Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Ban At Hijjab In France : Is This A Immoral Act ?

Politics
 
 
ishtiaaq Group: Members  Joined: 06th Aug, 2008  Topic: 38  Post: 81  Age:  30  
Posted on:12th Apr 2011, 8:37am
 

Ban At Hijjab In France : Is This A Immoral Act ?

Salam To All Friends!

Dosto Aap nay b ye news to zaroor parhi ho gi ke France mein kall se Hijaab per pabanddi ka qanoon nafiz kar diya gaya hai. France poori duniya mein pehla aisa moolak hai jis nay is kabiih fail aur qanoon ko laagoo kiya hai. Aub Sawal ye hai kaya France nay sahi kiya? Yaqeenan nahi. To phir Sawaal ye aata hai France nay agar ye qanoon banaaya hai aur poory Europe aur America mein se kisi nay is ki mokhaalfatt nahi ki to kaya is ka matlab ye nahi ke Indirectly in momaalik nay b France ke is eqdaam ki Hamaaiyatt ki hai.

Dosto main kall aik dost ke sath aik shopping mall kuchh kharidaari karny gaya to wahan bohat se Ghory Ghoriyoun ko oun ke reywaaiti dresses mein dekhha to mery dost nay kaha ke yaar jaisy France nay apny Moolak main Muslmaanon per Hijaab karny per Pabanddi laga di hai keon na is ke jawaab mein Ye Arab Moolak in Europe ke logon per Islami Libaas ki panbanddi karny ka qanoon laagoo kar dain. Abi wo ye baat kar hi raha thha to hum nay dekhha ke hamarry qareeb se hi kuchh young Arabi larkiyaan guzrin jinhon nay almost oun European ladies jaisa hi dress pehan rakhh thha to main nay apny Dost se kaha aub bolo kaya kehty ho, France walon ka to dress hi Pent shirts, mini skirts aur aisa hi dosra libaas hai. so wo to yehi chahain gay dosry log b oun jaisy ho jaain aur wo aisa kar b rehy hain, But ye Momaalik kis mounh se oun ko Parda karny aur Islaami Libaas ki targheeb dain jabb ke ye khud oun ke Libaas ko folow kar rahy hain? To mera Dost meri is baat per Lajawaab ho gaya aur Siwaaye itna kenhy ke aur kuchh na bol saka ke Allah Hum Moslamaanon aur Khasoosann is Arab walon ko Deen-e-Islaam ke seedy rasty per chalny ki toufeeq Aatta farmaaye. Ameen.

Chipkili Group: Members  Joined: 09th Apr, 2011  Topic: 3  Post: 8  Age:  24  
Posted on:12th Apr 2011, 3:03pm
 

Ishtiaaq bhai...

Salam. i hope ur fine MashAllah.

Actually i live in Paris, to jo app bol rahey hai vo sayi hai, k yeh ghalat hua. Per iskey pitchey ek vaja b hai, humarey Pakistan mey b yeh chalta hai, to vo yeh hai k log apni pehchan chupatey hai kissi ghalat kam k liye, jaisey apko pata hai pk mey daaku log, lekin ider fr mey zayda isliye uno ney yeh rule bana diya k police officer jab bandey ko pehchana chahey to usko yeh parda baar baar hataney k liye na boley q k ider ki auratein jo muslim hai bura man jati hai, jo k bad mey prblms create hoti hai between them. Ider fr mey app yakeen maney jo aam larki normal clothes pehnti hai, jab pharmacy sey koi illegal medicine leyni ho to hijab pehn leti hai k koi uska apna usko atey jatey na dekhley, sochney vali bat to yeh hai k hum bando ney khud sakhtiyan banayi.

Per Alhamdulilah jo bacha hai, usko realise karna chaye, in Fr auratein parda abhi b kar sakti hai, jaisey k lambey khulley dulley clothes pehna, aur sar per kass ker scarf karna, its allowed.

Abhi auratein and mard ider strike karna chah rahey they for this new rule, per government ney mana kar diya, aur jo aurat hijab karey gi usko 150€ penalty.

Han waqaii dar to lagta k France is the first country, and the other will b encouraged.

Hope u get the point, Thank you Allah Hafiz

For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to find job with no work experience  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us