Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Aik Sham Diplomate Ke Naam

Chatting
 
 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:22nd Oct 2010, 5:03am
 

welcome back uncle

jab tak error theik nhi hoa aap bhi nahi ae:(
hum to jese tese aa hi gae th.aa kr aapko miss bhi krte rahe.chalein ab masha Allah se aa gae hain to aap bhi aik adad sawalon ka parcha thama  dein Dip uncle ko meri trha:-P



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:22nd Oct 2010, 10:16am
 

to sunehri

kabhi apse koi aisi ghalti hui jis pe ap aj tak sharminda hain ??

ghalti sy murad agar gunah hey to aysa insan is duniya main shaid ikka dukka hi hon jin sy koi gunah na hota ho laiken bil amoom har insan gunah ki daladal main atta howa hi hey aur issi trah main b hon..ultimately main b apny sar zad shuda gunahon par b sharmindah hon...behar haal allah muj smait sab ko naik amal ki tofeeq k sath sath gunahaan-e-kabeera-o-sagheera sy mu'aafi ata farmaye ameen..

kaunsi batain apko pareshan karti hain ,??

obviously preshani ki batain hi preshan karti hain ...aysi baton sy hamara roz hi samna hota hey ...buhat sy mazboot asaab k malik loog aysi baton sy bhag kar guzar jaty hain aur preshani ki baton ko apny ooper heavy nahi hony daity ... laiken buhat sy kamzor asaab k malik log hamaisha chotti chotti baton sy b pershan hi rehty hain .....shaid aysy afraad main sy aik main b hon ..

kabhi kisi se Muhabbat ki apne ? Shadi se pehle ?

yeh sawal thorra sa khatar naak hey .......(han hoi to thi laiken abb yeh mat poochiye ga k uss ka kia bana)......:)))



Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:22nd Oct 2010, 11:10pm
 

Aik Sham Diplomate Ke Naam

maiN to samjhi thi rizvi bhai hajj pe sudhar gaye hoNgay lekin woh to abhi yahiN login honay ki koshishoN meiN masroof haiN :)

diplomate bhai jazakAllah ji aap ne apnay fav member k sath mera bhi name liya wese aap sirf bewaqoof kehtay tab bhi maiN apna hi samajhti :)

1-aap ne Urdu literature read kiya hae ya English ?

2-kis writer ka likha huwa pasand hae ya read kartay haiN mostly ?

3-mulki halaat k baray meiN kiya sochtay haiN any solution in your opinion ?

4- koi aisi jagah jahaN bohat thakawaT k bawajood bhi har waqt chalnay k liye tayar hojayeN ? (begam ki susraal k ilawa :)

5- aap k nazdeek logoN ko janchnay ka kiya pemana hae ? kis tarah k logoN se jald understanding develop hojati hae ?
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:22nd Oct 2010, 11:32pm
 

mushkal tareen sawalat k asan sy jawabat

uff toba hey aap kitny mushkil mushkil sawal karti hain ...:)

31. NFC kese join kia?

yahan aik member hey Ozone wo mera cousin hey to uss ny mujy aik din aik new theory "relevant term" ka bataya jis par "bewaqoof" ny "nothing wrong in this world" k name sy aik thread start kiya tha main ussi bat ko parrny k liye yahan aya to yahan hi reh geya ...

32. aap kis 2 members se milna psand karein ge?

waisy to har member sy milny ki shadeed khuwahish aur tammana hey lakain aap ny chunky 2 ka poocha hey to iss main main thorri si kanjoosi sy jawab doon ga aik ka name bata daita hon aur wo hain "bewaqoof" laiken dosry member ka name nahi bataoon ga ... aur please aap pochna b mat ...:) thanks

33.aap ko agar yahan ka Admin aik week k lie bna dia jae to aap kia kia changing laein ge?

main sab sy pehly iss forum main aik mustqil paid worker hire karon ga jo k iss forum k technical masayel ko members k shakayet karny sy pehly hi khud observe kar k theek kar dy ..ta k members ko koi problem na ho...:)

34. is forum pr aap ko kia chez buhot achi lgti h?

iss forum ki sab cheezain achi lagten hain ...gin'na mushkil hey.. laiken aik bat jo main shid'dat sy mehsos karta hon wo yeh k iss forum ki hamaisha sy hi khushqismati rehi hey k yahan jo members b kuch arsa k liye ruky hain wo dosron k liye helping hand hi sabit howey hain ...yeh bat iss forum ki buhat achi hey

35. is forum ki sab se bari burai?

iss forum ki to nahi keh sakty laiken iss forum ki admin ki yeh bat buhat ghalt lagti hey k jo members mufat main time day kar iss forum ko runnig rakhty hain aur lamby arsy tak mukhtlif members , visitors , questioners ki help karty rehty hain agar wo khud kisi majbori ki waja sy forum sy disappear ho jaien to admin unn ko kabi yaad tak nahi karti na hi unn sy rabta karti hey ..yeh bat iss forum admin ki buhat buri lagti hey

36. kia aap ne apne kisi aziz,doston ko is forum k bare me aaj tak btaya?

han buhat sy doston ko bataya hey bulky aik dost ko to yahan ka member b banaya tha ...laiken uss ki aik personal majbori thi jis ki bina par wo yahan aik do bar sy ziyada na asaka ...:(

37. ye btaein k aap donu husband & wife me ziyada larai jhagrey ki shrowat kis ki traf se hoti h?....:-P

aaj tak hamara apis main kabi koi swear qisam ka larraie jhagrra to nahi howa haan kabi kabar chotti motti baton par ikhtelaaf-e-roy ho jata hey jo kabi pehly meri tarf sy ya kabi wife ki tarf sy ...laiken 5 / 10 minute sy ziyada hum aik dosrey sy naraz nahi rehty ....allah ka shukar hey ...:)

38. kia kabhi esa hoa k ghalati aap ki na ho aur aapko sorry krna pare?

agar aap ka swal hum husband wife k bary main hey to main yhi araz karon ga k hum dono aik dosry sy sorry karwany k qayle hi nahi hain ....aur agar ap k poochny ka matlab marital life sy hat kar meri mu'asharti zindagi k bary main hey to main iss main b itna sakhat mazaaj nahi hon asal main main samjta hon k chahy ghalti ho ya na ho sorry karny main kia harj hey ...agar meri ghalti hey to tab b sorry aur agar meri ghalti nahi b hogi to mera sorry kehna khud hi agly bandy ko apny bary main sochny par majboor kar dy ga

39. life me paisa zarori hai ya mohabbat?hai to kiu?

mery khiyaal k mutabiq yeh dono cheezain buhat zarori hain ....muhabbat ka taluqq aap ki personal life sy hota hey muhabbat sy kisi ki zindagi main khushguwaar ya na khushguwaar change ata hey aur iss change k liye insan ki zindagi main muhabbat az had zarori hey ..(main muhabbat k miyaar ki bat nahi kar raha yeh har kisi k nazdeek apny apny khiyalat k mutabiq hey yani koi khuda sy muhabbat to koi khudaa ki makhlooq sy muhabbat ko asal muhabbat samjhta hey main amomi bat kar raha hon) ... issi trah rupia paisa b insan k liye zindagi ki mushkilaat sy nipatny k liye az had zarori hey

40. zindagi k koi ese pal jinhe aap wapis dohrana chahein?

yaqeenan bachapan k lamhaat ...:))

42. Ghar ka koi esa kam jo aap buhot shoq se krte hon,aur koi esa kabhi bhi jis pr aap buhot hi ghussa ata ho aur krna bhi prta ho?

ghar main jo amoomi kaam hoty hain jaisy kisi b cheez ki repairing waghaira wo main apny hath sy aur shoq sy karta hon ....gussa b aysy hi kamon par ata hey jinahain bar bar thek karo to wo aik do mah k bad dobara sy kharab ho jaien .....:)

43. kis kism k log aapko buhot jald attract krte h?

sadha loh , sachy , baghair milawat k baat karny waly , logically bat karny waly , khobsorat ....:)

44. net pr relationship bnanae k bare me aap k khayalat?

buhat oonchy khiyalaat hain mery iss bary main ...iss liye main nahi bataoon ga....:)) hehehehe

45. apni shakhsiyat ko 6 alfazoun me byan karein

asal main yeh sawal unn logon sy kiya jany wala hey jinhon ny mujy physically daikha ho ya kabi pesonally mily hon ...main apny mu sy iss bary main kia kahon ....ya kia keh sakta hon ...:))

s4u --> aap sy aik appeal hey k aap please questions normal font main karain mujy answers karny main asani rehti hey....aysy fonts sy lagta hey aap ny yeh sawalat kaheen sy copy kiye hain ...:) waisy aik baat hey aap ny mujy apny arry tirchy sawalaat sy kafi had tak lataarr kar rakh diya hey ...-;) lolzzzz

myrizvi bhai aap ka agar login ka masla theek ho geya hey to main mushtaq hon k aap b yahan qadam ranjah farmayein ...sawalat ki shakal main ...

aur han ab tak janab "-----" yani Dr. bhaiya ghayb hain yahan sy ...lol
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:22nd Oct 2010, 12:20pm
 

Masha'Allah And Thanks Maryam Didi

Diplomate khush howa....:)

re : "wese aap sirf bewaqoof kehtay tab bhi maiN apna hi samajhti :)"

astagh'fir'ullah...daikhain maryam sis main pehly hi buhat gunaha gaar sha'khas hon mujy mazeed kisi gunah ki tarf mat uksaien aap ko "bewaqoof" kehna mery nazdeek gunah sy kam nahi hey ...:((

jo yahan k bewaqoof hain main unn ki b ID ko hi janta hon iss liye bewaqoof kehta hon otherwise mujy un ko b bewaqoof kehny main sharmindagi si feel hoti hey ...aur chy jey k aap ko bewaqoof kehdoon......nahi nahi...yeh paap hoga didi...:))


1-aap ne Urdu literature read kiya hae ya English ?

meri posts ko ya replies ko parr kar (agar aap parrti hon to) aap ko kia lagta hey ?? ...:) main urdu speaking gharany sy to nahi hon laiken qomi zuban urdu hony ki waja sy books , rasayel , jaraied , akhabar waghaira urdu main b aty hain iss liye urdu hi shoq sy parrta hon.....dosri bat yeh k mujy urdu ki samj b ajati hey .......english ki nisbat.........:))) haha

2-kis writer ka likha huwa pasand hae ya read kartay haiN mostly ?

pasandeedagi ka taluq yaqeenan reading sy hi hota hey ...jis writer ki amomi batain achi hon ussy shoq sy parrta hon ..aur agar ap iss forum ki bat karain to aap ka likha howa to main uss waqat b shoq sy parrta tha jab main is forum ka baqayeda member nahi bana tha ....aur last days main meri ankhain kharab theen main aik do dafa forum par aya aur aap ko yeh jan kar khushgawar hairat hogi k main sirf aap ki hi likhi batain parr kar wapis chala geya ...:)

3-mulki halaat k baray meiN kiya sochtay haiN any solution in your opinion ?

yeh sochna yahan k siyasat dano ka kam hey ....hum to minhays-ul-qom aaj tak yeh theek sy nhi soch saky k hamary numaiyendy kis criteria k hony chahain chy jey k hum mulik k bary main hi sochna shuro kardain ...:)

opinion ...> jamhoriyat jaisi taisi b ho looli ho langrri ho corrupt ho bey sha'oor ho ..ussy apni muddat poori karny di jaye ..iss trah ahista ahista pakistani awam k andar apny mulik k liye mozon , munasib aur behtreen numayendy muntehab karny ki awareness ajaye gi ...

agar kisi b democratic system ko apni poori muddat tak na chalny diya jaye to uss k beshumaar nuqsanaat samny aty hain ..

# 1 hakomat bajaye awam ko khush haal karny k apni pockets ko bharna shuro kar daiti hey k pata nahi kal ka din hum hakomat main hon gy ya nahi ...

# 2 awam ko apny numayendy muntehab karny k liye sochny ka ya ghor karny ka moqa nahi mily ga ..bas aik hi dhun sar par sawar hogi k jald sy jald tabdeeli aye ..aur iss jaldi ka najaiez faida laity howey dobara sy phir waisy hi numayendy ajaien gy aur awami mushkilaat phir sy wohi ho jaien gi ...to iss liye mera opinion iss bary main yahi hey k pehly hi soch bichar kar k acha numayenda chuna jaye laiken agar aysa posible na ho saky to kam az kam uss chuny howy numayendy ko hi apni muddat poori karny ka moqa diya jaye ...

4- koi aisi jagah jahaN bohat thakawaT k bawajood bhi har waqt chalnay k liye tayar hojayeN ? (begam ki susraal k ilawa :)

hahaha .....han begum k susral k ilawa aik jaga aysi hey aur wo hey mera susraal ....hahaha ...(mazaq k ilawa aik bat karon aap ko jan kar buhat hairat hogi k main apni shadi k baad sy ly kar abb tak apny susral main baqayeda tor par sirf 2 ya 3 bar hi geya hon ga)... waisy main apny office regular jata hon chahy andhi ho tufaan ho ....rozi roti ka masla hey na .....:))


5- aap k nazdeek logoN ko janchnay ka kiya pemana hae ? kis tarah k logoN se jald understanding develop hojati hae ?

s4u k sawal No. 43 ka jawab parr lain ...:))

and again many many thanks to maryam .. aap ka yahan ana buhat acha laga ...:)
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:23rd Oct 2010, 1:24am
 

acha ab n krti:(

aap kehte hain to main aap se ab mushkil sawal n krti.warna aur buhot se sawal uth rahe hain....lekin chado ji..uncle agar aapko mere sawalon pr shak h to aap btana kabhi k kahan se copy paste kie h:(
haan itna zaror keh sakti hon k font kisi aur site se chori kia h:D

thanx aap ka aap ne mere mushkil sawalon k jawabat die..ye btaein k aap ko kesa feel hoa?

mera aap se last question.aap mojhe yahan kafi had tak jan gae hon ge to btaein main kesi hon?meri koi si 5 buraiyaan btaein aur 6 khobiyan:D



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:23rd Oct 2010, 9:36am
 

s4u g

re "aap kehte hain to main aap se ab mushkil sawal n krti.warna aur buhot se sawal uth rahe hain"

aap be-dharrak ho kar sawal karain aap ko kuch nahi keha jaye ga ..:) waisy b aap k sawalat asan hi hoty hain bas unn k jawabat daina mushkil hota hey ...:)

laiken abi be-fikar ho kar jitny marzi aur jis trah k marzi sawal karain ...khair hi khair hey ....main jawab dey ho doon ga agar zinda raha to..:)

re "mera aap se last question.aap mojhe yahan kafi had tak jan gae hon ge to btaein main kesi hon?meri koi si 5 buraiyaan btaein aur 6 khobiyan:D"

ary ary last sawal q ..???.....main kahan jaan saka hon aap ko ...bulky mera to khiyaal yeh k iss duniya ka koi b mard kisi b aurat ko theek sy jaan hi nahi sakta ..:))..jab jaan hi nahi sakta to kaisy bata sakta hey k fulan aurat kaisi hey fulan kaisi hey ...issi trah main b aap k bary main kia aur kaisy bata sakta hon k g s4u kaisi hain ....:)

aur jahan tak khobi khami k batany ki bat hey to yeh sawal main aap sy karta hon k aap ny muj sy taqreeban 45 adad sawalat kiye hain mery diye gaye jawabat ki roshni main agar aap ko aik moqa diya jaye k aap diplomate ko apny alfaz main beyaan karain ...shakhsiyat , adaat , afaal , aqwaal , tahreer k bary main to aap kia kahain gi iss bary main ???
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:25th Oct 2010, 5:32am
 

hmmm ok

to krti hon sawal phir se.

46.ap ne kabhi cooking ki?1st time kia bnaya?

47.peeney me kia psand krte h ziyada?pani,pepsi,dodh,chae ya kuch aur?

48.aap ki life me koi "Kash.....!" ?

49.apko aik city se dosre tak jana ho to by air jana psand krte hain ya phir by road?

50.Animals me se kon se psand hain? aur kabhi koi birds palne ka shoq hoa?

51.aapko khosh krne k lie logon ko kia krna chahiye?kis bat se khosh hote h,kia apni psand ka khana kha kr?........:-P

aap ki khoobi khami abhi btana mushkil hai.




Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:25th Oct 2010, 3:56pm
 

Questions

Aap ki zindagi se kya expectations hain aur aap kis tarah ki life jeena chahte ho??

Apni 5 buri adatain btayen. Aap apni kin kin khamiyun par koshish ke bawjood qabu nahin pa skay. Aaj tk apne andar konsi esi personal change laye hain jo aap ko bht pasand ho??

Aap ke kheyal main aik mard main konse 5 important traits hone chahien? Do you feel ke aap ke andar yeh 5 mojood hain??

Kya aap ne zindagi main kabhi apni mehnat se koi bigger achievement hasil ki hae jise yad kr ke aap kch lamhe ke liye khush ho jaate hon?? (Siwaye love marriage ke. Uss main b jootay kha rahe ho ab…lolzzz)

Kya kabhi Drinking ki hae??

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:26th Oct 2010, 1:01pm
 

to s4u

46.ap ne kabhi cooking ki?1st time kia bnaya?

nahi main cooking nahi kar sakta ...

47.peeney me kia psand krte h ziyada?pani,pepsi,dodh,chae ya kuch aur?

pani (water)

48.aap ki life me koi "Kash.....!" ?

koi nahi

49.apko aik city se dosre tak jana ho to by air jana psand krte hain ya phir by road?

by road

50.Animals me se kon se psand hain? aur kabhi koi birds palne ka shoq hoa?

allah ki makhloq hony k waja sy sab hi pasand hain ..especially cow wo dhodh (milk) daiti hey .....main ny kabi koi janwar ya prinda paltu nahi rakha ...

51.aapko khosh krne k lie logon ko kia krna chahiye?kis bat se khosh hote h,kia apni psand ka khana kha kr?........:-P

khushi ka taluq kisi dosry ki tarf sy ki jany wali koi harkat k sath b hey ..aur har insan k andar b majood hoti hey bas issy express karny ki zarorat hoti hey ...khaa khud express ki jaye ya express hoti hoi daikhi jaye....lehaza kisi aik cheez ya baat ko pin point karna mery liye mushkil hey....
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:26th Oct 2010, 1:33pm
 

bhimji

aap jis qism k jawabaat ki tawaqqo kar rahy hain shaid aap ko waisy jawab na mil sakain .....abb jo b tooty photy jawabaat hain qabool karain ...:))

Aap ki zindagi se kya expectations hain aur aap kis tarah ki life jeena chahte ho??

main jis haal main hoon allah ka shukar hey ...tawaqqo'aat ka taluq insan ki ki jaany wali koshishon sy hota hey ...aur jitni main koshish karta hon mujy mera allah uss sy kai guna ziyada nuwaaz raha hey ....


Apni 5 buri adatain btayen. Aap apni kin kin khamiyun par koshish ke bawjood qabu nahin pa skay. Aaj tk apne andar konsi esi personal change laye hain jo aap ko bht pasand ho??


aysa buhat mushkil hota hey k koi banda apni khamiyan bataye aur phir yeh b btaye k unn par qabu pany ki nakam koshish b kar chuka hey ....apni aik khami batana hi buhat mushkil hota hey aur ooper sy agar koi pooch ly k aik nahi 5 khamiyan batani hain to baat mazeed mushkil ho jati hey ...iss liye mera khiyaal hey mushkilaat main na prrna hi meri positive change hey jo main barri tagg-o-doo k baad apny andar laany main kaamyaab howa hon....:)


Aap ke kheyal main aik mard main konse 5 important traits hone chahien? Do you feel ke aap ke andar yeh 5 mojood hain??


important traits ka taluqq sirf aik mard sy hi nahi bulky yeh to har insan main honi chahiyain ...aur jahan tak mery andar inn k majood hony ki baat hey to iss bary main main khud sy kuch nahi keh sakta q k apny mu miyaan mithu ban'ny wali bat ho jaye gi aur apn'ny mu miyaan mithu ban'na bazat-e-khud naik khaslatoon ki nafi kar daiti hey ....ummeed hey bat ki samj agaye ho gi...:))

Kya aap ne zindagi main kabhi apni mehnat se koi bigger achievement hasil ki hae jise yad kr ke aap kch lamhe ke liye khush ho jaate hon?? (Siwaye love marriage ke. Uss main b jootay kha rahe ho ab…lolzzz)


awwal to meri love marriage hi nahi hey arranged hey ...iss liye yahan achievement wali baat hi foot ho jati hey ...:)) jahan tak insan ki mehnat ki bat hey to mery nazdeek insan ki mehnat ka taluq insan ki luck sy hota hey aur yeh luck kia hey iss ko aap mehnat k baad hi hasil kar sakty hain ...ayani yeh dono cheezain aapis main lazam-o-malzoom hain ......asal main yeh aik philosophic question hey aur iss ka answer yahan chand lines main karna mushkil hey .....agar zindagi main moqa mila to main iss question par aik article likhon ga ussy read kar lijiye ga ....


Kya kabhi Drinking ki hae??


aap ka yeh swal open forum par pochna kuch munsib nahi lagta ...:))

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:26th Oct 2010, 6:12pm
 

Diplomate bhai

34 & 35 answers r too good & should be floated as a saperate topic . please to read your replies .


Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:27th Oct 2010, 1:46pm
 

You Are Most And Always Welcome ....Maryam Sis..:-)

aap ko sirf question No. 34 aur 35 k jawabat hi q pasand aye hain ..?:)..mera khiyaal hey k main ny baqi adad answers b poori emaandari sy hi diye hain ..:)
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:27th Oct 2010, 2:00pm
 

Re:

no doubt sab hi replies bohat achay aur interesting haiN aur aaj kal yahaN zyada nahi apati to just yeh thread read karti hoN lekin yeh aise facts haiN jin se maiN bhi sehmat hoN :)
wese aap k replies maiN aik khushgawaar si tabdeeli nazar arahi hae aaj kal (mashAllah :) ab is ka raaz bhi bata daiN any change in your life ?
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:27th Oct 2010, 2:10pm
 

khushgawaar tabdeeli

wo kaisy? main ny note nhi ki...!!! agar aap ko kuch change nazar araha hey to aap hi bata dain..:))
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:27th Oct 2010, 2:16pm
 

Re:

jab kisi k replies maiN .......:) &............:)) walay icons anay lag jayeN to is ka matlab khush.gawaar tabdeeli hota hae ji ab jaldi se reason bhi bata dain ?:)
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:27th Oct 2010, 2:49pm
 

Oh God

aap itni bareeki sy mery replies parrti hain ....!!!!

tabdeeli ki waja abb main kia btaoon ....waisy iss ka sehara yahan k do members k sar jata hey ....aik hain Water The Great aur dosry hain jo water ko har post main great kehty thy ...yani Doctor Qasim The mha Great...:))
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:27th Oct 2010, 2:57pm
 

ji bilkul :)

hahahaahaha Allah in k sehray ko sajaye :)) achi baat hae ji muskrahaT bhi aik sadqa hae jo denay se baRhta hi rehta hae :)
wese aap bewaqoof bhai k itnay baRay fan haiN k start meiN maiN aap ko "bewaqoof" hi samjhi thi woh to baad meiN pata chala aap "bewaqoof" nahi achay khasay "insan" haiN :)
bewaqoof bhai ki wese to har baat hi sab se different hae lekin aap ko kiya different ya unique lagta hae ?
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:27th Oct 2010, 3:12pm
 

maryam sis

re "Allah in k sehray ko sajaye :))"

aik member k bary main to yeh du'aa samj ati hey dosri to female hain unn k bary main aysi du'aa samj nahi ai..:))))

re : "wese aap bewaqoof bhai k itnay baRay fan haiN k start meiN maiN aap ko "bewaqoof" hi samjhi thi woh to baad meiN pata chala aap "bewaqoof" nahi achay khasay "insan" haiN :)"

mujy pata hey aap aysa samjhti theen aur yeh b yaad hey k aap ny meri kis bat par aysa smjha tha...shaid jab yahan Dr.Qasim ko homeopathic theory par baat karny par Mod note mila tha aur aik ihtajaji thread main aap ny shaid Dr.Qasim ki favor main yeh keha tha k note ki baat nahi hey nat yeh k itna sakhat not nahi ho na chahiye tha..(shaid block ki warning thi uss note main)

iss baat par main ny aap ko aik reply kiya tha mujy wo reply b yaad hey laiken main yahan nahi duhraaon ga q k main abb waisa nahi raha ......hehe...aap ko wo reply parr kar hi aysa laga tha k main shaid "bewaqoof" hon ....aysa hi hey na..??? ....:))

re : "bewaqoof bhai ki wese to har baat hi sab se different hae lekin aap ko kiya different ya unique lagta hae ?"

jab har bat hi unique aur different hey to kisi aik baat ka q pooch rehi hain ....:))) sab hi lagti hain .....aur jin sab batoon ko ap different and unique samjhti hain main b unhain hi kehta aur samjhta hon..iss liye yeh sawal aap khud sy b pooch sakti hain aap ka jo jawab aap ko ho ga automatically wohi mera b jawab ho ga ....:))
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:27th Oct 2010, 3:24pm
 

Re:

exactly maiN usi baat ki wajah se aap ko "bewaqoof" bhai samjhi thi :) lekin no doubt k un ka fan hona bhi kisi kisi ka kamal hae :) wese maine yeh forum bewaqoof bhai k replies dekh kar hi join kiya tha he was so funny . aur bech meiN kuch arsa choRa bhi unhi ki wajah se he was so rude .

jahaN tak sehray ka taluq hae to sar hona chahiye sehra kisi pe bhi saj jata hae :) s4u ko apnay topic ka aghaaz is shair se karna chahiye tha

tumhaiN jab milaiN kabhi fursataiN meray dil se bojh utaar do
maiN bohat dinoN se udaas hoN mujhay koi shaam udhaar do
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6  >>
 
 
 
Pakistan Day Celebration In Malaysia  How To Get Visa For Japan  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us