Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

How Can We Make Online Money In India And Pakistan?

Career and Success
 
 
Sad_heart Group: Members  Joined: 10th Feb, 2011  Topic: 17  Post: 242  Age:  21  
Posted on:16th Feb 2011, 5:49am
 

How Can We Make Online Money In India And Pakistan?

Is their any way to make money online by advertisement. Can anyone tell me what is the truth of "making money online" and how it is possible in INDIA. if it is possible the what is the procedure to make money from advertisement. (SAD_HEART FROM INDIA)
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:16th Feb 2011, 10:08am
 

online money making

i think the money which earns from online is to less then spend the money in base of go online (time spending + finance wasting) ...so , leave this idea this is only charming looks but having no actual charm ...:))

but if you invests money , make a commercial web , appropriate promotion of the web ..so , there will b any sort of chance to make online money otherwise this idea for trash..:)
Sad_heart Group: Members  Joined: 10th Feb, 2011  Topic: 17  Post: 242  Age:  21  
Posted on:20th Feb 2011, 4:08am
 

Thanks Diplomate

Assalmu alykum va rahmatullahe va barkatuhu. Thanks for your important Suggestion.(sad_heart From INDIA)
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4443  Age:  39  
Posted on:10th Jul 2011, 2:06pm
 

Make Money Online In India and Pakistan

aik post mai alirajput ne myrizvi se kaha. mai ne socha ke agar os ka jawab os thread mai dia jaaye tu woh thread divert ho jaaye ga. iss liye alirajput ke liye mai jawab yaha post ker raha hoo.

re: "Socha tooh huwa hein.. Lekin, inshallah kuch programming type seekhloon sites ke hawale se, as you know web design is not enough to run and maintain a site."

alirajput: Internet per generally two types ki programing site hai. Php aur Asp.

Asp microsoft ki hai aur os ki license fee deni hoti aur aur bahut deni hoti hai. jaise jaise aap ki site grow kerti jaaye gi aap ke ikhrajaat (fee) mai be-panah izafah hoga.

Php open source aur Free hai. iss ki koi license fee nahi. lehaza yeh aap ko Asp ke muqabley mai sasti pade gi. dunia ki beshumar mashhoor website Php per bani huyee hai. maslan Yahoo, Facebook aur yeh noorclinic bhi.

jin logo ne C language kia hai on ke liye Php language seekhna koi mushkil nahi. kio keh dono ke syntax aik hi hain. agar aap ko C language aata hai tu samjh lain keh aap ko Php bhi aata hai.

MySql: php ke saath saath aap ko Mysql bhi seekhna hoga. yeh database ka course hai. agar aap ne pehle SQL kahi padha hai tu samjh lai keh aap ko MySql bhi aata hai.

ab aap ki website tayyar hai. hosting company se rabta ker ke domain register karain aur apni website launch ker dain.

Earning From Site: Website se earning ke kai taeeqay hai lekin Pakistanio ke liye sab se aasan yaqeeni aur secure tareeqa bazaria google Adsense hai. agar aap ki site thodi bahut bhi chalti hai aur google ki policy ko violate nahi kerti tu aap ka Google Adsense Account khul jaaye ga.

lekin website bana lene aur os per google ad laganey se koi aamdani nahi hogi. aamdani ka taluq visitor ki taadad se hai. jetne ziadah visitor honge otni ziadah aamdani hogi.

Website per visitor kai tareeqa se aatay hai, lekin jo bhi tareeqa ikhtiar ker lia jaaye 90% visitors ka source sirf aur sirf Search Engine hai. aur os mai se bhi 80% Google Search. lehaza website per chahe jetne bhi members aur writer ho jaaye, agar woh Google Search mai nahi aa rahi ho tu samajh lain ke aap apni site se kuch nahi kama rahe hai.

SEO: apni site per Search Engine ke zaria visitors badahne ke liye aap ko SEO samajhna hoga. SEO aik asia ilm hai jo 100% tu kia 50% bhi kisi ko nahi aata. balkeh yeh aik khofia ilm hai jo log aik doosre se share nahi kertay. 25-30 common point hai jo aap ko net per bhi mil jaaye ga aur jo log fee leker SEO sikhatay hai woh bhi 25-30 point se ziadah nahi jaantay.

SEO ka ilm aap sirf aur sirf tajarbay se seekhtay hai. tajabay se jo point seekhtay hai woh amooman khofya rakha jaata hai. mai ne ab tak SEO ki jetni bhi class ki andaza hua keh meri maloomat Teacher se ziadah thii. ya phir yeh bhi mumkin hai keh teacher ne kuch point ham logo se hidden rakha.

jis tarah Sharbat-e-Rooh Afza ka asal formula Hamdard ke Staff ko bhi nahi maloom. isi tarah SEO ke baaray mai bhi kisi website ke tamam staff ko bhi nahi maloom hota hai. sirf aik fard hota hai jise maloom hota hai keh kisi site ka SEO secret kya hai.agar woh paid mulazim hai tu woh site ko SEO ke mutabiq maintain tu kerta rahe ga lekin malik ko bhi nahi bataye ga keh os ne kis tarah visitor ki taadad mai izafa kya hai.

Generally site malkan khood hi apni site ki SEO ko maintain kertay hai. aur woh apne staff ko sirf aur sirf instruction dete hai keh onhai kia kerna hai. thodi bahut SEO bhi sikha dete hai lekin SEO ki asal secret apne staff se bhi hidden rakhtay hai.

Conclusion

1. Web designing seekhain: Dream weaver per
2. Php programing seekhain
3. MySql database seekhain
4. SEO seekhain
5. pehli website sirf aur sirf os topic per website banaye jis topic per aap ko command ho
6. jab aap pehli website se kuch kama lain, aur aap ko SEO per kuch command ho jaaye tu phir staff rakh ker kisi bhi topic per website bana saktay hai.
7. jo bhi website banaye woh internet per uniqe ho, kisi bhi soorat mai kahi aur se copy paste na ho. isi liye mashwara hai keh pehli website sirf aur sirf os topic per banaye jis topic per aap ko command ho. takeh aap ko kahi aur se copy paste ki zaroorat na pade aur har kaam khood ker lain




Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4443  Age:  39  
Posted on:4th Aug 2011, 10:11am
 

make money online in india and pakistan

re: "I am actually very happy, all the programs you mentioned, my wife knows them."

alirajput: wah ab tu aap dono mia bivi milker online kamai ge.

re: "Can you possibly tell as senior member what sort of topics, matters help the general public, especially Islamic general public?"

har qisim ka topic, hazaro lakho topic, jis topic per chahe work shuru ker dain.
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Singer In Malaysia  How to find job with no work experience  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us