|
Posted on:21st Jul 2011, 12:33am |
|
|
Rizvi Bhai Nice Reply.... |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6478 Age:
35
|
|
Posted on:21st Jul 2011, 3:55am |
|
|
Huram or Hulaal Woh kam jinka Quran meah Allah ny hokum deya hay or Huraam kuraar deya hay woh kam HUraam hen or jinko Hulaal bola woh Hulaal hen, hum huraam ko hulaal ni kur sukty or Hulaal ko huraam be ni kur sukty,
JIn bato pur Islam meah Khamoshi ekhtayar ki ghi hay ap bhe khamosi ekhtayar kur lain |
WEHSHI
|
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 45 Post: 2456 Age:
48
|
|
Posted on:21st Jul 2011, 12:38pm |
|
|
IMAM ABU HANIFA hamesha baap ko betay k naam se yaad kiya jata hailakin IMAM ABU HANIFA ko un ki beti yani HANIFA k naam se yad kiay jata hai
yeh aik riwayat hai sahi ya ghalat is se behas nhn
asal bat yeh hai k IMAM k pass shahi khandan ki kuch khawateen aain aur sawal kiya k kiun 1 merd tp 4 shadiyan ker sakta hai lakin aurat sirif 1 yeh na insafi aurat k sath kiun??? humain is ka jawab is terah den k hum samjh sakain hadees ya quran main to hukam hai lakin humain ap samjhain
IMAM BOHAT pareshan k is ka aisa jawab kya den jo unahin satisfy ker sakay gher gai to un ki beti saheba ne poocha k aj kiun pareshan hain ??? unhon ne btaya sab detail to un ki beti ne kaha k theek hai main ap ko jawab dun gi lakin sherat hai k ap ko hamesha meray nam se yad kiya jai ga IMAM ne socha aur man liyay
subah jab IMAM janay lagay to beti ne araz ki k un khawateen ko meray pass bhej dejiyay ga jab woh sab khawateen aagain to IMAM ki beti ne unhain poocha k sawal kya hai khawateen ne wohi sawal dohra diya BETI ne un sab ko 1 bowle diay aur kaha k ap sab is main apnay doodh ka kuch hisa den sab khawateen perday main bari bari gain aur us 1 bowle main apna apna doodh diya
BETI ne sara doodh dekha aur un khawateen se kaha k ab isay alag alag ker len yani her aurat apna apna doodh alag ker len
sab ne herat se kaha k yeh kesay mumkin hai HANIFA ne us waqt fermaya k aik aurat bhi is bowle ki terah hai ager 1 se ziyadah merd us main insertion kerain gay to isi terah kesay pehchan ho gi k bacha kis ka hai??? is k ilawa merd kabhi sharing nhn chahta apni izzat main ager aisa ho jai to muasheray ka nizam biger jai ga aur gher ka taqadus nhn rahay ga
is per woh sab khawateen khamosh ho gain aur chali gain
ab ho sakta hai k kuch aqalmand kahain k ab to yeh posible hai kiun k DNA test ho sakta hai lakin jo halat hain jahan DNA ki reports badal jati hain wahan aik nai museebat kheri ho jati aur bat wohi k muasheray ka nizam derham berham ho jai ga
lakin is main sab se beri bat merd ki gherat hai kehtay hain k jab HUMANYON BADSHA jilawatni main tha to us ka HORSE mer gaya us ko kisi ne horse nhn diya aur kehtay hain k woh 30 KOS tak pedal chala kisi ne us k army chief se poocha k tum ne kiun nhn diya badshah ko apna horse to us ne jawab diya k apni izzat ki cheez kabhi share nhn ki jasakty
|
Iqra_alone
|
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2011 Topic: 15 Post: 153 Age:
23
|
|
Posted on:21st Jul 2011, 1:32pm |
|
|
Re to all without yasir thanx people for ur answers |
Iqra_alone
|
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2011 Topic: 15 Post: 153 Age:
23
|
|
Posted on:21st Jul 2011, 1:40pm |
|
|
Re yasir_123 Tum kiya soch rahe ho ke mei shadi karna chahti ho 2 ya 3 mardo se. Sharam ani chaye tumhare aise gatya aur negativ soch ki. Tum ne akhir mei nahi dekha ke kia likha hua tha. Shame on you. Agar ye sawal tumhari behen karti tho bhi aap ko aisa jawb dena prta tha. Aray mei ne to sirf janni ke liye sawal ki karne ke liye nahi. Ainda aisa ghalat jawb math dejiye. |
glamour
|
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:22nd Jul 2011, 3:47am |
|
|
iqra sister dear tum gussa na karo yaar .ye hamaray yasir bhai b na ............ aray ye un ka style hai un ka maqsad kisi ka mazaq urana nahi hota bas kabhi kabhar thora sa ............................ tum dil p mat lo waisay wo yahan kay aachay member hai bas zara se out spoken keh saktay hain magar un kay mashwaray or batain do tok hoti hain .main janti hoon kay yasir bhai ka wo maqsad nahi hoga jo aap ne samjha hai ok dar kool ho jaho thanks
yasir bhai as salam o laikum aap aaa gahay or aatay hi blast shuru kar diye plz thora hath hola rakho .sab log thori aap ko samajhtay hon gay or chating catagory main aa jahiye gayahan mazeed baat possible nahi thanks
|
Iqra_alone
|
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2011 Topic: 15 Post: 153 Age:
23
|
|
Posted on:22nd Jul 2011, 5:24am |
|
|
Re glamour Aap ki bat sahi hai liken mei bhi mazak jokes waghaira pasand karti hoo lekin yasir reply se saf zahir hota hai is reply ka kiya mathlab hai. Use chaye ke zuban pe lagam lagaye ga. Ajnabi person ko kistarah aise bole jate hai jabke pehli bat bhi nahi hoi. Aur chating catogery kuch alag sa hai direct chat karne ka maza hi kuch aur hota hai. |
hot_sajid
|
Group: Members Joined: 28th Feb, 2011 Topic: 10 Post: 503 Age:
|
|
Posted on:22nd Jul 2011, 8:21am |
|
|
Iqra Gusssa Na kiya karo forum par is kisam ki bate to hoti rahti hai....aur yaha par kuch log ek dusre ko support bhi karte hai.. ye nahi kahte hai ki ................... ye baat samne wale galat ki hai. bas ha me ha karte rahte hai aur sifarish karte hai jab ke jis ne baat ki hai us shaks ka to jawab bhi nahi Aaya hai....
so app Relax ho jao |
Iqra_alone
|
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2011 Topic: 15 Post: 153 Age:
23
|
|
Posted on:22nd Jul 2011, 9:18am |
|
|
re Ok teek hai |
Iqra_alone
|
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2011 Topic: 15 Post: 153 Age:
23
|
|
Posted on:22nd Jul 2011, 11:32pm |
|
|
Re ali Ali bhaie dilogue marne se khuch nahi hota.hahahahahaha |
glamour
|
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:23rd Jul 2011, 1:45am |
|
|
ali bhai its very worg kay aap ne kaha dum hilatay howay bhag gaho .indirectly aap kisi ko dog keh rahay hain !!!!!!!!!!!! ye bhat hi galat baat hai kay aap kisi ko is tarha nishana banahain
|
|