sippy re : "kia menses k baad,intercourse kerne k liye ghusal lazim hai?"
G haan ghusal wajub hay laiken yeh gusal intercourse karny ki gharz sy wajub nahi bulky haiz sy pak hony k liye wajub hay ..yani ghusal-e-haiz ..ghusal k baad chahy aurat (shadi shuda) intercourse kary ya kuch aur kaam koi mumanit nahi hay..
haiz (menses) k baad aurat par ghusl-e-haiz karna wajub hota hay ...behtar yahi hy k aurat (shadi shuda) haiz k ikhtetaam par 2 ya 3 ghanty k baad ghusal-e-haiz kar ly (2 , 3 hours k waqfy k doran spoting ka amoman pata chal jata hay) baad main intercourse kary ..laiken agar kisi waja sy gusal-e-haiz karny sy qabal intercourse kar liya hay to baad azaan pehly ghusal-e-haiz karna hoga aur sath hi ghusal-e-janabat karna lazim hoga
medically aur islamically haiz k ikhte'taam k sath hi foran intercourse karna theek nahi hay...baaz khawa'teen ko periods k ikhhte'taam k baad b kuch waqfy tak ya waqfy waqfy k baad spots lagty rehty hain iss liye mukamal iteminaan k baad shadi shuda khawa'teen ko periods k baad intercourse ki tarf jana chahiye. |