H/dr_Qasim
Assalamu Alaykum Wrwb :) mohtaram janb Qasim shayad apki nazar se iski hurmat nahi guzri ho lekin hamare paas iske kuch dalail hain jo iski hurmat sabit karte hain wo apke samne rakhne ki koshish karenge insha Allah masha Allah aap kaafi zaheen aur bohot hi ilm aata kiya hai Allah ne apko hame bohot kuch sikhne ko milega apse insha Allah Allah tala ne sure bakhra me farmaya وَيَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡمَحِيضِۖ قُلۡ هُوَ أَذً۬ى فَٱعۡتَزِلُواْ ٱلنِّسَآءَ فِى ٱلۡمَحِيضِۖ وَلَا تَقۡرَبُوهُنَّ حَتَّىٰ يَطۡهُرۡنَۖ فَإِذَا تَطَهَّرۡنَ فَأۡتُوهُنَّ مِنۡ حَيۡثُ أَمَرَكُمُ ٱللَّهُۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلتَّوَّٲبِينَ وَيُحِبُّ ٱلۡمُتَطَهِّرِينَ apse haiz k bare me sawal karte hain keh dijiye k wo gandagi hai, halat e haiz me aurton se alag raho, aur jab tak wo pak na hojayen inke kareeb na jao, han jab wo pak hojayen to unke paas jao jahan se Allah ne tumhe ijazat di hai, Allah tauba karne walon ko aur apk rehne walon ko pasand farmata hai 2:222 aur aage ki aayat 223 me hai k tumhari biwian tumhari khetian hain in dono ayat se wazahat hojati hai k vaginal sex
jayez hai anal sex nahi kyun k aayam haiz me Allah ne biwion se door
rehne ka hukm diya agar anal sex karna jayez hota to uski isme ijazat
hoti aur phir dusri aayat se aur bhi wazeh hojata hai Allah ne biwion ko
kheti kha hai yane wo jagah jahan beej dalne se fasal ugti hai aur
dubar (anal) kheti ki jagah nahi hai aur is aayat ki tafseer me ibn katheer likhte hain aisa shaqs jo mujamaat k liye apni biwi ka dubar istemal karta hai usko mal'oon kaha gaya hai yane lanati ab kuch hadees ka bhi hawal dekhlete hain lanat ho us shaqs k upar jo hambistari k liye jama k liye apni biwi ko dubar se bualaye (Imam Ahmad, 2/479) jisne apni biwi se mubasharat ki haiz ki halat me ya phir uske dubar me aur jo kahin k paas gaya usne us cheez ka inkar kiya jo Mohammad sallellahu alayhiwasallam par utari gayi (Tirmidhi, no. 1/243; see also Saheeh al-Jami', 5918) umeed hai in aayat aur ahadees se baat wazeh hogayi hogi k dubar me anal me mujamaat karna haram hai aur karne wale ko lanati kaha gaya hai Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
|